Chandigarh Ka All Weather Pool Project Me Rukawat

5 Saal Baad Bhi Sector 39 Ki Facility Ka Upgrade Av Bhi Files Me Atka Hua Hai. Shahar Ka 2nd All-Weather Swimming Pool Banane Ka Project 2019 Se Latka Hai, Lekin Abhi Tak Ispe Kaam Start Nahi Hua Hai.

Ut Sports Department Ne Sector 39 Me Existing Swimming Pool Ko All-Weather Facility Me Convert Karne Ki Planning Ki Thi, Lekin Ye Project Abhi Bhi Engineering And Sports Department Ke Beech Files Me Uljhi Hui Hai.

November 2019 Me Uss Time Ke Ut Administrator V.P Singh Badnore Dwara Inauguration Ke Baad, Authorities Ne Announcement Ki Thi Ki Pool Ko All Weather Facility Me Badal Diya Jayega. Usi Saal, Tatkaleen Secretory, Sports, Kk Yadav Ne Kaha Ki Facility Ko Upgrade Karne Ki Process Start Ho Gayi Hai. Prarambhik Yojna Ke Anusar, Department Ko Pool Me Ak Compatible Plant Set Karna Tha, Jise Repairing Aur Cleaning Karna Asan Ho Sake.

Shahar, Jisme Sports Department Ke Under 11 Swimming Pools Hain, Sector 23 Complex Me Keval Ak Hi Mausam Ki Suvidha Hai. Aise Hi Ak Aur Facility Punjab University Ke Under Me Hai Aur Keval University And Affiliated Colleges Ke Swimmers Ke Liye Khuli Hai. Winters Me Keval Ak Centre (Sector 23) Professionals Ko Training Dene Ke Liye Available Hai.

Ak Senior Officer Ne Kaha, “Sector 39 Me Sthit Iss Suvidha Ko Kid’s Pool Ke Roop Me Jana Jata Hai, Jiski Depth Shallow Side  2.5 Feet Aur Deep Side 4 Feet Hai. Iski Length Almost 25m Hai. “ Department Is Project Pe Kaam Kar Raha Hai. File (Facility Ko All Weather Me Convert Karne Ka Project) Abhi Bhi Considerating Hai. Recently, Budget Pe Phir Se Se Discussion Karne Ke Liye Senior Officials Dwara Iss Rok Diya Gaya Tha. Halanki, Official Confirmation Abhi Bhi Public Ki Jaani Hai. Agar Department Facility Ko Upgrade Karna Chahta Hai Toh Next Kuch Weeks Ke Me Approval Mil Jaani Chahiye.”

4 Crores Ki Estimated Cost Se Nirmit, Sector 39 Complex 1.65 Acres Me Faila Hua Hai. Isme 25m Ka Indoor Pool, Ak Multi-Purpose Hall ( Jisme Ab Table Tennis Ki Suvidha Hai) Aur Ak Yoga Centre Hai. Site Par Ak Open Basketball Court And Ak Volleyball Court Bhi Sthapit Karne Ka Proposal Tha.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Abonnieren
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »