Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 187

DEOBAND KA

NAYA DEEN (ROMAN URDU)

WRITTEN BY:

ALLAMA MUSHTAQ AHMAD NIZAMI

Abde Mustafa Publications


Deoband Ka Naya Deen
Writer: Allama Mushtaq Ahmad Nizami

Publisher: Abde Mustafa Publications


Digitally Published by Sabiya Virtual Publication
Powered by Abde Mustafa Organisation
Roman Urdu: Muhammad Aaseem Razvi
(Member, Mission Qadri Welfare Society)

Publication Date: August 2023 Total Pages: 187


Edition: 1st
Book No.: SVPBN426

Cover Design & Formatting : Pure Sunni Graphics

All rights reserved.


No part of this publication may be reproduced, distributed, or
transmitted in any form or by any means, including photocopying,
recording, or other electronic or mechanical methods, without the prior
written permission of the publisher, except in the case of brief quotations
embodied in critical reviews and certain other noncommercial uses
permitted by copyright law.
Copyright © 2023 by Abde Mustafa Publications

we’re working together:

SAB YA
ROMAN BOOKS

graphics
A B D E M U S TA FA O R G A N I S AT I O N Abde Mustafa Publications

TECHNICAL SUNNI
E N I KA H M AT R I M O N Y S E R VI C E S I D R A S T O R E
All praise to Allah, the Lord of the Creation,
and countless blessings and peace upon
our Master Muhammad, the leader of the Prophets.
Deoband Ka Naya Deen 1

Contents
ABOUT US .......................................................................................................... 5
BAAB (1): FITNA-E-DEOBANDIYAT KA SARSARI JAYZA............................. 7
EK JAYZA ......................................................................................................... 7
EK GALAT FAHAMI KA IZAALA! ...................................................................... 13
BAAB (2): EK GUMRAH WA GALAT PROPAGANDE KI BARHANA TASVEER ...... 26
SHARABE KUHNA DAR JAME NAU: ................................................................ 26
DUSHMAN SE RUPYA LENE KE KYA MA'ANA? YE DO RUKHI POLICY KAISI? .. 40
BAAB (3): IKHTILAFAAT KI BUNIYADI HAISIYAT ..................................... 46
DEOBAND AUR BAREILLY KE BUNIYADI IKHTILAFAAT ................................... 46
BAAB (4): ULMAYE DEOBAND KI DUSHNAM TARAZI ............................ 61
BAAB (5): SHAH WASI ULLAH SAHAB KI 'TAUQIRUL ULMA' KA
TANQEEDI JAYZA ........................................................................................... 66
EK HAQEEQAT JO JHUTLAI NA JA SAKE: ........................................................ 66
KAFIRGAR YA BAZIGAR ................................................................................. 69
TANQEEDI JAYZA........................................................................................... 69
BAAB (6): ULMAYE DEOBAND KI CHAND MUNTASHIR WA AHAM
IBAARAT PAR EK TAERANA NIGAH ............................................................ 86
BAREILLY WALO KE PEECHHE DEOBANDIYON KI NAMAZ HO JATI HAI:....... 86
WAHABI BE ADAB KO KAHTE HAIN: ............................................................. 87
SAARI DUNIYA KO WAHABI BANANE KA PROGRAM:...................................... 87
SAHI AQAED MADARE NAJAAT HAIN:............................................................ 88
KAFIR KO KAFIR HI KAHA JAYE: .................................................................... 89
SAYYADNA IMAAM AHMAD RAZA AASHIQE RASOOL THE: ............................. 90
MAULANA MUHAMMAD ZAKARIYA AUR MAULANA MANZOOR NOMANI
WAHABI HAIN:.............................................................................................. 91
'MAULANA MANZOOR NOMANI : .................................................................. 91
Deoband Ka Naya Deen 2
'MAULANA MUHAMMAD ZAKARIYA : ............................................................. 92
MUHAMMAD BIN ABDUL WAHAB NAJDI ZALIM, BAAGI, KHOONKHAR, FASIQ
THA: ............................................................................................................. 93
'MAULANA HUSAIN AHMAD TANDVI : .......................................................... 93
'MAULANA THANVI : ..................................................................................... 94
َّ
ٰ َ ََ‫َ ّ ہ‬
‫الی َع یلییہیی َوالہیی َو َسل َ ی‬
SARWARE KAUNAIN ‫م‬ ‫للایت َع ٰ ی‬
‫لی ی‬‫ ص ی‬MAILKE AALAM HAIN: ....................... 94

'MAULANA MAHMOODAL HASAN SADR DEOBAND : ..................................... 95


'MAULVI ISMAIL DEHALVI : ........................................................................... 95
WASEELA DURUST HAI: ................................................................................ 95
'MAULVI AASHIQ ILAAHI MERATHI : ............................................................. 96
BAAB (7): DEOBANDI BOLTE HAIN MAGAR SAMAJHTE NAHI! ............ 97
NAAM NIHAD DANISHWARON KE TAKHALUF WA TAZAAD KA TANQEEDI
JAEZA: ........................................................................................................... 97
1. LAFZ WAHABI KI BAHAS: ........................................................................... 99
2. NAAM KI BAHAS: ..................................................................................... 100
3. HAWALE JAAT KI BAHAS: ......................................................................... 101
4. YA RASOOLULLAH KI BAHAS:................................................................... 102
5. DOOR AUR HUZOOR KI BAHAS:.............................................................. 103
6. HAD SE BADHANE KI BAHAS: .................................................................. 103
7. GAIRULLAH SE MANGNE KI BAHAS: ........................................................ 104
8. DUROOD SHAREEF PADHWANE KI BAHAS: .............................................. 106
9. QABRO PAR AZAAN KI BAHAS:................................................................. 107
10. MUSHRIK MUSALMAN KI BAHAS: .......................................................... 109
11. HAWA UKHAD GAI: ............................................................................... 111
12. PUKARNE AUR MADAD MANGNE KI BAHAS: ......................................... 111
13. HAJAT RAWA KI BAHAS: ........................................................................ 112
14. HAZRAT MASEEH KO BHI CHALLENGE: ................................................ 113
15. SHAFA'AT KI BAHAS: .............................................................................. 114
16. JAHANNAM KI AAG AUR RAUSHANI: ...................................................... 116
17. HIFZUL IMAAN KI BAHAS: ..................................................................... 117
18. KAFIR KAHNE KI BAHAS: ....................................................................... 118
Deoband Ka Naya Deen 3
19. GAIR KHUDA SE LENE KI BAHAS: .......................................................... 120
20. ISTIAANAT KI BAHAS: ............................................................................ 121
21. FATWA NAVESI KA MAZHAKAKHEZ ANDAZ:.......................................... 122
BAAB (8) :ULMAYE DEOBAND KE KHWABON KA MAHAL ................... 123
TASVEER KA DOOSRA RUKH: ...................................................................... 134
BAAB (9) :MUTFARRIQAAT ......................................................................... 135
BAAB (10): KHULASA E GUFTAGOO ......................................................... 145
BAAB (11): CHAND AISE SHAWAHID WA NAZAER JINKE LIYE
ROSHNAE NAHI KHOONE JIGAR CHAHIYE........................................... 153
DEOBANDIYAT APNE ASAL ROOP MEIN ................................................ 153
TATIMMA ...................................................................................................... 153
TABLIGI JAMA'AT SE MUT'ALLIQ EK SANSANIKHEZ INKISHAAF ..... 166
EK GALAT FAHAMI KA IZAALA .................................................................. 170
TIL KE OAT PAHAD ..................................................................................... 170
JAMA'ATE ISLAMI DEOBAND KI NAZAR MEIN:............................................. 171
RAWAFIZ ULMAYE DEOBAND KI NAZAR MEIN:........................................... 171
ULMAYE DEOBAND KI NAZAR MEIN JAMA'ATE ISLAMI GAIR NAAJI JAHANNAMI
HAI: ............................................................................................................ 172
GAIR MUQALLIDEEN ULMAYE DEOBAND KI NAZAR MEIN: ........................ 172
MUHAMMAD BIN ABDUL WAHAB NAJDI MAULANA HUSAIN AHMAD KI
NAZAR MEIN:.............................................................................................. 173
SAYYADNA IMAAM AHMAD RAZA ULMAYE DEOBAND KI NAZAR MEIN: ...... 173
ALLAMA SHAAMI ULMAYE DEOBAND KI NAZAR MEIN: ............................... 174
MIRZA GULAM AHMAD QADYANI ULMAYE DEOBAND KI NAZAR MEIN:..... 174
JAMA'ATE ISLAMI MAULANA THANVI KI NAZAR MEIN: ............................... 175
JAMA'ATE ISLAMI QARI TAYYAB KI NAZAR MEIN: ........................................ 176
MAULANA SHABBIR AHMAD USMANI MAULANA USMAN AHMAD KI NAZAR
MEIN: ......................................................................................................... 176
MAULANA HUSAIN AHMAD MAULANA SHABBIR AHMAD KI NAZAR MEIN: . 177
MAULANA ABUL KALAAM ULMAYE DEOBAND KI NAZAR MEIN: ................. 177
SAR SAYYAD AHMAD KHAN ULMAYE DEOBAND KI NAZAR MEIN:............... 177
Deoband Ka Naya Deen 4
MAULANA SHIBLI NOMANI ULMAYE DEOBAND KI NAZAR MEIN: ............... 178
LAMHA E FIKRIYA! ....................................................................................... 180
Deoband Ka Naya Deen 5

About Us
Abde Mustafa Organisation has been working since 2014
with the aim to propagate the Quran and Sunnah through
digital and print media.

• Our departments and activities


We are working in various departments, the details of which
are as follows:

• Abde Mustafa Publications


This is our main department where books are published on
various languages and subjects. To read our published books,
visit our website.
www.abdemustafa.org

• Blog
We publish writings on various languages and subjects,
which are scholarly, research-oriented. These writings can be
viewed on our blog.
amo.news/blog

• Sabiya Virtual Publication


This platform is for virtual publishing, which means books
are published in digital format on the internet. Through this
platform, books are continuously being added to the digital
library.
amo.news/books
Deoband Ka Naya Deen 6

• Roman Books
This department is dedicated to transcribing books into
Roman Urdu. Taking into consideration the increasing use
of Roman Urdu in the present era, this project has been
initiated.

• E Nikah Matrimony Service


This is a Matrimonial service that specifically caters to the
Ahle Sunnat community. Through this service, marriages of
Sunni individuals are arranged with other Sunni individuals.
This service is facilitating Sunnis in finding suitable matches
easily.
www.enikah.in

• Nikah Again Service


This service has been initiated to promote polygamy
(multiple marriages).

• Technical Sunni
To make technology-related information accessible to the
public, we have initiated this campaign. In this, we present
technology-related information in a unique manner so that
the Ummah can benefit from it.
For obtaining further information or lodging any
complaints, please feel free to contact us without hesitation.

Abde Mustafa Official


Deoband Ka Naya Deen 7

Baab (1): Fitna-E-Deobandiyat Ka


Sarsari Jayza
Aur
Asre Hazir Ke Chand Ubhare Huye Sawalaat Ke
Jawabaat

Ek Jayza

'Akela Hoon Magar Aabad Kar Deta Hoon Wa Veerana


Bahut Royegi Mere Baad Meri Shame Tanhai'

'Meine Chaha To Bahut Unko Bhulana Lekin


Baat Yah Koshishe Nakam Se Aage Na Badhi'

Deobandi Aqaid Par Tanqeed Wa Tabsara Ya Uska Ilmi


Muhasaba Is Daur Ka Koi Naya Rujhaan Nahi Hai Na Asre
Hazir Ki Kitabein Naqshe Awwal Ki Haisiyat Rakhti Hain
Ahade Mugal Ke Aakhri Taajdar Bahadur Shah Jafar Hi Ke
Daur Mein Khanasaaz Shirk Wa Bid'at Ke Zere Unwan
Ismaily Fitna Janm Le Chuka Tha. Chunanche Kila-E-
Mualla Ke Mamoolat Wa Marasim Maslan Meelad Wa
Qyaam, Nyaz Wa Fatiha Wagairah Par Jab Shirk Wa Bid'at
Ke Fataawe Se Amale Jarrahi Ka Aagaz Hua To Shah Jafar
Ka Aqeedat Kesh Mijaaz Un Taba'azad Fataawa Par
Mutma'en Na Ho Saka. Shaikhe Tareekat Tajul Ulma
Hazrat Maulana Fazle Rasool Badayooni Rahmatullah Alaih
Deoband Ka Naya Deen 8

Jinke Ilm Aur Fazal Wa Kamaal Ka Aaftab Nisfunnahar


Chamak Raha Tha, Unki Taraf Shah Jafar Ko Rujoo Hona
Pada.
Bahadur Shah Jafar Ka Yah Sawal Farsi Zabaan Mein Tha
Mausoof Girami Ne Bhi Usi Zabaan Mein Jawabaat Ko
Qalamband Farmaya. Sawal Wa Jawab Donon Kitabi Size
Par Matboo Hain. Uska Ek Nuskha Raese Calcutta Doctor
Maulana Aleemuddin Sahab Ke Kutubkhane Mein
Maujood Hai. 'Khoon Ke Aansoo' Ke Tarteeb Ke Dauran
Kafi Dinon Tak Vah Nuskha Mere Paas Bhi Tha Jiska Ek
Zaili Tazkira 'Khoon Ke Aansoo' Mein Aa Chuka Hai. Yah
Kitab Mukhtalif Fih Masael Ki Ek Aham Kadi Hai Lekin
Dheere Dheere Maulvi Ismail Dehalvi Ki Wahabiyat Aur
Mijaaz Ka La Ubalipan Neez Khandani Riwayaat Se Alag
Thalag Ek Naye Mod Ki Taraf Unka Tabai Aur Zehani
Jhukav Jab Numayan Hone Laga To Ulma-E-Haq Ki Taraf
Se Unki Aawargi-E-Qalam Ka Tarki Ba Tarki Jawab Diya
Gaya. Ja Baja Mubahasa Wa Munazara Ki Mahfilein Garam
Hone Lagi. Chunanche Is Silsila Mein Allama Fazle Haq
Khairabadi Rahmatullah Alaih Aur Maulvi Ismail Dehalvi Se
Mas'ala-E-Imkaan Nazeer Wa Imtana-E-Nazeer Par Jama
Masjid Delhi Mein Awaam Aur Muaasir Ulma Ki
Maujoodgi Mein Munazare Ka Aagaz Hua Jawabaat Na Ban
Padne Ki Soorat Mein Maulvi Ismail Dehalvi Badbadate
Huye Rafoo Chakkar Ho Gaye. Uske Baad Poori Delhi
Mein Unki Ilmi Bemaegi Aur Zillat Wa Ruswai Ka Charcha
Hone Laga. Unki Hajeemat Wa Shikast Ki Yah Dastan Har
Kas Wa Naqis Ki Zabaan Par Itni Aam Ho Gai Ki Delhi Ke
Deoband Ka Naya Deen 9

Gali Koocho Mein Unhein Nange Khandan Kaha Jata Tha.


'Takwiyatul Imaan' Jo Ibne Abdul Wahab Najdi Ki
'Kitabuttauheed' Ka Charba Hai, Uski Isha'at Ne Petrol Par
Aag Ka Kaam Kiya.
Wahabi Fitne Ka Aagaz Delhi Se Hua Lekin Saharanpur,
Thanabhavan, Gangoh, Ambeth Ki Sarzameen Najd Se
Wahabiyat Ke Laye Huye Beej Ki Kasht Ke Liye Bataur
Aazmaish Istemal Ki Gai. Agarche Ibtidai Daur Mein Uski
Aabyari Aur Khaadrasani Ka Kaam Delhi Se Hota Raha
Lekin Is Fitne Ko Bar'aawar Banane Ke Liye Yah Zameen
Khud Itni Zarkhez Sabit Hui Ki Thode Dinon Baad Usne
Delhi Ko Apna Maal Supply Karna Shuru Kar Diya. Ab To
Deoband Ismaily Fitne Ka Markaz Hokar Najd Saani Ban
Chuka Hai. Mujhe Qarien Ko Yah Zehan Dena Hai Ki
Wahabiyat Wa Deobandiyat Ki Vah Ilmi Khyanatein Jo
Islami Aqaid Wa Mamoolat Ki Sadiyon Se Mahfooz Amanat
Ko Titar Bitar Kar Dena Chahati Thi Uske Khilaf Zabaan
Wa Qalam Ka Jihad Is Ahad Ki Bid'ate Hasna Nahi Hai
Balki Allama Fazle Haq Khairabadi Wa Maulana Fazle
Rasool Badayooni Jaise Sahibe Fikr Wa Baseerat Ki Door
Ras Nigahon Ne Roze Awwal Hi Uski Bhayanak
Tabahkariyon Ka Bharpoor Andaza Kar Liya Tha. Ismaily
Takhreeb Qariyon Ke Muqabil Uske Istihsaal Wa Beekhuni
Ki Aisi Neev (Buniyad) Daal Di Ki Aaj Tak Ahle Qalam Usi
Falak Shigaaf Mahal Ko Jadeed Naqsh Wa Gaar Ki
Gulkariyon Se Dilfareb Wa Deedajaib Bana Rahe Hain.
Agar Quboole Haq Ke Liye Dilon Ka Darwaza Khula Ho
To Is Haqeeqat Ke Aitraaf Mein Ek Lamha Ka Ta'ammul
Deoband Ka Naya Deen 10

Nahi Hona Chahiye Ki Yahi Hazraat Is Falak Bos Imarat Ki


Asasi Eint Hain. Jab Tak Daobandiyat Ke Muqabil
Nashtarzani Ka Yah Saaleh Wa Sehatmand Jaari Rahega Har
Daur Ka Sahibe Qalam Apne Ko Unhi Buzurgon Ki Ayaal
Tasavvur Karega. Tareekh Ki Peshani Unhi Ke Naamo Se
Jagmagati Rahegi.
Khuda Gareeke Rahmat Farmaye Un Buzurgon Ko
Jinhone Waqt Ke Ek Azeem Fitna Ke Muqabil Aisi Imaan
Afroz Wa Hayaat Bakhsh Shama Raushan Ki Jiski Raushani
Se Har Sahibe Baseerat Ne Har Daur Mein Istifada Kiya.
Tareekhe Wahabiyat Wa Najdiyat Se Mut'alliq Maulana
Fazlurrasool Badayooni Ki 'Saiful Jabbar' Naami Shohra
Aafaq Kitab Naqshe Awwal Ki Haisiyat Rakhti Hai. Aise Hi
Najai Masael Ke Jawabaat Mein Maulana Abdussami
Rampuri Alaihirrahma Ki Maqboole Aam Kitab 'Anware
Satia' Ko Ek Kaleedi Haisiyat Haasil Hai. Jaise Jaise Waqt
Guzarta Gaya Vaise Vaise Fitna-E-Deobandiyat Ka Nuqta-
E-Aagaz Se Anjam Ki Taraf Qadam Uthta Raha Hatta Ki
Sayyadna Imaam Ahmad Raza Fazile Bareilvi Raziyallahu
Ta'ala Anhu Ne Uski Jade Khokhli Karne Ke Liye Kuch
Dinon Use Markaze Tavajjoh Banaya. Unke Jumla
Motkadaat Batila Par Alahida Kutub Wa Rasael Mein Aisi
Sair Haasil Guftagoo Farmai Ki Ab Agar Muddato Kuch Na
Likha Jaye To Vahi Zakheera Itna Kafi Hai Ki Hareef Ko
Mudallal Wa Muskat Jawabaat Ke Liye Ham Apni Raah Ke
Kisi Gosha Mein Tareeki Mahsoos Na Karenge.
Lekin Har Daur Ke Halat Judagana Hote Hain Ab Agar
Is Ahad Ke Zehani Wa Fikri Mijaaz Ke Mutabiq Masael Ki
Deoband Ka Naya Deen 11

Tafheem Ka Ahsan Tareeqa Ikhtiyaar Na Kiya Jaye To


Aqaid Ki Thos Haqeeqatein Safha E Kirtaas Par To Mahfooz
Hongi Lekin Insani Zehano Ki Takhti Par Uska Aqs Na
Utara Ja Sakega. Isliye Har Daur Apne Mijaaz Ke Mutabiq
Masael Ki Tafheem Ka Mutaala Karta Hai Jiski Riaayat Na
Karna Apni Fikri Salahiyaton Ke Malyamet Kar Dene Ke
Mutradif Hoga.
Chunanche Jis Waqt Meine 'Khoon Ke Aansoo' Ki
Tarteeb Di Jis Par Jama'at Ke Akabir Wa Ahbaab Ne Apni
Janchi Tuli Raay Khana Farmai Unmein Makhdoom
Girami Aali Martabat Hazrat Maulana Hasnain Raza Khan
Sahab Bareilvy Ki Raay Agar Baare Khatir Na Ho To Zail Ki
Sataron Mein Mulahaza Farmaye. Jisse Is Daawe Ki Tasdeeq
Ho Sakegi.
Assalamu Alaikum.....Mijaaz Girami!
"Aaj Meine Aapki Kitab (Khoon Ke Aansoo) Dekhi
Behad Musarrat Hui. Lihaza Aap Yaad Rakhe Ki Urs Ke
Mauqa Par Ek Nuskha 'Khoon Ke Aansoo' Zarur Sath Lete
Aaye. Mein Aapki Anokhi Tahqeeqat Dekh Kar Bahut
Masroor Hua Hoon Mein Asbaabe Zawaal Ke Doosre Hissa
Mein Isse Bhi Madad Loonga. Is Silsile Mein Mujhe Apne
Marhoom Meharban Maulana Qazi Gulam Sajjad Sahab Ki
Ek Baat Yaad Aai. Unhone Jab 'Asbaabe Zawaal' Ka
Mubaiyza Dekha To Bahut Khush Huye Aur Wapas Karte
Waqt Kahne Lage Ki Mein Is Kitab Ko Dekh Kar Is Nateeja
Par Pahuncha Hoon Ki Radde Mubtad'en Aapke Khandan
Ka Hi Hissa Ho Gaya Hai. Aala Hazrat Kuddus Sirrahu Ne
Tamam Mubtad'en Ka Radd Ilmi Haisiyat Se Kiya Aur Aisa
Deoband Ka Naya Deen 12

Kiya Ki Qiyamat Tak Ke Liye Kafi Hai. Tumne Is Radd Ka


Doosra Raasta Ikhtiyaar Kiya Hai. Ab Musannifeen Idher
Aayenge. Yah Kitab Ek Pagdandi Hai Jise Agle Musannifeen
Shaare Aam Kar Denge. Khudavand Aalam Aapko Shaad
Wa Aabad Rakhe Aur Zyada Se Zyada Aapse Aisi Deeni
Khidmaat Le Jinse Vah Aur Unka Pyara Rasool Raazi Ho."
Wassalam.... Dua Go Hasnain Raza.
Wazeh Rahe Sadiyon Guzar Jane Ke Baad Bhi Masael Ki
Asal Soorat Masakh Nahi Hoti Albatta Un Par Gaaza Wa
Surkhi Ki Taz'en Ka Tareeqe Kaar Badal Jata Hai Ya Un
Kulliyaat Par Jujziyaat Ki Jo Tafree'a Hoti Hai Vah Judagana
Tashreeh Talab Hote Hain Tadreejan Uski Wazaahat Hoti
Rahti Hai. Baharhaal Jab Tak Koi Batil Mazhab Zinda Rahta
Hai Aur Jaise Jaise Vah Apne Batlaan Ki Sehat Sabit Karne
Ke Liye Naye Naye Chor Darwaze Talash Karta Hai Vaise
Vaise Ahle Haq Ki Batlaan Parasti Ka Raaz Faash Karne Ke
Liye Qur'an Wa Sunnat Wa Aqwaale Salaf Ko Ba Wujooh
Ahsan Pesh Karte Rahte Hain.
Maazi Mein Aisa Hua Hai, Ab Ho Raha Hai Aur Aainda
Hota Rahega Lekin Ahle Qalam Ko Asre Hazir Ke
Muktizayaat Ki Bharpoor Riaayat Ek Amr Na Guzer Hai.
Agar Aisa Na Kiya Gaya To Andesha Hai Ki Hareef Ki
Tashakariyon Se Aqaid Ke Aahni Mahal Mein Aisa Shigaaf
Aa Jaye Jiske Bharne Ke Liye Badi Taaqat Ka Istemal Karne
Ki Zarurat Mahsoos Ki Jaye. Danishwari Yahi Hai Ki Barish
Se Pahle Chhappar Durust Kar Liya Jaye. Mere Apne Khyaal
Mein Yah Jo Kuch Bhi Hota Hai Tahtush Sha'oor Mein
Yahi Jazba Kaar Farma Hota Hai Ki Asri Mijaaz Ke Mutabiq
Deoband Ka Naya Deen 13

Masael Ko Pesh Karne Ki Vah Raah Ikhtiyaar Ki Jaye Ki


Haq Ka Mutlaashi Uske Qubool Wa Ittiba Mein Inbisaat
Wa Suroor Aur Mut'assib Uske Inkaar Mein Zehani Wa
Qalbi Bojh Wa Inqbaaz Mahsoos Na Kare.
Chunanche 'Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte
Nahi' Naam Ki Zere Mutaala Kitab Bhi Isi Usool Wa Zaabta
Ki Aainadaar Hai. Is Kitab Ka Muharrik Kaun Hai Aur
Kyun Likhi Gai? Use Aap Guzishta Safhaat Mein Mulahaza
Farma Chuke Hain. Lekin Ham Asre Hazir Ke Ek Ubhre
Huye Sawal Ka Jawab Dena Zaruri Samajhte Hain. Yah
Maqaam Qarien Ke Liye Qabile Tavajjoh Hai!

Ek Galat Fahami Ka Izaala!


Aaj Yah Baat Kahi Jati Hai Aur Baaz Anadiyon Aur
Bilkhusoos Rikabiya Mazhab Walo Se Kahlai Bhi Jati Hai Ki
Waqt Iska Nahi Rah Gaya Ki Aise Masael Par Qalam Uthaya
Jaye Jisse Ikhtilafaat Ki Khaleej Nipatne Ke Bajaye Aur
Wasee'a Ho Jaye.
Likhne Ke Liye Aur Bahut Se Maujoo Hain. Agar
Joodate Taba Ki Aazmaish Maqsood Hai Ya Rushhaate
Qalam Ke Nuqoos Ko Daimi Zindagi Deni Hai To Uske
Alawa Bhi Nit Naye Muntashir Unwanaat Hain Jis Par
Zehan Wa Fikr Ki Tawanaiyan Barooye Kaar Lai Ja Sakti
Hain. Ek Fitna E Deobandiyat Hi Ke Khilaaf Zabaan Wa
Qalam Ka Nashtar Kyun Istemal Kiya Jata Hai Aaj Ka
Mahaul Bada Nazuk Hai. Yah Ukhuvvat Wa Masawaat Aur
Bhaichargi Ka Ek Khush Aaind Daur Chahata Hai Lihaza
Raah Vah Ikhtiyaar Kiya Jaye Ki Har Kalima Go Ke
Deoband Ka Naya Deen 14

Darmiyan Mel Milap Ki Khushgawar Fiza Paida Ho. Maazi


Mein Jo Ho Gaya Hai, Vah Kya Km Hai. Ab To Qalam Ka
Rukh Mod Kar Ek Aisi Shahraah Banai Jaye Jis Par Chal Kar
Ham Maazi Talkhiyon Ko Yaksar Bhool Jaye Wagairah
Zaalik. Wazeh Rahe Yah Kisi Ajnabi Zehan Wa Fikr Ka
Sawal Nahi Hai Balki Ba Gumane Khwesh Un Danishwaron
Ka Jo Bajaye Khud Apne Ko Is Daur Ka Arastoo Aur Jalinaus
Samajhte Hain. Yaqeenan Yah Sawal Zahiri Shakl Wa Soorat
Mein Bharpoor Makooliyat Ka Aainadaar Hai. Is Zahiri
Bankpan Mein Dilon Ke Moh Lene Ki Miknateesiyat Na
Hoti To Aaj Ke Bokraate Zamana Iske Shikar Hi Kyun
Hote?
Har Chand Mundarja Baala Sawal Mein Makooliyat,
Aitidaal, Sanjeedgi Aur Mataanat Hai. Magar Afsos Yah Ki
Uska Vah Nasheb Aankhon Se Ojhal Hai Jahan Paani Mar
Raha Hai.
Doston! Duniya Ke Saare Masael Aqal Aur Nazar Wa
Fikr Hi Ke Kal Purjo Se Hi Hal Nahi Hote. Is Kaynat Ki
Chahal Pahal, Hamahami, Rangarangi, Dilkashi Wa Ranai
Mein Aqal Wa Sha'oor Aur Science Hi Ko Tanha Dakhal
Nahi Hai Balki Zehan Wa Fikr Ki Aqleem Mein Hazrate Dil
Bhi Farma Rawa Wa Hukmaran Nazar Aate Hain. Kisi Ne
Kaha Aur Achcha Kaha Hai:
'Lazim Hai Dil Ke Paas Rahe Paasbane Aqal
Lekin Kabhi Kabhi Use Tanha Bhi Chhod De'
Wazeh Rahe Ki Agar Masael Ke Hal Karne Ka Wahid
Tareeqa Mahaz Zehani Mooshgafiyan Ho Aur Nizame Alam
Ka Saara Karobar Uske Supurd Kar Diya Jaye To Yaqeen
Deoband Ka Naya Deen 15

Kar Leejiye Ki Kaynat Ki Rawa Dawan Masheenari Yaklakht


Thahar Jayegi. Duniya Ke Na Jane Kitne Aise Funoon Jo
Anjumanon Ki Baag Wa Bahaar Hain, Vah Dam Tod Kar
Paivande Khaak Ho Jayenge.
Maslan Fanne Shayari! Kya Aapka Yah Guman Hai Ki
Yah Fann Mahaz Zehan Wa Fikr Ki Paidawar Hai Nahi Aur
Hargiz Nahi. Yah To Ek Haqeeqat Hai Ki Fanne Shayari
Mein Zehan Wa Fikr Ki Saari Salahiyatein Istemal Ki Jati
Hain Magar Zehan Noke Zabaan Ko Vahi Daulate
Giranumaya Deta Hai Jo Use Dil Ke Khazane Se Mayassar
Aati Hain. Kis Qadr Andher Hai Ki Taqseem Karne Wala
Hath To Dekha Jaye Magar Yah Hath Jis Khazane Se Daulat
Le Raha Hai, Daad Wa Dahish Ki Shohrat Wa Naamwari
Ke Waqt Uska Naam Tak Na Liya Jaye.
Europe Ho Ya Asia Wa Africa Duniya Ki Shayad Hi Koi
Aisi Badnaseeb Wa Mahroomul Kismat Hogi Jiski Zindagi
Sher Wa Sukhan Ki Nagma Saraiyon Aur Qalb Wa Jigar Ko
Garma Dene Wale Geeto, Nazmon, Rumani Gazlon,
Bazmiya Razmiya, Kasaed, Maraasi Aur Nauha Wagairah Ki
La Zawaal Daulat Se Malamaal Na Ho. Wazeh Rahe Har
Mulk Ka Yah Fankar 'Shayar' Jo Apni Zabaan Wa Adab Ka
Muhafiz Wa Paasban Hai Vah Jo Kuch Kahta Hai Zehan
Wa Fikr Ke Taqaze Ki Buniyad Hi Par Nahi Balki Dil Ki
Dhadkane Uske Sote Huye Fikr Wa Sha'oor Ko Bedar Karti
Hain. Aabsharon Ki Tarah Foot Padte Hain, Us Waqt Tak
Ke Liye Neend Haraam Ho Jati Hai Ta Waqte Fi Hijr Ka
Maara Hua Ya Wisaal Ke Sagar Mein Nahaya Hua Dil
Wardate Qalb Ke Zehan Wa Fikr Ke Hawale Na Kar De.
Deoband Ka Naya Deen 16

Yahi Wajah Hai Aise Ash'aar Jo Mahaz Zehan Ki Paidawar


Hain Inmein Dil Ki Kasak Aur Qalb Wa Jigar Ke Chot Ki
Aamezash Nahi Hoti Inse Dil Mut'assir Nahi Hota Balki
Aqal Uska Ta'akub Karti Hai Aur Vah Usi Ki Gaur Wa Fikr
Ka Marja Ban Jata Hai. Maslan:
'Magas Ko Baag Mein Jaane Na Dena
Ki Nahaq Khoon Parwane Ka Hoga'
Yani Shahad Ki Makkhiyan Baag Mein Jayengi To
Shahad Ka Chhatta Lagayegi. Shahad Nikaalne Ke Baad
Usmein Mom Bhi Niklega, Fir Mom Se Mombatti Banegi
Aur Mombatti Jalegi To Parwanon Ka Nahaq Khoon Hoga.
Goya Yah Shaitaan Ki Aant Hai Ki Kheechte Jaiye Aur
Badhti Jaye. Use Zabaan Wa Adab Ka Sher Kaha Jata Hai,
Magar Dil Ki Duniya Mein Use Na Talatum Khez Mauzein
Uth'ti Hain Aur Na Hi Dil Usse Chot Khata Hai.
Uske Barkhilaf Aise Ash'aar Jo Mahakaat Wa Jazbaat Se
Labrez Ho Uske Sunte Hi Kaynate Dil Mein Ek Toofan
Barpa Hota Hai. Jazbaat Wa Ahsasaat Ki Athaah Mauzein
Uthne Lagti Hain Jigar Ka Ek Sher Mulahaza Keejiye-
'Jaan Hi De Di Jigar Ne Aaj Paye Naaz Par
Umr Bhar Ki Be Qaraari Ko Qaraar Aa Gaya'
Jaan Hi De Di, Paye Naaz, Umr Bhar Ki Be Qaraari,
Qaraar, Sher Ke Alag Alag Tukdo Ka Tajziya Keejiye To Aisa
Mahsoos Hota Hai Ki Bajaye Khud Har Tukda Ek Nashtar
Hai Jo Barahe Raast Dil Ko Ghayal Aur Zakhmi Kar Raha
Hai. Jigar Ka Ek Doosra Sher Hai Jismein Badi Barjastagi
Aur Bharpoor Maanviyat Hai-
Deoband Ka Naya Deen 17

'Meine Seene Se Lagaya Dil Na Apna Ban Saka


Muskura Ke Tumne Dekha Dil Tumhara Ho Gaya'
Bahut Hi Saada Sher Magar Wardat Ki Ek Mukammal
Dastan Hai. Shaheere Arab Wa Ajam Sayyadna Imaam
Ahmad Raza Bareilvy Raziyallahu Ta'ala Anhu Farmate
Hain:
'Jaan Wa Dil Hosh Wa Khird Sab To Madeene Pahunche
Tum Nahi Chalte Raza Saara To Saman Gaya'
Allahu Akbar! Ek Muhabbe Sadiq Bareilly Ki Masnade
Ilm Par Jalwapaash Wa Jalwabaar Hai. Tasavvurat Ki
Duniya Mein Poori Mataye Zindagi Ko Madeena Bhej Kar
Khud Apne Na Pahunchne Ka Tazkira Kis Walhaana Andaz
Mein Karta Hai.
'Tum Nahi Chalte Raza Saara To Saman Gaya'
Maulana Hasan Raza Farmate Hain:
'Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho
Seene Pe Tasalli Ko Tera Hath Dhara Ho'
Dile Muztar Ka Bismil Ki Tarah Lotna Aur Tasalli Ke
Liye Kisi Dilnawaz Hath Ka Talabgar Hona Isse Dard
Aashna Dil Hi Lazzat Shanaas Ho Sakta Hai. Aarife Haq
Hazrat Aasi Farmate Hain:
'Darde Dil Kitna Pasand Aaya Use
Meine Jab Aah Ki Usne Waah Ki'
Khushk Aur Saada Sher Magar Sheriyat Wa Maanviyat
Ka Ek Sagar Hai Jismein Nahaiye, Tairiye, Doobiye. Husne
Haqeeqi Ko Husne Majaazi Ka Libaas Dekar Samjhane Ka
Deoband Ka Naya Deen 18

Tevar Mulahaza Keejiye. Sarkar Aasi Farmate Hain:


'Uska Pata Na Poochho Bas Aage Badhe Chalo
Hoga Kisi Gali Mein To Fitna Utha Hua'
Kisi Na Maloom Shayar Ka Sher Satahe Zehan Par
Ubhar Aaya. Mulahaza Farmaiye-
'Doobte Sooraj Se Yah Poochha Ubharte Chand Ne
Kab Se Rege Garam Par Rakha Hai Rukhsare Husain'
Sher Ko Sunte Hi Tasavvurat Ki Duniya Mein Ek
Haijaan Paida Hota Hai. Goya Ahle Bait Ki Aqeedat Mein
Dooba Hua Dil Fatima Ke Noor Nigah Ki Balayein Lene
Lagta Hai. Maana Is Duniya Se Ham Karbala Pahunch Jate
Hain. 'Rege Garam', 'Rukhsar Husain' Yah Aise Tukde
Hain Goya Dil Par Ani Aur Barchhi Ka Kaam Karte Hain.
Imaam Aali Maqaam Ke Tasavvur Mein Urfi Ka Sher Yaad
Aaya:
'Kase Gazrah Auladat Ba Mazgan Khaar Bhi Chunaid
Naveesad Bagbaan Rauza-E-Tooba Gule Aafshanash'
Uske Barkhilaf Aise Ash'aar Jo Sirf Zabaan Wa Adab Ke
Hote Hain Usse Zehani Wa Fikri Lazzatein Zarur Mahsoos
Hoti Hain Magar Barahe Raast Unka Dil Par Koi Asar Nahi
Hota. Maslan Jigar Ka Hi Ek Sher Hai-
'Aey Muhtasib Na Fek Mere Muhtasib Na Fek
Zalim Sharab Hai! Are Zalim Sharab Hai!'
Yah Sirf Zabaan Ka Sher Hai Jismein Shayar Ne Zalim
Sharab Hai, Are Zalim Sharab Hai Ki Takraar Se Apne
Khyaal Ke Mutabiq Sharab Ki Ahmiyat Aur Usse Apne
Deoband Ka Naya Deen 19

Tabai Zauq Ko Ujagar Karne Ki Koshish Ki Hai. Andaze


Bayan Mein Nudrat, Barjastagi, Ubhra Hua Tevar Hai Jisne
Sher Ko Jandar Bana Diya Hai.
Qarien Se Intihai Ma'azarat Ke Sath Mein Fir Usi Nuqta-
E-Aagaz Par Aane Ki Dawat Doonga Jahan Se Aapne Rakhte
Safar Bandha Tha. Yani Kisi Nabakaar Deeda Dehan,
َّ َ ‫َص َّل ہ‬
Gustakh Wa Be Adab Ne Sarkare Do Aalam ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Ko Kuch Kah Diya To Vah Jane, Uska Kaam Jane Us
Mauzoo Par Is Qadr Likhne Ki Kya Zarurat Hai?
Meine Yahi Arz Kiya Tha Ki Yah Khoti Aqal Ki
Fahmaish Hai. Magar Kaynat Ka Yah Saara Nizam Aqal Wa
Science Hi Ke Hath Nahi Hai Balki Is Aqleem Par Dil Ki
Bhi Farma Rawai Chalti Hai.
Yaad Rahe Kitne Aise Mavake Hain Ki Aqal Kahti Hain
Aur Samjhati Hai Magar Bada Se Bada Falsafi Wa Mantaqi
Is Par Amal Nahi Kar Pata, Science Ki Saari Tawanaiyan
Dam Tod Deti Hain, Aqal Wa Khird Par Goya Parde Pad
Jate Hain Magar Ek Science Da, Mantaqi, Falsafi Dil Ke
Hatho Majboor Hota Hai. Iski Misaal Mein 'Sherul Ajam'
Ki Chand Sataron Ko Mulahaza Keejiye-
'Insani Muashara Ki Kal Falsafa Ya Science Se Nahi Balki
Jazbaat Se Chal Rahi Hai. Farz Karo Ek Boodhe Shakhs Ka
Beta Mar Gaya Hai Aur Laash Samne Padi Hai Yah Shakhs
Agar Science Se Raay Le To Yah Jawab Milega Asbaab Jama
Ho Gaye Jinki Wajah Se Daurane Khoon Ya Dil Ki Harkat
Band Ho Gai Iska Doosra Naam 'Marna' Hai. Yah Ek
Makaan Vaake Hai Jo Na Guzer Wukoo Mein Aaya Aur
Choonki Dobara Zinda Hone Ki Koi Tadbeer Nahi Isliye
Deoband Ka Naya Deen 20

Rona Dhona Bekar Balki Ek Himakat Ka Kaam Hai. Lekin


Kya Tamam Aalam Mein Ek Shakhs Ka Bhi Is Par Amal
Hai? Kya Khud Science Da Is Usool Se Kaam Le Sakta Hai.
Bachchon Ka Pyaar, Maa Ki Mamta, Muhabbat Ka Josh,
Gam Ka Hungama, Maut Ka Ranj, Wiladat Ki Khushi Kya
In Cheezon Ko Science Se Koi Ta'alluq Hai?'
Lekin Agar Yah Cheezein Mit Jayein To Daf'atan
Sannata Chha Jayega Aur Duniya Ka Qalib Be Jaan, Sharab
Be Kaif, Gul Be Rang, Gauhar Be Aab Hokar Rah Jayegi.
Duniya Ki Chahal Pahal, Rangeen Dil Aaweziyan, Dil
Farebi Science Ki Wajah Se Nahi Hai Balki Insani Jazbaat
Ki Wajah Se Hai Jo Aqal Ki Hukoomat Se Qareeban Aazad
Hai.
('Sherul Ajam' Hissa 4 Page 71)

Agar Is Nazar Se Aapka Ittefaq Hai Aur Yah Usool Aapki


Nazar Mein Koi Naqabile Inkaar Haqeeqat Hai To Mujhe
Kahne Deejiye Ki Aaqa E Kaynat Sayyadul Mursaleen
Mahboobe Kirdgaar Alaihittahiyatu Wassana Ke Damane
Aabroo Se Khelne Ki Saazish Ki Jaye, Unhein Yaseen, Wa
Taaha, Muzzammil, Mudassir Kahne Ke Bajaye 'Gaanv Ka
Zameedar' Aur 'Chaudhary' Likha Jaye, Shafi E Mahshar,
Saqi E Kausar Ke Bajaye Apne Jaisa Bashar Aur 'Bade Bhai'
Ka Martaba Diya Jaye, Unka Vah Ilm Paak Jiske Huzoor
Jibreele Ameen Apna Damane Sawal Failaye Sar Khameeda
Ho Us Haamil Wahye Ilaahi Ke Ilm Paak Ko Bachchon,
Pagalon Janwaron Aisa Ilm Kaha Jaye. Apne Mare Huye
Maulviyon Ki Qaseeda Khani Ki Tarang Mein Unhein Noor
Deoband Ka Naya Deen 21

Wa Zinda Likha Jaye.


('Shaikhul Islam' Number Mulahaza Keejiye)

Magar Mahboobe Kirdgaar Ko Mar Kar Mitti Mein


Milne Wala Likha Jaye. Mein Is Maqaam Par Pahunch Kar
Duniya Se Insaaf Ka Talabgar Hoon Ki Imaan Wa Aqeedat
Jo Aqal Ka Nahi Balki Dil Ka Sarmaya-E-Hayat Hai, Use
Maulviyat Ke Libaas Mein Qazzaqon Ne Poori Bedardi Se
Loota Hai. Dil Ki Duniya Mein Aag Laga Kar Imaan Wa
Aqeede Ki Poori Mataye Azeez Ko Khakstar Banane Ki
Munazzam Saazish Rachi Hai. Hamari Nazaron Ke Samne
Imaan Wa Aqeede Ke Aahni Mahal Par Pathrav Kiya Jaye Is
Par Hamein Chaar Aansoo Bahane Ke Bajaye Yah Kaha Jaye
Ki Yah Waqt Rone Ka Nahi Kuch Kahne Aur Likhne Ka
Nahi Hai. Aqal Ka Taqaza Hai Ki Mel Milap Ki Fiza Paida
Ki Jaye. Sach Sach Batao Kya Ek Jawan Saal Bete Ki Maiyyat
Par Baap Ko Rone Se Roka Ja Sakta Hai Agar Jawab Nafi
Mein Hai Aur Yaqeenan Hai To 'Taqwiyatul Imaan', Hifzul
Imaan', 'Baraheene Qatia', 'Ashshahabussaqib' Jaisi Kufri
Wa Gandi Kitabon Ke Muqabil Aqal Ke Stage Par Yah Kaisa
Nanga Naach Ho Raha Hai Ki Is Qadr Dil Aazar Aur
Kufriyat Se Bharpoor Kitabein Chhapti Rahein Lekin Iske
Khilaaf Munh Se Koi Baat Na Kahi Jaye Aur Na Hi Noke
Qalam Par Koi Nuqta Aane Paye. Yaad Rahe Jab Tak Batil
Camp Se Chandmari Ka Yah Napak Silsila Jaari Rahega Us
Waqt Tak Haq Paraston Ka Darul Ifta Inke Kaleje Ko
Nishana Banata Rahega. Ya To Unhein Tauba Karni Hai Ya
Fir Aise Hi Umr Bhar Murg Bismil Ki Tarah Tadapna Hai.
Deoband Ka Naya Deen 22

Mulk Mein Hazaar Shor Machaye Ki Haay! Haay! Hamein


Kafir Banaya Ja Raha Hai Magar Deedawaron Ne Samajh
Liya Ki Tumhein Kafir Nahi Banaya Ja Raha Hai Balki Jin
Kufriyat Ko Tum Apni Lambi Dadhi Aur Lambe Daman
Mein Chhupate Ho Tumhare Chehre Ka Naqab Uthakar
Asal Haqeeqat Batayi Ja Rahi Hai Ki Kufr Bol Kar Ab Tum
Musalman Nahi Rahe Balki Kafir Ho Chuke Ho. Use Kafir
Banana Nahi Kaha Jata Balki Kafir Batana Kaha Jata Hai.
Is Mabsoot Aur Wazeh Tamheed Ke Baad Yah Haqeeqat
Aashkaar Ho Gai Ki Yah Mas'ala Aqal Ka Nahi Balki Dil Ka
Hai.
Jis Tarah Yah Kahna Ki Shafaq Aur Qaus Kazah Ki Kya
Tareef Hai Use Aqal Batayegi, Dil Nahi Batayega.
'Musallas Ke Teeno Zaviye Barabar Hain Do Zaviya
Kaema Ke'- Yah Aqalidas Ka Ek Zabta Hai. Ise Aqal Hal Kar
Legi, Dil Tasleem Kar Lega, Magar Awwal Marhala Mein
Uska Dil Se Koi Ta'alluq Nahi.
Khatte Mustakim Par Khatte Mustakim Girne Se 90
Darje Ke Do Zaviya Kaema Paida Hote Hain. Ismein Aqal
Ki Daud Dhoop Kaam Aayegi Aur Is Mas'ala Se Vahi Lazzat
Shanaas Hogi. Isse Ek Zakhmi Dil Ka Madava-E-Gam
Tajveez Karna Mahaz Apne Ko Fareb Dena Hai.
Ijtama Nukayzain Muhal Hai 'Yani Do Ziddo Ka Ek Hi
Zarf Mein Ek Hi Waqt Mein Jama Hona Muhal Hai'.
Isi Tarah 'Wujood Lazim Mustalzim Hai Wujoode
Malzoom Ko' Yani Lazim Ke Paye Jane Se Malzoom Ka Paya
Jana Zaruri Hai. Maslan Chandni Agar Pai Jaye To Chand
Ka Hona Zaruri Hai. Choonki Chandni Lazim Hai Aur
Deoband Ka Naya Deen 23

Chand Malzoom Hai. Aisi Hi Uske Bar'aks Doosra Kanoon


Hai. Intafa Lazim Mustalzim Hai, Intafa Malzoom Ko. Yani
Agar Lazim Ko Nahi Paya Jaye To Malzoom Nahi Paya
Jayega. Aise Hi Wujoode Khaas Mustalzim Hai Wujood
Aam Ko Aur Intkame Aam Mustalzim Hai Intkame Khaas
Ko. Yah Mantaqi Usool Hain. Unhein Aqal Ki Kasauti Par
Jancha Parkha Jayega. In Masael Se Dil Ko Door Se Bhi Koi
Rabta Nahi Hai.
Isi Tarah Falsafiyon Ka Kahna Hai Anasir Mein Kaun
Wa Fasaad Hota Hai. Yani Ek Soorate Naueya Ko Chhod
Kar Doosri Soorate Naueya Ikhtiyaar Kar Lena. Maslan Lote
Mein Paani Aur Barf Daala Jaye Zyada Thandak Badhne Ke
Baad Aap Lote Ki Satah Par Paani Ki Boonde Dekhenge Yah
Paani Andar Se Nahi Aa Raha Hai Balki Lote Ki Satah Itni
Thandi Ho Gai Hai Ki Uske Qareeb Ki Hawa Apni Soorat
Ko Chhod Kar Paani Se Badal Gai Yani Hawa Ne Paani Ka
Roop Dhaar Liya. Goya Hawa Ka Fasaad Hawa Aur Paani
Ka Kaun. Usi Ko Falsafa Ki Istilah Mein 'Kaun Wa Fasaad'
Kahte Hain.
Maloom Hua Yah Mantaqi Usool Wa Zabte Mein Isse
Aqal Ko Dilchaspi Ho Sakti Hai Magar In Masael Se Dil
Manoos Nahi Ho Sakta. Choonki Yah Uska Apna Mas'ala
Nahi Hai. Bas Jis Tarah In Aqali Masael Ko Dil Ka Mas'ala
Nahi Kaha Ja Sakta Aise Hi Imaan Aur Sarkare Do Aalam
Ki Aqeedat Wa Muhabbat Hatta Ki Unhein Maa Baap Aur
Jaan Wa Maal Se Zyada Mahboob Rakhna Yah Aqal Ke
Soch Vichar Ka Mas'ala Nahi Hai. Balki Dil Ke Qubool
Karne Ka Aur Uski Gahraiyon Mein Utar Jane Ki Ek
Deoband Ka Naya Deen 24

Naqabile Inkaar Haqeeqat Ka Naam Imaan Hai. Yahan


Pahunch Kar Shariyate Islamia Ki Door Ras Nigahon Ka
Sahi Andaza Hota Hai Ki Imaan Ka Mamla Aqal Ke Supurd
Nahi Kiya Gaya Balki Dil Ke Hawale Kiya Gaya. Isliye
Mabdaye Fayyaz Se Maan Lene Ki Jo Salahiyat Qalb Ko
Wadi'at Ki Gai Hai Vah Aqal Ke Hisse Mein Nahi Aai. Aqal
Ka Mamla To Yah Hai Ki Dalael Wa Baraheen Ke Quvvat
Wa Ju'af Ko Dekh Kar Raay Mein Tabdeeli Aa Jati Hai.
Magar Maan Lena Jo Dil Ka Kaam Hai Uska Aalam To Yah
Hai-
'Yah Vah Nasha Nahi Jise Turshi Utar De
Maan Lene Ki Fitrat Hi Judagana Hoti Hai'.

Hazrat Bilal Raziyallahu Anhu Khuda E Qadir Unki


Qabr Par Apni Rahmaton Ke Fool Barsaye Aameen. Kuffare
Makka Ne Unki Chhati Par Tapte Huye Garm Pattharon Ki
Seelein Rakhi, Garm Garm Ret Par Lita Kar Unke Seene Par
Humkate Rahe. Aqal Thapkiya Deti Rahi Aur Fahmaish
Karti Rahi Ki Un Jaankah Aalam Wa Masaeb Wa Shadaed
Ka Muqabla Ab Aasan Nahi Hai. Badan Ki Haddiyan
Chatakh Rahi Hain, Rago Se Fat Kar Khoon Risne Wa
Bahne Laga, Aankhein Ubhar Aai, Gale Mein Kaantein Pad
Gaye Hazrat Bilal Ke Seene Par Zulm Wa Tashaddud
Besharmi Wa Be Hayai Ka Nange Insaniyat Kirdaar Aur
Dilsoz Muzahara Ho Raha Hai. Arab Ke Danishwar
Samjhate Rahe Aqal Par Aqal Ki Tarkash Ka Koi Teer
Paivast Na Ho Saka.
Mujhe Koi Bataye Ki Aqal Ne Ba Zahir Kya Bura Kiya?
Deoband Ka Naya Deen 25

Uska Zahiri Cham Kham Sirf Haseen Wa Dil Fareb Hi Nahi


Balki Haqeeqat Wa Sadaqat Ka Ek Naqabile Inkaar Zabta
Maloom Hota Hai. Magar Batlaiye Aqal Fateh Hui Ya Dil?
Aqal Hukmaran Sabit Hui Ya Dil Ka Takht Wa Taaj
Salamat Raha. Haqeeqat Itni Si Hai Muhabbat Ki Vah
Lateef Kaifiyat Jise Dil Ne Sarmaya-E-Hayat Aur Hasile
Zindagi Samajh Rakha Hai Vah Is Khatir Jaan To De Dega
Magar Ishq Ki Aabroo Ko Sare Bazar Neelam Nahi Kar
Sakta.
'Koi Samjhe To Ek Baat Kahoo
Ishq Taufeeq Hai, Gunaah Nahi'
Bas Hamara Mamla Deoband Ke Sath Kuch Aisa Hi Hai
Ki Is Raah Mein Hamein Teere Malaamat Ka Nishana
Banaye Ya Munh Bhar Galiyan Deejiye Ham Ishq Wa
Muhabbat Ke Jis Nashe Mein Doobe Huye Hain Usmein
Sare-Moo Farq Nahi Aa Sakta. Mamla Hamara Nahi Hai
Balki Mahboob Do Jahan Ka Hai. Jab Tak Deobandi
Maktaba-E-Fikr 'Taqwiyatul Imaan', 'Hifzul Imaan',
'Baraheene Qatia' Jaisi Gandi Aur Tauheene Nubuvvat Se
Bharpoor Kitabon Ki Ish'at Karta Rahega Us Waqt Tak
Hamari Zubaan Wa Qalam Par Koi Pahra Nahi Baitha
Sakta. Yah Hamara Ek Aaeni Dastoori Haq Hai Jise Jabr Wa
Istibdad Ke Hathon Chheen Na Zulm Wa Na Insaafi Ke
Mutradif Hoga. Agar Aisa Hua To Uske Khilaaf Hamesha
Sada E Ahatjaaj Buland Hogi Ta Waqte Ki Haq Ba Haqdar
Raseed Ki Naubat Na Aa Jaye.
'Waqif To Hain Is Raaz Se Yah Daar Wa Rasan Bhi
Har Daur Mein Takmeele Wafa Ham Se Hui Hai'
Deoband Ka Naya Deen 26

Baab (2): Ek Gumrah Wa Galat Propagande Ki


Barhana Tasveer

'Yah Udi Udi Si Rangat, Yah Khule Khule Se Gesoo


Teri Subah Kah Rahi Hai Teri Raat Ka Fasana'

Sharabe Kuhna Dar Jame Nau:


'Gairo Se Kaha Tumne, Gairo Se Suna Tum Ne
Kuch Ham Se Kaha Hota, Kuch Ham Se Suna Hota'

Aaj Deoband Ki Ek Shatirana Chaal Yah Bhi Hai Ki Vah


Apne Gumrah Aur Galat Propagande Is Tarah Yaqeen
Dilana Chahata Hai Ki Deoband Aur Bareilly Ka Ikhtilafaat
Mahaz Meelad, Qyaam, Fatiha, Urs Wagaira Ka Hai. Usi Ke
Sath Un Ikhtilafaat Ko Bareilly Ke Sar Thopna Chahata Hai.
Baaz Km Likhe Padhe Aur Haalat Se Na Aashna Log Us
Propagande Ka Shikar Bhi Ho Jate Hain. Muqaddama Mein
Isi Galat Fahami Ka Izaala Maqsood Hai.
Wazeh Rahe! Ikhtilafaat Ki Zimmedari Bareilly Ke Sar
Nahi Hai Balki Deoband Ne Khanasaaz Ek Naye Mazhab
Ki Daag Bel Daali Jiski Buniyad Tauheene Nubuvvat,
Rasool Dushmani, Vali Dushmani Par Hai. Chunanche
Uski Chand Kufri Wa Ganda Ibarat Ka Mafhoom Darj Kiya
Jata Hai Jisse Yah Andaza Ho Sakega Ki Poori 13 Sadi Mein
Deoband Ke Alawa Apne Aslaaf Mein Motaqaddameen Wa
Mut'akhireen Mein Na Kisi Ne Aisa Kaha Hai Aur Na Likha
Hai. Sirf Deoband Ki Jasaarat Aur Dhithai Hai.
Deoband Ka Naya Deen 27

(1) Maslan : Deoband Ka Yah Kahna Hai Ki Jo Ilm


Rasoole Khuda Ka Hai Usmein Rasoolullah Hi Ki Kya
Takhsees Aisa Ilm To Har Pagal, Bachche, Majnoon, Janwar
Sabhi Ko Haasil Hai. Ma'azallah!
(2) Deoband Ka Yah Kahna Hai Ki Banda To Jhooth
Bole Agar Khuda Jhooth Bolne Par Qadir Na Ho. Bande Ki
Taaqat Khuda Se Badh Jayegi. Ma'azallah!
Note : Chunanche Mujaddideene Millat Aala Hazrat
Sayyadna Imaam Ahmad Fazil Bareilvy Raziyallahu Ta'ala
Anhu Ne 'Fatawa Rizviya' Jild 1 Page 745 Par Aqaed Ke
Bayaan Mein Us Gande Aqeede Par Ilzamaat Pesh Kiye Hain
Aur 'Subhanussubooh' Wagaira Jaise Rasael Mein Is Batil
Aqeede Ke Khilaaf Dalael Wa Baraheen Pesh Karke Uske
Bakhiye Udhed Diye Hain. Lekin Unki Dhithai Ka Yah
Aalam Hai Ki Apne Gireban Mein Munh Daal Kar Soch
Vichar Karne Ke Bajaye Khud Imaam Ahmad Raza Par Yah
Ilzaam Lagate Hain Ki Maulana Ahmad Raza Khan
Raziyallahu Ta'ala Anhu Ne ALLAH Tabarak Wa Ta'ala Ko
Galiyan Di Hain Wagaira Wagaira. Agar Sanad Yafta Jahil
Khandiya Street Mumbai Ke Jalse Mein Aisa Kahe To Kuch
Zyada Maqaame Ta'ajjub Nahi. Magar Bhiwandi Ki Vah
Nashist Jo Tareekhe Munazara Thi Usmein Maulvi Irshad
Ahmad Jaise Deoband Ke Muballig Wa Safeer Ka Yah
Kahna Yaqeenan Maqaame Hairat Hai. Chunanche Gani
Rahimullah Deobandi Ki Building Mein Meine Maulvi
Irshad Ahmad Sahab Se Yahi Kaha Tha Ki Agar Aap Apne
Daawe Mein Sachche Hain To Jo Kah Rahein Hain Vahi
Likh Kar Mujhe De Deejiye Aur 'Hifzul Imaan' Ki Kufri
Deoband Ka Naya Deen 28

Ibarat Par Munazara Se Pahle Isi Mauzoo Par Hamara Aur


Aapka Munazara Ho Jaye. Yah Sunte Hi Maulvi Irshad,
Maulvi Noor Muhammad Tandvi Aur Unke Tamam
Sathiyon Ke Chehre Par Hawaiyan Udne Lagi. Meine
Tahreer Ka Har Chand Mutalba Kiya Magar Maulvi Irshad
Ahmad Sahab Tas Se Mas Na Huye Sar Jhukaye Baithe
Rahe. Meine Poori Jama'at Ko Gairat Dilane Ke Liye Garajti
Aawaz Mein Kaha Ki Maulvi Irshad Ahmad Sahab! Mein
Aapke Akabir Ki Unke Aqwaale Kufriya Ki Bina Par Takfeer
Karta Hoon Jo Log Uske Mureed Hai, Un Sab Ki Bhi. Agar
Aap Mein Jur'at Ho To 'Hifzul Imaan' Ki Kufri Wa
Tauheen Aamez Ibarat Ko Be Gubaar Sabit Kar Ke Maulana
Thanvi Ke Sar Se Kufr Ka Bojh Utha Deejiye. Magar Us
Aawaz Par Aisa Mahsoos Hua Goya Poori Jama'at Ko Saanp
Ne Soongh Liya Hai Sab Ke Sab Goonge Aur Baharein
Hain.
Chunanche Bhiwandi Ke Sar Bar Aawrada Deobandi, Jo
Is Nashist Mein Maujood The, Ulmaye Deoband Ki Is
Bekasi Ko Dekh Kar Sharm Se Paani Paani Ho Kar Rah
Gaye. Jaisa Ki Baaz Zaraay Se Ham Logon Ko Maloom Hua
Ki Maulvi Irshad Ahmad Sahab Ka Ek Mahine Zaayad Ka
Tableegi Program Tha Magar Unki Bechargi Dekhne Ke
Baad Teesre Hi Roz Unka Boriya Bistar Gol Kar Diya.
Bhiwandi Ki Wapasi Mein Mumbai Ke Deobandiyon Ko
Munh Dikhaye Bagair Rafoo Chakkar Ho Gaye. Mein
Nazireen Se Ma'azarat Chahoonga Ki Yah Baatein Gair
Iraadi Taur Par Noke Qalam Par Aa Gai Uski Poori Tafseel
Aapko 'Qahare Aasmani' Mein Milegi. Mein Ulmaye
Deoband Ka Naya Deen 29

Deoband Ki Kufri Wa Ganda Ibarat Ka Mafhoom Hazir Kar


Raha Tha. Use Aap Mulahaza Farmaye.
(3) Deoband Ka Yah Kahna Ki Malkulmaut Aur Shaitaan
Ki Wus'ate Ilm Nasse Qur'ani Se Sabit Hai. Fakhre Aalam
َّ ٰ َ ٰ َ َ ‫َ َّ ہ‬
‫ال َیعلیہ َیوالہ َیو َسل َ ی‬
‫م‬ ‫ صلیللایتع‬Ke Wus'ate Ilm Ki Qur'an Mein Koi Nass
Nahi Jisko Maan Kar Shirk Sabit Kiya Jaye.
(4) Deoband Ka Yah Kahna Paigambare Khuda ‫یللا َیت َع ٰالی‬ ‫َص َّل ہ‬
َّ ٰ َ
‫ َعلیہ َیوالہ َیو َسل َ ی‬Apni Ummat Ke Aise Sardar Hain Jaise Kisi Gaanv
‫م‬
Ka Zameendar Ya Chaudhary! Ma'azallah!
(5) Aise Hi Deoband Ka Kahna Hai Ki Jiska Naam
Muhammad Ya Ali Vah Kisi Cheez Ka Mukhtar Nahi.
Ma'azallah!
(6) Deoband Ka Yah Kahna Koi Bhi Choti Badi
Makhlooq Ho Vah ALLAH Ki Shaan Ke Aage Zarra-E-
Nacheez Se Kmtar Aur Chamaar Se Zyada Zaleel Hai. Us
Mein Ambiya Aur Auliya Sabhi Shamil Hain. Ma'azallah!
Garz Ki Jis Tarah Deewana Kisi Ka Daman Noche
Ma'azallah! Aise Hi Deoband Namoose Mustafa
Alaihittahiyatu Wassana Se Barsare Paikar Ho Gaya. Kahi
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Par Yah Ilzaam Lagaya Ki
Aaqa E Kaynat ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َمی‬
Mein Bhi Ek Din Mar Kar Mitti Mein Milne Wala Hoon,
Aur Kahi Yah Ilzaam Rakha Ki Mujhe Peeth Peechhe Ki
Khabar Nahi Kisi Kitab Mein Yah Likha Ki Rasoole Khuda
َّ ٰ َ ٰ َ َ ‫َ َّ ہ‬
‫ال َیعلیہ َیوالہ َیو َسل َ ی‬
‫م‬ ‫ صلیللایتع‬Ko Zubaan Urdu Us Waqt Aai Jab Ulmaye
Deoband Se Mamla Hua Ma'azallah! Kahi Yah Khwaab
َّ َ
Gadh Liya Ki Rasoole Khuda ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬ ‫ص َّل ہ‬
‫ َ ی‬Unke Peer Wa
Murshid Ke Mehmanon Ka Khana Pakane Aaye Goya Aaqa
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ko Apna Bawarchi Banaya.
E Do Jahan ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Deoband Ka Naya Deen 30

Ma'azallah!
Baharhaal! Jab Rasool Dushmani Ka Kodh Foota To
Uske Gande Wa Zahreele Jaraseem Ungliyon Se Bah Kar
Noke Qalam Par Aaye. Usne Poori Muslim Society Ko
Paraganda Kar Diya. Jab Ulmaye Deoband Ki Rasool
Dushmani Par Ulmaye Ahle Sunnat Ne Muvakhaza Wa
Muhasaba Kiya To Awwalan Unhone Apni Kufriyat Ki
Taveel Shuru Ki Aur Vah Bhi Bilkul Atkal Pachchoo. Lage
To Teer Nahi To Tukka.
'Hifzul Imaan' Mein Maulana Thanvi Ki Kufri Ibarat Par
Kisi Ne Kaha Aisa Tashbeeh Ke Liye Hai. To Kisi Ne Yah
Kaha Ma'ane Mein Itna Ke Hai. Garz Ki Taveele Ki Latyaav
Mein Jam Kar Ek Doosre Ko Kafir Banate Rahe Aur Ilzaam
Hamare Sir Hai Ki Ham Musalmanon Ko Kafir Banate
Hain Ma'azallah! Halanki Is Farq Ko Bhi Samajhte Hain Ki
Kafir Banana Aur Hai Kafir Batana Aur Hai. Ahle Sunnat
Wa Jama'at Kisi Ko Kafir Banate Nahi Balki Vo Log Jo Aaqa
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ki Shaan Mein
E Do Jahan Roohi Fidah ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َمی‬
Tauheen, Gustakhi, Be Adabi, Dareeda Dehni, Bad Zubani
Karke Kafir Ho Chuke Hain Iske Bavajood Vo Apni
Kufriyat Par Parda Daal Ke Logon Se Apne Ko Musalman
Kahalwana Chahate Hain Bas Aise Hi Mauqa Par Ulmaye
Ahle Sunnat Awaam Ko Yah Bata Dete Hain Ki Ab Ye Log
Tauheene Nubuvvat Ki Wajah Se Musalman Nahi Rah
Gaye Balki Kafir Ho Chuke Hain Usko Kafir Banana Nahi
Balki Kafir Batana Kaha Jata Hai.
Chunanche! Shaheere Arab Wa Ajam Sayyadna Imaam
Ahmad Raza Fazile Bareilvy Raziyallahu Ta'ala Anhu Ne
Deoband Ka Naya Deen 31

Ulmaye Deoband Se Sakhti Se Mutalba Kiya Aur Unki


Kufriyat Par Unhein Muttala Karke Usse Rujoo Aur Tauba
Ka Hukm Sharai Bataya To Bajaye Ahsaan Manne Ke
Ukhad Gaye Aur Is Tauba Mein Unhone Apni Zillat Wa
Ruswai Samjhi Goya Ye Gawara Kar Liya Ki Sayyadul
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ki Tauheen Hoti Rahe Magar
Mursaleen ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Apne Napak Qalam Par Koi Aanch Na Aaye.
Jiska Nateeja Ye Hai Ki Ek Sadi Ke Lagbhag Ho Gaye
Deoband Ke Stage Par Yahi Drama Khela Ja Raha Hai.
Ek Tareekhi Dastawez! Mujaddideene Millat Aarife Haq
Aashiqe Rasool Hazrat Sayyadna Imaam Ahmad Raza Fazile
Bareilvy Raziyallahu Ta'ala Anhu Ne Awwalan Bazaria
Registry Apne Sharai Mutalbat Bheje. Is Muakhaze Wa
Muhasabe Ke Nateeja Mein Kabhi Ulmaye Deoband Ne
Challenge Munazara Bhi Diya Magar Jab Munazare Ka
Waqt Aaya To Is Tarah Gayab Rahe Jaise Gadhe Ke Sir Se
Seeng.
Jis Par Lahore Ka Munazara Shahide Adal Hai. Sayyadna
Imaam Ahmad Raza Ke Khalfe Akbar Hazrat Hujjatul Islam
Maulana Hamid Raza Khan Sahab Raziyallahu Ta'ala
Anhuma Ba Silsila E Munazara Lahore Pahunch Gaye Magar
Thanvi Sahab Ka Kahi Pata Nahi. Alawa Arzi Maidan Ke
Rangrut Khiladiyon Ne Alag Alag Un Ibaraton Ki Taveel
Shuru Kar Di. Apni Manghadat Taveelat Wa Tashreehat Ki
Buniyad Par Khud Ek Doosre Ko Kafir Banate Rahe.
Jiski Tafseel Meri Kitab 'Khoon Ke Aansoo' Mein
Maujood Hai. Chunanche Jab Paani Sir Se Uncha Hota
Nazar Aaya To Intihai Ahtiyaat Ke Tahat Imaam Ahle
Deoband Ka Naya Deen 32

Sunnat Sayyadna Imaam Ahmad Raza Ne Ulmaye Deoband


Ki In Qabile Aitraaz Wa Laeqe Muhasaba Ibarat Ko Makka
Mukarrama Aur Madeena Tayyaba Ke Ulma Wa Masha'ekh
Ki Khidmat Mein Pesh Karke Fatwa Talab Kiya. Ulmaye
Deoband Ki In Gandi Wa Kufri Ibarat Ko Dekhne Ke Baad
Ulmaye Harmain Ne Daant Tale Ungliyan Dabayi. Makka
Mukarrama, Madeena Tayyaba Ke Darul Ifta Aur Ilmi
Idaron Mein Goya Maatam Barpa Ho Gaya Unhein Iska
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ne Is
Yaqeen Ho Gaya Ki Aaqa E Do Jahan ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Firqa Se Mut'alliq Jo Peshgoe Farmai Thi Uska Aagaz Ho
Gaya.
Chunanche! Ulmaye Deoband Ke Un Ganda Wa Kufri
Aqaed Par Makka Mukarrama, Madeena Tayyaba Ke
Hanafi, Shafai, Malki, Hambali Garz Ki Yamni, Shaami
Sabhi Ulma Ne Kufr Ka Fatwa Diya Aur Saaf Saaf Likh Diya
Ki Aise Aqeede Wale Kafir, Murtad, Mulhid, Be Deen,
Gumrah Zindeeq Wagaira Wagaira Hain. Uske Baad
Awaam Ko Deoband Ki Gumrahi Se Mahfooz Rakhne Ke
Liye Ulmaye Harmain Ke Majmooa Fatawa Ko 'Hussamul
Harmain' Ke Naam Shaay Kar Diya Gaya. Uske Shaay Hote
Hi Aevaane Deoband Mein Zalzala Aa Gaya Aur Poore
Mulk Mein Ek Hungama Khada Kar Diya Gaya Dekho Ye
To Logon Ko Kafir Bana Rahe Hain Halanki Kafir Banaya
Nahi Gaya Balki Jo Apne Kufri Aqwaal Ki Bunyaad Par
Kafir Ho Chuka Hai Iska Kufr Hona Bata Diya Gaya.
Us Shor Wa Hungame Ke Baad Apne Munh Ki Kalik
Dhone Ke Liye 'Almuhind' Chhapa Magar Use Dekh Kar
Awaam Ne Unke Munh Par Thook Diya. Khud Deobandi
Deoband Ka Naya Deen 33

Awaam Ne 'Almulhind' Mein Unka Dajal Wa Fareb


Dekhne Ke Baad Izhare Bezari Karna Shuru Kar Diya. Jab
Ulmaye Deoband Ne Ye Dekha Ki Ab Awaam Hamare
Hathon Se Nikal Jayenge Aur Arab Wa Ajam Har Jagah
Hamari Badnami Wa Ruswai Ho Rahi Hai To Drame Ka
Ek Naya Stage Sajaya Ki Ulmaye Ahle Sunnat Se Hamara
Ikhtilaafe Meelad, Qyaam, Urs Aur Fatiha Ka Hai. Is Aawaz
Ko Failane Ke Liye Jitne Bhi Band The Apne Bandhan Ko
Tod Kar Bahar Nikal Aaye Aur Hashratul Arz Ki Tarah
Shahar Shahar, Gaanv Gaanv Fail Gaye. Meelad Bid'at Hai,
Qyaam Shirk Hai, Fatiha Najaez Hai, Urs Haraam Hai
Goya Ek Samjhi Boojhi Scheme Aur Mukammal Saazish Ke
Tahat Poora Deoband Gale Ki Ragein Fula Kar Chillane
Laga Ki Meelad Bid'at Hai, Qyaam Najaez Hai. Us Shor Wa
Goga Ka Maqsad Sirf Ye Tha Ki Log Meelad Wa Qyaam
Jaise Masael Mein Ulajh Jayein Aur Is Bahane Hamari
Kufriyat Par Parda Pad Jaye. Chunanche Us Waqt Se Yahi
Hota Chala Aa Raha Hai. Ab To Had Ye Ho Gai Ki Jab
Padhe Likhe Deobandi Thak Haar Gaye To Ek Anpadh
Gawaiye Ko Apne Stage Ka Hero Bana Diya Aur Usne Bhi
Mauqa Ganeemat Jaan Kar Be Par Ki Udana Shuru Kar Diya
Naye Naye Daanv Aur Paitare Dikhlata Hai Jis Tarah Ek
Madari Tamasha Dikhata Hai Aur Unke Chote Bade Sabhi
Uska Kartab Dekhte Jate Hain. Halanki Khud Use Iqraar
Hai Ki Padha Likha Kuch Nahi. Mahaz Ek Mil Mazdoor
Tha, Kawwali Gata Tha, Dakoo Khandan Ka Hai, Dakaiti
Hamari Mauroosi Pesha Hai. Magar Deoband Ka Kahna
Hai Ki Tum Galeez Khao Ya Haraam Piyo Magar Ho To
Deoband Ka Naya Deen 34

Deobandi Hamko Isse Kuch Bahas Nahi, Ab Hamein Aalim


Nahi Balki Tum Jaisa Sanad Yafta Jahil Hi Darkar Hai.
Hamare Baaz Ulma To Apne Mansab Ka Lihaz Karke Dhaki
Chhupi Baatein Kahte Hain Magar Tum To Thahare Sanad
Yafta Jahil, Isliye Tum Bareiliyon Par Dhelwas Aur Pathrav
Karte Raho, Ab To Hamare Stage Par Aise Hi Madari Ki
Zarurat Hai Jis Ka Nang Nach Hamari Kufriyat Par Parda
Daal De. Tum Khoob Gale Ki Ragein Fula Kar Sunniyon
Ko Qabr Pujwa Kaho, Kafir, Bid'ati, Mushrik Banao, Urs
Wa Fatiha Par Keechad Uchhalo Taaki Log Hamare
Maulana Thanvi Ki 'Hifzul Imaan' Ki Kufri Ibarat Bhool
Jayein Jis Par Ham Logon Ko Khud Bhi Sharmindgi Aur
Nadamat Hai. Choonki Ham Is Ibarat Ka Khatir Khaah
Jawab Nahi De Pate Lihaza Agar Ye Tarkeeb Istemal Ki Gai
To Munazara Bajaye 'Hifzul Imaan' Ke Meelad Wa Qyaam
Par Hone Lagega.
Doston! Ye Hai Deoband Ki Shatirana Chaal Ki Din
Dahade Vo Belaus Saada Awaam Ki Aankhon Par Dhool
Jhonk Raha Hai Goya Apni Namaz Roze Ki Numaish Kar
Ke Meelad Aur Urs Ke Khilaaf Alame Bagawat Buland Karte
Huye Apne Kufriyat Ko Chhupane Ki Koshish Kar Raha
Hai. Waqt Ka Aham Taqaza Hai Ki Aaj Poori Sunni Biradari
Is Khatarnaak Tahreek Wa Napak Saazish Ke Khilaaf Safe
Aara Ho Jaye Aur Har Haq Pasand Par Use Wazeh Kar Diya
Jaye Ki Deoband Se Hamara Buniyadi Ikhtilaaf Meelad Wa
Qyaam Ki Hadon Tak Maukoof Nahi Hai Balki Hamara
Buniyadi Ikhtilaaf Ye Hai Ki Ulmaye Deoband Tauheene
Nubuvvat Ke Mujrim Hain Jab Tak Vo Apni Kufriyat Se
Deoband Ka Naya Deen 35

Tauba Nahi Karte Us Waqt Tak Ham Ahle Sunnat Ka Unse


Koi Rabta Nahi Ho Sakta,
Ye Mas'ala Roti Aur Pet Ka Nahi Hai Aur Na Hi Izzat
Wa Shohrat Ka, Ye Koi Iqtadar Ki Jung Nahi Hai Balki
َّ َ ‫َص َّلی ہ‬
Buniyadi Sawal Aaqa E Do Jahan ‫للای َت َع ٰالی َعلیہی َو ٰالہی َو َسل َمی‬ Ki
Wafadari Ka Hai. Deoband Khule Band Namoose Mustafa
Alaihittahiyatu Wassana Se Khel Khel Raha Hai Aur Apne
Aamaal Ki Zahiri Numaish Ke Tahat Vo Apne Ulma Ki
Kufriyat Par Parda Dalna Chahata Hai.
Lihaza Waqt Pukar Raha Hai Ki Hamein Khul Kar Alal
Ailan Kah Dena Chahiye Ki Tumhare Roza Namaz Ki
Haqeeqat Ham Bahut Achchi Tarah Samajh Chuke Hain Ab
Peshani Ke Taveel Wa Areez Ghatte Aur Zameen Bos Hote
Huye Lambe Daman Aur Ghutne Se Musafa Karta Hua
Pazama Hamein Fareb Nahi De Sakta Tauheene Nubuvvat
Ke Mujrimana Kirdaar Ne Tumhein Is Had Tak Barhana
Kar Diya Hai Ki Ab Tumhein Pahchan Ne Mein Der Nahi
Lagti. Tum Ba Zahir Namazein Padhte Ho Magar Aisi
Namazein Jiske Mut'alliq Tumhara Aqeeda Hai Ki Namaz
Mein Rasoolullah Ka Khyaal Lane Se Namaz Jati Rahegi
Albatta Agar Gaay, Bail Ka Khyaal Laya Jaye To Namaz Ho
Jayegi. Dhithai Ka Ye Aalam Hai Ki Bajaye Sharminda Hone
Ke Ye Jawab Dete Ho Ki Namaz Khuda Ki Ibaadat Hai
Ismein Agar Rasoolullah Ka Khyaal Laya Jayega To Azmat
Se Aur Ye Shirk Hai. Agar Tum Apni Daleel Mein Sachche
Ho To Iska Jawab Kya Hoga Ki Maulana Thanvi Ke Kisi
Chahete Ne Thanvi Se Poochha Ki Agar Aapki Soorat Ka
Tasavvur Kar Loo To Namaz Mein Ji (Dil) Lagta Hai
Deoband Ka Naya Deen 36

Farmaya Jayaz Hai.


(Alkalamulhasan Malfoozat Ashrafiya Qist Nahum, Page 141)

Farmaiye! Ye Tasavvur Azmat Ke Sath Tha Ya Thanvi Ko


Vo Gaay, Bail, Bakri, Gadah Samajh Kar Tasavvur Karta
Tha?
Isi Ka Naam Hai Aijaaze Nubuvvat Wa Itaabe Ilaahi.
Khuda Ke Mahboob Se Tum Ne Sartabi Ki Jiska Nateeja Ye
Hai Ki Qadam Qadam Par Tumhara Qalam Thokarein Kha
Raha Hai Aur Tumhein Aaj Tak Hosh Nahi Agar Hosh Hi
Hota To Damane Risalat Se Ulajhte Kyun? Mujhe Kahna
Ye Hai Ki Aaj Waqt Ki Sab Se Badi Zimmedari Ye Hai Ki
Ulmaye Deoband Ne Apni Kufriyat Par Parda Dalne Ke
Liye Meelad Wa Qyaam Ka Jo Bahana Bana Rakha Hai
Ham Apni Taqreer Wa Tahreer Se Unke Mansoobe Ko
Khaak Mein Mila Dein. Ye Kaam Sakht Bhi Hai Aur Aasan
Bhi Agar Aap Ishqe Rasool Ke Jazbe Mein Sarshar Hain Aur
Islam Ka Sahi Mizaaj Samajh Rakha Hai To Kisi Dushmane
Rasool Se Rishta Wa Naata Todne Mein Ek Lamha Ki Der
Na Lagegi.
Agar Khoon Ki Ek Ek Boond Mein Wafadari E Mustafa
َّ ٰ َ ٰ َ َ ‫َ َّ ہ‬
‫ال َیعلیہ َیوالہ َیو َسل َ ی‬
‫م‬ ‫ صلیللایتع‬Ka Jazba Hai To Aapka Imaan ALLAH Ke
Rasool Ke Dushman Se Nafrat Aur Ghinn Mahsoos Karega.
Khuda Na Khasta Agar Imaan Ke Rishte Par Khoon Ka
Rishta Galib Hai Aur Deen Se Zyada Chacha, Mamoo,
Bhai, Bhateeje, Beti, Damad Chahete Hain To Yaqeen Kar
Leejiye Aap Imaan Se Aur Imaan Aap Se Koso Door Ho
َّ َ ‫ َص َّلی ہ‬Se
Chuka Hai. Fir Kal Saqi E Kausar ‫للای َت َع ٰالی َعلیہی َو ٰالہی َو َسل َ یم‬
Deoband Ka Naya Deen 37

Maidane Hashr Mein Paani Na Mangiyega Unhi


Rishtadaron Se Talab Keejiye. Wazeh Rahe Qabr Mein
Chacha, Bhateeje, Beti, Damad Kaam Nahi Aayenge Balki
َّ
Qabr Mein Aaqa E Do Jahan ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
َ ‫ َص َّل ہ‬Ko Pahchan

Na Hai Unhein Pahchan Ne Ke Baad Hi Jannat Ki Aasaesh


Naseeb Ho Sakegi. Magar Ulmaye Deoband To Rasoole
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Par Ye Ilzaam Lagate Hain Ki Mein
Khuda ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Bhi Ek Din Mar Kar Mitti Mein Milne Wala Hoon
Ma'azallah! Goya Is Lagv Wa Behooda Aqeede Ke Tahat
َّ َ
Sayyadul Mursaleen ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬ ‫ َص َّل ہ‬Ma'azallah! Mar Kar

Mitti Mein Mil Gaye To Ab Aisi Soorat Mein Unhein Qabr


Mein Pahchan Ne Ka Koi Sawal Hi Nahi Paida Hota.
Mere Doston! Apne Inhi Jaraem Par Deoband Meelad
Wa Qyaam Ki Aad Le Kar Parda Daal Raha Hai Taaki Ittiba
E Sunnat Ke Daawe Mein Tauheene Nubuvvat Ka Bhanda
Na Foote. Baharhaal! Arz Yahi Karna Hai Ki Khoon Ke
Rishte Par Imaan Ka Rishta Galib Hai. Chunanche Aboo
َّ
Lahab Rishte Mein Rasoole Khuda ‫للای َت َع ٰالی َعلیہی َیو ٰالہی َو َسل َ یم‬
َ ‫ َص َّلی ہ‬Ka

Chacha Hai, Makki Hai, Padosi Hai, Magar Iske Bavajood


Vo Musalmanon Ke Paavo Ki Thokar Par Hai. Sayyadna
Bilal Habshi Raziyallahu Anhu Makki Nahi, Padosi Nahi,
Iske Bavajood Vo Musalmanon Ke Kaleje Mein Hain.
Maloom Hua Islam Pahle Khoon Ka Rishta Nahi Dekhta
Balki Pahle Imaan Ka. Chunanche Shere Khuda Maula Ali
Raziyallahu Ta'ala Anhu Farmate Hain Dushman Teen
Tarah Ke Hote Hain-
(1) Aapka Baraah Raast Dushman
(2) Aapke Dost Ka Dushman 'Goya Vo Bhi Aapka
Deoband Ka Naya Deen 38

Dushman Hai'.
(3) Aapke Dushman Ka Dost 'Vo Bhi Aapka Dushman Hai'.
Khyaal Farmaiye! Duniya Mein To Aap Har Dushman
Se Parhez Karte Hain Fir Aapka Imaan Ye Kaise Gawara
Karta Hai Ki Jo Rasoole Khuda Ka Dushman Hua Usse Aap
Ki Dosti Ho. Daro Us Din Se Jab Khuda Poore Qahar Wa
Gazab Wa Jalaal Se Sawal Kar Raha Hoga, Badan Ki Ek Ek
Boti Kaanp Rahi Hogi, Khaufe Ilaahi Se Ek Ek Rowa
(Rongte) Khada Hoga, Dil Ki Dhadkanein Badh Gai Hongi,
Zabaan Khushk Aur Hontho Par Papriyan Hongi Aur
Khuda E Zuljalal Poochh Raha Hoga Ki Jin Logon Ne Mere
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ko Gaanv Ka Chaudhary Likha,
Mustafa ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Zarra E Nacheez Se Kmtar Likha, Chamaar Se Zyada Zaleel
Likha, Mere Mahboob Ke Ilm Paak Ke Mut'alliq Ye Likha
Ki Jo Mere Mahboob Ka Ilm Hai Aisa To Har Janwar, Pagal,
Majnoon, Sabhi Ko Haasil Hai Unhi Se Tumhara Yarana
Tha, Tum Unki Mehman Nawazi Karte The, Unke Hath
Paanv Dabate The, Unhi Makkaron Se Dua Taveez Karate
The, Unki Haan Mein Haan Milate The, Unke Peechhe
Namazein Padhte The Unhi Khokhli Be Wazan Namazon
Ko Tum Meri Bargah Mein Lekar Aaye Ho.
Aey Badnaseebon! Tum Sab Ke Sab Jahannam Ke
Eindhan Ho Aaj Meri Bargah Mein Tumhare Khokhle Aur
Khote Sajde Kaam Nahi Aayenge. Kya Tumhein Yaad Nahi!
Tumhara Gumrah Maulvi To Khud Bhi Itna Kahta Tha Ki
'Sahi Aqaed Madare Najaat Hain'. Aamaal Madare Najaat
Nahi.
('Usool Dawate Tableeg' Page 64)
Deoband Ka Naya Deen 39

Kya Tum Ne Qur'an Majeed Mein Ye Nahi Padha Tha


"Aye Imaan Waalo Apni Aawazein Unchi Na Karo Us Ghaib
Batane Waale (Nabi) Ki Aawaz Se Aur Unke Huzoor Baat
Chilla Kar Na Kaho Jaise Aapas Mein Ek Dusre Ke Saamne
Chillate Ho Ke Kahin Tumhare Amal Akarat Na Ho Jaayein
Aur Tumhein Khabar Na Ho".
(Surah Hujuraat, Aayat 2)

Aakhirash! Tum Kis Nashe Ki Halat Mein The Meine


Aawaz Unchi Karne Se Roka Aur Tumne Mere Mahboob
Ko Munh Bhar Kar Galiyan Di Iske Bavajood Tum Namaz
Roza Lekar Mere Paas Aaye Ho. Aey Badnaseebon! Tumhein
Gairat Nahi Aati Mein To Apne Pyare Rasool Ko Qur'an
Mein Kahi 'Yaseen' Kaha, Kahi 'Taaha' Kaha, 'Muzzammil'
Aur Kahi 'Muddassir' Kaha Tumne Aey Dareeda Dehno
'Gaanv Ka Chaudhary' Likha Kya Apne Maulvi Ke Sath Bhi
Tumhara Yahi Dastoor Tha. Tum To Apne Maulviyon Ke
Baare Mein Ye Likha Karte The 'Maulana Thanvi Ke Paanv
Dhokar Peena Najaate Ukhravi Ka Sabab Hai'
(Tazkirturrasheed). Tum Apne Maulviyon Ko 'Gausul
Aazam', Mata'ul Aalam, 'Shaikhul Islam', 'Hakeemul
Ummat', 'Qasimul Uloom' Wagaira Likhte The Aur Mere
Pyare Mahboob Ke Baare Mein Tumhara Ye Napak Aqeeda
Tha Ki Jiska Naam Muhammad Ya Ali Vo Kisi Cheez Ka
Mukhtaar Nahi! Tumhare Ulma To Ilm Ki Daulat Taqseem
Karte Vo Is Had Tak Sahabe Ikhtiyaar The Magar Mera
Mahboob Bilkul Be Ikhtiyaar Wa Majboor Mahaz Tha.
Apne Maulviyon Ki Tareef Mein Tum Zameen Wa
Deoband Ka Naya Deen 40

Aasmaan Ke Kulabe Milate The Ki Vo Firishta E Muqarrab


Hai Ab Vo Mar Kar Qabr Mein Noor Hi Noor Hain. Aur
Tum Mere Mahboob Ko 'Gaanv Ka Zameendar',
'Chaudhary' Kah Kar Bade Bhai Ka Martaba Dete The 'Mar
Kar Mitti Mein Milne Wala' Kahte The.
Iske Bavajood Tumhein Apni Gaay, Bail Wali Namazon
Par Guroor Hai!
Aaj Tum Iske Mustahiq Hi Nahi Ho Ki Mera Mahboob
Tumhari Sifarish Kare 'Shafa'at Momin Ke Liye Hai Na Ki
Kafir Ke Liye'.
Lihaza! Tum Pukaro Apne Maulviyon Ko Jo Deene
Mohammadi Ki Soorat Maskh Karne Ke Liye Apne Aaqao
Angrezon Se 600₹ Mahana Lekar Unki Sachchi Pakki
Gulami Ka Haq Ada Karte The. Apni Infaradiyat Barqarar
Rakhne Ke Liye Government Dushmani Ka Naara Bhi
Lagate Jab Rupya Lene Ka Waqt Aata Hazaron Heela
Bahana Se Raqam Hazam Karne Ki Makrooh Wa Gandi
Sooratein Ikhtiyaar Karte.

Dushman Se Rupya Lene Ke Kya Ma'ana? Ye


Do Rukhi Policy Kaisi?
Bulao Tum Apne Maulviyon Ko Jo Murg Jaise Halaal Ko
Chhod Kar Kaala Kauvva Khakar Mere Mukhlis Aur Nek
Bando Ko Ladate The, Kahan Hain Vo Tumhare Duniyadar
Pet Pujari Maulana Sahiban! Jo Mere Mahboob Ke
Mahboob Owais Qarni Ke Fatiha, Halwa Ko Munh
Chidhate Lekin Diwali Ki Poodi Kachaudi Bagair Dakar
Liye Hazam Karke Apni Tondo (Pet) Par Hath Ferte. Aey
Deoband Ka Naya Deen 41

Nabakaron! Duhai Do Apne Un Maulviyon Ki Jo Apni Jeb


Ki Khatir Meelad Wa Qyaam Karte Lekin Jab Angrezon Ki
Agenty Shuru Ki To Usi Meelad Ko Shirk Wa Bid'at Kahna
Shuru Kar Diya.
Sun Lo! Aaj Tum Mere Mahboob Ke Daman Mein
Panah Nahi Pa Sakte Aaj To Tumhein Usi Ko Pukarna
Hoga Jisko Duniya E Napaydar Mein Sote Jagte 'La Ilaaha
Illallaah Ashraf Ali Rasoolullah Allahumma Salle Ala
Sayyadna Nabiyana Maulana Ashraf Ali' Kah Kar Pukarte
The.
Aaj Bulao Apne Us Banaspati Nabi Ko Aur Duhai Do
Apne Us Na Khudao Ki Jinhein Tumne Duniya Mein
Khuda Bana Rakha Tha, Tumhare Dil Ke Mandir Mein
Unhi Maulviyon Ki Moorti Thi Jiski Pooja Paat Mein
Tumne Apni Zindagi Guzari Hai.
Apne Giriban Mein Munh Daal Kar Socho Tum Ladte
The Bareilviyon Se Aur Gaali Dete The Mere Mahboob Ko
Goya Tumne Duniya Hi Mein Faisla Liya Tha Ki Mera
Mahboob Tumhara Nahi Balki Bareilviyon Ka Hai.
Lihaza! Aaj Mere Mahboob Ke Hathon Vahi Kausar Ka
Jaam Payenge Jo Unki Wafadari Mein Tum Se Munazare
Karte The, Tumhari Galiyan Sunte The Fir Bhi Mere
Mahboob Ke Qadamon Se Lage Chimte Rahe. Sun Lo! Aaj
Ka Din Tumhare Khusran Aur Ghaate Ka Hai, Aaj Tum
Khud Apni Aankhon Se Apne Maulviyon Ka Ibratnaak
Anjaam Dekho. Kisi Ke Gale Mein Angaron Ka Haar Dala
Jayega, Kisi Gustakh Wa Dareeda Dahan Ki Zabaan Aag Ki
Kainchi Se Kati Jayegi, Kisi Bad Zubaan Par Saanp Aur
Deoband Ka Naya Deen 42

Bichchhoo Musallat Kiye Jayenge Aur Unki Sooratein


Maskh Kar Di Jayengi, Poore Maidane Mahshar Mein Aag
Ke Kodo Se Maarte Huye Unhein Aise Hanka Jayega Jaise
Duniya Mein Janwaron Ke Revad Hanke Jate The Taaki
Poora Maidane Qiyamat Mere Pyare Mahboob Ke
Gustakhon Ka Alamnaak Anjaam Dekh Le (ALLAH Ta'ala
Har Shay Par Qadir Hai Agar Faisla Hua To Kya Anjaam
Hoga?.
Zalimon! Tum Khud Socho Aisi Namazein Meri Bargah
Mein Laye Ho Jiske Mut'alliq Ye Tumhara Aqeeda Tha Ki
Gaay, Bail, Gadahe Ka Khyaal Lane Se To Tumhari Namaz
Ho Jayegi Magar Mere Mahboob Ke Khyaal Lane Se
Tumhari Namaz Jati Rahegi Kya Ye Bail Aur Gadahe Wali
Namaz Tumhein Bakhshvayegi? Duniya Mein Tumhari
Aqalein Maari Gai Thi. Attahiyyat Mein Assalamu Alaik
Ayyuhan Nabi Padhne Ka Hukm Hai Zabaan Se Nabi
Kahoge Aur Khyaal Na Aayega? Ya Tum Attahiyyat Hi Nahi
Padhte The? Agar Padhte The To Khud Tumhare Hi
Qanoon Se Tumhari Namaz Faasid Hui Ya Nahi? Meri
Bargah Mein Ye Haj Lekar Aaye Ho Ki Ka'aba Pahunch Kar
Bhi Baitullah Mein Tumhara Dil Nahi Lagta Tha. Khud
Tumhare Unhi Maulviyon Ne Likha Hai-
'Fire The Ka'aba Mein Bhi Poochhte Gangoh Ka Rasta
Jo Rakhte Apne Seeno Mein The Zauq Wa Shauqe Irfani'
(Marsiya E Gangohi)

Tum Khud Apne Zameer Ka Faisla Batao? Kya Ye Haj


Tumhare Kaam Aayega? Tumhein To Bajaye Ka'aba Ke
Deoband Ka Naya Deen 43

Gangoh Jana Chahiye Tha. Iske Alawa Tum Kalima Ka


Dhong Racha Kar Mere Saada Lauh Bando Ko Fareb Diya
Karte The, Chana Aur Sattoo Ki Gathriyan Laad Kar Chalte
Aur La Ilaaha Illallaah Padhane Ke Baad Ye Kahte 'Khuda
Ka Jhooth Bolna Mumkin Hai', Apne Aur Apne Aaqa Ke
Liye To Aeb Samajhte Magar Mere Liye Isi Aeb Ko Mumkin
Mante. Iske Alawa Mein Apni Zaat Wa Sifaat Donon Mein
Qadeem Hoon Aur Tum Mere Liye Mumkin Sabit Karte.
In Sab Ke Bavajood Tum Apne Ko Tauheed Ka Thekedar
Samajhte The. Tum Ne Is Tauheed Ki Aad Lekar Mere
Mahboob Ko Ji (Dil) Bhar Kar Galiyan Di Hain. Kya Ye
Tumhara Vahi Tareeqa Nahi Hai Jo Shaitaan Ne Tumhein
Sikhaya Tha Aur Muhammadur Rasoolullah Ka Iqraar
Karne Ke Baad Ye Kahte The Ki Unka Martaba 'Gaanv Ke
Chaudhary' Aur 'Bade Bhai' Aisa Hai Ye Kah Kar Tum Mere
Mahboob Se Hamsari Ka Daawa Karte.
Mein Ne To Qur'an Mein Ye Kaha:
"Aur Ye Nabi Gaib Batane Mein Bakheel Nahi".
(Soorah Takwir, Aayat 24)
Aur Tum Ye Ilzaam Lagate The Ki Unhein Peeth
Peechhe Ki Khabar Nahi. Mere Mahboob Ne Apne Hathon
Se Khaak Feki To Mein Ne Kaha:
"Aur Aey Mahboob! Aur Vo Khaak Jo Tum Ne Pheki
Thi Balki ALLAH Ne Pheki".
(Soorah Anfal, Aayat 17)
Mere Mahboob Ke Hath Par Sahaba Ne Bait Kiya To
Mein Ne Ye Kaha Ki:
Deoband Ka Naya Deen 44

"Unke Hathon Par ALLAH Ka Hath Hai".


(Soorah Fatah, Aayat 10)
Jo Uski Shaan Ke Layaq Hai Is Qadr Uloo Martabat Aur
Raf'ate Shaan Ke Bavajood Tumne Apna Jaisa Bashar
Samjha Aur Mahaz 'Bada Bhai', 'Zameendar', 'Gaanv Ka
Chaudhary' Kaha. Tumhare Kheechdi Khor Sanad Yafta
Jahil Maulviyon Ne Bakari Ka Doodh Doohate Aur Joo
Nikalte Dekha Magar Maqaame Sidr Aur Arshe Mualla Se
Aage Badhkar Makaan Aur La Maka Ki Sair Karte Na
Dekha. Sajda E Aadam Se Mut'alliq Ibleese Laen Ne Jis
Tarah Meri Tauheed Ka Sahara Lekar Mere Mahboob Ki
Azmat Ka Munkir Hua Tha Bilkul Vahi Rawish Tumhare
Aaqao Ne Ikhtiyaar Ki. Jab Mere Mahboob Ki Azmat Ko
Ghatana Chaha To Ye Kah Diya Ki Khuda Ki Qudrat Se
Baed Nahi Agar Chahe To Muhammad Jaise Croro
Muhammad Paida Kare.
Tumhare Unhi Aaqao Ne Jab Apne Kisi Chahete Ka Gun
Gana Chaha To Ye Kah Diya-
'Khuda Ke Liye Ye To Mushkil Nahi
Ho Aalam Ka Majmooa Ek Farde Wahid'
Tumhare Aaqao Ne Meri Tauheed Ka Ailaan Kiya Ya
Imtanaye Nazeer Ka Inkaar Kiya? Wazeh Rahe Tumhare
Jaraem Ki Fehrist Bahut Lambi Hai Tum Umr Bhar Mere
Mahboob Se Ladte Rahe Aur Aaj Roza Namaz Ki Potali
Mein Apne Kaale Kartoot Lekar Samne Khade Ho. Tum Us
Deen Ke Pairoo Nahi Jo Mere Mahboob Ne Mere Bando
Ke Supurd Kiya Tha Balki Tum Log Bahut Bade Khaen Aur
Deoband Ka Naya Deen 45

Bad Dayanat Ho Tum To Us Deen Ke Pairoo Ho Jise


'Deoband Ka Naya Deen' Kaha Jata Hai Jiski Buniyad Mere
Mahboob Ke Bugz Wa Inaad Aur Dushmani Par Rakhi Gai
Hai. Is Maqaam Par Pahunch Kar Sarkar Aasi Ki Zabaan
Mein Yahi Kaha Ja Sakta Hai-
'Milne Ki Yahi Raah, Na Milne Ki Yahi Raah
Duniya Jise Kahte Hain Ajab Raah Guzar Hai'
Deoband Ka Naya Deen 46

Baab (3): Ikhtilafaat Ki Buniyadi


Haisiyat
'Khuda Gawah Bhari Anjuman Mein Mere Siwa
Koi Nahi Jo Tumhari Nazar Ko Pahchane'

Deoband Aur Bareilly Ke Buniyadi Ikhtilafaat

'Sahil Ke Sukoon Se Kise Inkaar Hai Lekin


Toofan Se Ladne Mein Maza Aur Hi Kuch Hai'

Maulana Ashraf Ali Sahab Thanvi Poori Duniya E


Deobandiyat Ke Musallam Rahnuma, Peshwa Aur Buzurg
Hain. 'Hifzul Imaan' Maulana Thanvi Ki Ek Markatul Aara
Tasneef Kahi Jati Hai Uski Hasb Zail Ibarat Mulahaza
Farmaiye Jo Gustakhi, Be Adabi Aur Tauheene Nubuvvat Ki
Munh Bolti Misaal Hai. Na Jane Is Par Kitne Munazare
Huye Ulmaye Deoband Ne Aedi Choti Ka Zor Lagaya
Magar Is Kufri Ibarat Ko Be Gubaar Na Sabit Kar Sake Aur
Na Sabit Kar Sakenge Khuda Tauba Ki Taufeeq Ata
Farmaye.
'Aap Ki Zaate Muqaddasa Par Ilme Gaib Ka Hukm Kiya
Jana Agar Baqaul Zaid Sahi Ho To Daryaaft Talab Ye Amr
Hai Ki Isse Murad Baaz Gaib Hai Ya Kul Agar Baaz Uloome
Gaib Murad Hain To Is Mein Huzoor Ki Kya Takhsees Hai?
Aisa Ilme Gaib To Zaid, Umar Balki Har Sabi Wa Majnoon
Balki Jami Haiwanaat Wa Bahaem Ke Liye Bhi Haasil Hai'.
Deoband Ka Naya Deen 47
(Hifzul Imaan 7-8)

'Hifzul Imaan' Ki Mundarza Baala Ibarat Arabi Ya


Angrezi Zabaan Mein Nahi Hai Jiske Samajhne Ke Liye
Dictionary Ya Lugat Ka Sahara Lena Pade Bahut Hi Aam
Faham Aur Rozmarra Ke Bolchal Ki Salees Aur Aasan
Zabaan Istemal Ki Gai Hai. Imaan Aur Aqeede Ki Raushani
َّ َ ‫َص َّل ہ‬
Mein Iska Faisla Keejiye Ki Aaqa E Kaynat ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َمی‬
Ke Muqabil Bachche, Pagal, Haiwanaat, Chaupaye Ka Lafz
Istemal Karna Imaan Ki Alamat Hai Ya Kufr Ki.
Guftagoo Ka Ye Sanvi Martaba Hai Ki Lafz Aisa Ma'ana
Mein Tashbeeh Ke Hai Ya Itna Ke Rasoole Khuda ‫یللا َیت َع ٰالی‬ ‫َص َّل ہ‬
َّ ٰ َ
‫ َعلیہ َیوالہ َیو َسل َمی‬Ke Muqabil Janwar, Pagal, Majnoon Ka Istemal Ye
Khud Tauheene Nubuvvat Hai Jo Mojibe Kufr Hai!
Chunanche Bhiwandi Ke Munazare Mein Jab Meine Maulvi
Irshad Ahmad Sahab Aur Maulvi Noor Muhammad Sahab
Tandvi Se Kaha Ki 'Hifzul Imaan' Ki Kufri Ibarat Ki
Buniyad Par Mein Maulana Thanvi Ki Aur Uske Jumla
Mureedin Ki Bhi Takfeer Karta Hoon Lihaza Agar Aap
Logon Ki Nazar Mein Ye Sahi Hai To Use Be Gubaar Sabit
Keejiye Lekin Kiraye Par Bulaye Gaye Deoband Ke Saare
Numainde Goonge, Bahare Hokar Khamosh Baithe Rahe Jis
Par Bhiwandi Ke Sar Bar Aawarda Deobandi Hazraat Intihai
Sarasimagi Ke Aalam Mein Sir Jhukaye Khamoshi Se Apne
Roobah Sifat Soormao Ka Tamasha Dekhte Rahe. Garz Ki
'Hifzul Imaan' Ki Ye Vo Tauheen Aamez Ibarat Hai Jis Par
Parda Dalne Ke Liye Haqqani Jaise Logon Ko Maidan Mein
Utara Gaya Taaki Vo Meelad Wa Fatiha Ki Bahaso Mein
Deoband Ka Naya Deen 48

Uljha Kar Ikhtilaaf Ki Buniyadi Kadiyon Ko Paivande


Khaak Kar De. Magar Khuda Ka Shukr Hai Ki Jab Se Hizbe
Mukhalif Ne Furooe Masael Ko Hawa Dena Shuru Kiya Us
Waqt Se Baaz Ulmaye Ahle Sunnat Ne Buniyadi Ikhtilafaat
Ko Apni Taqreer Wa Tahreer Mein Markaze Tavajjoh Bana
Liya Jisse Khatir Khwah Fayda Hua Aur Dushmanon Ka
Mansooba Khaak Mein Mil Gaya. Ham Aaj Poori Duniya E
Deoband Ko Challenge Karte Hain Agar Tum Mein Jur'at
Wa Himmat Ho To Jis Tarah Lakho Ke Majma Mein Ham
Apne Aqaed Ka Ailaan Karte Hain Tum Bhi Awaam Ki
Bhari Mahfil Mein Iska Ailaan Karo Ki Rasoole Khuda
Ma'azallah! 'Gaanv Ke Zameedar' Aur 'Chaudhary' Hain,
Vo Mar Kar Mitti Mein Mil Gaye, Unka Rutba Bade Bhai
Jaisa Hai, Unhein Peeth Peechhe Ki Khabar Nahi, Unka Ilm
Janwar, Pagal Jaisa Hai, Shaitaan Ka Ilm Unke Ilm Se Zyada
Hai, Meelade Rasool Kanhaiya Ke Janm Ka Song Hai
Wagaira Zalik. Agar Jur'at Hai To Is Challenge Ko Qubool
Karo Us Waqt Tumhein Andaza Hoga Ki Qaum Tumhara
Swagat (Welcome) Karegi Ya Tum Par Lanat Wa Fatkar
Barsayegi! 'Hifzul Imaan' Par Sair Haasil Guftagoo 'Khoon
Ke Aansoo' Mein Ki Gai Hai Agar Dekhna Ho To 'Khoon
Ke Aansoo' Ka Mutala Keejiye. Aaj Ki Suhbat Mein Hamein
Is Ibarat Par Koi Guftagoo Karni Nahi Hai Jisse Ghabra Kar
Unhone Urs Aur Meelad Ko Apna Mauzoo Banaya Hai.
Lihaza Deobandi Hazrat Jab Un Masael Par Guftagoo Karna
Chahein To Unse Yah Kah Diya Jaye Ki Meelad Wa Qyaam
Ki Guftagoo Se Pahle Mansabe Nubuvvat Aur Azmate
Risalat Par Guftagoo Ki Jaye Buniyadi Aur Aham Masael Ko
Deoband Ka Naya Deen 49

Tay Kar Lene Ke Baad Furooe Masael Ko Mauzoo E Bahas


Qaraar Diya Jayega. Itna Kah Dene Ke Baad Insha ALLAH
Ta'ala Unhein Raahe Farar Ikhtiyaar Karne Ke Alawa Aur
Koi Soorat Ban Na Padegi.
Warq Ultiye Aur Maulana Gangohi, Maulana Anbethvi
Ki Ek Aisi Dil Kharaash Ibarat Jisko Dekh Kar Shaitaan Ne
Bhi Gosha E Tanhai Ikhtiyaar Kar Li Hogi Ki Ab Mere
Janashinon Ne Mera Kaam Halka Kar Diya. Use Mulahaza
Farmaiye-
Maulana Thanvi Ki Tarah Maulana Rasheed Ahmad
Gangohi Aur Maulana Khaleel Ahmad Anbethvi Bhi
Deobandiyon Ke Muqtada Wa Peshwa Hain. Maulana
Anbethvi Ki Kitab 'Baraheene Qatia' Jo Maulana Gangohi
Ki Musaddaqa Hai, Uski Intihai Dil Kharaash Aur Qalb Wa
Jigar Ko Ghayal Karne Wali Kufri Ibarat Mulahaza Farmaiye
Jo Ahle Sunnat Ki Jalan Aur Bugz Wa Inaad Mein Shaitaan
Nawazi Ki Aainadaar Hai.
'Shaitaan Wa Yah Malkul Maut Ka Haal Dekh Kar Ilme
Muheet Zameen Ka Fakhre Do Aalam Ka Sabit Karna Shirk
Nahi To Kaun Si Nasse Qatai Hai Jisse Ek Shirk Sabit Karta
Hai'.
(Baraheene Qatia P 51)

Meelad Wa Qyaam Aur Baaz Doosre Furooe Masael Ke


Suboot Mein 'Anware Satia' Maulana Abdussami Rampuri
Alaihirrahma Ki Ek Motamad Wa Mustanad Kitab Hai Usi
Ke Radd Mein 'Baraheene Qatia' Likhi Gai Jiski Ibarat
Aapne Mulahaza Farmai Ki Deobandi Dharm Mein
Deoband Ka Naya Deen 50

Shaitaan Ko Zyadti E Ilm To Nasse Qur'ani Se Sabit Hai


َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ke Zyadti E Ilm
Magar Aaqa E Do Jahan ‫یللا َیت َع ٰال َییعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Ke Liye Qur'an Mein Koi Nass Nahi. Is Par Tamasha Yah
Ki Shaitaan Ke Liye Agar Ilm Ki Zyadti Sabit Ki Jaye To
Vah Firqa Zagiya Ke Dharm Mein Aen Imaan Aur Tauheed
Khalis Rahe Lekin Agar Mahboobe Kirdgar Ahmade
َّ َ
Mukhtaar Roohi Fidah ‫للای َت َع ٰالی َعلیہی َو ٰالہی َو َسل َ یم‬‫ َص َّلی ہ‬Ke Liye Ilm Ki

Wus'ate Zyadti Sabit Ki Jaye To Vo Shirk Khalis Ban Jaye.


Tauheed Aur Shirk Ulmaye Deoband Ke Yah Do Aise Meter
Hain Jisko Vah Mom Ki Tarah Istemal Karte Hain Jis Tarah
Mom Hathon Ka Khilauna Hai Chahe Use Gend (Ball) Ka
Rup Deejiye Ya Muk'ab Wa Shash Pahal Wagaira Banaiye
Bas Aise Hi Ye Hazraat Tauheed Wa Shirk Jaisi Buniyadi
Mas'ale Se Khel Khelte Hain. Ilm Ki Jo Zyadti Shaitaan Ke
Liye Aen Tauheed Hai, Vahi Zaydti E Ilme Rasoole Khuda
Ke Haq Mein Shirk Jaisa Ghinauna Paap Qaraar Paye.
Aawaz Do Insaaf Ko Insaaf Kahan Hai? Faisla Ahle Ilm Wa
Ahle Nazar Ke Supurd Hai. Use Fatwa Navesi Kaha Jaye Ya
Ilmi Khayanat Aur Rasool Dushmani?
Aey Kash! Ulmaye Deoband Kabhi Sanjeedgi Se Gaur
Karte Ki Rasoole Khuda Ke Sath Unka Jazba E Bugz Wa
Inaad Apne Hudood Se Kis Had Tak Mutjaviz Ho Chuka
Hai. Kahan Sayyade Aalam Ka Ilm Paak Aur Kahan Shaitaan
Mal'oon Ka Ilm? Allahu Akbar! Yah Kaisa Khatarnaak
Andaze Bayan Hai Ki Shaitaan Ke Ilm Ki Zyadti Qur'an Se
َّ َ
Sabit Hai Magar Aaqa E Do Jahan ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬‫ َص َّل ہ‬Ki Zyadti

Qur'an Mein Koi Nass Nahi Agar Zyadti E Ilm Sabit Ki Jaye
To Shirk Ho Jaye. Sach Kaha Logon Ne Jo Jiska Khata Hai,
Deoband Ka Naya Deen 51

Usi Ka Gata Hai Vah Shaitaan Ka Diya Khate Hain Aur


Ham Waseela E Mustafa Alaihittahiyatu Wassana Pate Aur
Khate Hain. Warq Ultiye Aur Imamul Wahabiya Maulvi
Ismail Dehalvi Ki Hafwaat Mulahaza Keejiye-
Maulvi Muhammad Ismail Dehalvi Jinhone Hindustan
Mein Wahabiyat Ki Daag Bel Daali Aur Muhammad Bin
Abdul Wahab Najdi Ki 'Kitabuttauheed' Ka Tarjuma
'Taqwiyatul Imaan' Ke Naam Shaya Kiya Unki Kitab 'Sirate
Mustaqeem' Ki Ek Gandi Ibarat Mulahaza Keejiye Jiske
Aaine Mein Wahabiyat Aur Deobandiyat Ki Barhana
Tasveer Nazar Aai.
'Namaz Mein Peer Aur Uske Manind Aur Buzurgon Ki
Tarah Khyaal Le Jana Agarche Janabe Risalat Ho Kitne Hi
Darjo Apne Bail, Gadahe Ke Tasavvur Mein Doob Jane Se
Badtar Hai'.
(Sirate Mustaqeem Page 75)

Mere Apne Khyaal Mein Se Ek Aisi Gair Mub'ham Aur


Wazeh Ibarat Hai Jo Tanqeed Wa Tabsara Ki Muhtaaj Nahi
Hai. Ye Kahna Ki Gaay, Bail Ke Khyaal Lane Se Namaz Ho
Jayegi! Albatta Rasoole Khuda Ka Khyaal Lana Gaay, Bail
Ke Khyaal Mein Doob Jane Se Ba Darjaha Badtar Hai
Is Ibarat Ne Aapke Numaishi Sajdon Ki Haqeeqat Be
Naqab Kar Di Ki Aap Kis Namaz Ka Prachar Karte Fir Rahe
Hain. Gali Gali Ki Khaak Chhan Ne Walo Se Agar Daryaaft
Kiya Jaye Ki Bistar Aur Jhole Mein Kya Hai? To Uska Jawab
Yah Hai Ki Usmein Namaz Hai. Sach Hai! Jiski Taqdees
Musalmanon Ke Dilo Se Nikal Kar Jhole Mein Aa Gai Ho
Deoband Ka Naya Deen 52

Use Aisa Hona Chahiye! Khuda Ka Shukr Hai Hamari


Namazein Na Bistar Mein Bandhi Jati Hain Aur Na Hi Jhole
Mein Rakhi Jati Hain Balki Namaz Khuda Ka Ek Fareeza
Hai Jisko Apne Apne Waqte Muqarra Par Ada Kiya Jata Hai.
Yah Aisi Ibaadat Hai Jo Allahu Akbar Se Salam Tak Mere
Mustafa Ki Ada Hai Jab Yah Unki Ada Hai To Yah Fareeza
Unke Tasavvur Se Kyun Kar Khali Rah Sakta Hai?
Alawa Arzi! Allahu Akbar Se Pahle Neeyat Ki Jati Hai
'Neeyat' Bhool Aur Sahv Ka Naam Nahi Hai Balki Qasad
Wa Iraada Se Mut'alliq Hai Ham Apni Neeyat Mein Yah
Kahte Hain Ki Peechhe Is Imaam Ke. Lihaza Qyaam Se
Rukoo, Rukoo Se Qyaam Aur Qyaam Se Zyada- Garz Ki
Intiqale Arkaan Mein Allahu Akbar Aur Sami Allahu Liman
Hameedah Ki Aawaz Sun Kar Ham Uska Yaqeen Rakhte
Hain Ki Yah Aawaz Usi Imaam Ki Hai Neeyat Mein Hamne
Jiska Tasavvur Kiya Tha. Ab Mujhe Kah Lene Deejiye Aaj
To Ham Apni Namazon Mein Apne Mutayyan Imaam Ka
Tasavvur Karte Hain Magar Khaleefa E Awwal Sayyadna
Aboo Bakr Siddiq, Ameerul Momineen Sayyadna Farooq
Aazam, Khaleefatul Muslimeen Usman Gani, Khaleefa E
Chaharum Sayyadna Ali Murtaza Wa Deegar As'haab
Kiraam Wa Aaemma At'haar Raziyallahu Ta'ala Anhum
َّ َ ‫َص َّلی ہ‬
Ajmaen Ke Imaam Sayyadul Mursaleen ‫للای َت َع ٰالی َعلیہی َو ٰالہی َو َسل َمی‬
Hote The.
Lihaza Agar Rasoole Khuda Ka Khyaal Lana Gaay-Bail
Ke Khyaal Mein Doob Jane Se Ba Darjaha Badtar Hai
Ma'azallah! To Farmaye Ki Vah As'haabe Kiraam Khulfa E
Rashideen Aur Aaemma At'haar Jo Aaqa E Kaynat Ki Iqtida
Deoband Ka Naya Deen 53

Mein Namazein Ada Farmate Unki Namazon Ka Kya Hashr


Hua?
Agar Hosh Wa Hawaas Ki Koi Ramaq Baaqi Rah Gai Ho
To Uska Sahara Lekar Jawab Deejiye Ki Aapke Tarkash Ka
Teer Bareilviyon Ke Seene Par Paivast Hua Ya Uske Nishane
Par Aslaaf Wa Akabir Ka Kaleja Hai. Agar Hamse Bugz Wa
Inaad Hai To Hamein Dukh Pahunchao, Galiyan Hamein
Do, Bura Hamein Kaho Aslaaf Wa Akabir Ki Namoos Se
Khelne Ki Jasarat Na Karo Yahi Vah Tumhara Jurm Hai Jise
Ham Kabhi Maaf Na Kar Sakenge.
Ab Ek Aur Nayi Ibarat Padhne Ke Liye Apne Ko Aamada
Wa Taiyar Kar Leejiye Jo Khatme Nubuvvat Se Mut'alliq
Hai-
'Panba Kuja Kuja Naham Tan Hama Daag Daag Shud'
Musalman Ise Achchi Tarah Janta Hai Ki Mas'ala E
Khatme Nubuvvat Zaruriyate Deen Se Hai Aur Uska
Munkir Kafir Hai. Ab Aaj Ke Mahaul Mein Yah Koi Nazari
Mas'ala Nahi Rah Gaya Hai Balki Fitna E Qadyaniyat Ke
Haliya Hungame Ke Baad Sawade Aazam Ne Us Firqa Ko
Asliyat Mein Shumar Karke Unke Taboot Mein Apni
Haqgoe Insaf Pasandi Ki Akhiri Keel Thonk Di Hai. Lekin
Maulana Qasim Nanotvi Jo Darul Uloom Deoband Ke
Muassis Wa Bani Hain Unhone Apni Shuhra Aafaq Tasneef
'Tahzeerunnas' Mein Mas'ala Khatme Nubuvvat Par Aisi
Zarb Lagai Jisse Qadyaniyat Ko Shah Mili Abhi Tak Uski
Taba'at Ka Silsila Jaari Hai. Ibarat Mulahaza Keejiye-
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ka
'Awaam Ke Khyaal Mein To Rasool ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َمی‬
Khatim Hona Bayi Ma'ana Hai Ki Aap Sab Mein Aakhiri
Deoband Ka Naya Deen 54

Nabi Hain Magar Ahle Faham Par Raushan Ki Taqaddum


Ya Ta'akhkhur Zamani Mein Bizzaat Kuch Fazeelat Nahi Fir
Maqaame Madah Mein Walakin Rasoolullah Wa
Khatmunnabeeyyin Kyunkar Sahi Ho Sakta Hai? Haan!
Agar Us Wasf Ko Wasfe Madah Na Kahiye To Khatmiyat
Zamani Sahi Ho Sakti Hai'.
(Tahzeerunnas Page 2-3)

Note : Mas'ala Khatme Nubuvvat Zaruriyate Deen Se


Hai Isliye Aaemma E Shariyat Ne Saaf Saaf Farma Diya Jo
Is Mas'ala Mein Sawade Aazam Ka Mukhalif Ho Vah Khariz
Az Islam Aur Kafir Hai. Lekin Khatmunnabeeyyin Ka Vah
Mafhoom Wa Ma'ana Jis Par Ijma E Ummat Ho Chuka
Hai, Use Awaam Ka Khyaal Bata Kar Uski Seesa Pighlai
Deewar Mein Maulana Qasim Nanotvi Ne Na Sirf Shigaaf
Daal Diya Balki Qadyaniyat Ka Darwaza Khol Diya. Yah
Kitni Khatarnaak Jasarat Wa Dhithai Hai Ki Ahde Risalat
Se 13 Sadi Tak Ki Ummate Muslima Khatme Nubuvvat Ke
Jis Mafhoom Wa Ma'ana Par Kulliyatan Ittifaq Kar Chuki
Ho Aur Musalmanon Se Jo Mafhoom Bataur Tawarus Ke
Must'amil Wa Muravvaj Ho Use Khule Band Awaam Ka
Khyaal Kaha Jaye Aur Gaahe Bashid Ki Koodak Nadan Ki
Aad Lekar Khatm Aur Khatme Nubuvvat Zamani Ki Do
Shaq Qayam Karke Hal Mim Mubariz Ka Challenge Kiya
Jaye Usi Par Iqtifa Nahi Balki Tavaffuq Wa Bartari Ka Nasha
Jab Apne Shabab Par Aaya To Yahan Tak Likh Diya Hawala
Mulahaza Keejiye-
َّ َ ‫َص َّل ہ‬
'Balki Agar Bilfarz Baad Zamana E Nabi ‫یللا َییت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َمی‬
Deoband Ka Naya Deen 55

Koi Nabi Paida Ho To Bhi Khatmiyate Muhammadi Mein


Kuch Farq Na Aayega'.
(Tahzeerunnas Page 33)

Yah Urdu Zabaan Ki Ek Bahut Hi Salees Aur Sada Ibarat


Hai Ise Hal Karne Ke Liye Dictionary Chahiye Aur Na Hi
Lugat Goya Mazkoora Baala Ibarat Mas'ala Khatme
Nubuvvat Ko Ek Khula Hua Challenge Hai. Khatme
Nubuvvat Zaati Aur Khatme Nubuvvat Zamani Ki Taqseem
Par Guftagoo Ka Sanvi Martaba Hai. Sabse Pahla Buniyadi
Sawal To Yah Hota Hai Ki Khatmunnabeeyyin Mutayyana
Ma'ana Ko Awaam Ka Khyaal Bata Kar Kya Maulana Qasim
Nanotvi Ne Qur'an Mein Tahreef Bilmana Ka Irtikab Nahi
Kiya? Agar Jawab Nafi Mein Hai To Tahreef Bilmana Ki
Aisi Wazaahat Keejiye Jiski Zad Mein Aapka Ikhtirai Ma'ana
Na Aa Sake Na Yah Hua Hai Na Ho Sakega! Is Mafhoom
Ko Sawal Ki Shakl Mein Is Tarah Samjha Jaye,
Maulana Qasim Nanotvi Ne Khatmunnabeeyyin Ki Jo
Tashreeh Ki Hai Poori 13 Sadi Mein Kisi Aur Ne Bhi Yah
Ma'ana Bataye Hain Ya Nahi? Agar Kisi Aur Ne Bhi Aisa
Likha Hai To Uska Hawala Pesh Keejiye. Bilfarz Agar Aapne
Hawala De Bhi Diya To Us Mafhoom Ko Maulana Nanotvi
Ka Apni Taraf Mansoob Karna Kya Sirqa Na Hoga?
Baharhaal Koi Bhi Soorat Ikhtiyaar Keejiye Aap Ek Aise
Daldal Mein Fase Hain Jisse Nikalna Mushkil Hai. Agar Kisi
Doosri Shaq Ikhtiyaar Keejiye Ki Khatme Nubuvvat Ka Yah
Ma'ana Maulana Nanotvi Ke Alawa Kisi Aur Ne Nahi
Bataya To Kya Yah Qabahat Lazim Nahi Aayegi Ki Khatme
Deoband Ka Naya Deen 56

Nubuvvat Ke Ek Mutvatir Ma'ana Ke Khilaaf Maulana


Nanotvi Ne Ek Aisa Ma'ana Banaya Hai Jo
Khatmunnabeeyyin Ke Ijmai Ma'ana Se Mutsadim Aur Us
Par Zarbkari Ki Haisiyat Rakhta Hai! Wazeh Rahe
Khatmunnabeeyyin Ki Dalalat Khatme Nubuvvat Zamani
Par Dalalat Mutaabaqi Hai Lekin Maulana Nanotvi Ne
Apni Zehani Upaj Se Jo Ek Nai Shaq Paida Ki Hai Usse
Aayat Ki Dalalat Apne Ma'ana Par Dalalat Mutaabaqi Na
Rah Jayegi Yah Ijma Ka Inkaar Hai Jiska Inkaar Kufr Hai.
Hamein Hairat Hai Ki Ulmaye Deoband Ek Taraf To
'Tahzeerunnas' Ki Is Kufri Ibarat Ki Galat Salat Taveel
Karke Maulana Qasim Bani E Deoband Ko Bilkul Masoom
Sabit Karne Ki Sae E La Haasil Karte Hain Aur Doosri Janib
Gulam Ahmad Qadyani Aur Jumla Mirzaeyon Ki Taqfeer
Karke Aam Musalmanon Mein Apna Bharam Rakhna
Chahate Hain.
Pakistani Fitna E Qadyaniyat Ke Daur Mein
'Tahzeerunnas' Kar Dhaki Chhupi Ibarat Par Bahut Se
Awaam Wa Khwas Muttala Huye Hatta Ki Khud Deobandi
Maktaba E Fikr Ke Ek Sahafi Maulana Usman Farqaleet Ne
Is Ibarat Par Badi Le De Machai. Is Ibarat Ki Raushani Mein
Maulana Usman Farqaleet Ne Ulmaye Deoband Ko Mirza
Hi Ke Katghare Mein Khada Kar Diya Itne Hi Par Iqtafa
Nahi Balki Qadyaniyon Ki Safai Mein Vo Yahan Tak Kah
Gaye Ki Qadyaniyat Ki Jad Buniyad To 'Tahzeerunnas' Ki
Yahi Ibarat Maloom Hoti Hai Jaisa Ki Unke Mazmoon Se
Samjha Jata Hai. Aakhiri Marhala Par Ek Aur Hawala
Mulahaza Farmaiye-
Deoband Ka Naya Deen 57

'Aksar Aadmi Jhoot Bolte Hain Khuda Na Bol Sake To


Aadmi Ki Qudrat Khuda Ki Qudrat Se Badh Jayegi'.
(Risala Yakrozi Page 145)

Ye Hawala Ek Mukhtasar Si Tamheed Chahata Hai Uske


Bagair Is Mas'ala Ke Samajhne Se Baaz Nazareen Ko Zahmat
Hogi! Iska Khulasa Aur Haasil Ye Hai Ki Ikhtilafaat Ki
Kadiyon Mein Ek Mas'ala Imkane Kizbe Baari Hai. Ulmaye
Deoband Ka Kahna Hai Ki Banda Jis Fel Par Qadir Ho Us
Par Khuda Ko Bhi Qadir Hona Chahiye Warna Banda Ki
Qudrate Khuda Se Badh Jayegi. Isi Khana Aur Usool Aur
Zabte Ki Raushani Mein Mazkoora Baala Ibarat Likhi Gai
Hai Uske Muqabil Ulmaye Ahle Sunnat Ka Ye Kahna Hai
Ki Kizbe Baari Ta'ala Mumtana Wa Muhal Hai. Choonki
ALLAH Us Zaat Wajibul Wujood Ko Kahte Hain Jo
Mustjama Ho Jami Sifaate Kamaliya Ko Yani Parvardigar Ki
Har Sifat Kamaal Wali Hai Uski Koi Sifat Razeel Ya Ghatiya
Darje Ki Nahi Ho Sakti.
Che Jaye Ki Jhoot! Ye To Ek Aisa Aeb Hai Ki Jhoothe
Ko Bhi Jhootha Kaha Jaye To Ladne Ko Taiyar Ho Jaye. Isi
Se Andaza Keejiye Ki Jis Qaum Ka Khuda Jhootha Hoga Vo
Khud Kis Qadr Jhoothi Hogi. Magar Hairat To Ye Hai Ki
Unke Khuda Ko Jhootha Na Kahe To Barham Ho Jaye Aur
Unhein Jhootha Kah Deejiye To Charaag Pa Ho Jaye.
Albatta Rah Gaya Ye Sawal Ki Banda Qadir Ho, Khuda
Qadir Na Ho To Bande Ki Qudrat Khuda Se Badh Jayegi
Ye Us Buniyadi Galati Ka Nateeja Hai Ki Qudrate Baari Ka
Sahi Mafhoom Hi Nahi Samjha Gaya. Baat Itni Si Hai Ki
Deoband Ka Naya Deen 58

Mahalaat Tahate Qudrate Baari Hi Nahi Hain. Maslan Agar


Ye Sawal Kiya Jaye Ki Khuda Apne Jaisa Khuda Paida Karne
Par Qadir Hai? To Har Danishwar Ka Jawab Yahi Hoga Ki
Nahi Hargiz Nahi. Isliye Ki ALLAH Ta'ala Jise Paida
Farmayega Vo Beshumar Qudrato Wala To Ho Sakta Hai
Magar ALLAH Nahi Ho Sakta Kyunki Vo ALLAH Hai Jise
Kisi Ne Paida Na Kiya Ho. Ab ALLAH Jise Bhi Paida
Farmayega Use Makhlooq Wa Banda Kaha Jayega, ALLAH
Nahi Kaha Ja Sakta. Maloom Hua ALLAH Ta'ala Ke Liye
Apne Jaisa ALLAH Paida Karna Tahate Qudrate Baari Hi
Nahi. Aise Hi Banda Apne Gale Mein Faasi Laga Ke Mar
Sakta Hai Magar Khuda Ke Liye Ye Mahalaat Se Hai Vahan
Maut Ka Koi Tasavvur Hi Nahi. Haan! ALLAH Aur Bande
Ki Qudrat Ka Un Umoor Mein Ye Farq Hai Ki ALLAH Ki
Qudrat Se Murad Qudrat Alal Khalq Hai Aur Bande Ki
Qudrat Se Murad Qudrat Alal Fel Hai. Yani Khuda Mar To
Nahi Sakta Magar Maut Ka Khaliq Zarur Hai. Banda Mar
Sakta Hai Magar Maut Ka Khaliq Nahi Hai. Samajh Mein
Aaya Khuda Qadir To Hai Magar Uski Qudrat Bahut Hi
Arfa Wa Aala Hai. Isliye Ye Ilzaam Nahi Aata Ki Bande Ke
Fel Ka Sudoor Kyunkar Hota Ye Fel To Usi Khalq Ke Tabe
Hai.
Chunanche Fatawa Razviya Jild 1 (Galiban Ye Bahas
Page 745 Se Shuru Hoti Hai. Edition Razvi Kitab Ghar)
Mein Sayyadna Imaam Ahmad Raza Fazile Bareilvy
Raziyallahu Ta'ala Anhu Ne 'Babul Aqaed' Ke Zail Mein
Mas'ala Imkane Kizb Par Guftagoo Farmate Huye Ulmaye
Deoband Ke Is Gande Aqeede Par Tareezat Pesh Ki Hain.
Deoband Ka Naya Deen 59

Yani Sayyadna Imamul Kabeer Hazrat Fazil Bareilvy


Raziyallahu Ta'ala Anhu Ka Ye Kahna Hai Banda Jis Cheez
Par Qadir Ho Us Par Khuda Bhi Qadir Hai Warna Banda
Ki Qudrate Khuda Se Badh Jayegi Is Khanasaaz Usool Par
Aapne Farmaya Fir Ek Jhooth Hi Par Kya Munhasir Hai.
Banda Jitni Cheezon Par Qadir Ho Un Tamam Cheezon Par
Khuda Ko Qadir Mana Jaye. Maslan Banda Khane Peene,
Gane Bajane, Uchhalne Koodne Wagaira Wagaira Par Qadir
Hai To Ye Saari Baatein Khuda Ke Liye Bhi Mani Jaye
Ma'azallah! Warna Banda Ki Qudrat Khuda Se Badh Jayegi.
Sayyadna Imaam Ahmad Raza Fazile Bareilvy Ne
Deobandi Aqaed Par Bataur Ilzaam Un Cheezon Ka Zikr
Farmaya. Magar Un Shatiron Ne Ye Dhindhora Peeta Ki
Aala Hazrat Fazile Bareilvy Ne Khuda Ko Galiyan Di Hain.
Is Jurm Mein Deobandi Imambade Ka Gujrati Tajiya Hi
Nahi Balki Khud Deoband Ka Safeer Wa Muballig (Maulvi
Irshad Ahmad) Bhi Range Hathon Pakda Gaya Hai Jiski
Mukhtasar Si Guftagoo Meri Kitab 'Qahare Aasmani' Mein
Aa Chuki Hai.
Ye Hain Vo Buniyadi Ikhtilafaat Jinse Deoband Aur
Bareilly Maktaba-E-Fikr Ke Do School Wujood Mein Aaye.
Ab Ulmaye Deoband Apni Unhi Khurafat Ko Chhupane Ke
Liye Salam Wa Qyaam Aur Urs Wa Fatiha Ki Aad Lekar
Apne Munh Ki Kalik Dhona Chahate Hain. Sunniyon Ko
Chaukanna Rahna Chahiye Salam Wa Qyaam Ki Bahas
Mein Na Uljha Jaye Balki Hamesha Akabire Deoband Ki
Kufriyat Ko Mauzoo E Guftagoo Banaya Jaye Insha ALLAH
Ta'ala Qadam Qadam Par Kamyabi Hogi. Do Munhe Saanp
Deoband Ka Naya Deen 60

Jinki Dogli Policy Hai, Unhein Poori Bedardi Se Paanv Ki


Thokar Se Raund Diya Jaye Isi Mein Amaan Wa Salamati
Hai!
'Shikaste Jaam Wa Meena Par To Ek Hungama Barpa Hai
Jo Maikash Chal Base Hain Unka Maatam Kyun Nahi
Saaqi'
Deoband Ka Naya Deen 61

Baab (4): Ulmaye Deoband Ki Dushnam


Tarazi
Aur
Badzubani Wa Gaali Galauj Ke Chand Namoone

'Koi Unki Qaba Ki Bandishon Ko Kuch Nahi Kahta


Mera Jauqe Junoon Hi Muft Mein Badnam Hota Hai'
Ahle Sunnat Wa Jama'at Par Deobandiyon Ke Sabb Wa
Shatam (Gaali Galauj) Aur Jaarehana Hamle Ke Chand
Namoone (Bagair Kisi Tabsara Ke)
'Bak Gaya Junoon Mein Kya Kya Kuch
Kuch Na Samjhe, Khuda Kare Koi'

Kutte : Un Pet Ke Kutton Ne Shuru Shuru Mein Akbar Ke


Daur Mein Khoob Maze Kiye.
(Aaina E Sadaqat Page 33)
Kafir : Nabi Ko Jo Hazir Wa Nazir Kahe Bila Shaq Shara'a
Usko Kafir Kahe.
(Jawahar Ul Qur'an Page 73)
Bid'ati : Logon Ne Hazaron Bid'atein Nikali Hain Chand
Bid'atein Ye Hain- Pukhta Qabr Banana, Qabro Par
Gumbad Banana, Dhoom Dhaam Se Urs Karna.
(Talimul Islam Hissa 4 Page 18)
Gair Muslim : Agar Bareilly Mein Ek Bhi Haqeeqi
Musalman Hota To Aaj Tamam Bareilly Musalman Hoti.
(Izaafatil Yomiya Jild 3 Page 185)
Deoband Ka Naya Deen 62

Dajjal : Us Bareilly Ke Istdalal Ke Batlaan Ka Jo Ki Usne


Apne Daawe Ke Liye Qaayam Kiya Hai, Usse Zahir Ho
Gaya Ki Us Dajjal Ke Istdalal Unke Nazdeek Batil Hain.
(Shahaabe Saqib Page 3)
Mushrik : Aadmi Mazaron Par Chadarein Aur Gilaf Bhejte
Hain Aur Uski Mannat Mante Hain. Chadarein Chadhana
Mana Aur Jis Aqeede Se Log Aisa Karte Hain, Vo Shirk
Hain.
(Bahishti Zevar Jild 6 Page 62)
Kameena : Kya Aisi Kameeni Harkatein Ek Musalman Ek
Aalime Deen Ki Shaan Hai.
(Charage Sunnat Page 147)
Yahoodi : Koi Qadri, Koi Soharwardi, Koi Naqshbandi,
Koi Chishti Hai 'Aey Qaulahoo' Yahood Wa Nasara Ki
Tarah.
(Taqwiyatul Imaan, Tazkirul Ikhwan Page 79)
Kanjriyon Se Ta'alluq : Us Napak Ki Giroh Se
Ta'alluqaat Ki Ustwari Par Bhi Gaur Farmaiye.
(Bareilly Mazhab Page 9)
Mirzaiyon Se Bure : Ye To Mirzaiyon Se Bure Hain.
(Bareilly Mazhab Page 18)
َّ ٰ َ َ ٰ َ َ ‫َ َّ ہ‬
Jungli Janwar : Aap ‫یعلیہ َیوالہ َیو َسل َ ی‬
‫م‬ Ke Balo Par Jaan
‫صلیللایتعال‬
Dene Wale Musalman, Aapke Qadam Ke Nishan Ko Poojne
Wale Musalman Aise Milenge Ki Agar Shariyate
َّ َ ‫ َص َّلی ہ‬Ki Koi Sahi Baat Kisi
Muhammadiya ‫للای َت َع ٰالی َعلیہی َو ٰالہی َو َسل َمی‬
ALLAH Wale Se Sunte Hain To Is Tarah Bhaag Khade Hote
Hain Jis Tarah Jungli Janwar Jaan Chhudakar Bhaag Khade
Hote Hain.
Deoband Ka Naya Deen 63
(Shariyat Ya Jahalat Page 209)
Yahoodi : Un Yahoodiyon Ke Naqshe Qadam Par Chalne
Wale Aaj Aksar Musalman Hi Hain. Ishqe Rasool Ka Daawa
Karne Wale Musalman, Mohabbate Rasool Ka Dam Bharne
Wale Musalman, Ya Rasoolullah Ka Naara Lagane Wale
Musalman. Alakh.
(Shariyat Ya Jahalat Page 209)

Jeb Bharoo Pet Bharoo : Un Yahoodiyon Aur Nasraniyon


Ki Taqleed Aaj Hindustan Mein Aksar Jagah Jeb Bharoo Aur
Pet Bharoo Maulvi Kar Rahe Hain. Khud Bhi Gumrah Ho
Rahe Hain Aur Doosron Ko Gumrah Kar Rahe Hain.
(Shariyat Ya Jahalat Page 338)

Ilm Se Kore : Ye Saara Qusoor Jeb Bharoo Peer Aur Pet


Bharoo Maulviyon Ka Hai Kyunki Ye Log Ilm Se Kore
Hain.
(Shariyat Ya Jahalat Page 352)
Shia : Shi'eyat Ki Tarah Bareilviyat Bhi Yoohi Samjhiye Ki
Jaise Shi'eyat Ki Buniyad Chand Gair Zaruri Bahasein Hain,
Usi Tarah Bareilviyat Ki Asal Alakh.
(Fatawa Aala Hazrat, Matbooa Maktaba Ziya Ul Deoband Page 5)
Mahwaari : Aur Ye Sab Un Mut'addid Aur Mustakil
Risalon Ke Alawa Hai Jo Mukhtalif Makamaat Se
Mahwaari(*) Taur Par Nikalte Hain.
(Deoband Se Bareilly Tak Page 12)
*Yah Bhi Sha'oor Nahi Ki Mahana Likha Jaye Ya Mahwaari
Sach Hai Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte Nahi.
Deoband Ka Naya Deen 64

Dareeda Dahan : Bareilvy Khan Sahab Kis Dareeda


Dehani Ke Sath Unki Imamat Ke Muddai Hain.
(Bareilly Ka Naya Deen Page 34)
Mujdiddul Bid'aat : Bil Aakhir Mujdiddul Bid'aat Khan
Sahab Bareilvy Ne Ek Jhurjhuri Li Alakh.
(Ibnul Waqt Ki Khana Talashi Page 66)
Shaitane Laen Ki Shirkat : Shaitane Laen Ki Shirkat Wa
Maeyyat Mein Mubtala Kar Diye Gaye.
(Aala Hazrat Ka Huqqa Shareef)
Ye Chand Misalein Is Tarah Di Gai Hain Goya Khalihan
Ke Chand Daane. Agar Unki Jumla Khurafat Ko Ikattha
Kiya Jaye To Vo Khud Mustqilan Ek Zakheem Kitab Ho
Jaye. Sabiq Sadre Deoband Maulana Husain Ahmad Tandvi
Ne Apni Kitab 'Ashshahabussaqib' Mein Shaheere Arab Wa
Ajam Faqeeh Aazam Sayyadna Imaam Ahmad Raza Fazile
Bareilvy Raziyallahu Ta'ala Anhu Ko 640 Galiyan Di Hain
Uske Bavajood Ilzaam Hamare Sir Hai Ki Sunni Hazraat
Galihar Hote Hain.
Deoband Ki Vo Machinery Bahut Hi Fa'aal Wa
Mut'harrik Hai Jo Ulmaye Ahle Sunnat Ke Khilaaf Bataur
Propoganda Istemal Ki Ja Rahi Hai. Had To Ye Hai Ki
'Shabistan' Jaise Afsanvi Digest October 74 Isvi Ke Shumare
Mein Maulana Usman Farqaleet Ne Sayyadna Imaam
Ahmad Raza Par Zorhana Hamla Kiya Hai. Mas'ala E
Qadyaniyat Par Guftagoo Karte Huye Janab Ye Ta'assur
Dena Chahate Hain Ki Musalman Ki Tareef Bas Ye Hai Jo
Apne Ko Musalman Kahe, Vo Musalman Hai! Afsos Ye Hai
Ki Maulana Usman Farqaleet Ko Ulmaye Deoband Ki
Deoband Ka Naya Deen 65

Kitabon Ke Mutala Ka Mauqa Nahi Mil Saka Agar Kitabon


Par Nazar Hoti To Apne Akabir Ke Qalam Ka Ahatram
Unhein Itna Bebaak Wa Jarri Na Banata.
Aaj Se Barsaha Baras Peshtar Ulmaye Deoband Mirza
Gulam Ahmad Qadyani Aur Mirzaeyon Ki Takfeer Kar
Chuke Hain (Ashaddul Azaab). Agar Kisi Ka Musalman Kah
Dena Musalman Hone Ke Liye Kafi Ho Jaye To Zaruriyate
Deen Aur Imaan Wa Aqeede Se Amaan Uth Jayega. Zabaan
Se Apne Ko Musalman Kahe Aur Zaruriyate Deen Ka Inkaar
Karta Rahe Aisi Soorat Mein Qanoon Ki Giraft Itni Dheeli
Ho Jayegi Ki La Qanooniyat Aam Ho Jayegi Aur Anarki
Faili Jayegi.
Kahna Ye Hai Ki Kahan 'Shabistan' Jaisa Digest Aur
Kahan Sayyadna Imaam Ahmad Raza Ko Tanzan Mujaddid
Bareilvy Kahkar Ye Sabit Kiya Jaye Goya Vo Kufr Ki
Machine Gun Liye Baithe The. Maulvi Noor Muhammad
Tandvi Jaise Galihar Se Lekar Maulana Usman Farqaleet
Jaisa Sahafi Bareilviyat Ko Nishana Banane Mein Ek Hi Saf
Mein Khade Hain. Mahsoos Hua Us Hammam Mein Sabhi
Nange Hain-
'Vo Gaali Dete Hain Shikwa Karo To Kahte Hain
Kisi Ka Zikr Nahi Hai, Kisi Ka Naam Nahi'
Deoband Ka Naya Deen 66

Baab (5): Shah Wasi Ullah Sahab Ki


'Tauqirul Ulma' Ka Tanqeedi Jayza
'Khoon Ke Chheente Pade Daman Pe Qatil Kis Tarah
Qatl Hone Mein Koi Bismil Agar Tadpa Nahi'

Ek Haqeeqat Jo Jhutlai Na Ja Sake:


'Majboor Hoon Ki Waqt Hai Ifshaye Raaz Ka
Go Mein Ye Janta Hoon Ki Nazuk Zamana Hai'
Allahabad : Uttar Pradesh Ka Ek Tareekhi Wa Markazi
Shahar Hai Jo Na Sirf Ganga Wa Jaman Ka Sangam Balki
Hamesha Mulki Siyasat Aur Asri Uloom Ka Bhi Sangam
Raha. Is Tarah Ke Shaharon Ko Mulk Ki Mukhtalif Partiyon
Ne Hamesha Apna Markaze Tavajjoh Banaya Hai.
Bhala Deobandiyat Ka Sazishi Zehan Kab Chook Sakta
Tha Usne Bhi Allahabad Ko Apne Nishane Par Rakha Aur
Barson Thanvi Sahab Ke Khaleefa Wasi Ullah Sahab Ka
Gaybana Propoganda Hota Raha. Jab Zameen Saazgar Ho
Gai To Unhein Allahabad Mad'oo Kiya Gaya. Is Silsile Mein
Propogande Ke Jitne Bhi Achche Bure Tareeqe Ho Sakte
Hain Vo Sab Ke Sab Hathiyar Istemal Kiye Gaye. Maslan
Gorakhpur, Kopa, Maunath Bhanjan Se Aane Wale Baraah
Raast Shah Sahab Ke Paas Na Jate Balki Shahar Ke Das Bees
Darwazon Par Ja Kar Daryaaft Karte. Hazrat Azeemul Barkat
Hamare Shah Sahab Qibla Kahan Tashreef Rakhte Hain?
Jab Log Apni La Ilmi Ka Izhar Karte To Vo Log Khade Ho
Deoband Ka Naya Deen 67

Kar Shah Sahab Ka Khutba Padhte Ki Vo Aise Hain Aur


Aise Hain! Intihai Afsos Ka Maqaam Hai Ki Aap Log Itne
Qareeb Rah Kar Unse Faizyab Nahi Hote Hamein Dekhiye
Ham Saikdon Meel Se Chale Aa Rahe Hain. Garz Ki Isi
Tarah Mukhtalif Darwazon Ki Pheri Laga Kar Propoganda
Ka Haq Ada Kar Lene Ke Badshah Sahab Ki Khidmat Mein
Pahunchte. Halanki Unhein Maloom Hota Ki Shah Sahab
Kahan Rahte Hain Lekin Shahar Mein Mushtahar Karne Ka
Ye Ek Mazboot Hathiyar Tha.
Isi Tarah Alahida Alahida Logon Se Kahte Ki Hamare
Shah Sahab Ki Majlis Mein Tashreef Le Chalein Aur Yah
Israar Kabhi Kabhi Baaz Logon Ke Liye Hadde Nagawari Ko
Pahunch Jata. Magar Unhein To Is Majlis Ke Naam Par Bad
Aqeedgi Ka Zahare Halahal Pilana Tha, Dilon Se Ishqe
َّ َ ‫ ) َص َّلی ہ‬Ka Chirag Bujha Kar Apni
Mustafa (‫للای َت َع ٰالی َعلیہی َو ٰالہی َو َسل َ یم‬
Aqeedgi Ka Naya Chirag Jalana Tha. Chunanche Ittiba E
Sunnat Aur Inhidam Shirk Wa Bid'at Ke Naam Par Masnad
Aarasta Ki Gai Aur Rasoole Kareem Ka Deewana Saada Lauh
Sunni Musalmanon Is Aawaz Par Deewana Waar Chal Pada.
Is Gareeb Ko Kya Maloom Tha Ki Yahan Nabiyon Ka
Daman Chhuda Kar Apne Ulma Ke Qadamon Par Jhukaya
Jata Hai. Isi Jazbe Ke Tahat To Maulana Aashiq Ilahi Merthi
Ne Likha Hai Ki 'Maulana Thanvi Ke Paanv Ko Dho Kar
Pi Lena Najaate Ukhravi Ka Sabab Hai'. Aakhirash! Yahi
Niyazmandi Sarkare Gaus Wa Sayyadna Khwaja, Hazrat
Husain Wa Hazrat Ali Raziyallahu Ta'ala Anhum Ki Bargah
Mein Kyun Nahi Hai? Garz Ki Yah Propoganda Dheere
Dheere Ek Azeem Fitne Ka Roop Ikhtiyaar Kar Gaya. Jab
Deoband Ka Naya Deen 68

Sar Se Uncha Hota Nazar Aaya To Makhdoome Girami


Aala Martabat Hazrat Maulana Alhaj Muhammad
Naimullah Khan Alaihirrahma Se Na Dekha Gaya Khuda E
Qadir Un Ki Qabro Par Rahmaton Ke Phool Barsaye Aur
Unki Zarri Khidmaat Ka Behtareen Sila Ata Farma Kar
Unke Amsaal Paida Farmaye Aameen.
Jab Hazrat Mamdooh Ne Allahabad Ke Sunni Awaam
Ko Aagah Karne Ke Liye Ek Ishtihar Shay Karaya Jiska
Khulasa Yah Tha Ki Shah Wasi Ullah Sahab Sunni Nahi
Balki Deobandi Hain Bas Is Ishtihar Ka Nikalna Tha Ki
Sunni Awaam Chaukanna Ho Gaye Aur Shah Sahab Ke
Yahan Ki Makami Bheed Bhaad Chhat Gai. Isi Uljhan Wa
Beqarari Mein 'Tauqirul Ulma' Naam Ka Kitabcha Shay
Kiya Gaya Jismein Se Sirf 24 Hawalajat Liye Gaye Hain
Taaki Munasabat Baaqi Rah Jaye. Agle Safhaat Mein Aap
Unke Hawalajat Mulahaza Farma Kar Khud Farmaye Ki Jab
Awaam Mein Badzani Paida Hui Aur Apni Aabroo Khatre
Mein Nazar Aai To 'Tauqirul Ulma' Likh Kar Izzat Wa
Waqar Ki Girti Hui Deewar Ko Kis Tarah Sahara Diya Gaya
Jo Takriban 32 Safhaat Ka Mazmoon Kitabcha Nahi Balki
Kafir Banane Ki Ek Factory Hai Yah Maqaam Tha Kuch
Likhne Ka Magar!

'Kya Kahein Maslahate Waqt Ne Pakdi Hai Zubaan


Warna Aey Dost! Bade Shokhe Byaa Hai Ham Log'

Wazeh Rahe Deobandiyat Apni Kitabon Se Nahi Failti


Balki Yah Apno Mein Se Kisi Ko Muntakhab Karne, Usi Ko
Deoband Ka Naya Deen 69

Marza E Khalaek Banate Hain Aur Iski Tareef Wa Tauseef


Mein Zameen Wa Aasmaan Ke Kulabe Mila Kar Use
Mafooqul Ba Shariyat Ka Martaba Dete Hain. Ab Aap Worq
Ultaiye Aur Kafir Saaz Factory Ke Kuch Namoone Mulahaza
Farma Kar Andaza Keejiye Ki Jo Log Kahte Hain Ki 'Kafir
Ko Kafir Na Kaha Jaye' Vah Khud Kafir Banaane Mein
Kitne Shatir Aur Mashshaq Hain.

Kafirgar Ya Bazigar
Tanqeedi Jayza

'Lahoo Se Shaheedon Ke Koocha Tera


Tamasha Gah Karbala Ho Gaya'

1. Jo Shakhs Kisi Aalime Deen Se Bagair Kisi Sababe


Zahiri Ke Bugz Wa Adawat Rakhe To Us Par Kufr Ka
Andesha Hai. Mein Kahta Hoon Ki Na Sirf Yah Ki Andesha
Hai Balki Yah Ki Kufr Hai.
(Tauqirul Ulma Page 4)

Tabsara : Mujhe Daryaaft Karne Deejiye Agar Aalime


Deen Se Bugz Wa Inaad Rakhna Kufr Hai To Jinke Dilo
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ki Adawat Ka Laava
Mein Aaqa E Do Jahan ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Sulag Raha Hai Unke Haq Mein Aanjanib Ka Darul Ifta Kya
Kah Raha? Sunni Awaam Wa Khwas Ulmaye Deoband Se
Jo Ijtinab Wa Gurez Karte Hain Vah Aalime Deen Hone Ki
Buniyad Par Nahi Balki Shatime Nabi Aur Dushmane
Rasool Hone Ki Buniyad Par. Choonki Ahle Sunnat Ka
Deoband Ka Naya Deen 70

Amal 'Al Hubbu Fillahi Wal Bugzu Fillah' Ka Aainadaar


Hota Hai. Ham ALLAH Ki Muhabbat Mein Kisi Se Milte
Hain Aur ALLAH Hi Ki Muhabbat Mein Kisi Se Alag Hote
Hain.

2. Mahaz Is Wajah Se Is Aalim Se Adawat Hai Ki Vah


Shariyat Ki Tarveej Karta Hai, Achchi Baaton Ka Hukm
Karta Hai Aur Buri Baaton Se Logon Ko Rokta Hai Aur Jo
Shakhs Shariyat Ka Inkaar Kare Vah Kafir Hai.
(Tauqirul Ulma Page 4)

Tabsara : Shah Wasi Ullah Sahab Ba Gumane Khwesh


Yah Samajhte The Ki Vah Achchi Baaton Ko Riwaaj Dete
Hain Aur Buri Baaton Se Rokte Hain Halanki Aisa Nahi
Tha Balki Vah Deobandi Kufriyat Aur Hafwaat Ke Muballig
The Usi Wajah Se Sunni Awaam Wa Khwas Unse Kat Gaye
The Aur Unki Majlis Mein Jana To Darkinaar Soorat Bhi
Nahi Dekhna Chahate The. Sunniyon Ka Yah Amal
ALLAH Aur Uske Rasool Ki Muhabbat Mein Tha.

3. Aur Anbiya Alaihissalam Ki Ihaanat Aur Istikhfaaf Ka


Kufr Hona Zahir Hai Pas Sharib 'Lab Kutrana' Jo Ki Sab
Anbiya Ki Sunnat Hai Iski Taqbeeh Goya Anbiya Ki
Taqbeeh Hui Kyunki Yah Unki Sunnat Hai Aur Iski
Taqbeeh Kufr Hai.
(Tauqirul Ulma Page 5)

Tabsara : Baja Farmaya Aapne Sunnate Anbiya Ki


Deoband Ka Naya Deen 71

Tauheen Kufr Hai Magar Yah To Irshad Farmaiye Ki Khud


Nabi Ki Tauheen Karna Kya Hai Kufr Ya Islam?

4. Lab Kutrana Aur Amama Ke Neeche Kinare Ko


Thuddi Ke Neeche Se Bandhna Bahut Mayoob Maloom
Hota Hai To Yah Kahne Wala Kafir Ho Jayega. (Page 5)
Tabsara : Kufr Ki Machine Gun Andha Dhundh Chal
Rahi Hai Khwah Uske Nishane Par Kisi Ka Bhi Kaleja Aaye.

5. Jo Shakhs Bataur Sakhriya (Mazaq) Ke Muallim Ke


Sath Tashaabah Ikhtiyaar Kare Aur Hath Mein Chhadi
Lekar Bachchon Ko Maare Goya Muallime Qur'an Ka
Mazaq Uda Raha Hai To Kafir Ho Jayega.
(Tauqirul Ulma Page 6)

Tabsara : Kisi Ki Aankh Mein Tinka Dekhne Walo!


Deoband Ki Aankh Ka Shahteer Kyun Nahi Dekhte? Agar
Muallime Qur'an Ki Tauheen Kufr Hai To Khud Jis Par
Qur'an Nazil Hua Unki Tauheen Ka Anjaam Kya Hai?

6. Log Sharab Ki Majlis Mein Hain Ek Shakhs Unmein


Se Unchi Jagah Par Baith Kar Hansi Mazaq Ki Baatein
Byaan Karta Hai Aur Mujakkir (Zakir Aur Waez) Ki Naql
Utaar Raha Hai Aur Khud Bhi Hansta Hai Aur Log Bhi
Hans Rahe Hain To Ye Sab Kafir Ho Jayenge.
(Tauqirul Ulma Page 6)

Tabsara : Is Sadgi Par Kaun Na Mar Jaye Aey Khuda!


Deoband Ka Naya Deen 72

Shah Sahab Waez Ki Waaz Ka Naql Utaarne Wale Agar


'Kafir' Ho Jayenge To Jo Log Apne Ko Rasoole Khuda Ke
Misl Kahte Hain Unka Anjaam Kya Hoga? Vahan Wasf Ki
Mushabahat Hai Aur Yahan Zaat Ki.
Apne Ko Rasoole Khuda Ki Misl Kahne Mein Langde-
Loole, Andhe, Kaane, Sharabi, Juaari Asli Nakli Sabhi Hain.

7. Muallime Qur'an Ka Ist'haza Kufr Hoga.


(Tauqirul Ulma Page 6)
Tabsara : Ab To Deoband Aur Thanabhavan Se Kufr Ki
Machine Gun Chal Padi Hai Use Kaun Roke?

8. Waez Bhi Minjumla Ulma Ke Hain Aur Anbiya


Alaihissalam Ke Naeb Hain Lihaza Unki Bhi Ihaanate
Anbiya Ki Ihaanat Hogi Isliye Kufr Hai.
(Tauqirul Ulma Page 6)
Tabsara : Aap Hazraat Se Aisi Hi Ummeed Hai Ki
Nayabe Rasool Ko Sir Par Bithaiye, Kaleja Lagaiye Magar
Rasoole Khuda Ko Bada Bhai Kah Kar Unse Kandha Milaiye
Khuda Aisi Samajh Dushman Ko Bhi Na De.

9. Koi Shakhs Kisi Aalim Ki Majlis Se Wapas Aaya To


Doosre Logon Ne Kaha Ye Girje Wagairah Se Aa Raha Hai
To Ye Bhi Kufr Hai. (Page 7)
Tabsara : Kahne Ka Nahi Samajhne Ka Farq Hai.

10. Jis Kisi Shakhs Ne Kisi Aalim Ko Owailam Kah Kar


Ya Kisi Alvi Ko Aleevi Kah Kar Yani Sega E Tasgeer Ke Sath
Deoband Ka Naya Deen 73

Tahqeeran Kaha Aur Maqsood Iska Istikhfaaf Hai, Kafir Ho


Jayega. (Page 7)
Tabsara : Hazrat Naseh Zara Ye To Farmaiye Ki Aalim
Ka Owailam Kahne Wala Kafir Ho Jayega Magar Aaqa E Do
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ko Apne Jaisa Bashar,
Jahan Roohi Fidah ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Bada Bhai, Mar Kar Mitti Mein Milne Wala Aur Unke Ilme
Paak Ko Janwar, Pagal Aisa Kahne Wala Musalman Raha Ki
Kafir?

11. Kisi Shakhs Ne Kisi Aabid Se Kaha Baitho Ji, Bas


Karo Bahut Zyada Ibaadat Na Karo, Jannat Ke Us Paar
Nikal Jaoge Ya Aisa Na Ho Ki Kahi Jannat Se Aage Nikal
Jao To Kafir Ho Jayega Kyunki Ye Us Aabid Aur Uski
Ibaadat Ka Ist'haza Aur Mazaq Udata Hai. (Page 7)
Tabsara : Magar Ye To Farmaiye Agar Aisa Namazi Ho
Ki Thanvi Sahab Ke Tasavvur Kar Lene Se Namaz Mein
Uska Zyada Dil Lagta Hai Agar Use Kaha Jaye To Janab Ka
Darul Ifta Kya Bolta Hai?

12. Jis Shakhs Ne Kisi Aalim Ke Baare Mein Ye Kaha Ki


Agar Falan Qibla Ya Jehate Qibla Bhi Ho Jaye To Mein
Unki Janib Tavajjoh Nahi Karunga To Kafir Ho Jayega.
(Page 7)
Tabsara : Shah Sahab Bas! Shah Sahab Hi Rah Gaye Apni
Shakhsiyat Ki Pooja Paat Karane Ka. Guloo Is Had Tak
Tajavuz Ho Chuka Hai Ki Vo Is Haqeeqat Ko Bhool Gaye
Ki Ye Ta'alluq Bil Muhal Ki Misaal Hai Maqsade Qibla Ya
Jehate Qibla Ki Tanqees Nahi Hai Balki Shah Sahab Se
Deoband Ka Naya Deen 74

Intihai Nafrat Wa Bezari Ka Izhar Maqsood Hai. Agar


Kheechtane Maan Bhi Liya Jaye To Ye Aalime Deen Ke Liye
Hoga, Na Ki Shatime Rasool Aur Aalame Rozgar Ke Liye.

13. Jis Shakhs Ne Kisi Saaleh Shakhs Se Ye Kaha Ki


Tumse Milna Mere Nazdeek Suar Se Milna Hai To Us Par
Kufr Ka Andesha Hai Jab Ki Uske Aur Iske Mabain Koi
Deeni Ya Duniyavi Jhagda Na Ho.(Page 8)
Tabsara : Saaleh Aur Deeni Jhagda Ki Qaid Ne Ibaarat
Ko Wazeh Aur Be Gubar Bana Diya Hai. Maloom Hua Gair
Saaleh Ya Jisse Deeni Jhagda Hua Use Aisa Kahne Mein Koi
Muzaeqa Nahi! Chaliye Kuch Kahne Ki Sanad To Mil Gai
Ab Aainda Shikayat Na Keejiyega Halanki Hamein Kahna
Nahi Hai.

14. Koi Shakhs Unchi Jagah Par Baitha Aalim Ki Naql


Karte Huye Aur Log Aa Aa Kar Bataure Mazaq Aur Istihaza
Ke Isse Masael Daryaaft Karte Hain Fir Usko Takiya
Wagaira Se Marte Hain Aur Aapas Mein Khoob Hanste
Hain To Is Harkat Ki Wajah Se Sab Ke Sab Kafir Ho
Jayenge. (Page 11)
Tabsara : Kafir Saazi Ki Is Taveel Fehrist Ke Baad Ab Ye
To Nahi Kah Sakte Ki Kafir Ko Kafir Na Kahna Chahiye.
Bareilly Ne Rasoole Khuda Ke Mujrimon Par Kufr Ka
Sharai Fatwa Diya To Ek Qiyamat Barpa Ki Gai Aur Jab
Apni Aabroo Khatre Mein Nazar Aai To 'Tauqirul Ulma'
Likh Kar Saari Duniya Kafir Banai Ja Rahi Hai.
Deoband Ka Naya Deen 75

15. Koi Aalim Apni Fiqh Wagaira Ki Kitab Kisi Shakhs


Ki Dukan Par Rakh Kar Kahi Chala Gaya Wapas Aaya Aur
Idher Se Guzra To Dukandar Ne Kaha Ki Maulana Apni
Aari Yahan Bhool Gaye Hain Aalim Ne Kaha Ki Tumhare
Yahan Mein Ne Kitab Rakhi Hai Aari To Nahi Rakhi,
Dukandar Ne Kaha Are Ek Hi Baat Hai Badhai Aari Se
Lakdi Kat'ta Hain Aur Log Is Kitab Se Logon Ka Gala Kat'te
Hain Ya Unka Haq Kat'te Hain. Aalim Ne Imaam Fazli Se
Shikayat Ki Unhone Us Shakhs Ke Qatl Kiye Jane Ka Hukm
Diya Isliye Ki Fiqh Ki Kitab Ka Istikhfaaf Karke Vo Murtad
Ho Gaya Tha Aur Murtad Ki Saza Qatl Hai. (Page 11)
Tabsara : Jis Kitab Aur Jis Aalim Se Mut'alliq Ye Hukm
Lagaya Gaya Hai Vo Sola Aana Sahi Hai Magar Sawal To Ye
Hai Ki Agar Yah Kaha Jaye Ki Ulmaye Deoband Apni
Kitabon Se Imaan Ka Gala Kat'te Hain To Us Par Kya
Hukm Hai? Is Zail Mein Aanjanab Ne Iska Iqraar Kar Hi
Liya Ki Murtad Ki Saza Qatl Hai. Ganeemat Janiye Ahde
Farooqi Nahi Warna Janab Hi Ka Fatwa Aur Janab Hi Ka
Sir Hota.

16. Jis Shakhs Ne Kaha Ki Shara'a Wagaira Se Mujhe


Kuch Fayda Nahi Aur Na Mere Nazdeek Vo Nafiz Hai To
Kafir Ho Jayega.
(Tauqirul Ulma Page 11)
Tabsara : Kitab Likhne Se Pahle Hi Shah Sahab Faisla
Kar Chuke The Ki Aaj Kufr Saazi Factory Mein Na To
Bandook Ki Kartoos Baaqi Rahegi Aur Na Hi Top Ka Gola
Bas Bumbard Karne Se Kaam.
Deoband Ka Naya Deen 76

17. Kisi Ke Samne Shariyat Ka Zikr Aaya Usko Sunkar


Usne Qasdan Aur Takallufan Dakara Ya Makrooh Qism Ki
Koi Aawaz Nikaali Jaise Kisi Cheez Ko Bura Aur Makrooh
Samajhte Huye Aadmi Munh Banata Hai Aur Aawaz
Nikaalta Hai Aur Kaha Ye Hai Shara'a To Kafir Ho Jayega.
(Page 12)
Tabsara : Agar Aqle Saleem Salamat Hoti To Aap Aasani
Se Ye Faisla Kar Lete Ki Jab Shariyat Ka Maqaam Itna Nazuk
Hai To Mansabe Risalat Wa Nubuvvat Kitna Nazuk Hoga.
Isliye Kaha Jata Hai Is Bargah Mein Qadam Foonk Foonk
Ke Rakhna Chahiye.
'Adab Gaahe Ast Jere Aasman Az Arshe Nazuk Tar'

18. Kisi Shakhs Se Kaha Gaya Utho, Jao Ya Aao! Chalein


Majlise Ilm Mein Us Par Usne Kaha Ye Log Jo Baatein
Byaan Karte Hain Kaun Un Par Amal Kar Sakta Hai? Ya Ye
Kaha Ki Mujhe Ilme Deen Ki Majlis Se Kya Lena, To Kafir
Ho Jayega. (Page 12)
Tabsara : Jab Allahabad Ke Sunniyon Par Zahir Ho Gaya
Ki Shah Sahab Deobandi Hain To Unki Mahfil Mein Jana
Chhod Diya Aur Jane Walo Ko Rokna Shuru Kiya Bas Unhi
Haalat Se Mut'assir Ho Kar 'Tauqirul Ulma' Likhi Gai.
Sunni Na Danista Fareb Khata Hai Magar Jaan Boojh Kar
Saanp Ke Bil Mein Ungli Nahi Dalta.

19. Jis Shakhs Ne Kisi Se Kaha Ki Ilme Deen Ki Majlis


Mein Na Jao Agar Tum Gaye To Tumhari Beevi Haraam
Ho Jayegi Ya Us Par Talaaq Pad Jayegi To Kafir Ho Jayega.
Deoband Ka Naya Deen 77

(Page 12)
Tabsara : Choonki Shah Sahab Ki Naam Nihaad Deeni
Majlis Sajai Jati Thi Hoshmand Sunni Na To Khud Jate Aur
Na Hi Doosre Sunniyon Ko Jane Dete Isliye Is Fatwa Ka
Dena Zaruri Tha.

20. Agar Kisi Ne Kaha Ki Ek Pyala Sareed Ka Ilm Se


Badhkar Hai To Kafir Ho Jayega. (Page 13)
Tabsara : Jo Chahe Aapka Husn Karishma Saaz Kare.

21. Isi Tarah Se Agar Kisi Ne Fatwa Ko Zameen Par Fenk


Diya Bataur Ihaanat Ke To Kafir Ho Jayega. (Page 13)
Tabsara :
'ALLAH Re Khud Saakhta Qanoon Ka Nairang Jo Baat
Kahein Fakhr Vahi Baat Kahi Nang'
'Hifzul Imaan' Ki Kufri Ibaarat Ka Fatwa Naqabile
Qubool Magar Aapki Kufr Saaz Factory Saari Duniya Ko
Kafir Bana Rahi Hai.

22. Jis Shakhs Ne Ihaanate Shariyat Ki Ya Un Masael Ki


Jinki Shariyat Mein Zarurat Padti Hai To Kafir Ho Jayega.
(Page 13)
Tabsara : Shariyat Ya Sharai Masael Ki Tauheen Karne
Wala To Kafir Ho Jayega Magar Sayyadul Kaunain ‫یللا َیت َع ٰالی‬ ‫َص َّل ہ‬
َّ ٰ َ
‫ َعلییہ َیوالہ َیو َسل َ ی‬Ki Tauheen Karne Wala 'Hakeemul Ummat' Aur
‫م‬
'Musleh Ummat' Kaha Jayega.
'Jo Chahe Aapka Husn Karishma Saaz Kare'
Deoband Ka Naya Deen 78

23. Jo Shakhs Kisi Ke Tayammum Karne Par Hasa To


Kafir Ho Jayega. (Page 13)
Tabsara : Bas Shah Sahab Itna Kahna Bhool Gaye Jo
Meri Baat Na Mane Vo Bhi Kafir Ho Jayega.

24. Jis Shakhs Ne Kaha Ki Mein Na Halaal Janoo Na


Haraam Aur Uski Murad Ye Hai Ki Un Donon Mein Kuch
Farq Nahi Hai Ya Haraam Ko Bhi Halaal Aur Halaal Ko Bhi
Haraam Janta Hoon To Kafir Ho Jayega.
(Tauqirul Ulma Page 13)
Tabsara : Use Deobandiyon Ke Siwa Aur Koi Nahi
Kahta. Deobandiyon Ka Kahna Hai Murga Ho Ya Kauvva,
Gurda Ho Ya Kapoora, Deewali Ki Poodi Kachaudi Ho Ya
Hinduo Ke Piyao Ka Pani Ham Halaal Haraam Kuch Nahi
Jante Hamein To Khane Peene Se Matlab. Is Aaine Mein
Shah Sahab Ko Apni Aur Apne Sathiyon Ki Tasveer Nazar
Aai Thi.

Note : Itni Sareeh Aur Wazeh Ibaarat Ke Baad Ab Is


Mauzoo Ko Tool Dena Nahi Hai. Nazareen Khud Faisla Kar
Sakte Hain Ki Aalim, Muallime Qur'an Deeni Majlis Aur
Tayammum Wagaira Ki Tanqees Karne Wala Jab Kafir Ho
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ki
Jata Hai To Aaqa E Kaynat Roohi Fidah ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Tauheen Karne Wala Kyun Musalman Rah Sakta Hai? Uske
Kafir Hone Pe Jo Shubaha Kare Vah Khud Kafir Ho Jayega.
Jis Inbisaat Wa Inshraahe Sadr Se Mazkoora Baala Hazraat
Ki Takfeer Ki Gai Hai Usi Wus'ate Qalb Aur Farakhi E Dil
Se 'Hifzul Imaan' 'Baraheene Qatia' Aur 'Tahzeerunnas' Ke
Deoband Ka Naya Deen 79

Musannifeen Ki Taqfeer Kyun Nahi Ki Jati? Unhein Kafir


Likhne Aur Kahne Mein Qalam Kyun Toot Jata Hai Aur
Zabaan Mein Luknat Kyun Nahi Aa Jati Hai? Kya Sirf Isliye
Ki Rasoole Khuda Ki Tauheen Karne Wale Aapke Apne
Hain Aur Aap (Shah Sahab) Ko Wahabi, Deobandi Samajh
Kar Nafrat Karne Wale Ajmer Wa Bahraich Ke Niyazmando
Mein The.
'Tauqirul Ulma' Ki Isha'at Ne Is Usool Ki Tauseeq Kar
Di Ki Mudafa'at Har Fard Wa Jama'at Ka Apna Aaini Haq
Hai. Bas Isi Tarah Bargahe Risalat Mein Ulmaye Deoband
Ki Gustakhi Wa Dareeda Dehani Ke Jawab Mein Ulmaye
Ahle Sunnat Ki Kitabein Jarhiyyat Nahi Balki Mudafa'at Ki
Aainadaar Hain. Unhone Bhi Apna Dastoori Haq Istemal
Kiya Hai Jisko Na Koi Chheen Sakta Hai Aur Na Us Par
Koi Pahra Bitha Sakta Hai. Albatta Ulmaye Deoband Par Ye
Sawal Hamesha Baaqi Rahega Ki Jise Apne Baare Mein
Tauheen Ya Ib'haame Tauheen Tak Ko Nahi Bardasht Kar
Sakte Vo Aaqa E Kaynat Sayyade Aalam Roohi Fidah ‫یللای‬ ‫َص َّل ہ‬
َّ ٰ ََ ٰ ََ
‫یعلیہ َیوالہ َیو َسل َ ی‬
‫م‬ ‫ تعال‬Ki Tauheen Karne Walo Ke Samne Goonge
Bahare Kyun Ho Gaye Hain?
Unki Ganda Wa Kufri Ibaarat Ki Be Mahal Wa La Haasil
Taveel Wa Taujeeh Se Apni Aaqibat Kyun Barbad Kar Rahe
Hain? Km Az Km Awaam Se Yahi Kah Dete Ki Ye Hamare
Peshwa Wa Buzurg Hain, Ustad Aur Peer Hain, Hamein
Khamosh Rahne Do Tum Un Kufri Ibaarat Ki Taed Wa
Himayat Na Karo. Agar Ye Itna Hi Kah Dete To Ye Fitna
Ek Chhote Se Halqe Mein Mahdood Rah Jata Aam
Musalmanon Mein Iftraaq Wa Intishar Ki Ye Aag Na
Deoband Ka Naya Deen 80

Bhadakti Aur Hamare Ittihad Wa Ittifaq Ka Sheeraza


Muntashir Na Hota Magar Yahan Ka Ye Haal Hai Ki Khud
Bhi Doobenge Aur Yaar Ko Le Doobenge. Aaj Ka Musalman
Tabahi Wa Barbadi Ke Jis Nazuk Tareen Daur Se Guzar
Raha Hai Aur Mahaul 'Taqwiyatul Imaan' 'Hifzul Imaan'
'Tahzeerunnas' Aur 'Baraheene Qatia' Jaisi Kitab Ki Isha'at
Nahi Chahata. Aaj Ka Musalman Aisa Sehatmand Literature
Chahata Hai Jismein Musalmanon Ke Zehan Wa Fikr Ki
Tatheer Karke Unhein Khalis Tameeri Zehan Diya Jaye
Taaki Vo Asri Taqazon Ko Poora Kar Sakein Aur Apni Nasl
Ke Liye Aisi Shama Raushan Kar Dein Jo Aandhiyon Ki Zad
Mein Bhi Salamat Rah Sake.
Aap Khud Faisla Keejiye Hifzul Imaan, Tahzeerunnas,
Baraheene Qatia, Taqwiyatul Imaan Jaisi Kitab Jo Kufriyat
Wa Khurafat Se Bharpoor Hain Khud 'Taqwiyatul Imaan'
Ke Musannif Ko Iska Aitraaf Hai Ki Is Kitab Ki Isha'at Ke
Baad Musalmanon Mein Jhagda Hoga Aaj Unhi Kitabon Ki
Taba'at Mein Deoband Ka Press Din Raat Masroof Hai.
Agar Aapke Aglo Se Galti Ho Gai To Km Az Km Aap Un
Galtiyon Ka Irtikab Na Karke Apne Hi Ko Mahfooz Kar
Lein. Mein Aap Hazraat Se Munsifana Daryaaft Karna
Chahata Hoon Ki Rasoole Khuda Ko Musalmanon Se 'Ganv
Ka Zameendar' Aur 'Chaudhary' Kahalwa Kar Deen Wa
Duniya Ki Kaun Si Sa'adat Ikattha Kar Rahe Hain?
Gireban Mein Munh Daal Ke Socho To Tauheede Khalis
Ke Prachar Ka Ye Kitna Bhadda Aur Bhonda Tareeqa E Kaar
Hai Ki Sayyadul Mursaleen Shafiul Muznabeen Mahboob
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ki
Kirdigar Ahmade Mukhtaar Roohi Fidah ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َییو ٰالہ َیو َسل َمی‬
Deoband Ka Naya Deen 81

Izzat Wa Hurmat Se Khel Khela Jaye Aur Use Tauheede


Khalis Ka Naam Diya Jaye. Km Az Km Ibleese Laen Hi Ki
Bulfuzooli Aur Na Rawa Jasaarat Se Aap Hazraat Sabaq
Haasil Karte Vo Bhi To Bazahir Tauheede Khalis Hi Ka
Dhong Rachana Chahata Tha. Magar Chashme Zadan Mein
Raanda E Dargah Kar Diya Gaya Hazrat Aadam Ke Inkare
Sajda Par Vo Nawaza Kyun Nahi Gaya?
Kya Aap Is Haqeeqat Se Inkaar Kar Sakte Hain Ki Is
Inkaar Aur Lab Wa Lehaza Mein Mahboobe Khuda Ki
Tauheen Ho Rahi Thi? Bas Iska Jawab Dena Tha Ki Jalal
Baari Ne Apne Giraft Mein Liya Ek Lamha Pahle Jo
Muallimul Mulook Tha Ab Vahi Kaynat Ki Badtareen
Makhlooq Ho Gaya Aur Ab Abdul Aabad Tak Us Par Lanat
Barsai Jayegi.
Naseehat Pazeeri Ke Liye Ye Waqia Bahut Kafi Hai.

Tauheede Khalis Ke Prachar Mein Ibleese Laen Ki


Jasaarat Aur Dhithai Vahi Na Dekhiye Balki Usi Ke Muqabil
Sunnate Ilaahiya Par Gaur Keejiye Ki Mahboobe Khuda Ki
Tauheen Wa Tanqees Karne Wale Ka Anjam Kya Hota Hai?
Khuda E Wahdahoo La Shareek Ke Is Faisle Ne Wazeh Kar
Diya Ki Jis Tarah Gairate Baari Ye Gawara Nahi Karti Ki
Uski Zaat Wa Sifaat Mein Kisi Doosre Ko Shareek Kiya Jaye
Isi Tarah Uski Mahboob Nawazi Wa Banda Parwari Bhi Ye
Pasand Nahi Karti Ki Uske Mahboobon Ki Bargah Mein
Akadfoo Baghari Jaye. Jab Kisi Gustakh Wa Dareeda Dahan
Ne Aisi Himaqat Ki Hai To Jalale Baari Ne Aise Roosiyah
Ko Hamesha Ke Liye Mujrimon Ke Katghare Mein Khada
Deoband Ka Naya Deen 82

Kar Diya Hai. Chunanche Kohe Safa Par Paigambare Khuda


َّ ٰ َ ٰ َ َ ‫َ َّ ہ‬
‫ال َیعلیہ َیوالہ َیو َسل َمی‬‫ صلیللایتع‬Ne Jab Kuffare Makka Ko Islam Ki Dawat
Di To Aboo Lahab Ne Gaiz Wa Gazab Mein Ye Kaha Tha
Jiska Tarjuma Ye Hai:
"Too Barbad Ho Ja Kya Hamein Isi Baat Ke Liye Jama
Kiya Tha?"
Bas Isi Buniyad Par Soorah 'Tabbat Yada' Nazil Hui.
Chunanche Saheehain Mein Iski Shane Nuzool Yahi Batai
Gai Hai? Khuda E Qadir Farmata Hai:
"Tabah Ho Jaye Aboo Lahab Ke Donon Hath Aur Vo
Tabah Ho Hi Gaya".
(Soorah Lahab, Aayat 1)

Gaur Karne Ka Maqaam Hai Aboo Lahab Ne Bas Ek Hi


Martaba Kaha Tha Magar Khuda E Zuljalal Ne Aisi Soorah
Nazil Farmai Ki Rozana Lakh Ha Lakh Musalman Soorah
'Tabbat Yada' Ki Tilaawat Kar Ke Aboo Lahab Ki Halakat
Wa Barbadi Ki Dua Karta Hai. Isi Zail Mein Sunnate
Ilaahiya Ki Yaad Taza Karta Hai Ki Agar Uske Mahboob Ki
Kisi Zalim Roosiyah Badbatin Ne Ek Baar Badgoe Ki Hai
To Qudrat Ne Croro Musalmanon Ko Us Par Musallat Kar
Diya Hai. Iske Dardnaak Azaab Ko Dohrate Rahein Taaki
ALLAH Ke Bande Isse Ibrat Wa Moezat Haasil Kar Sakein.
Mein Ye Bhi Daryaaft Karna Chahata Hoon Ki Deoband Ne
Kabhi Sada E Ahtejaj Buland Ki, Ki Aboo Lahab Ne To Ek
Hi Baar Kaha Ab Rozana Soorah 'Tabbat Yada' Kyun Padhi
Ja Rahi Hai? Yahi Se Ek Zabta Samajh Mein Aa Gaya Ki Jab
Mahboob Ko Koi Bura Kahta Hai To Jawab Mahboob Nahi
Deoband Ka Naya Deen 83

Muhibb Deta Hai. Chunanche Qur'ane Haqeem Mein Iski


Ek Do Nahi Mut'addid Nazeer Aur Misalein Hain Maslan
َ ‫َص َّل ہ‬
Agar Kisi Dareeda Dahan Ne Sarware Kaunain ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہی‬
َّ
‫ َو َسل َ ی‬Ko Ma'azallah! Majnoon, Kah Diya To Uske Jawab
‫م‬
Mein Khudavand Quddoos Ne Farmaya:
"Qalam Aur Un Ke Likhe Ki Qasam Tum Apne Rab Ke
Fazl Se Majnoon Nahi".
(Soorah Qalam, Aayat 1-2)

Rab Ne Ye Ishara Farma Kar Apne Mahboob Ko Tasalli


Di. Aise Hi Soorah Wazzuha, Soorah Kausar Wagaira Bahut
َّ
Si Sooratein Wa Aayat Sarware Kaunain ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
َ ‫ َص َّل ہ‬Ki

Tamaniyat Wa Taskeen Ke Liye Nazil Ki Gai. Is Maqaam


Par Agar Fikre Buland Wa Zehan Rasa Se Kaam Liya Jaye
To Ye Dastoor Samajh Mein Aata Hai Ki Ahde Risalat
Nuzoole 'Wahi' Ka Daur Tha Us Waqt Agar Kisi Dareeda
َّ َ
Dahan Ne Sayyade Aalam ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬ ‫ َص َّل ہ‬Ki Bargah Mein

Gustakhi Ki To Khuda E Wahdahoo La Shareek Ne Jawab


De Kar Dawedarane Muhabbat Wa Aashiqane Mustafa
Alaihittahiyatu Wassana Ki Shahraah Mutayyan Kara Di Ki
Silsila Nuzoole 'Wahi' Khatm Hone Ke Baad Agar Koi Mere
Mahboob Ki Bargah Mein Gustakhi Kare To Us Ahad Ke
Khush Aqeeda Musalmanon Ki Zimmedari Hai Ki Vo
Zabaan Ka Jawab Zabaan Aur Qalam Ka Jawab Qalam Se
De Kar Sunnate Ilaahiya Ki Yaadgar Taza Karein Aur
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ki Jur'at Wa Bebaki Ko
Shatimane Mustafa ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Apni Gairate Muhabbat Ke Haq Mein Khula Hua Challenge
Tasavvur Karein. Isliye Aaj Ke Daur Mein Agar Ulmaye Ahle
Deoband Ka Naya Deen 84

Sunnat, Ulmaye Deoband Ki Tauheen Aamez Ibaarat Ka


Jawab De Rahe Hain To Un Par Ilzame Fasaad Nahi Kyunki
Vo Na Sirf Mudafa'at Kar Rahe Hai Balki Sunnate Ilaahiya
Ki Adayegi Ki Bhi Sa'adat Haasil Kar Rahe Hain.
Ulmaye Deoband Se Hamari Aakhiri Guzarish Hai Ki
Agar Unki Qaum Wa Jama'at Mein Kuch Aise Afraad Ho
Jo Anbiya Aur Rasool Ko Ilaah (Mabood) Ka Darja Dete Ho
To Unki Tatheer Zehan Ke Liye Aise Mufeed Literature
Shay Kiye Jayein Jismein Tasavvure Ilaah Ke Khadd Wa
Khaal Kuch Is Tarah Ujagar Kiye Jayein Ki Tauheene
Nubuvvat Ka Shaeba Tak Na Aane Paye.
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ke Ilme
Che Jaye Ki Aaqa E Do Jahan ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Mubarak Ko Janwar, Pagal, Majnoon Aisa Kah Ke Apni
Aaqbat To Barbad Ki Jaye Doosron Ko Apna Ham Aqeeda
Bana Kar Unhein Bhi Jahannam Ka Eindhen Banaya Jaye.
Musalamanon Ko Sharab Aur Jua Se Bachna, Cinema Aur
Doosri Buraiyon Se Door Rakhna, Unhein Namazi Aur
Parhezgaar Banana Ye Sab Achche Bhale Kaam Hain. Magar
Ye To Farmaiye Ki Musalmanon Se Ye Kahalwana Ki
Namaz Mein Rasoole Khuda Ke Khyaal Lane Se Namaz Jati
Rahegi, Sarware Kaunain Mar Kar Mitti Mein Mil Gaye,
Unka Ilm Janwar Pagal Aisa Hai, Vo Zameendar Aur
Chaudhary Jaise Hain Usmein Musalmanon Ke Sath Kaun
Si Khair Khwahi Hai! Waqt Ke Jo Taqaze Hain Use To Aap
Poora Nahi Karte Albatta Apne Makrooh Wa Ganda Aur
Kufri Ibaarat Ki Isha'at Se Musalmanon Ka Sheeraza
Muntashir Kar Rahe Hain. Khudara! Musalmanon Par Taras
Khaiye Aur Anbiya Wa Auliya Ki Bargah Ke Jo Niyazmand
Deoband Ka Naya Deen 85

Hain Apni Khanasaaz 'Taqwiyatul Imaani' Tauheedi Ka


Galat Sahara Lekar Unke Imaan Wa Aqeede Par Din
Dahade Daka Na Daliye!
Ham Is Mulk Mein Ek Khuli Hui Kitab Hain Ajmer Wa
Bahraich Ham Raat Ki Tareekhi Nahi Balki Din Ke Ujale
Mein Jate Hain.
'Mujhe Rok Sakta Hai Koi To Roke Ki Chhup Kar Nahi
Barmala Ja Raha Hoon'
Ab 'Tauqirul Ulma' Ki Raushani Mein Aapko Apna
Aakhri Faisla Karna Hai Ki Kafir Ko Bhi Kafir Na Kaha Jaye
Ya Kafir Ko Kafir Hi Kaha Jaye?
'ALLAH Re Buto Ki Talavvun Mizajiyan Haan Haan!
Ghadi Mein Hai To Ghadi Mein Nahi Nahi'
Deoband Ka Naya Deen 86

Baab (6): Ulmaye Deoband Ki Chand


Muntashir Wa Aham Ibaarat Par Ek
Taerana Nigah
'Jino Ko Khud Nahi Maloom Apni Kaar Farmai
Hua Kya Aastanon Ko Garebanon Pe Kya Guzri'

Bareilly Walo Ke Peechhe Deobandiyon Ki


Namaz Ho Jati Hai:
Hawala Mulahaza Farmaye-
'Ek Shakhs Ne Maulana Thanvi Se Poochha Ki Ham
Bareilly Walo Ke Peechhe Namaz Padhein To Namaz Ho
Jayegi Ya Nahi? Farmaya Haan! Ham Unko Kafir Nahi
Kahte Agarche Vo Hamein Kahte Hain'.
(Majalisul Hikmat Page 215)
Aawaz Do Irshad Ko! Irshad Kahan Hai?

Deoband Ke Muballig Wa Commission Agent Maulana


Irshad Ahmad Jinhein Shohrat Pasandi Ke Jazbe Ne Aql Wa
Khird Ka Deewaliya Bana Diya Unhein Chahiye Ki Vo Is
Haq Bolti Ibaarat Ko Hirze Jaan Banaye Aur Apni Yawagoe
Se Baaz Aaye Ho Sake To Deoband Ke Darwaze Par Use
Kunda Kar Dein.
Maloom Hua Bareilviyon Ke Peechhe Deobandiyon Ki
Namaz Ho Jati Hai Magar Deobandiyon Ke Peechhe
Bareilviyon Ki Namaz Nahi Hoti Lihaza Mas'ala E Imamat
Mein Jahan Kahi Bhi Ikhtilaaf Ho Vahan Bareilly Imaam
Deoband Ka Naya Deen 87

Mutayyan Kiya Jaye. Choonki Donon Ki Namaz Uske


Peechhe Ho Jayegi Ikhtilaaf Khatm Karne Ka Munasib Aur
Munsifana Tareeqa Yahi Hai.

Wahabi Be Adab Ko Kahte Hain:


Hawala Mulahaza Farmaiye-
'Thanvi Sahab : Bid'ati Ke Ma'ani Hain Ba Adab Be
Imaan Aur Wahabi Ke Ma'ani Hain Be Adab Ba Imaan'.
(Ifazatulyaumiya, Jild 4 Page 81 Wa Jild 3 Page 166)

Pata Nahi Qalam Fisal Gaya, Zubaan Fisal Gai Kuch Bhi
Ho, Bole Hain Magar Samjhe Nahi! Apne Aur Apne
Sathiyon Ke Baare Mein Uska To Iqraar Kar Hi Liya Ki
Wahabi Be Adab Ko Kahte Hain. Iska Faisla To Aasani Se
Kiya Ja Sakta Hai Ki Imaan Wa Adab Mein Choli Daman
Ka Rishta Hai Ya Be Adabi Se Imaan Ka Bejod Paivand Hai.
Ab Aane Wala Hawala Mulahaza Farmaiye Jisse Maulana
Thanvi Ki Sarisht Wa Fitrat Ka Sahi Andaza Hoga.

Saari Duniya Ko Wahabi Banane Ka Program:


Hawala Mulahaza Farmaiye-
'Thanvi Sahab : Agar Mere Paas 10,000 Rupya Ho Sab
Ki Tankhah (Salary) Kar Doo Fir Khud Hi Sab Wahabi Ban
Jaye'.
(Ifazatul Yaumiya Jild 3 Page 67)
Abhi Guzishta Hawala Mein Aap Hazraat Ne Mulahaza
Farmaya Ki Maulana Thanvi Be Adab Ko Wahabi Kahte
Hain Ab Is Zauq Ko Daad Deejiye Ki Maulana Thanvi Ko
Deoband Ka Naya Deen 88

Be Adabi Is Had Tak Mahboob Wa Pasandida Hai Ki


Tankhah De Kar Saari Duniya Ko Wahabi Banana Chahate
The Unki Zindagi Mein Ye Aarzoo To Na Poori Ho Saki
Magar Maulvi Ilyas Kandhalvi Bani E Tabligi Jama'at Ne
Isse Fayda Uthaya. Omra Ki Tankhahe Mutayyan Karke
Poore Mulk Mein Iska Jaal Bichha Diya Riyakari Ka Aalam
Ye Hai Ki Chana, Sattoo Sath Mein Magar Sab Ke Sab
Tankhahdar Mulazim Hain Goya Be Adab Banane Ki Ek
Mukammal Sazish Ka Doosra Naam Tabligi Jama'at Hai.

Sahi Aqaed Madare Najaat Hain:


Hawala Mulahaza Farmaiye-
'Shah Abdurraheem Dehalvi : Sahi Aqaed Madare Najaat
Hain Aamaal Madare Najaat Nahi'.
(Usool Dawat Wa Tablig Page 64)

Shah Abdurraheem Dehalvi Jo Tabligi Jama'at Ke


Sargaram Rukn Rah Chuke Hain Unka Irshad Aapne
Mulahaza Farmaya Ab Maulana Thanvi Ke Khaleefa Shah
Wasi Ullah Sahab Fatahpoori Se Mulaqat Keejiye-
'Shah Wasi Ullah Sahab Khaleefa Thanvi Ek Surkhi :
Amal Se Zyada Imaan Ka Ahatmam Chahiye. Chunanche
Amal Mein Bilfarz Agar Khaami Aur Kami Bhi Rah Jaye To
Kaam Chal Jayega Lekin Imaan Ki Kami To Nahi Poori Ki
Ja Sakti! Alakh'.
(Tauqirul Ulma Page 18)
Mundarja Baala Hawalajat Ki Raushani Mein Tabligi
Jama'at Se Mutalba Kiya Jaye Ki Jab Aapke Akabir Ka Ye
Deoband Ka Naya Deen 89

Kahna Hai Amal Se Zyada Imaan Ka Ahatmam Kiya Jaye


Aur Sahi Aqaed Madare Najaat Hain! Aamaal Madare
Najaat Nahi To Aap Hazraat Imaan Wa Aqeede Ki Tablig
Kyun Nahi Farmate?
'Kuch To Hai Jiski Pardadari Hai'
Kya Imaan Wa Aqeede Ki Talqeen Sirf Delhi Ki Chilla
Khane Mein Hoti Hai? Ab Hamare Awaam Ki Zimmedari
Hai Ki Jahan Kahi Tabligi Wafd Mil Jaye Unhein Wasi
Ullah Sahab Fatahpuri Aur Shah Abdurraheem Sahab
Dehalvi Ki Kitab Ka Hawala Dekar Unse Imaan Wa Aqeede
Ki Tashreeh Karai Jaye Choonki Ye Donon Hazraat Maulvi
Ilyas Kandhalvi Hi Ke Ham Mashrab Wa Ham Maslak
Hain. Mulk Ke Tamam Hi Musalmanon Ko Gaur Karna
Chahiye Ki Aakhirash Tabligi Jama'at Apne Daure Mein
Imaan Wa Aqeede Ki Tashreeh Kyun Nahi Karti? Imaan Wa
Aqeede Ke Liye Delhi Ka Farzi Chilla Khana Hi Kyun
Mutayyan Kiya Gaya Hai.

Kafir Ko Kafir Hi Kaha Jaye:


'Kufr Toota Khuda Khuda Kar Ke'
Hawala Mulahaza Farmaiye-
'Maulana Rasheed Ahmad Gangohi : Magar Bhai
Shariyat Ka Hukm Hai Ki Kafir Ko Kafir Kaho. Isliye Banda
Ko Tameel Mein Uzr Kya? Jis Par Alamate Kufr Dekhenge
Ham To Use Kafir Samjhenge Aur Kafir Hi Kahenge'.
(Tazkirturrasheed Hissa 2 Page 196)
Doosra Hawala Mulahaza Farmaiye-
'Maulana Murtaza Hasan Darbhangi : Jo Kafir Ko Kafir
Deoband Ka Naya Deen 90

Na Kahe Vo Khud Kafir Hai'.


(Ashaddul Azaab Page 13)
Ulmaye Deoband Ke Stage Se Aksar Ye Baat Kahi Jati
Hai Ki Kafir Ko Kafir Na Kaho Is Betuke Ailaan Ke Hasb
Zail Chand Fawaed Hain-
1. Is Ailaan Ke Baad Awaam Ko Ye Fareb Dena Chahate
Hain Ki Ham To Khule Kafir Ko Kafir Nahi Kahte Magar
Sunni Hazraat Ham Lambi Dadhi Walo Ko Bhi Kafir Kahte
Hain Goya Bheegi Billi Ban Kar Vo Apne Haq Mein Raay
Aamma Ko Hamwaar Karna Chahate Hain. Magar Khuda
Ka Shukr Hai Ki Hoshmand Wa Danishwar Sunniyon Ne
Lambi Dadhi Ke Sath Unke Dil Ka Chor Bhi Pakad Liya
Hai Isliye Ab Unka Daav Pech Nahi Chal Pata. Alawa Arzi
Us Ailaan Se Ulmaye Deoband Doosra Fayda Ye Uthana
Chahate Hain.
2. Ki Agar Awaami Zehan Ne Is Zabte Ko Qubool Kar
Liya Ki Kafir Ko Bhi Kafir Nahi Kahna Chahiye To
Deobandi Ji Bhar Ke Tauheene Nubuvvat Bhi Karta Rahega
Magar Baehama Use Musalman Hi Kaha Jayega. Tanqeese
Risalat Aur Tauheene Nubuvvat Ko Aam Karne Ka Ye Ek
Chor Darwaza Hai. Khuda E Qadir Tamam Musalman Ko
Is Fitne Se Mahfooz Wa Mamoon Rakhe Aameen.

Sayyadna Imaam Ahmad Raza Aashiqe Rasool


The:
'Mat Sahal Hamein Jaano Firta Hai Falak Barason
Tab Khaak Ke Parde Se Insaan Nikalta Hai'
Hawala Mulahaza Farmaiye-
Deoband Ka Naya Deen 91

'Maulana Thanvi : Mumkin Hai Un Maulana Ahmad


Raza Khan Ki Mukhalafat Ka Sabab Waqai Hubbe Rasool
Hi Ho'.
(Asharfussawaneh Hissa 1 Page 129)
Ragda Jhagda Karte Karte Kisi Nek Sa'at Mein Dil Ka
Darwaza Khul Gaya Aur Ek Haq Baat Zabaan Par Aa Hi Gai
Goya Ye Bhi Aala Hazrat Raziyallahu Anhu Ki Ek Khuli Hui
Karamat Hai. Mundarja Baala Ibaarat Apni Bharpoor
Tawanaiyon Se Pukar Rahi Hai Ki Fazile Bareilvy Ka
Ikhtilaaf Kisi Iqtidar Ya Muasirana Khalish Ke Tahat Nahi
Tha Balki Ulmaye Deoband Ki Tauheen Aamez Ibaarat Itni
Hi Dil Aazar Thi Ki Us Par Kisi Aashiqe Rasool Ka
Muhasaba Wa Muvakhaza Ek Amr Na Guzer Tha.
Chunanche Yahi Vo Daeya Hai Jisne Maulana Thanvi
Ko Ye Kahne Par Majboor Kiya Ki Ho Sakta Hai Maulana
Ahmad Raza Khan Sahab Ki Mukhalafat Ka Sabab Hubbe
Rasool Hi Ho. Is Haq Bolti Ibaarat Se Deobandiyon Ko
Sabaq Haasil Karna Chahiye Ki Khud Maulana Thanvi
Sayyadna Imaam Ahmad Raza Ko Muhibbe Rasool
Samajhte The.

Maulana Muhammad Zakariya Aur Maulana


Manzoor Nomani Wahabi Hain:
'Chaman Mein Kante Bhi Rakhte Hain Ek Maqaam Aey
Dost Faqat Gulo Se Hi Gulshan Ki Aabroo To Nahi'
Hawala (1)
'Maulana Manzoor Nomani :
Isi Ke Sath Hamne Ye Bhi Arz Kiya Ki Aur Agar Aisa Na
Deoband Ka Naya Deen 92

Ho To Thode Dino Baad Ye Saara Majma Muntashir Ho


Jayega Aur Khud Apne Baare Mein Bhi Safai Arz Karte Hain
Ki Ham Bade Sakht Wahabi Hain Hamare Liye Is Baat
Mein Khaas Kashish Nahi Hogi Ki Yahan Hazrat Ki Qabre
Mubarak Hai, Ye Masjid Jismein Hazrat Namaz Padha
Karte The Aur Ye Hujra Hai Jismein Hazrat Raha Karte
The'.
(Sawaneh Maulana Muhammad Yoosuf Dehalvi Page 191-192)
Maulvi Ilyas Kandhalvi Ke Marzulmaut Mein Maulana
Manzoor Nomani Ki Jo Guftagoo Maulana Zakariya Se Hui
Thi Ismein Nomani Sahab Ne Ye Kaha Tha. Ab Maulana
Zakariya Ka Jawab Mulahaza Farmaiye-

Hawala (2)
'Maulana Muhammad Zakariya :
Maulvi Sahab! Mein Khud Tum Se Bada Wahabi Hoon
Tumhein Mashwara Deta Hoon Ki Hazrat Chacha Jaan Ki
Qabr Aur Hazrat Ke Hujra Ke Dar Wa Deewar Ki Wajah Se
Yahan Aane Ki Koi Zarurat Nahi'.
(Swaneh Hazrat Maulana Muhammad Yoosuf Page 193)
Maulana Zakariya Aur Maulana Manzoor Nomani
Tabligiyon Ke Sarkheele Jama'at Aur Muqtada Wa Peshwa
Hain. Lihaza Jahan Kahi Bhi Tabligi Jama'at Mil Jaye To
Un Hawalajat Ki Raushani Mein Aap Unse Daryaaft
Farmayein Ki Aapke Peshwa To Wahabi Hain Farmaiye Aap
Log Apne Ko Kya Kahte Hain? Namaz Roza Ki Baat To
Baad Mein Hogi Pahle Ye Faisla Ho Jana Chahiye Ki Aap
Log Bhi Wahabi Hain Ya Nahi? Maulana Thanvi Ke Hawale
Deoband Ka Naya Deen 93

Se Ye Sabit Ho Chuka Hai Ki Wahabi Be Adab Ko Kahte


Hain. Lihaza Khule Lafzon Se Kah Deejiye Ki Ba Fazlihi
Ta'ala Ham Log Bargahe Risalat Ke Adab Aashna Hain Aur
Hamara Seena Ishqe Rasool Ka Madeena Hai Aap Log Apni
Be Adabi Ka Tokra Saharanpur, Deoband Thanabhavan
Wagaira Lekar Chale Jaiye Insha ALLAH Ta'ala Ye Aisa
Sanjeeda Aur Muskat Jawab Hoga Ki Sunte Hi Tabligiyon
Ke Kaleje Ka Khoon Paani Ho Jayega.

Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi Zalim,


Baagi, Khoonkhar, Fasiq Tha:
'Aaj Ye Kaisa Inqalaab Aaya
Aapki Aur Ashkbaar Aankhein'
Hawala Mulahaza Farmaiye-
'Maulana Husain Ahmad Tandvi :
Sahibo! Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi Ibtadaye
13vi Sadi Mein Najd (Arab) Se Zahir Hua Aur Choonki
Khyalate Batila Aur Aqaede Fasida Rakhta Tha Isliye Usne
Ahle Sunnat Wa Jama'at Se Qatl Wa Kitaal Kiya Aur Unko
Biljabr Apne Khyalat Ki Takleef Deta Raha, Unke Amwaal
Ko Ganeemat Ka Maal Aur Halaal Samjha Kiya, Un Ahle
Sunnat Ke Qatl Ko Baese Sawab Wa Rahmat Ka Shumar
Karta Raha, Ahle Harmain Ko Khusoosan Aur Ahle Hijaaz
Ko Umooman Usne Takleef Shaqqa Pahunchai, Salfe
Saleheen Aur Ittiba Ki Shaan Mein Nihaayat Gustakhi Wa
Be Adabi Ke Alfaaz Istemal Kiye, Bahut Se Logon Ko Be
Wajah Uske Takaleef Shadeeda Ke Madeena Munavvara Aur
Makka Muazzama Chhodna Pada Aur Hazaron Aadmi Uski
Deoband Ka Naya Deen 94

Fauj Ke Hathon Shaheed Ho Gaye. Alhaasil Vo Ek Zalim,


Baagi, Khoonkhar, Fasiq Shakhs Tha'.
(Ashshahabussaqib Page 50)
Maulana Tandvi Ki Mundarja Baala Ibaarat Angrezi Ya
Sanskrit Zabaan Mein Nahi Hai Shab Wa Roz Ki Mustamil
Hindustani Zabaan Hai Uske Samajhne Ke Liye Dictionary
Aur Lugat Ki Zarurat Nahi Hai. Bataur Nateeja Ek Hi Saans
Mein Maulana Tandvi Ne Muhammad Bin Abdul Wahab
Najdi Ko Zalim, Baagi, Khoonkhar, Fasiq Sab Kuch Kah
Dala.
Ye Ek Aisa Aaina Hai Jismein Maulana Zakariya,
Maulana Manzoor Nomani Aur Tamam Wahabiyon Ka
Chehra Dekha Ja Sakta Hai Hatta Ki Maulana Thanvi Ko
Bhi Log Wahabi Samajhte The.
Hawala-
'Maulana Thanvi :
Go Ab Bhi Yahan Ke Baaz Ulma Mujhko Wahabi Kahte
Hain Aur Baaz Bairuni Ulma Yahan Aakar Logon Ko
Samjha Gaye Hain Ki Ye Shakhs Wahabi Hai, Iske Dhokha
Mein Mat Aana'.
(Tazkirturrasheed Jild 1 Page 135)
Goya Maulana Thanvi Ko Bahut Se Ulma Aur Awaam
Wa Khaas Be Adab Samajhte The.
َّ ٰ َ ٰ ََ ‫ہ‬ َّ
Sarware Kaunain ‫الی َعلیہی َوالہی ی َو َسل َمی‬‫َصلی للای تع‬ Mailke
Aalam Hain:
'Malike Aalam Hain Go Paas Kuch Rakhte NahiDo Jahan
Ki Ni'amatein Hain Unke Khali Hath Mein'
Deoband Ka Naya Deen 95

Hawala Mulahaza Farmaiye-


'Maulana Mahmoodal
َ
Hasan Sadr Deoband :
ّ َ َ
Rasoolullah ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
‫ َص ّل ہ‬Unke Liye Hiba Ka Jawaaz

Bae Ma'ana Hai Ki Aap Asal Mein Baade Khuda Malike


Aalam Hain. Jamadaat Ho Haiwanaat, Bani Aadam Ho Ya
Gair Bani Aadam Agar Koi Sahab Poochhenge Aur Faheem
Honge To Shayad Ham Is Baat Ko Aashkara Bhi Kar Dein.
Alqissa Aap Asal Mein Malike Aalam Hain Aur Yahi Wajah
Hai Ki Adal Wa Mahar Aapke Zimma Wajib Na Tha'.
(Adilla Kamila Maroof Bih Izharul Haq Page 9)
Sach Farmaya Sayyadna Imamul Kabeer Imaam Ahmad
Raza Bareilvy Raziyallahu Ta'ala Anhu Ne-
'Mein To Malik Hi Kahoonga Ki Ho Malik Ke Habib
Yani Mahboob Wa Muhibb Mein Nahi Mera Tera'
Uske Bar'aks (Ulta, Opposite) Ismaily Shariyat Mulahaza
Farmaiye-
Hawala:
'Maulvi Ismail Dehalvi :
Aur Jiska Naam Muhammad Ya Ali Hai Vo Kisi Cheez
Ka Mukhtaar Nahi'.
(Taqwiyatul Imaan Page 36)
Is Tazaad Ki Buniyad Par Kaha Jata Hai Ki Deobandi
Bolte Hain Samajhte Nahi.

Waseela Durust Hai:


'Muhabbat Mein Udai Khaak Yoon Ahle Muhabbat Ne
Utha Ke Aasman Par Kuye Jaana Ki Zameen Rakh Di'
Hawala Mulahaza Farmaiye-
Deoband Ka Naya Deen 96

'Maulana Thanvi : Dua Se Madad Farmaiye Mawaez Par


Huzoor Ne Apni Khushnoodi Ka Mazda Irshad Farmaya.
Mein Sach Arz Karta Hoon Ki Huzoor Ki Raza Ko Daleele
Qubool Wa Waseela E Najaat Samajhta Hoon. Khuda Kare
Sudoore Khata Par Bhi Huzoor Ham Khuddam Se Kabhi
Nakhush Na Ho Balki Tanbeeh Farma Dein'.
(Tazkirturrasheed Page 127)
Maulana Thanvi Gangohi Sahab Ki Raza Ko Waseela E
Najaat Samajhte The.
'Sitaron Ke Aage Jahan Aur Bhi Hain'
Ab Maulana Aashiq Ilaahi Merathi Ko Thanvi Sahab Ki
Bargah Mein Dekhiye-
Hawala-
'Maulvi Aashiq Ilaahi Merathi :
Wallahul Azeem! Maulana Ke Pair Dhokar Peena
Najaate Ukhravi Ka Sabab Hai'.
(Tazkirturrasheed Hissa 1 Page 113)
Ab Is Aaine Mein Deobandiyat Ki Makrooh Wa Ganda
Soorat Dekh Kar Unse Mutalba Keejiye Ki Agar Gangohi Ki
Raza Aur Thanvi Ke Paanv Ka Dhovan Waseela E Najaat
Ho Sakta Hai To Hazrat Gausul Aazam Wa Khwaja
Khaajgane Chisht, Imaam Husain, Ali Murtaza, Ameerul
Momineen Farooq Aazam Wa Sayyadna Aboo Bakr Siddiq
Raziyallahu Ta'ala Alaihim Ajmaen Ko Waseela Banane Par
Deobandiyat Charagpa Kyun Hoti Hai? Agar Gangoh Wa
Thanabhavan Ke Shatimane Rasool Ko Waseela Banaya Ja
Sakta Hai To Anbiya Wa Rusool Ko To Ba Darja Aaula
Waseela Banaya Ja Sakta Hai.
Deoband Ka Naya Deen 97

Baab (7): Deobandi Bolte Hain Magar


Samajhte Nahi!

Naam Nihad Danishwaron Ke Takhaluf Wa


Tazaad Ka Tanqeedi Jaeza:

'Fitna Uthe Hai Kis Tarah Uth Ke Zara Dikha Ki Yoon


Hashr Barpa Ho Kis Tarah Chal Ke Zara Bata Ki Yoon'

'Ya Rab Na Vo Samjhe Hain Na Samjhenge Meri Baat


De Aur Dil Unko Jo Na De Mujhko Zabaan Aur'

Isi Ek Unwan Ke Liye Meine Qalam Uthaya Tha Magar


Baat Badhti Gai Aur Silsila E Guftagoo Daraaz Se Daraaz
Tar Hota Gaya. Zere Mutaala Kitab Mein Jahan Ilmi
Mazamin Hain, Vahi Waqiyaat Wa Hikayaat Ki Rangarangi
Bhi Hai. Naqd Wa Nazar Ki Zameen Sanglaakh Hi Nahi
Balki Use Intihai Khushk Mauzoo Tasavvur Kiya Jata Hai.
Baehama Meine Use Qabile Qubool Banane Ki Koshish Ki
Hai Magar Kamyabi Wa Nakami Ka Faisla Aapke Hath Hai.
Meine Is Baab Mein Ulmaye Deoband Ki Ibaarat Wa
Aqwaal Ke Kuch Aise Shawahid Pesh Kiye Hain Jisse Aap Is
Haqeeqat Ka Aitraaf Kar Sakenge Ki Yaqeenan Ye Hazraat
Bolte Hain Magar Samajhte Nahi.
Chunanche Aap Iska Tajurba Is Tarah Keejiye Kisi Bhi
Deobandi Se Kahiye Ki 'Hifzul Imaan' Ki Ibaarat Mein
َّ َ ‫ َص َّلی ہ‬Ki Tauheen Hai To Vo
Sayyade Aalam ‫للای َت َع ٰالی َعلیہی َو ٰالہی َو َسل َ یم‬
Deoband Ka Naya Deen 98

Hargiz Na Kahega Ki Mujhse Samajh Leejiye Balki Barjasta


Aap Hi Se Mutalba Karega Ki Mujhe Samjha Deejiye. Jiska
Wazeh Matlab Ye Hai Ki Vo Samjhe Hote To Samajhne Ki
Darkhast Kyun Karta. Yahi Wajah Hai Jab Munazaron Mein
Deobandi Munazir Se 'Hifzul Imaan' Ki Ibaarat Ka Be
Gubar Mafhoom Daryaaft Kiya Jata Hai To Deobandi
Munazir Ki Aay Baay Shaay Hankega Magar Asal Ibaarat Ko
Chhodna Nahi Chahata Mahaz Is Khauf Se Ki Is Ibaarat Ke
Qareeb Aaye Nahi Ki Hamara Bhanda Foota Log Ek Zabaan
Hokar Kahna Shuru Kar Dein Ki Deobandi Bolta Hai
Magar Samajhta Nahi. Is Baab Mein Jo Shawahid Pesh Kiye
Jayenge Taaki Hasbe Zarurat Uske Siyaaq Wa Sabaaq Aur
Mauqa Wa Mahal Wagaira Ki Tashreeh Kar Di Jayegi Taaki
Asal Mafhoom Ke Samajhne Mein Nazireen Ko Zahmat Wa
Dushwari Na Ho. Maslan Lukhnow Ke Koi Shayar
Mombatti Ki Raushani Mein Kuch Likh Padh Rahe The
Achanak Parwanon Ne Raushani Par Hamla Kiya Mombatti
Bujh Gai Parwane Jal Gaye Aur Kamre Par Andhera Chha
Gaya Jisse Mut'assir Ho Shayar Ne Barjasta Sher Kaha-
'Ilaahi Aag Lag Jaye Is Zauqe Muhabbat Ko Jale (Shama
Jali) Koi, Mare (Parwana Mare) Koi, Andhera Meri Mahfil
Mein'
Mauqa Mahall Na Maloom Ho To Mahaz Ek Sher Hai
Lekin Mauqa Mahall Maloom Ho Jane Ke Baad Sher Bhi
Hai Aur Hikayat Bhi. Bas Aise Hi Ham Apne Daawe Ki
Daleel Mein Jo Shawahid Pesh Karenge Hasbe Mauqa Ham
Uski Halki Fulki Tashreeh Kar Denge Taaki Har Zehan
Aasani Se Use Qubool Kar Sake.
Deoband Ka Naya Deen 99

Albatta Ye Wazeh Rahe Kisi Bhi Usool Wa Zabte Ko


Samjhane Ke Liye Chand Misalein Bahut Kafi Hoti Hain.
Ye Kuch Zaruri Nahi Ki Us Par Mustakilan Koi Kitab Hi
Likhi Jaye. Bas Isi Tarah Mein Iska Muddai Hoon Ki
Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte Nahi Lihaza Is
Daawe Ki Daleel Mein Chand Misalon Ko Pesh Kar Dena
Kafi Hai. Ab Aap Aane Wali Misalon Ke Liye Naya Zehan
Hazir Kar Leejiye!

1. Lafz Wahabi Ki Bahas:


Duniya Ki Har Qaum Apni Qaumi Wa Khandani
Sharafat Naam Wa Nasab Ki Wazaahat Aur Maslak Wa
Aqeede Ki Azmat Wa Bartari Par Fakhr Karti Hai. Sayyad
Zaade, Shaikh Zaade, Malik Zaade, Khan Zaade Yahi
Chahate Hain Ki Unhein Sayyad, Shaikh, Malik Aur Khan
Hi Kaha Jaye. Hanafi Apne Ko Hanafi Kahlata Hai, Shafai
Yahi Chahata Hai Ki Use Shafai Kaha Jaye Qadiri, Chishti
Apne Ko Qadiri Chishti Kahlane Mein Fakhr Mahsoos
Karte Hain, Abdul Majid Aur Mukhtaar Ahmad Yahi
Chahate Hain Ki Unhein Abdul Majid Aur Mukhtaar
Ahmad Kaha Jaye. Magar Khuda Ki Is Bichhai Zameen Par
Wahabi Ek Aisa Naam Hai Ki Wahabi Bhi Apne Ko Wahabi
Kahna Aur Kahalwana Pasand Nahi Karta. Ajmal Ka Ek
Bahut Hi Saada Aur Pur Ma'ani Sher Hai-
'Wahabi Se Poochho Ki Too Hai Wahabi
To Fauran Kahega Nahi To, Nahi To'
Nahi To, Nahi To Ki Taqraar Ne Sher Mein Jaan Daal
Diya Hai Lekin Uski Nahi To, Nahi To Ne Wazeh Kar Diya
Deoband Ka Naya Deen 100

Ki Vo Bol Raha Hai Magar Samajh Nahi Raha Hai. Isliye Ki


Agar Vo Samajhta Ki Mere Inkar Se Wahabiyat Ki Kitni
Makrooh Wa Gandi Tasveer Ka Tasavvur Hoga To Hargiz
Nahi To, Nahi To Na Kahta. Lihaza Ya To Wahabiyat
Bagair Samjhe Qubool Kar Li Gai Ya Apni Na Samjhi Se
Apne Ko Wahabi Kahna Nahi Chahata. Bahare Nau Ye
Ilzaam Sir Par Baaqi Rahta Hai Ki Ye Qaum Bolti Hai
Magar Samajhti Nahi.
Note : Ab Dheere Dheere Unmein Do Party Ho Gai Hai
Baaz Log Dabi Zabaan Se Apne Ko Wahabi Kahne Lage
Magar Ek Bahut Bada Tabqa Abhi Apne Ko Wahabi Kahne
Mein Sharmata Hain. Khud Akabire Deoband Mein Do
Group Hain Kisi Ne Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi
Ko Muttabe Sunnat Kaha Aur Kisi Ne Zalim, Khoonkhar,
Baagi Likha. Ye Unki Koi Nayi Rasm Wa Raah Nahi Hai
Bahut Purani Ada Hai.

2. Naam Ki Bahas:
Aise Hi Agar Taqreer Mein Deoband Ulma Ka Naam
Liya Jaye To Deobandi Awaam Barham Ho Jate Hain Are
Sahab! Ye To Hamare Aalim Ka Naam Le Rahe Hain. Kyun
Sahab Ye Naam Kis Liye Rakha Gaya? Chhapne Ke Liye Ya
Chhupane Ke Liye. Alawa Arzi Koi Apne Naam To Khud
Rakhta Nahi (Bajuz Shoara Ke) Vo Bhi Naam Nahi
'Takhallus'. Shoaraye Kiraam Zarurate Sheari Ke Tahat
Apna Halka Fulka Chhota Mota Sa Takhallus Rakh Lete
Hain Warna Ek Misra Ke Barabar To Naam Hi Ho Jayega
Maloom Hua Ki Maa Baap Rakhte Hain Ya Aezza Wa
Deoband Ka Naya Deen 101

Aqraba Wagaira. Lihaza Agar Naam Lena Jurm Hai To Sach


Sach Bataiye Ki Naam Lene Wala Mujrim Hai Ya Naam
Rakhne Wala? Isliye Agar Naam Lene Par Aap Barham Hain
To Hamein Kah Lene Deejiye Ki Aap Bol Rahe Hain Magar
Samajh Nahi Rahe Hain.
Aainda Ra Ahtiyaat Ke Tahat Ab Aisa Keejiye Aainda Jo
Aulad Paida Ho Aur Aalim Hone Wali Ho To Uska Naam
Hi Na Rakhiyega Log Khud Apne Mazaq Ke Mutabiq Koi
Na Koi Naam Rakh Hi Lenge Km Az Km Maulana Kuch
Nahi To Sabhi Kah Lenge, Aur Itne Hi Par Bas Nahi Agar
Hasbe Zarurat Ulma Deoband Ka Naam Le Liya Jaye To
Deobandi Awaam Kahte Hain Taqreer Nahi Ho Rahi Hai
Balki Maulana Gaali Bak Rahe Hain. Ye Bhi Ek Hi Rahi
Agar Maulana Ka Naam Hi Gaali Hai To Naam Hi Badalwa
Deejiye Ilzaam Hamare Sar Kyun?

3. Hawale Jaat Ki Bahas:


Bilkul Isi Tarah Agar Sunni Ulma Apni Taqreeron Mein
Ulmaye Deoband Ki Ibaarat Ka Hawala De Dete Hain Ki
'Hifzul Imaan' Mein Ye Hai, 'Baraheene Qatia' Mein Aisa
Hai Aur 'Tahzeerunnas' Ki Ye Ibaarat Hai To Ek Zabaan
Ho Kar Deobandi Awaam Ye Kahte Hain Ki Mushtaq
Nizami Taqreer Karne Nahi Aaya, Fasaad Machane Aaya
Hai. Qurban Jaiye-
'Is Saadgi Pe Kaun Na Mar Jaye, Aey Khuda'
Teen Ghante Ki Taqreer Mein Agar Ulmaye Deoband Ki
Kitabon Ka Naam Na Liya Jaye To Hamara Hareef Bhi
Hamein Khateeb Wa Muqarrir Kahta Hain Lekin Agar
Deoband Ka Naya Deen 102

Bhoole Bhatke Bhi 'Hifzul Imaan' Ya 'Taqwiyatul Imaan' Ka


Naam Aa Gaya To Ham Bahut Bade Fasadi Ho Gaye!
Maloom Hua Janab Bol Rahe Hain Magar Samajh Nahi
Rahe Hain. Goya Ye Kah Kar Deobandiyon Ne Khud Iska
Aitraaf Kar Liya Ki Sunni Ulma Ki Taqaarir Mein Fasaad
Nahi Hai Balki Ulmaye Deoband Ki Kitabon Mein Fasaad
Hai Isliye Ki Kitabon Ka Naam Lene Hi Se Hamein Fasadi
Kaha Jata Hai Isi Ko Kahte Hain Jadoo Vo Hai Jo Sir Chadh
Ke Bole. Lihaza Hamara Mutalba Hai Ki Apni Kitabon Ka
Fasaad Door Kar Do, Khud Hi Ikhtilaaf Khatm Ho Jayenge
Warna Ham Barabar Kahte Rahenge Ki Deobandi Bolte
Hain Magar Samajhte Nahi.

4. Ya Rasoolullah Ki Bahas:
'Bharosa Usko Kahte Hain Gunahgaron Ne Mahshar
Mein Khuda Ke Samne Tumko Pukara Ya Rasoolullah!'
Khush Aqeeda Musalman Jab Ya Rasoolullah Kahta Hai
To Deobandi Awaam Wa Khwas Sunniyon Par Ek Ilzaam
Ye Bhi Lagate Hain Ki Us Party Ne ALLAH Kahna Chhod
Diya, Bas Rasool Hi Rasool Kahte Hain Aqal Par Patthar
Padna Isi Ko Kahte Hain. Aji Janab Jo Sirf Ya ALLAH Kahta
Hai Usne To Rasool Ka Naam Chhod Diya Magar Jo Ya
Rasoolullah Kahta Hai Vo ALLAH Aur Rasool Donon Hi
Ka Naam Leta Hai. Apna To Haal Ye Hai Ki-
'Dil Ko Thaama Unka Daman Thaam Ke
Hath Apne Donon Nikle Kaam Ke'
Is Wazeh Aur Khuli Haqeeqat Ke Baad Bhi Kya Ham Ye
Nahi Kah Sakte Ki Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte
Deoband Ka Naya Deen 103

Nahi.

5. Door Aur Huzoor Ki Bahas:


Aaiye Unki Baukhlahat Aur Jhanjhanahat Ki Ek Aur
Misaal Mulahaza Farmaiye. Khush Aqeeda Musalman Jab
Mahfile Meelad Shareef Mein 'Ya Nabi Salam Alaik' 'Ya
Rasool Salam Alaik' Padhta Hai To Gale Ki Ragein Fula Kar
Har Deobandi Yahi Kahta Hai Ki Kahan Kolkata Wa
Mumbai Aur Kahan Madeena? Madeena To Bahut Door
Hai Kahi Door Wale Ko 'Ya' Ke Zariya Mukhatab Kiya Jata
Hai. Lekin Yahi Hazraat Apni Taqreeron Mein Kahte Hain
'Huzoor Ne Farmaya' Jisse Murad Sarkare Do Aalam ‫یللای‬ ‫َص َّل ہ‬
َّ ٰ َ ٰ ََ
‫ال َیعلیہ َیوالہ َیو َسل َ ی‬
‫م‬ ‫ تع‬Ki Zaate Girami Hai. Ab Unse Daryaaft Keejiye
Ki Jo Nabi Hamare Salam Mein Door Hain Vo Aap Ki
Taqreer Mein 'Huzoor' Kaise Ho Gaya? Door Hain To
Huzoor Nahi Huzoor Hain To Door Nahi. Kya Iske Baad
Bhi Shubah Baaqi Rah Jata Hai Ki Deobandi Bolte Hain,
Samajhte Nahi! Vo Kisi Aur Ka Nabi Hoga Jo Door Hoga
Hamara Nabi To Hamari Jaan Se Zyada Qareeb Hai. Apna
To Haal Ye Hai-
'Tum Mukhatab Bhi Qareeb Bhi Ho
Tum Ko Dekhein Ki Tum Se Baat Karein'

6. Had Se Badhane Ki Bahas:


'To Dil Mein To Aata Hai Samajh Mein Nahi Aata
Mein Jaan Gaya Bas Teri Pahchan Yahi Hai'
Ulmaye Ahle Sunnat Ki Taqreer Wa Tahreer Par Ulmaye
Deoband Ek Aitraaz Ye Bhi Karte Hain Ki Ye Log Rasool
Deoband Ka Naya Deen 104

Ko Khuda Se Badha Dete Hain Ma'azallah!


Sach Hai! Bol Rahe Hain Magar Samajh Nahi Rahe
Hain. Gaur Karne Ka Maqaam Hai Ki Kisi Ko Kisi Se
Badhana Kahan Bola Jata Hai Use To Ek Mubtadi Talibe
Ilm Bhi Janta Hai Ki Kisi Se Kisi Ko Badhana Vahi Bol Sakte
Hain Ki Jisse Badhaya Jaye, Pahle Uski Had Mutayyan Ho
Jaye. Maslan Ye Kaha Jaye Ki Umar Daud Mein Zaid Se
Badh Gaya Yani Zaid Do Hi Meel Daud Kar Ruk Gaya Aur
Umar Chaar Meel Tak Daud Gaya. Umar Ka Badhna Usi
Waqt Bolenge Jab Ki Zaid Ke Daud Ki Had Mutayyan Kar
Li Jaye. Bas Aise Hi Rasool Ka Khuda Se Badha Dena Us
Waqt Bol Sakte Hain Jab Ki Khuda Ki Had Mutayyan Kar
Di Jaye. Khuda Ka Shukr Hai Ham Ahle Sunnat Wa Jama'at
Ke Nazdeek Khuda Apni Zaat Wa Sifaat Donon Mein Gair
Mutnaahi Wa La Mahdood Hai. Ham Iski Koi Had Bandi
Nahi Kar Sakte Jab Ham Uski Koi Had Hi Nahi Jante To
Khuda Se Badha Dene Ka Koi Sawal Hi Nahi Paida Hota.
Haan! Agar Ulmaye Deoband Ne Apne Khuda Ki Koi Had
Mutayyan Kar Li Hai Aur Hamara Rasool Unke Mahdood
Khuda Se Badh Gaya Ho To Ye Koi Maqaame Ta'ajjub
Nahi. Achchi Tarah Samajh Mein Aa Gaya Ki Deobandi
Bolte Hain Magar Samajhte Nahi.

7. Gairullah Se Mangne Ki Bahas:


'Itni Na Badha Paaki E Daman Ki Hikayat
Daman Ko Zara Dekh, Zara Band Qaba Dekh'
Ham Ahle Sunnat Wa Jama'at Khuda Ke Mahboob Aur
Barguzeeda Bando Ki Bargah Mein Husoole Barkat Wa Faiz
Deoband Ka Naya Deen 105

Ki Garz Se Hazir Hote Hai Na Unhein Ham Khuda


Samajhte Hain Aur Na Hi Khuda Jaisa Balki ALLAH Ta'ala
Ka Mahboob Banda Samajh Kar Hazari Dete Hain, Unhein
Waseela Bana Kar Khuda Se Mangte Hain. Hamare Is Sawal
Par Ulmaye Deoband Aur Deobandi Awaam Chi Ba Zabeen
Ho Kar Ye Aitraaz Karte Hain Dekho, Dekho! Ye To
Gairullah Se Mang Raha Hai. Waah! Waah! Ye Bhi Mere
Gaus Wa Khwaja Ki Ek Khuli Hui Karamat Hai Zabaan
Unki Hai Aur Aqeeda Hamara Hai.
Khyaal Farmaiye! Jab Sunniyon Ne Sultan Ul Hind
Khwaja Gareeb Nawaz Raziyallahu Ta'ala Anhu Se Sawal
Kiya To Duniya E Deobandiyat Cheekh Uthi! Are Are! Ye
To Gairullah Se Mang Raha Hai Ye Kah Kar Janab Ne Khud
Hi Hamara Mamla Saaf Kar Diya Ki Khwaja Ko ALLAH
Nahi Samajh Raha Hai Balki Gairullah Samajh Raha Hai.
Nadanon! Agar Hamne Gairullah Ko Gairullah Hi
Samjha To Jurm Kya Hua? Jis Par Tum Qiyamate Sugra
Barpa Kiye Ho. Khud Tum Apne Bole Huye Jumle Ki Laaj
Rakho Ye To Tumhara Rozmarra Hai Ki Beti Maa Se
Mangti Hai, Beta Baap Se, Mareez Doctor Se, Shagird Ustad
Se Aur Mureed Peer Se Wagaira Wagaira Vahan Tumhari
Gairat Kahan So Jati Hai? Vahan Kyun Nahi Sochte Ki
Gairullah Se Kyun Manga Jaye? Tumhara Khud Sakhta
Qanoon Ka Pitara Ajmer Wa Bahraich Hi Mein Kyun
Khulta Hai Jab Ki Mangne Wala Khud Uska Aitraaf Karta
Hai Ki Khuda Ki Daulat Uske Ek Mahboob Bande Ke
Waseele Se Mang Raha Hoon Yani Khazana Khuda Ka,
Daman Hamara, Hath Khwaja Ka. Baharhaal Auliya E
Deoband Ka Naya Deen 106

Kiraam Se Mangne Par Tumhara Ye Kahna Ki Ye Gairullah


Se Mang Raha Hai Tum Ne Khud Apne Paanv Par Kulhadi
Maari Aur Hamein Ye Kahne Ki Ijazat De Di Ki Deobandi
Bolte Hain Magar Samajhte Nahi.
Al Fazlu Ma Shahidat Bihil Aa'ada

8. Durood Shareef Padhwane Ki Bahas:


'Jo Shay Teri Nigah Se Guzar Se Durood Padh
Har Juz Wa Kul Hai Mazhare Anware Mustafa'
Paalan Sahab Jo Hamein Bid'ati Kahte Hain Ham
Unhein Deobandi Imambade Ka Numaishi Tajiya Samajhte
Hain. Itawa Mein Taqreer Karte Huye Janab Ne Farmaya
Ki Sunni Ulma Jab Bhool Jate Hain To Apne Awaam Se
Durood Padhwate Hain.
Janab Bole Hain Magar Samjhe Nahi!
Nazireen! Khud Faisla Farmaye Goya Is Jumle Ka Pas
Manzar Ye Hai Ki Bhooli Hui Cheez Ko Yaad Karne Ka
Behtareen Nuskha Ye Hai Ki Durood Shareef Padha Jaye.
Isi Buniyad Par Mein Kahta Hoon Ki Deobandi Bolte Hain
Magar Samajhte Nahi.
Alawa Arzi Sunni Ulma Apne Awaam Ko Durood
Shareef Padhne Ka Hukm Dete Hain To Ye Manmani Nahi
Hai Balki Yahi Sunnate Ilaahiya Hai. Khuda Ne Bhi Ahle
Imaan Ko Salaat Wa Salaam Bhejne Ka Hukm Diya Hai.
(Magar Ahle Imaan Hi Ko) Apne Gireban Mein Munh Daal
Kar Sochiye Ki Ye Fel Laeqe Tahseen Hai Ya Qabile
Tamaskhur Wa Istihaza? Magar Afsos To Ye Hai Is Waqt
Mukhatab Sirf Jahil Nahi Balki Sanad Yafta Jahil Hai Warna
Deoband Ka Naya Deen 107

Durood Shareef Se Mut'alliq To Khush Aqeeda


Musalmanon Ka Ye Dastoor Hai-
'Mein So Jao Ya Mustafa Kahte Kahte
Khule Aankh Salle Ala Kahte Kahte'

9. Qabro Par Azaan Ki Bahas:


'Ab To Phoole Na Samayenge Kafan Mein Aasi
Hai Shabe Gor Bhi Us Gul Ki Mulaqat Ki Raat'
Darul Uloom Amjadiya Nagpur Ahle Sunnat Ki Ek
Meyari Wa Markazi Darsgah Hai. Do Saal Pahle Jab Mein
Uske Salana Jalsa E Dastare Fazeelat Mein Hazir Hua To
Nagpur Ke Sunni Awaam Ne Bataya Ki Do Chaar Roz Qabl
Darul Uloom Deoband Ke Safeer Maulana Irshad Ahmad
Aaye The Unhone Mas'ala E Azaane Qabr Par Ek Bahut Hi
Aamiyana Aur Ishtiaal Angez Taqreer Karte Huye Do
Sawalaat Qayam Kiye Hain Vo Sawalaat Ye Hain-
1. Kaun Si Namaz Padhni Hoti Hai Jo Mayyat Ki Qabr
Par Azaan Dilai Jati Hai?
2. Choonki Sunniyon Ki Qabr Mein Shaitaan Ghus Jata
Hai Isi Andesha Se Sunni Azaan De Kar Use Bhagate Hain.
Ham Deobandiyon Ki Qabr Mein Nahi Jata Isliye Ham
Azaan Ki Koi Zarurat Mahsoos Nahi Karte. Meine Apne
Awaam Se Kaha Ki Jawab To Raat Ke Jalse Mein Doonga
Magar Maulana Irshad Ki Qyamgah Tak Ye Paigam Abhi Se
Pahuncha Do Ki Aapke Maulana Bole To Hain Magar
Samjhe Nahi Hain.
Ba Silsila E Jawab Meine Arz Kiya Ki Mantiqi Istilah Ki
Buniyad Par Azaan Aur Namaz Aur Aise Mafhoom Kulli
Deoband Ka Naya Deen 108

Hain Jinmein Umoom Wa Khusoos Ki Nisbat Pai Jati Hai


Unmein Ek Madda Ijtima Hai Do Iftraaq Ka. Maslan
Panjwaqta Namaz Aur Namaze Juma Usmein Azaan Aur
Namaz Donon Hain Ye Madda Ijtima Hai. Bachche Ki
Wiladat Ke Mauqa Par Azaan Di Jati Hai, Azaan Hai Magar
Namaz Nahi Yah Madda Iftraaq Hai. Namaz Einden Mein
Namaz Hai Magar Azaan Nahi, Yah Doosra Madda Iftraaq
Hai. Isliye Mayyat Ki Qabr Par Azaan Pukarne Ka Matlab
Namaz Nahi Hai Balki Yah Mayyat Ke Ibtala Wa Aazmaish
Ka Waqt Hai Azaan Ke Zariya Use Tasalli Di Ja Rahi Aur
Uske Alawa Azaan Daafe Ul Bala Bhi Hai. Maslan Wabai
Amraaz, Taon Wagaira Ya Toofani Aandhi Barish Ke Mauqa
Par Azaan Di Jati Hai Maqsad Namaz Padhni Nahi Hai
Balki Azaan Daafe Ul Bala Samajh Kar Pukari Jati Hai.
Lihaza Is Tarah Ka Sawal Koi Ganwar Aur Anpadh To Kar
Sakta Hai Magar Yah Sawal Kisi Likhe Padhe Ka Maloom
Nahi Hota. Rah Gaya Sawal(2) Ki Sunni Isliye Azaan
Pukarte Hain Ki Unki Qabr Mein Shaitane Laen Chala Jata
Hai Aur Deobandi Isliye Azaan Nahi Pukarte Ki Unki Qabr
Mein Shaitaan Ka Guzar Nahi Bas Yahi Vo Maqaam Hai Ki
Janab Bolte Hai Magar Samajhte Nahi.
Chunanche Nagpur Ke Musalamanon Se Meine
Daryaaft Kiya Batao! Shaitaan Kise Bahkata Hai? Sab Ne
Kaha Momin Ko. Meine Kaha Maulana Irshad Ka Ye Kahna
Ki Sunniyon Ki Qabr Mein Shaitaan Chala Jata Hai, Goya
Unhone Iska Aitraaf Kiya Hai Ki Qabr Mein Momin Leta
Hua Hai Agar Momin Na Hota To Shaitaan Jata Kyun? Isi
Ko Kahte Hain-
Deoband Ka Naya Deen 109

'Al Fazlu Ma Shahidat Bihil Aa'ada'


Alawa Arzi Janab Ka Ye Kahna Ki Deobandiyon Ki Qabr
Mein Shaitaan Nahi Jata Bilkul Sahi Hai Jab Shaitaan
Samajhta Hai Ki Is Qabr Mein Meri Hi Category Ka Aur
Mujh Jaisa Hi Leta Hua Hai To Vo Vahan Jakar Kya
Karega? Isse Maloom Hua Ki Ismein Mere Hi Bhai Band
Aur Chacha Bhateeje Birajmaan Hain Jane Se Kya Fayda? Jo
Kaam Mein Karta Hoon, Vahi Ye Bhi Karte Hai. Khudara!
Ab To Hame Kah Lene Deejiye Ki Deobandi Bolte Hain
Magar Samajhte Nahi!

10. Mushrik Musalman Ki Bahas:


'Taqwiyatul Imaan' Ki Raushani Mein Amaede Deoband
Ke Ilm Wa Danish Ka Sahi Andaza Keejiye Hawala
Mulahaza Farmaiye-
Hawala(1): 'Koi Naam Rakhta Hai Ali Bakhsh, Peer
Bakhsh, Gulam Muhiuddin, Gulam Moinuddin Ye Sab
Jhoothe Musalman Sach Shirk Mein Giraftaar Hain'.
(Taqwiyatul Imaan Page 5-6)
Hawala(2): 'Koi Naam Rakhta Hai Nabi Bakhsh, Sateela
Bakhsh, Ganga Bakhsh So Ye Aadmi Mardood Ho Jate
Hain'.
(Taqwiyatul Imaan Page 64)
Taqwiyatul Imaan Ulmaye Deoband Ke Nazdeek Koi
Mamooli Ya Halki Fulki Kitab Nahi Hai Balki Uska Padhna
Aur Har Ghar Mein Rakhna Aen Islam Hai. Hawala Ke Liye
'Khoon Ke Aansoo' Dekhiye. Goya Jis Ghar Mein
Taqwiyatul Imaan Nahi Us Ghar Se Islam Hi Gayab Hai.
Deoband Ka Naya Deen 110

Ye Ek Zaili Guftagoo Hai Hawale Mein Khat Kasheeda


Ibaarat Ko Mulahaza Farmaiye. Janab Ka Kahna Hai Ki Jo
Log Is Tarah Ka Naam Rakhte Hain Vo Jhoothe Musalman
Sach Shirk Mein Giraftaar Hain. Qurban Jaiye Us Aqal Wa
Danish Par Ki Sach Shirk Mein Giraftaar Hote Huye Bhi
Musalman Hi Rah Gaya. Use To Islami Khanwade Ka Ek
Bachcha Bhi Janta Hai Ki Shirk Aur Islam Donon Jama
Nahi Ho Sakte Musalman Hai To Mushrik Nahi Aur
Mushrik Hai To Musalman Nahi Magar Ismaily Shariyat Ka
Dastoor Hi Judagana Hai. Yahi Vo Wajah Hain Jinki Bina
Par Kahta Hoon Ki Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte
Nahi.
Wazeh Rahe Ek Musalman Apni Shamate Aamaal Se
Jhootha To Ho Sakta Hai Magar Vo Musalman Bhi Ho Aur
Mushrik Bhi Aisa Hargiz Nahi Ho Sakta. Alawa Arzi Ye Bhi
To Dekho Ki Ismaily State Ke Slaughter House Mein Zabah
Kaun Ho Raha Hai? Maulana Gangohi Ka Nasab Naama
Mulahaza Keejiye-
'Rasheed Ahmad Ibne Hidayat Ahmad Ibne Peer Bakhsh
Ibne Gulam Hasan Ibne Gulam Ali'
'Rasheed Ahmad Bin Kareemunnisa Binte Fareed Bakhsh
Bin Qadir Bakhsh Bin Muhammad Saaleh Bin Gulam
Muhammadi'
Goya Ismaily Shariyat Mein Ye Mushrik Bhi The Aur
Mardood Bhi. Baharhaal Mundarja Baala Hawale Mein
Islam Aur Shirk Ka Bejod Paivand Bhi Aapne Dekha Aur
Aag Wa Paani Ko Ek Hi Jagah Jama Karne Mein Iska
Deewanapan Bhi Dekha! Ab To Aap Bhi Kah Leejiye Sahab
Deoband Ka Naya Deen 111

Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte Nahi.

11. Hawa Ukhad Gai:


'Taqwiyatul Imaan' Hi Ka Ek Doosra Hawala Mulahaza
Keejiye-
'Phir ALLAH Aisi Baao Hawa Bhejega, Ki Sab Achche
Bande Ki Jinke Dil Mein Thoda Sa Imaan Hoga Mar
Jayenge So Paigambare Khuda Ke Farmane Ke Muvafiq
Hua'.
(Taqwiyatul Imaan Page 37)
Darul Ifta Deoband Se Fatwa Talab Keejiye Ki Ismaily
Shariyat Ki Raushani Mein Jab Aisi Hawa Chal Gai Ki
Imaan Wale Jis Qadr The Vo Sab Ke Sab Mar Gaye. Lihaza
Doosron Ko Chhodiye Khud Apne Mut'alliq Farmaiye Ki
Kya Aap Apne Hi Fatwe Se Kafir Nahi Huye? Yaqeenan
Huye. Musalamanon Ko Kafir Banane Ki Rau Mein Itna Bhi
Hosh Na Raha Ki Apne Tarkash Ka Teer Kis Ke Kaleje Mein
Paivast Hoga. Awaqib Wa Nataej Se Bekhabar Hokar Jab
Koi Ibaarat Likhi Jati Hai To Isi Ke Baad Ham Ye Kahte
Hain Ki-
'Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte Nahi'

12. Pukarne Aur Madad Mangne Ki Bahas:


Ye Bhi Ek Ajeeb Baat Hai Ki Firqa Zagiya (Jinki Shariyat
Mein Kauvva Khana Halaal Wa Sawab Hai Unhi Ko Firqa
Zagiya Kaha Jata Hai) Qur'an Wa Hadees Se Km Samjhata
Hai Magar Apne Khanasaaz Buzurgon Ki Riwayat Ko Bahut
Jald Qubool Kar Leta Hai. Chunanche Unke Hafwaat Wa
Deoband Ka Naya Deen 112

Khurafat Mein Se Ek Ye Bhi Hai Ki Gair Khuda Se Madad


Mangna Shirk Hai Aur Door Wale Ko 'Ya' Harfe Nida Se
Nahi Pukarna Chahiye. Ab Uske Khilaaf Khud Unhi Ke
Ghar Ka Hawala Mulahaza Farmaiye-
'Madad Kar Aey Karam Ahmadi Ki Tere Siwa Nahi Hai
Qasim Bekas Ka Koi Haami Kaar' (Qasede Qasimi Page 8)
Ye Kisi Aur Ka Nahi Bani E Deoband Maulana Qasim
Nanotvi Ka Sher Hai. Ek Hi Sher Mein Harfe Nida Se
Pukara Bhi Ja Raha Hai 'Aey Karam Ahmadi' Aur Gairullah
Se Madad Bhi Mangi Gai Hai 'Madad Kar' Aur Tere Siwa
Ke Tukde Ne To Ismaily Tauheed Ka Qala Qama Hi Kar
Diya! Ye Sirf Sher Nahi Balki Deobandi Aqeede Par Ek Kaari
Zarb Hai. Ab To Firqa Zagiya Ko Khud Bhi Kahna Chahiye
Ki-
'Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte Nahi'

13. Hajat Rawa Ki Bahas:

'Kaun Deta Hai Dene Ko Munh Chahiye


Dene Wala Hai Sachcha Hamara Nabi'
Firqa Zagiya Ke Daawe To Bahut Buland Hain
Bilkhusoos Apni Riyakarana Wa Numaishi Aqeeda E
Tauheed Mein To Apna Jawab Nahi Rakhte. Deobandi
Shariyat Mein Kisi Ko Hajat Rawa Samajhna Bahut Bada
Paap Hai. Chunanche Khush Aqeeda Musalman Agar
'Agisni Ya Rasoolullah' Ya Aise Hi 'Ya Gausul Madad' Kahta
Hai To Firqa Zagiya Aise Musalmanon Ko Mushrik Kahta
Hai. Nabi, Rasool, Gaus, Imaam, Khwaja Ke Sath To Janab
Deoband Ka Naya Deen 113

Ka Yahi Dastoor Hai Ki Unhein Hajat Rawa Na Samjho, Na


Kaho Lekin Jab Apne Ulma Ki Bargah Mein Pahunche To
Qanoon Ki Dhajjiyan Ud Gai Jahan Na Qanoon Ko Amaan
Hai Na Zabte Ko Panaah. Hawala Mulahaza Farmaiye
Paseena Pochhiye Apni Zabeen Se.
'Hawaeje Deen Wa Duniya Ke Kahan Le Jaye Ham Ya Rab
Gaya Vo Qibla E Hajate Ruhani Wa Jismani'
(Marsiya Gangohi Page 8)
Beech Chaurahe Par Sadr Deoband Ki Riyakarana
Tauheed Parasti Ka Bhanda Phoot Gaya. Use Andher Na
Kaha Jaye To Kya Kaha Jaye Ki Jis Khuda Se Bagawat Ki Ja
Rahi Hai Usi Se Daryaaft Bhi Kiya Ja Raha Hai. Jab Tum
Ne Apne Hi Aaqa Ko Hajat Rawa Bana Liya To Phir Khuda
Se Poochhne Ke Kya Ma'ani? Kisi Aur Deobandi Gurge Se
Maloom Karo Ki Gangohi Jaisa Hajat Rawa To Jata Raha
Ab Dastgeeri Wa Hajat Rawai Ka Ohda Wa Mansab Kise
Tafveez Kiya Jaye. Nazireen Hi Insaaf Farmaye Kya Is
Wazeh Haqeeqat Ke Baad Bhi Nahi Kaha Ja Sakta Hai Ki-
'Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte Nahi'

14. Hazrat Maseeh Ko Bhi Challenge:


Ab Baat Chal Padi Hai To Aabla Pai Ka Shikwa Kiya.
Kuch Door Aur Sahi! Ye Raah Taveel To Hai Magar
Deobandi Latafat Wa Zaraef Ne Zehani Wa Tabae Tafreeh
Ke Rangarang Asbaab Faraham Kar Diye Hain. Leejiye Unki
Na Samjhi Ka Ek Aur Hawala Mulahaza Farmaiye-
'Murdon Ko Zinda Kiya Aur Zindon Ko Marne Na Diya
Is Maseehai Ko Dekhein Zari Ibne Maryam'
Deoband Ka Naya Deen 114
(Marsiya Gangohi Sahab)
Hazrat Isa Ibne Maryam Ke Muqabil Langot Bandhe
Khade Hain Ki Aey Maseeh! Aapne To Sirf Murdon Ko
Zinda Kiya Magar Kauvva Khor Maulana Gangohi Ka
Kamaal To Ye Tha Ki Murda To Zinda Karte Aur Zinda
Karke Marne Na Dete. Ab Unhi Se Daryaaft Keejiye Ki Jab
Aapke Maulana Kisi Ko Marne Hi Nahi Dete The To Jalane
Ke Liye Murde Kis Marghat Se Laye Jate The. Isiliye Kaha
Jata Hai Ki Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte Nahi.

15. Shafa'at Ki Bahas:


'Ajab Hasrat Se Aasi Kah Raha Tha Kal Madeene Mein
Shafa'at Hogi Pahle Hashr Mein Ya Mustafa
َّ َ ‫ ) َص َّل ہ‬Kis Ki'
(‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َمی‬
Ise Ifrate Aqeedat Aur Jazba E Ishq Wa Muhabbat Ki
Farawaani Kahiye Ya Galib Ki Zabaan Mein Bul Hawsi Se
Tabeer Keejiye Ye Aapka Apna Ikhtiyaar Hai. Magar Ye
َ ‫َص َّل ہ‬
Tasleem Hi Karna Padega Ki Aaqa E Kaynat ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہی‬
َّ
‫ َو َسل َ ی‬Ke Liye Jin Fazael Wa Muhasin Ke Tasleem Karne Mein
‫م‬
Ye Jabr Wa Ikraah Hi Mahsoos Nahi Karte Balki Iska Inkaar
Aur Iski Muzahamat Hi Ko Asal Deen Samajhte Hain Theek
Unhi Muhasin Ko Chun Chun Ke Apni Fankarana
Chabukdastiyon Ke Tahat Badi Khamoshi Se Apne Aaqao
Ke Haq Mein Istemal Karte Hain.
Ek Hawala Mulahaza Farmaiye-
'Hidayat Ke Liye Aaye The Ya Pakar Faragat Ab
Gaye Hain Ta Karein Wa Magfirat Ki Meer Samaani'
Deoband Ka Naya Deen 115

Ma'azallah! Sad Baar Ma'azallah! Khuda Apni Panah


Mein Rakhe. Jiske Dharm Mein Sayyade Aalam ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہی‬
َ ‫َص َّل ہ‬
َّ ٰ
‫ َوالہی َو َسل َمی‬Ke Mut'alliq Awaam Ko Ye Zehan Diya Jaye Ki
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ko Khud Apna Haal Nahi
Sarware Kaunain ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Maloom Aur Vo To Apni Beti Fatima Ke Bhi Kaam Nahi
Aayenge Wagaira Zalik.
Isi Khanasaaz Ambethvi Dharm Aur Rasheedi Millat
Mein Ye Kaha Jaye Ki Gangohi Sahab Duniya Ka Kaam
Khatm Karke Ab Vahan Shafa'at Wa Magfirat Ki Meer
Samaani Ke Faraez Anjaam Dene Gaye Hain. Aakhirash! Ye
Zehan Wa Fikr Ka Kaisa Tazaad Hai Ki Ek Hi Mauzoo Par
Kahi Noke Qalam Se Sharare Phoot Pade Aur Shakhsiyat Ke
Badal Jate Hi Phool Wa Shabnam Ka Chhidkav Hone Laga.
Usse Zyada Munh Bolti Misaal Aur Kya Ho Sakti Hai Ki Ye
Zalim Bolte Hain Magar Samajhte Nahi!
Agar Gangohi Ke Baare Mein Zehan Dena Tha To Nabi
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ke Baare Mein Zahar Afshani
Muhataram ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
َّ
Nahi Karni Thi Aur Aaqa E Kaynat ‫للای َت َع ٰالی َعلیہی َو ٰالہی َو َسل َ یم‬
َ ‫ َص َّلی ہ‬Se

Mut'alliq Jab Aqeede Ka Kodh Phoot Chuka Tha To Yahan


Isi Ko Apni Zabaan Se Chaat Kyun Rahe Ho? (Ye Saza Nahi
To Aur Kya Hai?) Ye Tazaad Uska Nateeja Hai Magar
Samajhte Nahi! 'Taqwiyatul Imaan' Ka Hawala Mulahaza
Kar Leejiye Taaki Zehan Mein Koi Khaljaan Na Rah Jaye.
'So Unhone Sab Ko Apni Beti Tak Ko Khol Kar Suna
Diya. Aur ALLAH Ke Yahan Ka Mamla Mere Ikhtiyaar Se
Bahar Hai. Vahan Mein Kisi Ki Himayat Nahi Kar Sakta
Aur Kisi Ka Vakeel Nahi Ban Sakta'.
(Taqwiyatul Imaan Page 32)
Deoband Ka Naya Deen 116
َّ َ َ
Rasoole Kareem ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
‫ َص ّل ہ‬Na Kisi Ki Himayat Kar

Sakte Hain Na Kisi Ki Vakalat Magar Gangohi Sahab Marne


Ke Baad Magfirat Ki Meer Samaani Ko Vahan Pahunch
Gaye.
'Ye Deobandi Dharm Hai'

16. Jahannam Ki Aag Aur Raushani:


'Baraheene Qatia' Maulana Khaleel Ahmad Ambethvi Ki
Ek Markatul Aara Tasneef Kahi Jati Hai Jo Maulana
Gangohi Ki Musaddaqa Hai. Iska Ek Hawala Mulahaza
Farmaiye Aur Unki Maloomat Wa Muballig Ilm Ko Daad
Deejiye.
'Aur Ba Sabab Narazi Haq Ta'ala Mojib Zulmaat Aur
Naare Jahannam Ki Raushani Dikhane Wali Hai'.
(Baraheene Qatia Page 18)
Maloom Hota Hai Ki Abhi Seedhe Jahannam Hi Se
Chale Aa Rahe Hain. Farmate Hain Ki Jahannam Ki Aag
Raushani Dikhane Wali Hai Halanki Anas Wa Hazrat Aboo
Bakr Raziyallahu Ta'ala Anhu Ki Sahi Hadees Hai
'Jahannam Ki Aag Kaali Andheri Hai Uski Lapat Mein
Raushani Nahi Hai Jaise Andheri Raat'.
Hadeese Mubaraka Ka Mafhoom Zahir Kar Diya Gaya
Ab Ye Dekhiye Khuda Kya Farmata Hai? Khuda E Zuljalal
Ye Farmata Hai-
"Jiske Liye ALLAH Ne Noor Na Rakha Use Aslan
Raushani Na Milegi".
Andheri Aur Raushani Dene Wali Aag To Jalane Mein
Yaksa (Barabar) Hain Magar Awwal Azaabe Mahaz Hai
Deoband Ka Naya Deen 117

Doosri Mein Raushani Ni'amat Hai. Agar Jahannam Mein


Raushani Ho To Kafir Ke Liye Aakhirat Mein Ni'amat Ka
Hissa Hua Aur ALLAH Azz Wa Jall Farmata Hai:
"Aakhirat Mein Us Ka Kuch Hissa Nahi".
Ab Nazireen Khud Qur'an Majeed Aur Hadeese
Mubaraka Ki Raushani Mein Faisla Farmaye Ki Jo Kah Raha
Ho Ki Naare Jahannam Ki Raushani Dikhane Wali Hai Vo
Samajh Ke Bol Raha Hai Ya Bin Samjhe Agar Bin Samjhe
Bol Raha Hai To Sab Log Ba Yak Aawaz Kahiye-
'Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte Nahi'

17. Hifzul Imaan Ki Bahas:


Maulana Ashraf Ali Thanvi Jinhein Khud Iska Aitraaf
Hai Ki Unka Naam Makare Ajeem Hai Goya Bol To Gaye
Hain Magar Samjhe Nahi. Unki Ek Markatul Aara Ruswaye
Zamana Tasneef 'Hifzul Imaan' Hai Uska Ek Hawala
Mulahaza Farmaiye-
'Phir Yah Ki Aapki Zaate Muqaddasa Par Ilme Gaib Ka
Hukm Kiya Jana Agar Baqaul Zaid Sahi Ho To Daryaaft
Talab Ya Amr Hai Ki Is Gaib Se Murad Baaz Gaib Hai Ya
Kul Agar Baaz Uloom Gaibiya Hain To Usmein Huzoor Ki
Kya Takhsees Hai? Aisa Ilm Zaid Ya Umar Balki Har Sabi,
Majnoon Balki Jami Bahaem Ke Liye Haasil Hai'.
(Hifzul Imaan Page 7)
Goya Jo Ilm Janwar, Pagal, Majnoon Wagaira Ka Hai
َّ َ ‫ َص َّلی ہ‬Ka Bhi Hai
Aisa Hi Rasoole Kareem ‫للای َت َع ٰالی َعلیہی َو ٰالہی َو َسل َ یم‬
Ma'azallah! Ab Aap Unse Kabhi Daryaaft Keejiye Ki Aap
Hazraat Apne Ko Warise Nabi Kahte Hain Iske Kya Ma'ana?
Deoband Ka Naya Deen 118
َّ َ َ
Jab Ki Sayyade Aalam ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
‫ص ّل ہ‬
‫ َ ی‬Ne Irshad Farmaya
Ki Mujhse Virasat Na Chalegi To Yaqeenan Vah Yahi Jawab
Denge Ki Virasat Na Chalne Ka Mafhoom Yah Hai Ki Ulma
Ilme Nabi Ke Waris Hain. Aapke Nabi Ka Ilm Janwar,
Pagal, Majnoon Aisa Hai To Farmaiye Aapko Virasat Mein
Kaun Sa Ilm Mila? Jab Aapke Nabi Hi Ka Ilm Janwar Jaisa
Hai To Aap Ka Ilm Bhi Janwar Wala Hi Hoga. Isi Ko Kahte
Hain Ki-
'Uljha Hai Paanv Yaar Ka Zulfe Daraaz Mein'
'Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte Nahi'
Nabi Ka Ilm Kaisa Hai Yah To Baad Ki Baat Hai Magar
Khud Aapke Qanoon Ne Khud Aapko Faansi Ke Takhte Par
Chadha Diya Kyunki Aap Apne Musallamaat Se Inkar Nahi
Kar Sakte Isliye Yah Mutayyan Ho Gaya Ki Ulmaye
Deoband Janwar, Pagal, Majnoon,Chaupaye Aisa Hai.

18. Kafir Kahne Ki Bahas:


Yah Insan Ka Rozmarra Hai Ki Usool Wa Musallamaat
Ki Baat Kahi Jaye To Use Vah Sunta Hai Magar Kuch Zyada
Dhyan Nahi Deta Lekin Musallamate Ke Khilaaf Agar Koi
Baat Kahi Jaye To Sabhi Ke Kaan Khade Ho Jate Hain. Ek
Lakh Baar Kahiye Ki Sharab Haraam Hai Sunne Wale Yahi
Kahenge Yah To Vahi Purani Baat Hai. Lekin Ma'azallah!
Agar Koi Sharab Ki Hurmat Ka Inkar Kar De To Masjid Se
Maykhane Tak Yah Baat Phail Jayegi. Pachpan Lakh Baar
Kahiye Ki Photo Kheechna, Photo Kheechwana Haraam
Hai Log Suni Ansuni Barabar Kar Denge Lekin Ma'azallah!
Sad Baar Ma'azallah! Aaj Agar Koi Yah Fatwa De De Ki
Deoband Ka Naya Deen 119

Photo Kheechwana Durust Hai To Asre Hazir Ka Vah


Tabqa Jo Apne Ko Raushan Khyaal Samajhta Hai Vah Jhat
Se Bol Padega Ki Apne Waqt Ka Koi Mujaddid Paida Hua
Hai. Bahut Si Shohrat Pasand Tabiyatein Is Technic Ko
Istemal Karti Rahti Hain Kuch Ho Ya Na Ho Is Bahane
Shohrat To Hoti Rahti Hai.
Poori Duniya E Islam Us Zabte Ko Tasleem Karti Hai Ki
Momin Ko Momin Kaha Jaye, Munafiq Ko Munafiq, Insan
Ko Insan Aur Kafir Ko Kafir. Chunanche Qur'an Majeed Ka
Tareeqa E Khitab Yahi Hai Ki Jab Vah Aam Insanon Ko
Mukhatab Karta Hai To Vah Kahta Hai ‫اّٰلل‬ ‫ُ ہ‬ ۡ ِّ ِ ‫اس‬
ِ ‫اِن َر ُس ۡول‬ َّ ‫ُق ۡل ۤاٰ َی ہ َّیا‬
ُ ‫الن‬ ٰ
ََۨ ۡ ََ ۡ ُ ۡ َ َ َ َٓ َ
‫ اِ لیُک ِجیعا‬Aur Munafiq Ko Munafiq Kahta Hai Maslan ‫اِ ذا جاءک‬
َ ُ ُۡ
‫اۡل ۤن ِفق ۡون‬ Alakh Aur Momin Ko Momin Kahta Hai
Maslan........Aur Kafir Ko Kafir Kaha Jata Hai
ۤ ۡ َ‫ُ ا‬
Maslan ‫ ق ۡل ۤ ٰی ٰہ َّیا الک ِف ُر ۡو َن‬Alakh.
Baaz Deobandiyon Ne Yah Mahsoos Kiya Agar Hamne
Vahi Kaha Jo Qur'an Kah Raha Hai To Usmein Koi Khaas
Baat Na Paida Hogi Lihaza Koi Aisi Baat Kaho Ki Jismein
Sab Mukhatab Ho Jayein. Chunanche Qur'an Ke Khilaaf
Nara Buland Kiya Ki Kafir Ko Bhi Kafir Mat Kaho. Yahi
Vah Maqaam Hai Jahan Mein Kahta Hoon Ki Bol Rahe Ho
Magar Samajh Nahi Rahe Ho. Isliye Ki Jab Tum Yah Kah
Rahe Ho Ki Kafir Ko Bhi Kafir Mat Kaho To Iski Misaal
Aise Hi Hai Jaise Yah Kaha Jaye Andhe Ko Andha Na Kaho
Yani Hai Andha Magar Mat Kaho, Langde Ko Langda Na
Kaho Yani Hai Langda Magar Kaho Mat. Bas Isi Tarah Kafir
Ko Bhi Kafir Na Kaho Yani Hai Vah Kafir Magar Kaho Mat.
Janab Ne To Pahle Use Khud Kafir Kah Diya Jab Aap Use
Deoband Ka Naya Deen 120

Khud Hi Kafir Kah Rahe Hain To Doosron Ko Mana Karne


Ka Haq Kahan Rah Gaya! Is Khuli Hui Haqeeqat Ke Baad
Bhi Kya Nahi Kaha Ja Sakta-
'Ki Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte Nahi'
َ ۡ ُ ۤ ۡ َ ‫ُ ۡ ۤا َ ہ‬
‫" قل ٰی ّٰیا الک ِفرون‬Tum Farmaao Aye Kaafiro"
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ko
Mein Khuda To Rasoole Kareem ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Hukm De Raha Hai Ki Aap Kafir Ko Kafir Hi Kaho. Ab
Nazireen Hi Faisla Farmaye Ki Baat Taqwiyatul Imaan Ki
Mani Jaye Ya Qur'an Ki?

19. Gair Khuda Se Lene Ki Bahas:


Firqa Zagiya Jab Apni Tauheed Parasti Ka Dhong
Rachata Hai To Na Poochhiye Uski Udan Ka Aalam
Moscow Aur Newyork Ke Rocket Bhi Peechhe Rah Jate
Hain. Is Mulk Mein Iska Ek Khokhla Naara Yah Bhi Hai Ki
Hamein Jo Lena Hoga Khuda Se Lenge. Ab Is Be Buniyad,
Galat Aur Jhoote Daawe Ke Muqabil Mein Qur'an Hakeem
Ka Ek Wazeh Wa Gair Mub'ham Ailan Mulahaza Farmaiye.
Qur'an Majeed Ka Irshad Hai-
‫َو َم ۤا ٰاتٰىکُ ُم الرَّ ُس ۡو ُل َفخ ُُذ ۡو ُہ َو َما ن َ ٰہىکُ ۡم َع ۡن ُہ فَان ۡ َت ُہ ۡوا‬
Tarjuma : "Aur Jo Kuchh Tumhe'n Rasool Ata
Farmaaye'n Woh Lo Aur Jisse Mana Farmaaye'n Baaz
Raho".
Firqa Zagiya Ka Kahna Hai Ki Hamein Jo Lena Hoga
Ham Khuda Se Lenge. Vahi Dene Wala Parvardigar Farmata
Hai Ki Tumhein Vahi Lena Padega Jo Mera Nabi Tumhein
Dega. Kya Ab Bhi Zehan Ke Kisi Gosha Mein Shubah Rah
Gaya Ki Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte Nahi. Yah
Deoband Ka Naya Deen 121

Bhi Kah Leejiye Qur'an Padhte Hain Magar Samajhte Nahi.

20. Istiaanat Ki Bahas:


Isi Tarah Ibleesi Tauheed Ke Thekedaron Ka Yah Bhi
Guman Hai Ki Khuda Ke Siwa Kisi Aur Se Madad Na
Mangi Jaye Jiski Shahadat Mein Soorah Fatiha Ki Yah Aayat
Pesh Ki Jati Hai ‫ اِ َّ ٰی َک َن ۡع ُب ُد َو اِ َّ ٰی َک َن ۡس َت ِع ۡ ٰ ُّی‬Tarjuma : "Hum Tujhi Ko
Pooje'n Aur Tujhi Se Madad Chaahe'n".
Yah Hukm Sar Wa Aankhon Par Bihamdihi Ta'ala Har
Khush Aqeeda Sunni Hanafi Musalman Apni Panj Waqta
Namazon Mein Hanafi Tareeqa Par Qir'at Karta Hai. Lekin
ۤ َّ َ ‫ا‬
Isi Qur'an Mein Doosre Maqaam Par Yah Bhi ‫ۤ ٰی ٰہ َّیا ال ِذ ٰۡ َّی ا َم ُنوا‬
‫الصلٰ ِوۃ‬ َّ ۡ ُ ۡ َ ۡ
َّ ‫لص َۡب َو‬
ِ ‫است ِعینوا َِی‬
Tarjuma : "Aye Imaan Waalo Sabr Aur Namaaz Se
Madad Chaaho"
Ise Har Danishwar Achchi Tarah Janta Hai Ki Sabr Aur
Namaz ALLAH Nahi Balki Gairullah Hain, Namaz Khuda
Ke Liye Padhi Jati Hai Magar Khuda Nahi Hai. Nateeja Saaf
Zahir Hai Ki ALLAH Ta'ala Gairullah Se Madad Mangne
Ka Hukm De Raha Hai Lihaza Ab Yah Haqeeqat Aaftab Se
Zyada Raushan Ho Gai Ki Sabr Aur Namaz Jo Gairullah
Hain Jab Unse Madad Mangi Ja Sakti Hai To ALLAH
Ta'ala Ke Vah Pyare Mahboob Bande Jinhein Dekh Kar
Sabr Aur Namaz Yaad Aa Jaye Imaam Husain Jaise Sabir Aur
Sultan Ul Hind Jaise Namazi Se Madad Kyun Nahi Mangi
Ja Sakti? Iska Yaqeen Ho Gaya Ki Deobandi Bolte Hain
Magar Samajhte Nahi.
Deoband Ka Naya Deen 122

21. Fatwa Navesi Ka Mazhakakhez Andaz:


Maulana Rasheed Ahmad Sahab Gangohi Ulmaye
Deoband Ke Ek Motamad Muhaddis Aur Mufti Hain.
Mausoof Ke Ta'aruf Mein Itna Likh Dena Kafi Hai Ki Jabab
Hi Ne Fatwa Diya Hai Ki Kauvva Khana Sawab Hai. 14 Sadi
Mein Jo Kisi Se Na Ho Saka Vah Aapne Kar Dikhaya. Yah
Sawal Hamesha Deoband Par Baaqi Rahega Ki Maulana
Gangohi Ke Alawa Aur Kisi Imaam Wa Mujtahid Ne Agar
Kauvva Khane Ko Sawab Likha Ho To Hawala Pesh Keejiye.
Agar Meelad Wa Qyaam Ki Daleel Mangi Ja Sakti Hai To
Kauvva Ke Halaal Wa Sawab Par Daleel Kyun Nahi Mangi
Ja Sakti? Baharhaal Maulana Gangohi Ka Ek Jawab
Mulahaza Farmaiye-
'Gangohi Sahab : Hindu Ka Diya Hua Chanda Masjid
Mein Sarf Karna Durust Hai Jab Ki Vah Ba Neeyate Sawab
Deta Hai'. (Fatawa Rasheediya Kamil Page 416)
Gaur Farmaiye Hindu Aur Ba Neeyat Kufr Aur Sawab
Ka Bejod Paivand Use To Aam Musalman Jante Hain Ki
Kafir Ahle Neeyat Nahi. Yah Ibaarat Aisi Hai Jaise Maulvi
Ismail Dehalvi Ne Kaha 'Jhoothe Musalman Sach Shirk
Mein Giraftar Hain'. Taqwiyatul Imaan Mein Islam Aur
Shirk Ka Ijtima Aur Fatawa Rasheediya Mein Kufr Aur
Sawab Ka Ijtima. Yah Vah Ilal Wa Asbaab Hain Jinki Bina
Par Kaha Jata Hai Ki Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte
Nahi.
Deoband Ka Naya Deen 123

Baab (8) :Ulmaye Deoband Ke Khwabon


Ka Mahal
'Meri Hayaat Ka Afsana Dekhne Walo
Kahi Kahi Se Ye Qissa Padha Nahi Jata'
Ek Sadi Peshtar Na To Deobandiyat Ka Wujood Tha
Aur Na Hi Us Naam Se Koi Aashna Tha Ki Deobandiyat
Kis Chidiyan Ka Naam Hai. Lagbhag Ek Sadi Ki Ye
Paidawar Hain Ye Unhi Firqe Batila Se Hain Jiski Peshangoe
Aaj Se 13 Sadi Peshtar Nabi E Muhataram Mukhbire Sadiq
َّ ٰ َ ٰ َ َ ‫َ َّ ہ‬
‫ال َیعلیہ َیوالہ َیو َسل َ ی‬
‫م‬ ‫ صلیللایتع‬Ki Zabane Faiz Tarjaman De Chuki Hain.
َّ َ
Sarware Kaunain ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َمی‬ ‫ َص َّل ہ‬Ka Ye Farman Wajibul

Ij'aan Ki Meri Ummat Mein 73 Firqe Honge Unmein Ek


Naaji Hoga Baaqi Sab Ke Sab Jahannami. Is Irshade
Humayoon Par Sahaba E Kiraam Raziyallahu Ta'ala Anhum
Ne Arz Kiya Ya Rasoolullah! Vo Firqa Naaji Kaun Hoga?
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ne Irshad Farmaya 'Wama
Sayyade Aalam ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
An Alaihi Wa Asahaabi' Jisse Murad Ahle Sunnat Wa
Jama'at Hain. Ab Jahan Kahi Bhi Kisi Firqa Ka Paida Hona
Bola Jaye Yaqeen Kar Lena Chahiye Ki Paida Hona Bajaye
Khud Iski Daleel Hai Ki Kisi Naye Firqe Ne Janm Liya Hai.
Isi Paida Hone Wale Jahannami Tabqe Ki Khabar Di Gai
Hai Agar Ye Vahi Purana Hota To Use Paida Hona Na Bola
Jata. Yaqeen Janiye! Agar Ye Naye Firqe Na Paida Hote To
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ne Jo Peshangoe Di Hai
Sayyade Aalam ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Ham Iski Shahadat Wa Daleel Kahan Se Late? Use Husne
Ittefaq Kahiye Ya Taede Gaibi Ki Munkirine Ilme Gaib Hi
Deoband Ka Naya Deen 124
َّ َ َ
Aaqa E Kaynat ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َمی‬
‫ َص ّل ہ‬Ke Aalimul Gaib Hone Ki

Daleel Hain. Jinhone Imaniyaat Wa Aitqadiyaat,


Muhimmate Islam Wa Zaruriyate Deen Se Inkar Wa
Inharaaf Kiya Hai Aur Yahi Kisi Bhi Naye Firqe Ki Alamat
Wa Pahchaan Hai. Aise As'haabe Khair Jo Kisi Kaleedi Wa
Asasi Ikhtilaaf Ke Bagair Awaami Rushd Wa Hidayate
Qur'an Fahami, Deen Shanashi, Islami Ahkam Wa Masael
Ki Tashreeh Wa Tauzeeh Aur Tazkiya E Qalb Wagaira Ke
Liye Nayi Raahein Hamwaar Ki Ho To Unhein Firqa Nahi
Kaha Jayega Balki Ye Is Tabqe Ahle Sunnat Wa Jama'at Ke
Alag Alag Moydeen Wa Hami'en Hain. Goya Ye Aisi
Naharein Hain Jo Usi Bade Dariya Se Lekar Doosron Ko
Sairab Kar Rahi Hain. Mujhe Kahna Ye Hai Ki Deobandiyat
Jiska Naam Hai Uski Umr Ek Sadi Se Zayad Nahi Jisne
Tanqeese Risalat Aur Tauheene Nubuvvat Par Apne Mazhab
Ki Buniyad Rakhi Hai. Chunanche Ye Anbiya Wa Rusool
Ki Tareef Wa Tauseef Ko Jurm Wa Paap Samajhte Hain
Albatta Apne Aaqao Ke Muhasin Ki Talash Mein Saregarda
Rahte Hain. Iska Koi Sawal Hi Nahi Paida Hota Ki Qur'an
Wa Hadees Mein Vo Muhasin Talash Kiye Jaye. Lihaza Is
Tabqe Ne Uski Aasan Soorat Ye Nikali Ki Raat Ko Khwab
Dekho Aur Subah Press Ke Hawale Kar Do. Chunanche
Agar Unke Sapanon Ko Ikattha Kiya Jaye To Kai Jildo Par
Mushtamil Badi Zakheem Kitab Hogi Ye Mukhtasar Si
Kitab Uski Mut'hammil Nahi. Isliye Apne Is Daawe Ki
Shahadat Mein Do Chaar Misalein Hadiya E Nazireen Karta
Hoon Taaki Aap Unke Khwabon Ke Mahal Ko Isi Par Qyas
Kar Sakein. Ab Worq Ultaiye Aur Chand Hawale Mulahaza
Deoband Ka Naya Deen 125

Farmaiye-
Hawala:
'Ek Saaleh Fakhre Aalam Alaihissalam Ki Ziyarat Se
Musharraf Huye Aapko Urdu Mein Kalaam Karte Dekh Kar
Poochha Aapko Ye Kalaam Kahan Se Aa Gai? Aap To Arabi
Hain Farmaya Jab Se Ulmaye Madarsa Deoband Se Hamara
Mamla Hua Hamko Ye Zabaan Aai'.
(Baraheene Qatia Page 26)
Doston! Isi Ka Naam Hai Deobandi Dharm. Awwalan
Iska Kis Tarah Yaqeen Kiya Jaye Ki Ise Khwab Mein Dekha
Gaya Ye Ikhtara Mahaz Aur Manghadat Bhi To Ho Sakta
Hai?
Achcha Chaliye! Hamne Maan Liya Ki Kisi Ne Aisa
Dekha To Khwab Hi To Tha Ye Qur'an Ki Koi Aayat Ya
Bukhari Ki Koi Hadees To Nahi Jiski Isha'ate Qur'an Wa
Hadees Ke Hampalla Ho. Aapne Panjsoora Ki Tarah Use
Chhapna Kyun Shuru Kar Di Mahaz Isliye Ki Usmein
Aapke Madarsa Deoband Ki Badai Thi Aur Urdu Zabaan
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ke Shagird Hone Ki
Mein Sayyade Aalam ‫یللای َت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Shahadat. Al Ayaaz Billah Min Zalik. Apne Gireban Mein
Munh Daal Kar Socho Ki Agar Aisa Dekha Bhi Gaya To Is
Napak Khwab Ki Isha'at Kyun Ho Rahi Hai? Agar Aapke
Yahan Khwab Ki Itni Hi Ahmiyat Hai Ki Qur'an Wa
Hadees Aur Fiqh Islami Ki Tarah Use Chhapa Hi Jaye To
Fir Ham Logon Ko Bhi Ijazat Deejiye Ki Aap Logon Se
Mut'alliq Hamein Jitne Bhi Khwab Nazar Aayein Ham Use
Chhapte Rahein. Ek Baar Ki Isha'at Ke Baad Ham Use Na
Chhap Sake To Bagair Kisi Royalty Ke Ham Iska Haqqe
Deoband Ka Naya Deen 126

Isha'at Aapko De Dete Hain Ki Aap Use Lakh Haa Lakh Ki


Tadad Mein Chhapte Rahein Aur Is Ka Yaqeen Rakhiye Vo
Jitne Bhi Khwab Honge Kisi Marde Saaleh Hi Ke Honge,
Gair Saaleh Ke Nahi. Magar Uski Zamanat Hamein Milni
Chahiye Ki Hamare Vo Khwab Jo Aapse Mut'alliq Honge
Iski Isha'at Ko Aap Bura Na Manenge. Choonki Ham Ise
َّ َ ‫َص َّل ہ‬
Achchi Tarah Jante Hain Ki Sayyade Aalam ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Ki Bargah Mein Aap Hazraat Jitne Hi Shoreeda Sar Hain
Usi Qadr Apne Aaqao Ke Huzoor Bade Nazuk Mizaaj Hain.
Kahan Hai Deoband Ke Vo Bhagode (Jo Deoband Se
Bhage To Bareilly Mein Panah Mili) Jinhein Bareilly Mein
Panah Mili. Jiske Izhaar Tashakkur Mein 'Deoband Se
Bareilly Tak' Manzare Aam Par Aai. Had Ye Hai Ki Abhi
Munh Se Chhatti Ke Doodh Ki Boo Aa Rahi Hai Aur Risala
'Al Imdad' Ki Vo Ibaarat Jo Aag Wa Angara Ugal Rahi Hai
Us Par Paani Ka Chhidkaav Karne Chale Hain. Halanki Ab
Se Pahle Na Jane Kitne Akabire Deoband Ke Daman Usi Ki
Tapish Se Jhulas Ke Khaak Ho Gaye Aur Ab Ye Tifle
Maktab Apne Aansoo Ki Chand Boonde Liye Khade Hain
Goya 'Mendhaki' Ko Bhi Jukam Hua. Tiflana Mizaji Ka Ye
Aalam Hai Risala 'Al Imdad' Ki Vo Ibaarat Jo Khwab Wa
Bedari Donon Par Mushtamil Hai Vo Sirf Khwab Nahi Hai
Balki Khwab Wa Bedari Par Mushtamil Ek Waqiya Hai.
Mein Nahi Faisla Kar Saka Ki Aapki Fareb Khoordagi Hai
Ya Fareb Dahi? Mujhe Hairat Hai Ki Ek Kitab Jo Dajal Wa
Fareb Aur Suqam Wa Kharabiyon Ki Pulinda Ho Us Par
Qari Tayyab Sahab Jaisi Zimmadar Shakhs Ki Taqreez Hai.
Mahsoos Hua Is Hammam Mein Sabhi Nange Hain Warna
Deoband Ka Naya Deen 127

Khyaal Farmaiye Maulana Abul Ausaaf Sahab Ne 'Hifzul


Imaan' Ki Kufri Ibaarat Ki Safai Mein Jo Daav Istemal Kiya
Hai Usne To Unhein Bilkul Hi Nanga Kar Diya.
Hifzul Imaan Ki Nazai Ibaarat Mustqilan Ek Jagah Janab
Ne Darj Nahi Kiya Balki Tukde Tukde Mein Uski Safai
Pesh Ki. Halanki Tasneef Wa Taleef Ka Muravvaj Dastoor
Ye Hai Ki Pahle Asal Ibaarat Pesh Ki Jaye Phir Alahida
Alahida Tukdo Ki Safai Di Jaye Magar Yahan To Poori
Ibaarat Pesh Karte Huye Kaleja Kanp Raha Tha Ki Is
Phoohad Wa Gandi Ibaarat Ko Padhne Ke Baad Koi Safai
Sunne Ke Liye Aamada Na Hoga. Ye Dil Ka Vo Chor Hai
Jo Sab Ki Giraft Mein Nahi Aata.
Baharhaal Mujhe Ye Arz Karna Hai Ki Agar Har Khwab
Ki Isha'at Deobandi Dharm Mein Zaruri Hai To Isse
Hamari Jama'at Ko Aagah Kiya Jaye Taaki Aap Hazraat Ki
Khushnoodi E Mizaaj Ki Khatir Vo Saare Khwab Ikattha
Karke 'Tohfa E Bareilly' Ke Unwan Se Aap Hazraat Ko
Supurd Kar Diye Jayein. Aapko Lutf Bhi Aayega Aur
Hamara Ahsaan Bhi Musallat Rahega. Har Chand Ki Ham
Kabhi Ahsaan Jatayenge Nahi! Kheechdi Khor Paalan Sahab
Ko Hosh Mein Rahna Chahiye Jo Apne Jhole Mein Liye
Phirte Hain Vo Hamare Sabr Wa Shakeeb Ka Imtihan Na
Lein Hamari Jama'at Itni Neechi Satah Par Utarna Pasand
Nahi Karti Warna Jis Din Khwabon Ke Zere Unwan Ahle
Sunnat Ka Qalam Sharara Uglega Vo Bada Hi Bhayanak
Din Hoga.
Deoband Se Hamare Usooli Ikhtilafaat Hain Aur
Akabire Deoband Ki Tauheen Aamez Ibaarat Par Hamara
Deoband Ka Naya Deen 128

Mavakhaza Wa Muhasaba Hai. Isliye Agar Himmat Wa


Hausla Ho To Un Ibaarat Ki Safai Dekar Qaum Ko
Mutma'en Kar Deejiye. Ham Aapke Rujoo Aur Tauba Ke
Baad Gale Lagane Ko Taiyar Hain Magar Uski Isha'at Se
Zinda Makkhi Nigalne Ki Koshish Na Keejiye Jiske Hazam
Karne Mein Kai Hospital Darkar Ho. Sukhan Gustrana Baat
Aa Gai Jiska Meine Zikr Kar Diya Warna Ye Kisi Kitab Ka
Jawab Nahi Hai.
Baharhaal Ye Ulmaye Deoband Ki Ek Technic Hai Ki
َ
Apne Aaqao Ki Tareef Aur Sayyade Aalam Roohi Fidah ‫َص ّلی‬
َّ ٰ َ ٰ ََ‫ہ‬
‫ال َیعلیہ َیوالہ َیو َسل َ ی‬
‫م‬ ‫ للایتع‬Ki Tanqees Ke Liye Apne Khwabon Ki Isha'at
Karte Rahte Hain.
Halanki Tanqeese Nubuvvat Ke Liye Jahan Kahi Bhi
Unhone Apna Qalam Uthaya Hai Roshnae Ki Boond Mere
َّ َ ‫ َص َّلی ہ‬Ke Joote Ke Talle Tak Nahi
Mustafa ‫للای َت َع ٰالی َعلیہی َو ٰالہی َو َسل َ یم‬
Pahunchi Magar Usne Unke Chehre Ko Zarur Siyah Kar
Diya.
Mundarja Baala Hawale Hi Tajziya Keejiye-
َ ‫َص َّل ہ‬
Maslan Dekhne Wale Ne Sarware Kaunain ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہی‬
َّ
‫ َو َسل َ ی‬Se Ki Aapko Ye Kalaam Kahan Se Aa Gai Gaur Farmaiye
‫م‬
Kalaam Muzakkar Hai Hona Ye Chahiye Tha Ki Ye Kalaam
Aapki Kahan Aaya? Magar Aapke Yahan Uska Istemal
Moannas Hai. Goya Galib Wa Daag Ke Ahad Mein Jo
Muzakkar Tha Vo Deoband Pahunch Kar Muannas Ho
Gaya. Urdu Zabaan Mein Jise Tazkeer Wa Tanees Tak Ki
Tameez Na Ho Vo Jame Ul Kalim Sayyadul Arab Wal Ajam
َّ ٰ َ ٰ ََ ‫ہ‬ َّ
‫الی َعلیہی َوالہی َو َسل َ ی‬
‫م‬ ‫ َصلی للای تع‬Ko Urdu Sikhane Chale. Use Aejaze
Nubuvvat Hi Kahiye Ki Us Zalim Ne Zubaan Hi Mein
Deoband Ka Naya Deen 129

Thokar Khai Taaki Ek Mubtadi Talibe Ilm Bhi Uska Yaqeen


Kar Sake Ki Jo Tazkeer Wa Tanees Mein Imtiyaz Na Kar
Sake Vo Mut'allim Hai Ya Muallim? Use To Abhi Khud
Seekhna Chahiye Vo Sikhane Ka Haqdar Kahan Se Ban
Gaya! Chunanche Aaj Tak Ye Ibaarat Isi Tazkeer Wa Tanees
Mein Bhi Khatte Imtiyaz Nahi Kheech Sakti! Alawa Arzi Aaj
Tak Unka Zehan Is Haqeeqat Tak Ja Hi Na Saka Ki Bilfarz
Agar Khwab Ki Sehat Tasleem Hi Kar Li Jaye To Gaur
Karne Ka Ye Maqaam Hai Ki Sayyade Aalam ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہی‬
َ ‫َص َّل ہ‬
َّ
‫ َو َسل َ ی‬Ki Apni Zabaan To Arabi Hai Aaj Arabi Ke Bajaye Urdu
‫م‬
Mein Kyun Irshad Farma Rahe Hain?
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Aaj Uska Izhaar
Goya Aaqa E Kaynat ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Farma Rahe Hain Ki Mein To Arabi Hi Hoon Magar Mera
Mukhatab Us Zabaan Ko Na Samajh Sakega Isliye
Mukhatab Ki Suhoolat Ke Peshe Nazar Aaj Urdu Zabaan
Mein Bol Kar Uski Bhi Tauseeq Farma Rahe Hain. Ye Naam
Nihad Arabi Madarsa Wale Zarur Hain Magar Arabi Zabaan
Se Jahil Wa Na Aashna Hain. Usi Ke Zail Mein Uska Bhi
Suboot Faraham Kar Diya Ki Mein To Har Zabaan Par
Qadir Hoon Hatta Ki Sarkar Insaan, Unt, Jinn, Hiran,
Charind Wa Parind Sabhi Ki Zabaan Samajhte The Jaisa Ki
Ahadees Aur Tareekh Wa Siyar Ki Kitabon Se Zahir Hai.
Nateeje Mein Ye Baat Kahi Ja Sakti Ki Uske Alawa
َ
Mushhada To Jhuthlaya Nahi Ja Sakta. Rahmate Aalam ‫َص ّلی‬
َّ ٰ َ ٰ ََ‫ہ‬
‫ال َیعلیہ َیوالہ َیو َسل َمی‬‫ للایتع‬Ki Bargah Mein Mukhtalif Zabanon Ke Bolne
Aur Samajhne Wale Hazir Hote Hain Aur Har Musalman
Apni Zabaan Mein Sarkar Ko Mukhatab Karta Hai Jo Is
Baat Ki Khuli Daleel Hai Ki Har Musalman Iska Aqeeda
Deoband Ka Naya Deen 130
َ
‫َص ّلی ہ‬
Rakhta Hai Ki Muallime Insaniyat Nabi E Muhataram ‫للای‬
َّ ٰ َ ٰ ََ
‫ال َیعلیہ َیوالہ َیو َسل َ ی‬
‫م‬ ‫ تع‬Tamam Zabanon Ko Jante Aur Samajhte Hain.
Ab Farmaiye Aapka Manghadat Khwab Mana Jaye Ya Bainul
Aqwami Satah Par Muslim Biradari Ka Ye Zinda Javed
Aqeeda Tasleem Kiya Jaye.
Aakhri Guzarish Hai Ki Agar Khwabon Hi Ke Chhapne
Ka Shauq Hai To Apne Aaqao Ki Tareef Mein Zameen Wa
Aasmaan Ke Kulabe Milaiye Magar Anbiya Wa Auliya,
Aslaaf Wa Akabir Ki Tauheen Se Qalam Ko Is Had Tak
Mahfooz Rakhiye Ki Hamare Jazba E Aqeedat Par Uski
Kharash Tak Na Aa Sake. Bagair Kisi Mabsoot Wa Mufassal
Tabsare Ke Chand Khwab Aur Mulahaza Farmaiye-
Hawala:
'Aala Hazrat Yani Haji Imdadullah Sahab Ne Khwab
Dekha Ki Aapki Bhavaj Aapke Mehmanon Ka Khana Paka
َّ َ ‫َص َّلی ہ‬
Rahi Hain Ki Janabe Rasool Maqbool ‫للای َت َع ٰالی ی َعلیہی َو ٰالہی َو َسل َمی‬
Tashreef Laye Aur Aapki Bhavaj Se Farmaya Ki Uth! Too Is
Qabil Nahi Ki Imdadullah Ke Mehmanon Ka Khana Pakaye
Uske Mehman Ulma Hain Uske Mehmanon Ka Khana
Mein Pakaonga'.
(Tazkirturrasheed Page 46)
Iski Tabeer Gangohi Sahab Se Shuru Hui Aap Hi Pahle
Aalim Hain Jo Haji Sahab Se Bayt Huye Insaf Ko Aawaz Do
Ki Ab Din Dahade Uska Qatle Aam Ho Raha Hai.
Mulahaza Farmaiye Apne Aaqao Ki Azmat Wa Bartari Ke
َ
Izhar Mein Kitni Ayyari Se Aaqa E Kaynat Roohi Fidah ‫َص ّلی‬
َّ ٰ َ ٰ ََ‫ہ‬
‫ال َیعلییہ َیوالہ َیو َسل َ ی‬
‫م‬ ‫ للایتع‬Ko Apne Matbakh Ka Bawarchi Bana Gaye
Ma'azallah! Summa Ma'azallah! ALLAH Ta'ala Apni Panah
Deoband Ka Naya Deen 131

Mein Rakhe. Zalimo! Vo Tum Ne Sayyadul Anbiya Hazrat


َّ
Muhammad E Arabi ‫للای َت َع ٰالی َعلیہی َو ٰالہی َو َسل َ یم‬
َ ‫ َص َّلی ہ‬Ko Khwab Mein

Dekha Hoga Vo Tumhara Khanasaaz Thanvi Nabi Hoga


Jise Tumne Khwab Wa Bedari Mein Rasool Wa Nabi Kaha
Hai.
Uska Bhi Hawala Mulahaza Farmaiye-
'Khwab Dekhta Hoon Ki Kalima Shareef Padhta Hoon
Lekin Muhammad Rasoolullah Ki Jagah Huzoor Thanvi Ka
Naam Leta Hoon Yani 'La Ilaaha Illallaah Ashraf Ali
Rasoolullah' Itne Mein Khyaal Hua Ki Tujh Se Galati Hui
Dobara Padhta Hoon Be Sakhta Bajaye Rasoolullah ‫یللا َیت َع ٰالی‬ ‫َص َّل ہ‬
َّ ٰ َ
‫ َعلیہ َیوالہ َیو َسل َمی‬Ke Naam Ke Ashraf Ali Nikal Jata Hai. Mujhko
Ilm Hai Ki Is Tarah Durust Nahi Lekin Be Ikhtiyaar Zabaan
Se Yahi Nikalta Hai. Do Teen Baar Jab Yahi Soorat Hui To
Huzoor Thanvi Ko Apne Samne Dekhta Hoon Itne Mein
Meri Ye Haalat Ho Gai.
Kauma Ya Qausain Ki Ibaarat Tashreehi Hoti Hai Ki
Mein Ba Wajahe Riqqat Zameen Par Gir Gaya Aur Nihaayat
Zor Ke Sath Cheekh Mari Aur Mujhko Maloom Hota Tha
Ki Andar Koi Taqat Na Rahi. Itne Mein Banda Khwab Se
Bedar Ho Gaya Lekin Behisi Aur Asar Na Taqati Ba Dastoor
Tha Lekin Khwab Wa Bedari Mein Huzoor Ka Khyaal Tha.
Bedari Mein Kalima Shareef Ki Galati Par Khyaal Aaya To
Iraada Hua Ki Is Khyaal Ko Dil Se Door Kiya Jaye Fir Aisi
Galati Na Ho Jaye. Bae Khyaal Baith Gaya Fir Doosri
Karwat Let Kar Kalima Shareef Ki Galati Ke Tadaruk Mein
َّ َ ‫ َص َّلی ہ‬Par Durood Shareef Padhta
Rasoolullah ‫للای َت َع ٰالی َعلیہی َو ٰالہی َو َسل َ یم‬
Hoon Lekin Phir Bhi Ye Kahta Hoon 'Allahumma Salli Ala
Deoband Ka Naya Deen 132

Sayyidna Wa Nabiyana Wa Maulana Ashraf Ali' Halanki Ab


Mein Bedar Hoon Khwab Nahi Lekin Be Ikhtiyaar Hoon,
Majboor Hoon, Zabaan Apne Qaboo Mein Nahi. Us Roz
Aisa Hi Kuch Khyaal Raha Doosre Roz Bedari Mein Riqqat
Rahi Khoob Roya Aur Bhi Bahut Se Wujoohat Hain Jo
Huzoor Ke Sath Baese Muhabbat Hain Kahan Tak Arz
Karoo'.
Thanvi Sahab Ka Jawab Mulahaza Farmaiye-
Jawab : Is Waqiya Mein Tasalli Thi Ki Jiski Taraf Tum
Rujoo Karte Ho Vo Be Aenihi Ta'ala Muttaba E Sunnat
Hai.
(Risala Al Imdad Maahe Safar 1336 Hijri Page 35)
Ab To Yaqeen Kar Leejiye Ki Haji Imdadullah Sahab Ke
Mehmanon Ke Khana Pakane Ke Liye Thanabhavan Ke
Yahi Banaspatti Nabi Hazir Huye The. Aksar Aisa Bhi Hota
Hai Ki Khwab Se Bedar Hone Ke Baad Tamam Baatein
Achchi Tarah Yaad Nahi Rah Jati. Choonki Thanvi Sahab
Ko Haji Sahab Aur Gangohi Sahab Donon Hi Se Rishta E
Aqeedat Hai Isliye Iska Qavi Imkan Hai Ki Janab Hi
Pahunche Honge Aur Is Phan Mein Aanjanab Ko Malka Bhi
Tha. Chunanche Bahishti Zevar Utha Ke Dekhiye Ki Kabab
Banane Ka Tareeqa, Gosht Galane Ka Tareeqa Garz Ki Ek
Mahire Phan Ki Tarah Bawarchi Khane Ke Saare Usool Wa
Jawabit Darj Kar Diye Hain. Use To Mas'ala Masael Ki
Kitab Ke Bajaye Sabun Factory Aur Bhatyaar Khane Ka
Dastoore Asasi Kaha Jana Chahiye! Pahle Sabr Wa Shakeeb
Ka Daman Thamiye Uske Baad Worq Ultiye. Ek Aisi
Dilkharash Wa Nange Insaniyat Ibaarat Jo Qabile Gardan
Deoband Ka Naya Deen 133

Zadni Hai Agar Ahde Farooqi Hota To Unhein Kaifare


Kirdaar Tak Pahuncha Diya Gaya Hota.
'Ek Saaleh Ko Makshoof Hua Ki Ahqar (Ashraf Ali
Thanvi) Ke Ghar Mein Hazrat Aaysha Aane Wali Hain.
Unhone Mujh Se Kaha Mera Zehan Ma'an Is Taraf
Muntaqil Hua Ki Kamsin Aurat Uske Hath Aayegi. Is
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ne Hazrat Aaysha
Munasabat Se Ki Huzoor ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہی َو َسل َ یم‬
Se Nikah Kiya To Huzoor Ka Sin Shareef 50 Se Zyada Tha
Aur Hazrat Aaysha Bahut Km Umr Thi Vahi Qissa Yahan
Hai'.
(Risala Al Imdad Safar 35Hijri)
Choonki Maulana Thanvi Ne Apni Ek Kamsin Shagirda
Ya Murida Se Shadi Ki Thi Isliye Awaam Ko Patti Padhane
Ke Liye Khwab Ke Alawa Qur'an Ki Aayat To Mil Nahi
Sakti Thi Bas Uska Aasan Tareeqa Yahi Tha Ki Khwab
Dekha Jaye Use Chhap Kar Apne Mutvassileen Ko
Mutma'en Kiya Jaye.
Deobandi Awaam Ka Zehan Wa Fikr Bhi Aisa Maflooj
Aur La Ilaaj Sa Hai Ki Meelad Wa Qyaam Ke Suboot Mein
Hadees Pesh Keejiye To Barjasta Bol Padenge Ye To Hadees
Zaef Hai Lekin Apne Aaqao Ke Manaqib Wa Mahasin Mein
Manghadat Khwabon Ko Vo Soorah Yaseen Aur Soorah
Rahman Se Km Nahi Samajhte. Ma'azallah!
Mundarja Baala Hawala Koi Tabsara Nahi Chahata Aisi
Nangi Ibaarat Ko Tabsara Ka Libas Pahnana Bhi Tazeea E
Auqaat Ka Mutradif Hai. Bas Use Padh Leejiye Aur Apni
Bekasi Wa Mazloomi Ka Shiddat Se Ahsaas Karke Uska
Faisla Keejiye Ki Khuda Ki Bichhai Hui Zameen Par Ham
Deoband Ka Naya Deen 134

Se Bhi Zyada Koi Mazloom Hai. Had Hai! Gair To Gair


Thahare Aaj Jo Sunniyon Ka Libada Odhe Hain Unmein
Bhi Kuch Aise Munafiq Hain Jinka Mission Ye Hai Ki Ab
Un Masael Ko Na Chhua Jaye. Un Zalimon Se Daryaaft
Karo Ki Koi Tumhein Kuch Kah De To Usse Janm Bhar
Intqam Lete Raho, Uski Tauba Na Qabool Karo Aur Aise
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Aur
Sarkash Nafarman Jo Aaqa E Do Jahan ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Ummul Momineen Sayyada Aaysha Siddiqa Raziyallahu
Ta'ala Anhu Ki Izzat Wa Hurmat Ke Khilaaf Ek Mahaze
Jung Qayam Kar Rakha Hai Unse Tum Yarana Aur Saanth
Gaanth Chahate Ho Use Tumhara Murda Zameer Gawara
Kar Sakta Hai! Jiski Rago Ka Khoon Abhi Paani Nahi Hua
Vo Hamesha Is Tahreek Ke Khilaaf Nafreen Wa Malamat
Karta Rahega.
Doston! Ye Tasveer Ka Ek Rukh Hai Yani Jab Aaqa E Do
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ke Mut'alliq Khwab Dekhenge To
Aalam ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Sarkar Ko Urdu Sikhayenge Ya Bawarchi Banayenge.
Ma'azallah! Lekin Jab Apne Aaqao Ke Mut'alliq Khwab
Dekhenge To Uska Andaz Hi Judagana Hoga. Maloom Aisa
Hota Hai Ki Ek Samjhi Boojhi Scheme Ke Tahat Khwab
Bhi Dekha Jata Hai. Ab Us Sahi Tabeer Ye Hogi Ye Khwab
Dekha Nahi Jata Hai 'Aamad Wa Aawurd Ka Farq Hai'.
Chunanche Ab Tasveer Ka Doosra Rukh Mulahaza
Farmaiye.

Tasveer Ka Doosra Rukh:


Hawala-
'Ek Martaba Mujh Ko Sote Mein Aawaz Aai Ki Maulana
Deoband Ka Naya Deen 135

Husain Ahmad Is Daur Ke Abdullah Bin Mubarak Hain'.


(Shaikhul Islam Page 148)
Ek Doosra Hawala Mulahaza Farmaiye-
Hawala-
'Ek Buzurg Ne Khwab Mein Mujhse Farmaya Ki Husain
Ahmad Sahab Hazrat Gangohi Ki Nichod Hain. Unke Har
Amal Mein Musalmanon Ki Behtari Hai'.
(Shaikhul Islam Page 148)

Baab (9) :Mutfarriqaat


Yani Deobandiyat Apne Aaine Mein

'Uska Pata Na Poochho Bas Aage Badhe Chalo


Hoga Kisi Gali Mein To Fitna Utha Hua'
Kisi Sahab Ne Maulana Gangohi Se Daryaaft Kiya Agar
Khat Mein Maktoob Ilaih Ko Qibla Wa Ka'aba Likha Jaye
To Ye Durust Hai Ya Nahi? Maulana Gangohi Ne Jo Jawab
Diya- Ab Is Aaine Mein Maulana Thanvi Ki Soorat
Mulahaza Farmaiye-
Hawala Mulahaza Farmaiye:
Maulana Gangohi:
Sawal- Khat Mein Alqab Qibla Wa Ka'aba Likhna
Durust Hai Ya Nahi?
Jawab- Qibla Wa Ka'aba Kisi Ko Likhna Durust Nahi.
(Fatawa Rasheediya Kamil Page 498)
Doosra Jawab- Aise Kalimate Madah Ke Kisi Ki Nisbat
Kahne Aur Likhne Makrooh Tahreemi Hain.
(Fatawa Rasheediya Mukammal Page 488)
Maulana Gangohi Ka Fatawa Nazireen Ne Mulahaza
Deoband Ka Naya Deen 136

Farmaya Ab Maulana Ka Khat Maulana Gangohi Ke Naam


Mulahaza Farmaiye-
Hawala:
'Maulana Thanvi : Aur Mansha Is Tavassea Ka Hazrat
Qibla Wa Ka'aba Ka Qaul Wa Fel Hai'.
(Tazkirturrasheed Hissa 1 Page 116)
Doosra Hawala:
Hazrat Qibla Wa Ka'aba Ke Sath Shar'an Kya Ta'alluq
Rakhna Chahiye'.
(Tazkirturrasheed Jild 1 Page 118)
Galiban Maulana Gangohi Khud Apna Fatwa Bhool
Gaye The. Chunanche Qibla Wa Ka'aba Likhne Par
Maulana Thanvi Ki Zajr Wa Taubeekh Aur Daant Wa
Fatkar Nahi Ki Gai Ya Janab Ne Is Fatwe Se Khud Ko Ya
Thanvi Sahab Ko Mustsana Kar Liya Hai. Yani Kisi Aur Ko
Nahi Magar Maulana Gangohi Ko Likha Ja Sakta Hai Ya
Koi Aur Nahi Likh Sakta Sirf Maulana Thanvi Likh Sakte
Hain. Kuch Bhi Iska Iqraar Karna Padega Ki Bolte Ho
Magar Samajhte Nahi.
Maulana Gangohi Deobandi Group Ke 'Kutbul Aalam'
Aur 'Imame Rabbani' Hain Jo Khud Apne Mut'alliq Kahte
The Ki Najaat Wa Hidayat Maukoof Hai Meri Ittiba Par.
Maulana Thanvi Sahab Firqa Zagiya Ke Nazdeek 'Hakeemul
Ummat' Aur Jame Ul Mujaddideen Hain. Deobandiyon Ke
Nazdeek Jinke Paanv Ko Dhokar Pi Lena Najaate Ukhravi
Ka Sabab Hai.
Gaur Farmaiye Jis Jama'at Ke 'Kutbul Aalam' Aur
'Hakeemul Ummat' Ke Qaul Wa Fel Ke Tazaad Ka Ye
Deoband Ka Naya Deen 137

Aalam Hai Us Jama'at Ke Chhaatu Bhaiyyon Ka Kya Haal


Hoga?-
'Qyas Kun Jagulistan Man Bahaar Mara'
Worq Ultiye Aur Is Hairatkada Mein Qadam Rakhiye
Jahan Imaan Wa Aqeede Ka Khoone Nahaq Karne Wale
Insaf Ka Tarazoo Liye Baithe Hain.
Hawala Mulahaza Farmaiye-
'Thanvi Sahab : Agar Ek Waqt Mein Kai Jagah Mahfil
'Mahfile Meelad' Munaqid Ho To Aaqa Sab Jagah Tashreef
Le Javenge Ya Kahi? Ye To Tarjeeh Bila Marajjah Hai Ki
Kahi Javein Kahi Na Javein. Aur Agar Sab Jagah Javein To
Wujood Aapka Wahid Hai, Hazaar Jagah Kis Taur Ja Sakte
Hain?'
(Fatawa Imdadiya Jild 4 Page 58)
Ye Hai Thanabhavan Ke Hakeemul Ummat Ka Irshad
َّ َ ‫ َص َّلی ہ‬Ek Hi Waqt Mein
Ki Sarware Kaunain ‫للای َت َع ٰالی َعلیہی َو ٰالہی َو َسل َ یم‬
Mut'addid Makamaat Par Kaise Pahunch Sakte Hain! Na
Poochhiye Zehan Wa Fikr Ki Fitnagari Ka Aalam Maane To
Devta Aur Na Maane To Patthar!
Aaqa E Kaynat Ki Bargah Mein Jinhein Aapne Shoreeda
Sar Dekha Ab Unhi Ko Apne Aaqao Ke Huzoor Sajda Rez
Dekhiye.
Hawala-
'Maulana Mahmood Hasan Nageenvi : Maulana
Mahmood Hasan Nageenvi Farmate Hain Ki Meri Khush
Daman Sahiba Jo Apne Walid Ke Hamrah Makka
Muazzama Mein 12 Saal Tak Muqeem Rahi! Nihaayat
Paarsa Aur Aabida, Zahida Thi, Saikdon Ahadees Bhi Unko
Deoband Ka Naya Deen 138

Hifz Thi. Unhone Mujhse Farmaya Ki Beta! Hazrat Yani


Maulana Rasheed Ahmad Gangohi Ke Bahut Shagird Wa
Mureed Hain Magar Kisi Ne Hazrat Gangohi Ko Nahi
Pahchana. Jin Ayyam Mein Mera Qyam Makka Muazzama
Mein Tha Rozana Meine Subah Ki Namaz Hazrat Gangohi
Ko Haram Shareef Mein Padhte Dekha Hai Aur Logon Se
Suna Bhi Hai Ki Ye Hazrat Maulana Rasheed Ahmad
Gangohi Hain, Gangoh Se Tashreef Laya Karte Hain'.
(Tazkirturrasheed Jild 1 Page 212)
Daryaaft Keejiye Qari Tayyab Sahab Se Ki Unhein
Thanvi Sahab Ki Raay Se Ittifaq Hai Ya Tazkirturrasheed Ke
Mundarja Waqiya Se Jo Bajaye Khud Deobandi Mazhab Ke
Rukhsar Par Ek Gaibi Tamacha Aur Unki Barhana Pusht
Par Taziyana E Ibrat Hai. Aap Hi Insaf Se Kahiye Meelad
Shareef Par Pahra Bithane Ke Liye Jo Hathyar Istemal Kiya
Gaya Tha Kya Isi Ne Unke Paanv Par Kulhadi Ka Kaam
Nahi Kiya? Magar Ye Ahsaas To Jab Hota Ki Samajh Ke
Bolte Magar Yahan Ka Haal To Ye Hai Ki Bolte Hain Magar
Samajhte Nahi!
Abhi Kuch Door Aur Chaliye Ye Dastan Khatm Nahi Hui,
'Abhi Aur Zindagi De Ki Hai Dastan Adhoori Meri Maut
Se Na Hogi Kabhi Dastan Poori'
Hawala Mulahaza Farmaiye-
Maulana Gangohi :
Sawal: Maulood Shareef Aur Urs Ki Jismein Koi Baat
Khilafe Shara'a Na Ho Jaise Ki Hazrat Shah Abdul Azeez
Sahab Rahmatullah Alaih Kiya Karte The, Aapke Nazdeek
Jaez Hai Ya Nahi? Aur Shah Sahab Waqai Maulood Aur Urs
Deoband Ka Naya Deen 139

Karte The Ya Nahi?


(Az Saed Ahmad Khan Muradabadi, Fatawa Rasheediya)
Jawab: Akd Majlise Maulood Yani Majlise Maulood Ka
Karna Agarche Usmein Koi Amr Gair Mashroo Na Ho
Magar Ahatmam Wa Tadai Usmein Bhi Maujood Hai
Lihaza Is Zamane Mein Durust Nahi Wa Ala Haza. Urs Ka
Khwab Hai Bahut Ashya Hain Ki Awwal Mabaah Thi Fir
Kisi Waqt Mein Mana Ho Gai Majlise Urs Wa Maulood Bhi
Aisa Hi Hai.
Faqat Rasheed Ahmad Gangohi
(Fatawa Rasheediya Kamil Page 105)

Maloom Hua Ki Agarche Meelad Shareef Mein Koi Baat


Khilaaf Shara'a Na Ho Jab Bhi Vo Durust Nahi Hai Kyunki
Usmein Ahatmam Wa Tadai Hai Jiska Khulasa Ye Hai Ki
Agar Meelad Shareef Ke Liye Koi Ahatmam Na Kiya Jaye
Aur Ba Qayda Logon Ko Mad'oo Na Kiya Jaye Balki Itfaqiya
Agar 10, 20, 100-50 Aadmi Baithe Ho To Bagair Kisi
Ahatmam Ke Meelad Shareef Padh Liya Jaye Aisi Soorat
Mein To Durust Hai Yani Nafse Meelad Shareef To Durust
Hai Magar Ahatmam Wa Tadai Durust Nahi Hai.
'Khud Aap Apne Daam Mein Sayyaad Aa Gaya'
Ab Is Aaine Mein Janab Ki Makrooh Wa Ganda Soorat
Mulahaza Farmaiye,
Hawala-
'Maulana Aashiq Ilaahi Merathi : Bazlil Majhood (Aboo
Daod Ki Shara'a Ka Naam) 11 Rabi Ul Awwal 1335 Hijri
Mein Shuru Hui 21 Shaban 1445 Hijri Poore 10 Baras 5
Deoband Ka Naya Deen 140

Maah Din Mein Ye Shara'a Badi Takteea Ke Taqreeban


2000 Safhaat Mein 5 Jild Ho Kar Khatm Hui Aur Uske
Khatm Par Hazrat Maulana Khaleel Ahmad Ambethvi Ko Is
Darja Musarrat Wa Khushi Hui Jiska Muqabla Duniya Ki
Koi Badi Se Badi Khushi Nahi Kar Sakti. Haft Aqleem Ki
Saltanat Ka Milna Intihai Khushi Ka Mahawara Istemal Kiya
Jata Hai Magar Ahlullah Ko Duniyavi Lazzaton Ke Husool
Mein To Khushi Hi Mafkood Ho Jati Hai Isliye Mere Paas
Vo Alfaaz Nahi Hain Jinse Hazrat Ki Is Khushi Ka Andaza
Nazireen Ko Kara Sakoo. Aap Maulana Khaleel Ahmad
Ambethvi Ne Khatm Par 23 Shaban Yaume Juma Ko
Ulmaye Madeena Aur Ahbaab Hazirin Ki Zyafat Ka Saaman
Kiya Aur Khaas Apne Paise Se Aur Bade Ahatmam Ke Sath
Arabi Tarz Ki Zyafat Ka Saaman Kiya Ki Aapka Rowa Rowa
Shukre Ilaahi Mein Choor Aur In'aame Baari Par Itna Farha
Wa Masroor Tha Ki Uska Andaza Vahi Ke Rahne Wale
Hazirbaash Hazraat Ne Kiya Hoga. Dawat Ke Aapne
Khutoot Taba Karaye Aur Ek Bade Paimana Par Jeeran
َّ َ ‫ َص َّلی ہ‬Ke Padosi) Rasool Ki
(Rasoole Kareem ‫للای َت َع ٰالی َعلیہی َو ٰالہی َو َسل َ یم‬
Mezbani Ka Shauq Poora Kiya. Is Khushi Ka Andaza Keejiye
Ki Un Dawati Khutoot Mein Hazrat Ne Apne Hindi
Khuddam Ko Bhi Faramosh Na Farmaya'.
(Tazkiratul Khaleel Page 276-277)
Ahatmam Wa Tadai Par Ye Ek Aisi Munh Bolti Ibaarat
Hai Jo Tashreeh Talab Nahi Hai. Nafse Meelad Shareef
Durust Hone Ke Bavajood Sirf Isliye Na Durust Ho Gaya
Choonki Ismein Ahatmam Wa Tadai Hai.
Ab Mundarja Baala Ibaarat Ka Tajziya Keejiye Ki
Deoband Ka Naya Deen 141

Maulana Khaleel Ahmad Muhaddis Ambethvi Ne Aboo


Daod Ki Shara'a Jab Mukammal Kar Li To Is Khushi Mein
Ahle Madeena Ki Dawat Ki Magar Mamla Aisa Nahi Tha
Ki Bagair Soche Samjhe Yoon Hi Ek Roz Khana Taiyar
Karaya Aur Chalte Phirte Har Rahgir Ka Bazoo Thaam Kar
Usse Arz Kiya Ho Khana Taiyar Hai, Tashreef Le Chalein Ji
Nahi! Balki Dawat Ke Liye Shaban Ki 23 Tareekh Muqarrar
Hui Aur Juma Ka Din Mutayyan Hua, Zabani Dawat Nahi
Di Gai Balki Bade Ahatmam Se Dawati Card Chhape Aur
Matbooa Card Ko Sadak Ke Chaurahe Par Nahi Rakha Gaya
Ki Jo Use Utha Le Vahi Dawat Mein Shareek Ho Jaye Balki
Iski Fehrist Murattab Hui Ki Kin Hazraat Ko Mad'oo Kiya
Jaye Aur Sirf Ahle Madeena Hi Ko Nahi Muntakhab Kiya
Gaya Balki Hindi Gulamon Ko Bhi Ba Zariya Daak Dawat
Naama Bheja Gaya. Aqal Hairan Hai Aur Insaniyat Kaleja
Peet Raha Hai Ki Khudaya! Teri Bichhai Hui Zameen Par
Ye Kaisi Sarkash Qaum Aabad Hai Ki Apni Khushi Ke Izhar
Mein Vo Din Aur Tareekh Muayyan Karti Hai Ahatmam
Wa Tadai Mein Aitdaal Nahi Balki Gul Se Kaam Leti Hai
Aur Uski Nazaron Mein Ye Sab Kuch Durust! Lekin Jis
Tareekh Wa Din Mein Tere Hi Nahi Balki Kaynat Ke Bhi
Mahboob Ki Wiladat Ba Sa'adat Hui Ho Agar Unka Zikr
Sunane Ke Liye Ahatmam Wa Tadai Kiya Jaye To Sab
Mamnoo, Najaez Wa Haraam Aur Shirk Wa Bid'at Hai. Use
Rasoole Dushmani Na Kaha Jaye To Aur Kya Kaha Jaye? Is
Dushmani Ka Nateeja Hai Ki Is Had Tak Yateemul Aqal
Bana Diye Gaye Ki Bolte Hain Magar Samajhte Nahi!
Tazkiratul Khaleel Ka Mundarja Baala Hawala
Deoband Ka Naya Deen 142

Deobandiyon Ke Haq Mein Zahare Halahal Se Km Nahi


Usmein Tareekh Ka Tayeyyun, Din Ka Takarrur, Ahatmam
Aur Tadai Har Ek Ka Suboot Hai. Firqa Zagiya Ki Gangohi
Shariyat Ka Ek Aur Hawala Mulahaza Farmaya Jaye Jisse
Unki Manghadat Bid'at Ka Chehra Benaqab Ho Jayega,
Hawala-
Maulana Gangohi :
Sawal: Kisi Musibat Ke Waqt Bukhari Shareef Ke Khatm
Karana Qurune Salasa Se Sabit Hai Ya Nahi Aur Bid'at Hai
Ya Nahi?
Jawab: Qurune Salasa Mein Bukhari Taleef Nahi Hui
Thi Magar Uska Khatm Durust Hai Ki Zikr Khair Ke Baad
Dua Qubool Hoti Hai Uski Asal Shara'a Se Sabit Hai, Bid'at
Nahi.
Faqat Rasheed Ahmad Gangohi
(Fatawa Rasheediya Kamil Page 102)
Mujhe Daryaaft Karne Deejiye Ki Meelad Shareef Zikr
Khair Hai Ya Nahi Agar Hai Aur Yaqeenan Hai To Jis Daleel
Ki Buniyad Par Khatm Bukhari Shareef Durust Hai To Isi
Daleel Ke Tahat Meelad Shareef Ko Durust Kyun Nahi
Qaraar Diya Jata? Aakhirash Meelad Shareef Se Itni Chidh
Aur Zid Kyun Hain? Ye To Aapke Bayein Hath Ka Khel Hai
Jo Kisi Zamane Mein Na Durust Aur Mamnoo Ho Vo
Aapke Daur Mein Durust Aur Jayaz Ho Jaye Aur Jayaz
Wagaira Mamnoo Aapke Ahad Mein Mamnoo Ho Jaye.
Baat Aa Hi Gai To Iska Bhi Hawala Leejiye,
Hawala-
Maulana Gangohi :
Deoband Ka Naya Deen 143

Sawal: Nalain Chobi Aur Lakdi Ka Khadaav Ko Maulvi


Abdul Hayy Sahab Lakhnavi Ne Bid'at Likha Hai
'Ittikhazun Naale Minal Khashbe Bid'ate Kama Fil Kunniy
Wal Hamadiya'
Iska Vahi Matlab Hai Jo Huzoor Ne Farmaya Hai Ya Ye
Ki Kutub Gair Motbara Se Hai, Ya Is Ibaarat Ki Aur Koi
Taveel Ho Sakti Hai, 'Baiyyanoo Wa Tuajjiroo'
Jawab: Kisi Waqt Mein Na Jayaz Thi Ab Durust Ho Gai
Ki Aam Istemal Iska Ho Gaya.
Faqat Wallahu Ta'ala Aa'alam Banda Rasheed Gangohi
(Fatawa Rasheediya Kamil Page 471-472)
Sael Ne Maulana Gangohi Se Sawal Kiya Ki Maulana
Abdul Hayy Sahab Lakhnavi Ne Lakdi Ki Khadaav Pahan
Ne Ko Bid'at Likha Hai Lihaza Hazrat Wala Se Daryaaft
Karna Hai Ki Is Baare Mein Imaam Rabbani Ki Raay Kya
Hai? Bagair Kisi Ta'ammul Ke Janab Ne Fatwa De Diya Ki
Kisi Waqt Mein Najaez Thi, Ab Durust Ho Gai. Yahi Meine
Arz Kiya Tha Ki Durust Ko Durust Aur Durust Ko Na
Durust Karna Ye To Aanjanab Ka Rozmarra Tha. Ab
Tamam Sunniyon Ko Iska Intazaar Hai Ki Deobandi
Shariyat Mein Jo Meelad Na Durust Hai Uske Durust Hone
Ka Waqt Kab Aayega? Use Bhi Ganeemat Janiye Ki Gangohi
Sahab Ne Umr Tabai Hi Pai Agar Kahi Kuch Zyada Umr
Paate To Fiqh Hanafi Ko Bilkul Hi Maliyamet Kar Gaye
Hote. Kauvva Khana Sawab, Gaay Ki Ojhdi Durust, Bakre
Ka Kapoora Halaal Ye Nayi Shariyat Nahi To Aur Kya Hai?
Ab Isi Mauzoo Se Mut'alliq Ek Hawala Mulahaza Farmaiye,
Hawala-
Deoband Ka Naya Deen 144

Maulana Gangohi :
Sawal: Kya Pahan Na Khadaav Chobi Ka Bid'at Hai?
Jawab: Khadaav Chobi Ka Pahanna Bid'at Nahi Balki Ba
Sabab Nafa Ke Aur Uski Asal Hone Ke Ki Joota Aur Moza
Bhi Durust Hai. Albatta Ba Sabab Mushabahat Jogiya Ke
Kisi Waqt Mana Likha Tha Magar Ab Ye Kafir Wa Muslim
Mein Shaay Ho Gai Hai Ab Mushabahat Usmein Mamnoo
Nahi.
Faqat Wallahu Ta'ala Aa'alam
(Fatawa Rasheediya Mukammal Page 472)
Qurban Jaiye! Choonki Lakdi Ki Khadaav Pahan Ne
Mein Nafa Hai Isliye Ab Iska Pahanna Bid'at Nahi, To
Mujhe Daryaaft Karne Deejiye Ki Meelad Shareef Jaisi Khair
Wa Barkat Bhari Mahfil Mein Musalmanon Ke Liye
Beshumar Fawaed Hain. Meelad Shareef Ka Magar Isi
Bahane Musalmanon Ko Taharat, Namaz, Roza, Haj Wa
Zakat Wagaira Ke Ahkam Wa Masael Maloom Ho Jate
Hain. Aakhirash Vo Kaun Se Asraar Wa Rumooz Hain Ki
Itne Munafe Aur Fawaed Ke Bavajood Aapki Shariyat Ka Na
Durust Meelad Durust Kyun Nahi Ho Raha Hai? Bas Itni
Baat Hai Ki Khud Aapke Durust Hone Ki Der Hai Jis Din
Aap Sahiul Aqeeda Ho Jaye Meelad Ki Sehat Khud Samajh
Mein Aa Jayegi.
Deoband Ka Naya Deen 145

Baab (10): Khulasa E Guftagoo


'Bharosa Mash'alo Par Ta Kuja E Karwa Walo
Khud Apni Raushani Mein Kyun Na Pahchano Maqaam
Apna'

Kuch Apni Baatein:


'Tum Ho Maseeha Tum Hi Samajh Lo
Mein Kya Janoo Dard Kidher Hai'
Deobandi Bolte Hain Magar Samajhte Nahi Naam Ki
Kitab Agar Aapne Hasbe Tarteeb Padhne Ki Zahmat Uthai
Hai To Hawalajat Ki Raushani Mein Ye Faisla Bahut Hi
Aasan Sabit Hua Hoga Ki Mazhabe Ahle Sunnat Ke
Muqabil Asre Hazir Mein Deobandi Izm Kisi Aatishi Aslaha
Khane Se Km Nahi. Vo To Ye Kahiye Ki Mazhab Ahle
Sunnat Wa Jama'at Apni Haqqaniyat Wa Sadaqat Ki
Buniyad Par Zinda Hai Aur Insha ALLAH Ta'ala Us Waqt
Tak Qayam Wa Dayam Rahna Hai Jo Minjanib ALLAH
Uske Liye Muqaddar Ho Chuka Hai. Magar Is Silsile Mein
Infiradi Wa Ijtamai Taur Par Hamein Sochna Hai Ki Khud
Hamne Apni Zimmadariyon Ko Kahan Tak Mahsoos Kiya
Agar Mahsoos Kiya To Isse Ohda Bar'aa Hone Ki Hamne
Kahan Tak Jadd Wa Jahad Ki Hai. Hamein Bahut Door Tak
Iska Ahsaas Hai Ki Hamari Jama'at Ke Dardmand, Gayyur
Wa Hassas Aur Fa'aal Wa Mut'harrik Afrad Ne Apne Apne
Halqa E Asr Mein Apne Ko Kisi Ishrat Kade Mein
Khamoosh Nahi Rakha Balki Vahan Ki Sanglaakh Kankreeli
Deoband Ka Naya Deen 146

Aur Pathreeli Zameenon Ko Khoob Khoob Raunda Aur


Pamaal Kiya Mauqa Iska Nahi Ki Unke Naam Shumar Kiye
Jayein. Jama'at Ke Aise Mumtaz Wa Mutaarif Hazraat
Zehanon Mein Mahfooz Hain Aaj Unhi Chand Ko Aewaan
E Sunniyat Ka Sutoon Samjha Jata Hai Magar Sawal Hamari
Ajtamai Zindagi Ka Hai. Apne Waqt Ka Ye Ek Aisa Ubhra
Hua Sawal Hai Jo Lakh Ha Lakh Zehanon Mein Kante Ki
Tarah Chubh Raha Hai Zarurat Hai Ki Is Agende Par Sir
Jod Ka Baithe Aur Vo Ummate Muslima Jo Apne Na
Khudao Se Ek Aas Lagaye Baithi Hai Uske Zakhme Jigar Ka
Kae Marham Taiyar Karein.
Iske Ye Ma'ana Hain Ki Hamein Jama'ati Zindagi Ka
Sha'oor Nahi. Sunni Duniya Faham Wa Fikr, Aqal Wa
Danish, Door Andeshi, Isaabate Raay Jaisi Goonagoon Aur
Nau Ba Nau Salahiyyaton Ke Muntashir Afrad Ke Ek Intihai
Shadab Wa Pur Kashish Baag Wa Bageeche Ka Doosra
Naam Hai Jiski Chhao Mein Na Jane Kitne Thake Mande
Meethi Neend So Gaye Aur So Rahe Hain Magar Ye Kitni
Alamnak Kahani Hai Ki Hamara Thaka Manda Karwa
Khud Kiski Chhao Mein Thandi Saans Le? Is Haibatnak
Tasavvur Se Hamara Kaleja Dahal Jata Hai. Kahi Aane Wali
Nasl Hamare Mut'alliq Ye Guman Na Kare Ki Hamari
Misaal Us Raushan Charag Ki Si Hai Jiski Raushani Mein
Na Jane Kitne Gum Karda Raah Apni Manzilon Se
Hamdosh Huye Magar Khud Charag Tale Andhera Hi Rah
Gaya. Jahan Das Bartan Hote Hain Vahan Aawaz Ka Paida
Hona Ek Kahawat Hai Agar Saada Lauh Sunni Musalmanon
Ko Agyaar Ke Changul Se Mahfooz Rakhna Hai To Maazi
Deoband Ka Naya Deen 147

Ki Talkhiyon Ka Tazkira Kiye Bagair Kabhi Bhi Aur Kahi


Bhi Baith Jaiye Aur Waqt Ki Sahi Nabbazi Karke Agar
Mut'addid Jama'aton Ko Tahleel Kar Sakte To Unki
Salahiyyaton Aur Dayra E Amal Ke Lihaz Se Taqseem Kaar
Ke Tahat Har Ek Ko Judagana Kaam Supurd Kar Diye
Jayein. Har Chand Ki Haalat Ke Majboor Karne Par
Taqreeban 5-6 Baras Peshtar Meine 'All India Tabligi
Jama'at' Ki Daag Bel Daali Is Waqfa Mein Kabhi Tadreejan
Iska Thoda Bahut Kaam Hota Raha Aur Kabhi Musalsal
Jumood Wa Ta'attul Taari Raha. Lekin Taqreeban Ek Saal
Se Uska Mahdood Dayra E Amal Wasi Se Wasitar Hota Ja
Raha Hai, Mulk Ke Mukhtalif Soobon Mein Apne Ta'arufi
Daur Se Guzar Kar Maidane Amal Mein Utar Chuki Hai,
Intihai Mufeed Wa Khush Gawar Nataej Samne Aa Rahe
Hain Jahan Kahi Bhi Is Tahreek Ne Aagazkar Se Jidd Wa
Juhad Ka Tasalsul Baaqi Rakha Vahan Khatirkhwah Nataej
Ronuma Ho Rahe Hain Aur Doosron Ke Dakhile Mein
Seesa Pighlai Deewar Sabit Ho Rahi Hai. Ye Sab Kuch Sahi
Iska Bhi Imkan Hai Ki Kisi Bhi Waqt Ye Awami Tahreek
Ek Aalamgeer Tahreek Ban Jaye.
Magar! Mein Is Khush Fahami Mein Mubtala Nahi
Hoon Ki Sunni Tabligi Jama'at Ne Az Awwal Ta Aakhir
Sunni Masael Ko Apne Daman Mein Samet Liya Hai Mein
Bahut Achchi Tarah Janta Hoon Ki Apne Dastoor Tareeqa
E Kaar Agraaz Wa Maqasid Aur Muhadood Asbaab Wa
Wasael Ke Peshe Nazar Is Ek Bahut Hi Makhsoos Nuqta E
Fikr Hai Aur Is Jama'at Ne Usi Par Qaboo Pa Liya To Ham
Apne Rab Ka Sajda E Shukr Ada Karenge. Khud Mujh Jaise
Deoband Ka Naya Deen 148

Nakara Ko Apni Tooti Phooti Salahiyyaton Ka Ilm Hai Ki


Mein Kya Kar Sakta Hoon. Na To Mujh Par Hamadani Ka
Bhoot Musallat Hai Aur Na Hi Pindaar Ka Junoon Hai Jise
Jahale Murakkab Se Tabeer Kiya Jaye. Munazara Mein
Deobandiyon Se Karta Hoon Magar Apno Ke Hujoor Bahas
Wa Mubahasa Se Pahle Hi Hathiyar Daal Dene Ki Koshish
Karta Hoon.
Tabligi Jama'at Ko Meine Waqt Ka Ek Azeem Fitna
Samjha, Muddato Intazaar Karta Raha Shayad Kisi Goshe Se
Koi Aawaz Aaye Aur Ham Bhi Usi Kaarwan Ke Shareeke
Safar Ho Jaye Magar Jab Intazaar Ki Ghadiyan Naqabile
Bardasht Ho Gai To Khud Mujhe Pahal Karni Padi Halanki
Na Mein Uska Ahal Tha Aur Na Hoon Magar Yahan Marta
Kya Na Karta Wali Misaal Hai. Meine Apne Awaam Aur
Doston Ko Pukara Ki Ek Aise Musafir Ka Sath Do Jo Manzil
Ki Taraf Akela Nahi Jana Chahata Choonki Vo Uski Tanha
Manzil Nahi Hai Balki Tumhari Bhi Hai. Mujhe Aisa
Mahsoos Hua Ki Bagair Kisi Hujjat Wa Takrar Ke Logon
Ne Is Haqeeqat Ka Aitraaf Kar Liya Aur Har Samt Se Aane
Walo Ka Taanta Bandh Gaya. Mein Aapko Zahmate Safar
Deta Hoon Ki Kabhi Aap Hazraat Sunni Tabligi Jama'at Ke
Office Mein Tashreef Layein Jo Is Had Tak Mukhtasar Hai
Ki Use Parindon Ka Darba Ya Pinjara Kaha Ja Sakta Hai.
Magar Mein Haalat Se Mayoos Nahi Hoon Kisi Bhi Waqt
All India Sunni Tabligi Jama'at Ki Khud Apni Imarat Hogi
Jismein Jama'at Ke Tamam Shobejaat Ka Qyam Amal Mein
Laya Jayega. Mein Yaqeen Ki Ek Aisi Buland Satah Se Is Ka
Ailaan Kar Raha Hoon Ki Ab Agar Mein Use Tod Bhi Dena
Deoband Ka Naya Deen 149

Chahoo To Aise Afrad Paida Ho Chuke Hain Jinhone Ise Is


Tarah Qubool Kar Liya Hai Ki Vo Ba Tayyab Khatir Poori
Hauslamandi Se Iska Bojh Apne Kandhe Par Utha Lenge.
Isi Tarah Hamare Ulma Aur Amaed Ahle Sunnat Ka Ek
Jamme Gafeer Hai Jo Apne Aapko Sunni Tabligi Jama'at Ke
Liye Waqf Kar Chuka Hai. Haalat Intihai Ummeed Afja
Hain Rabbe Kareem Istiqlaale Dawaam Ata Farmaye Aur
Sunni Musalmanon Ke Vo Afrad Jinhone Abhi Tak Iski
Zarurat Nahi Mahsoos Ki Unhein Iske Ahsaas Ki Taufeeq
Ata Farmaye Aameen.
Galiban Baat Apne Mauzoo Se Kuch Door Nikal Gai Aur
Mein Iski Mazarat Chahoonga Ki Is Sunni Tabligi Jama'at
Mere Zehan Wa Fikr Par Musallat Hai. Baaz Auqaat Amdan
Na Sahi Iztararan Aisi Baatein Noke Qalam Par Aa Jati Hain
Kuch Is Waqt Aisa Hi Ho Raha Hai Mujhe Fir Isi Nuqta E
Aagaz Par Aana Hai Ki Ham Is Mulk Mein Sunni Masael
Ko Ek Aisi Bench Par Laye Jahan Danishwaron Ka Ijtama
Muntashir, Bikhre Aur Uljhe Huye Masael Ko Samet Kar
Uska Hal Talash Kare. Ye Hamari Zindagi Ka Kitna Kamzor
Pahloo Hai Ki Ham Apno Ko Apna Bana Ke Na Rakh
Sakein Aur Agyar Hamari Is Taqat Se Apne Ko Mazboot
Banate Chale Jayein. Aaj Hamare Muqabil Alag Alag Do
Aise Camp Hain Jahan Se Hamari Muttahada Taqat Ko
Muntashir Aur Paamal Karne Ke Liye Waar Par Waar Hote
Rahte Hain Unmein Deoband Hamara Khula Hua
Dushman Hai. Apne Galat Propogande Se Usne Hamari
Ijtamai Quvvat Ko Kis Had Tak Nuqsaan Pahunchaya Hai
Vo Aaftab Se Zyada Raushan Hai. Albatta Hamare Aur
Deoband Ka Naya Deen 150

Maktaba E Fikr Deoband Ke Darmiyan Ek Aur Dal (Group)


Taiyar Ho Raha Hai. Dal Badli Jiski Sarisht Wa Fitrat Hai
Vo Meelad Wa Salam Ki Had Tak Ham Se Mel Khata Hai
Aur Kufriyat Deeyabna Par Muttala Hone Ke Bavajood
Unki Takfeer Se Kafe Lisaan Karke Unki Bhi Hamdardiyan
Haasil Karta Hai Vo Ba Gumane Khwesh Ham Jaiso Ko
Lakeer Ka Faqeer Aur Apne Jaiso Ko Raushan Khyaal
Tasavvur Karta Hai. Uska Kahna Ye Hai Ki 'Hussamul
Harmain' Hamari Raah Ka Roda Aur Fikri Aazadi Par Ek
Sangeen Pahra Hai. Ham Unhein Deobandiyon Se Bhi
Zyada Moozi Aur Khatarnak Tasavvur Karte Hain.
Choonki Vo Khula Dushman Hai Aur Yah Maare
Aasteen Hain. Zere Mutaala Kitab Mein Is Mauzoo Par
Mukhtalif Bench Se Raushani Daali Gayi Hai Taaki
Nazireen Ke Mizaaj Mein Aqeede Ka Tasallub Paida Ho
Yahi Ek Aisi Spirit Hai Jo Dushmana Ne Mustafa Aur
Shatimane Rasool Se Ijtinab Wa Ahatraz Par Ubharti Hai.
Meri Aqal Hairan Hai Ba Naame Islam Wa Musalman Aaj
Na Jane Kitne Firqe Aur Kitni Toliyan Hain Jinki Tadad
Hamare Muqabil Daal Mein Namak Barabar Bhi Nahi!
Lekin Vo Apne Mazhabi Umoor Khwah Mu'atqidaat Ho Ya
Mamoolat Wa Marasim Vo Kisi Mein Bhi Hamari Zarurat
Mahsoos Nahi Karte Hamse Alag Thalag Rah Kar Har
Tarah Vo Apne Jama'ati Imtiyaz Ko Barqarar Rakhte Hain.
Magar Na Jane Kyun Hamari Jama'at Ke Baaz Afrad Is
Ahsaas Kmtari Mein Mubtala Hain Ki Doosron Ko Liye
Bagair Hamara Kaam Nahi Chal Sakta! Mujhe Is Maqaam
Par Taraddud Hai Ki Jis Kirdar Ki Mein Nishandahi Kar
Deoband Ka Naya Deen 151

Raha Hoon Ahsaas Kmtari Uski Sahi Tabeer Hai Ya Nahi?


Baharhaal! Deoband Ne Nazai Umoor Mein Awaam Ko
Ek Aisa Galat Zehan De Diya Hai Ki Hamare Aur Unke
Mabain Chand Furue Masael Mein Halke Phulke Ikhtilafaat
Hain Aur Roz Ba Roz Yahi Masael Taqreer Wa Tahreer Ke
Mauzoo Bante Ja Rahe Hain. Khuda Na Khwasta Is Silsila
Ki Umr Zyada Ho Gai To Deoband Ke Asal Jurm Par Itna
Dabeez Parda Pad Jayega Ki Aane Wali Nasl Unka Asal
Chehra Na Dekh Sakegi Isliye Waqt Ki Yah Aham Zarurat
Hai Ki Mujrim Ka Asal Jurm Awaam Ki Court Mein Laya
Jaye Taaki Tauheene Nubuvvat Aur Tanqeese Risalat Se
Mut'alliq Jo Unke Jaraem Hain Iski Taveel Fehrist Aankhon
Se Ojhal Na Ho Sake. Zere Nazar Kitab Ki Tarteeb Ka
Maqsad Yah Hai Ki Hamne Asal Mujrim Ko Katghare Mein
Khada Kar Diya Hai Ab Iske Baad Aapke Imaan Wa Aqeede
Ko Ye Ek Challenge Hai Ki Aisi Jarayam Pesha Jama'at Ko
Mazeed Jurm Ki Mohlat Di Jaye Ya Filwaqe Qata'a Ta'alluq
Ki Jaisi Jin Sazao Ki Vo Jama'at Mustahiq Hai Usi Par
Khullam Khulla Dar Aamad Kiya Jaye.
Wazeh Rahe Ye Koi Shakhsi Ya Infiradi Mas'ala Nahi
Hai Balki Poori Sunni Biradari Ko Ise Jama'ati Mas'ala
Samajh Kar Apna Markaze Tavajjoh Banana Chahiye Isiliye
Meine Mazmoon Ki Ibtida Mein Apni Jama'at Ko
Mukhatab Kiya Hai Ki Deoband Ke Muqable Mahaz
Hamara Infiradi Kaam Uska Asal Jawab Nahi Hai Balki
Jama'ati Satah Par Thos Aur Mazboot Qadam Uthaya Jaye
Taaki Waqt Ke Ek Azeem Fitne Ko Ham Aasani Se Paamal
Kar Sakein.
Deoband Ka Naya Deen 152

Mere Apne Khyaal Mein All India Sunni Jamiatul Ulma


Hi Asre Hazir Mein Kuch Fa'aal Wa Mut'harrik Jama'at
Hai. Agar Hamare Akabir Iski Zamame Qyadat Sanbhal
Lein To Asagir Ko Unke Gird Simat Aane Mein Der Na
Lagegi Shayad Ki Ham Isi Jhande Tale Apne Asri Masael Ka
Thos Aur Paydaar Hal Talash Kar Sakein. Ye Ek Raay Hai,
Koi Hukm Wa Faisla Nahi Waqt Ki Ye Ek Aham
Zimmadari Hai. Kash! Ham Apni Muntashir Tawanaiyon
Ko Ek Markaz Par Samet Sakte.
'Kya Hui Teri Nigah Muhare Saaz Kyun
Ufq Se Mangta Hai Too Sahar'
Deoband Ka Naya Deen 153

Baab (11): Chand Aise Shawahid Wa


Nazaer Jinke Liye Roshnae Nahi Khoone
Jigar Chahiye

Deobandiyat Apne Asal Roop Mein

Tatimma
'Aey Sanakhwane Bahara Tujhe Maloom Bhi Hai
Chaake Dil, Chaake Jigar, Chaake Qaba Hain Kitne'

'Zabaan Ko Hukm Hi Kahan Ki Dastane Gam Kahein


Ada Ada Se Tum Kaho, Nazar Nazar Se Ham Kahein'

Zere Mutaala Kitab Hasbe Tarteeb Apne 10vi Baab Par


Khatm Ho Chuki Thi Ab Correction Aur Tasheeh Ke Baad
Use Press Bhejna Tha. Rajasthan Ke Taveel Program Se
Mein 20 November Ko Allahabad Pahuncha Ye Safar Meri
Sehat Ke Lihaz Se Bada Hi Sabr Aajma Sabit Hua Lekin
Ruhani Aastana Jaat Ki Hazri Har Dard Ka Darma Banti
Gai Aur Usi Sahare Tamam Program Marhaba Se Alwida
Tak Anjaam Pazeer Hote Gaye. Haqtalafi Wa Nahaq
Shanasi Hogi Agar Is Mauqa Par Apne Un Ahbaab Ko
Faramosh Kar Diya Gaya Jinhone Ek Beemar Ki Ayadat Aur
Kisi Zakhme Jigar Par Marham Nahi Ko Apni Sa'adat
Samjha!
Deoband Ka Naya Deen 154

Mere Bhai Mohataram Janab Haji Muhammad Ali Sahab


Jo Intihai Munkasir Wa Mutwaze Aur Ilm Dost Aadmi Hain
Unhi Ka Kashana Meri Qyamgah Tha Aur Haqqe Mezbani
Azeezam Faran Ke Supurd Thi. Haji Sahab Ke Do Mulazim
Azeezi Naman Aur Mukhtar Musalsal Meri Khidmat Par
Mamoor Rahe Mein Haji Muhammad Ali Sahab Ki Is Adaye
Muhabbat Ko Kabhi Bhool Nahi Sakta. Mukarrami Jinnah
Mujahide Jaleel Maulana Amanullah Khan Sahab, Jumla
Aaemma E Masajid, Maulana Qari Muhammad Yahya
Sahab, Faran Sahab Ye Sabhi Hazraat Is Tarah Aate Jate
Rahe Ki Mujhe Kabhi Tanha Nahi Chhoda. Isi Tarah
Biradaram Abdul Majeed Khan Sahab Wa Azeezam Gulam
Muhammad Sahab Wa Abdul Gaffar Sahab Nagaur Shareef
Wa Mohataram Mukhlis Janab Haji Muhammad Saed
Sahab, Maulana Zuhoor Ahmad Sahab, Maulana Musaddak
Husain Sahab, Zahoor Bhai, Muhammad Hasan Sahab
Chaudhary, Maulana Ansar Ahmad Sahab, Abdurrahman
Sahab, Haji Muhammad Shafi Sahab, Haji Shah
Muhammad Sahab, Haji Naseeruddin, Maulana Gulam
Ahmad Sahab, Maulana Gulam Muhiuddin Sahab Hunar,
Haji Amjad Ali Sahab, Yoosuf Seth, Maulana Murad Ali
Sahab, Aabroo E Sunniyat Maulana Ashfaq Husain Sahab
Naimi Mufti E Rajasthan, Maulana Abdul Quddoos Sahab,
Mukarrami Bhayya Ji Aur Farooq Pahalwan (Rajasthan Ke
Safar Mein Kashana E Farooq Hi Meri Mustaqil Aaram
Gaah Hai Yah Phalte Phoolte Rahein.) Ye Vo Hazraat Hain
Jinhone Apne Khuloos Wa Muhabbat Ke Gahare Nukoosh
Chhode Hain. Rabbe Kareem Un Tamam Hi Hazraat Ko
Deoband Ka Naya Deen 155

Aasebe Rozgaar Se Mahfooz Rakhe Aameen.


Rajasthan Ke Safar Ki Sabse Badi Sa'adat Yah Rahi Ki
Sultan Ul Hind Khwaja Gareeb Nawaz Raziyallahu Ta'ala
Anhu Ki Bargah Ki Haziri Naseeb Hui, Khato Shareef Ye Ek
Tareekhi Maqaam Hai Jise Shaikh Ali Alal Itlaaq Hazrat
Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehalvi Raziyallahu Ta'ala
Anhu Ne Madinatul Auliya Tahreer Farmaya Hai Vahan Ke
Aastana Jaat Par Hazir Hua, Rohal Shareef Jahan Sarware
َّ َ ‫ َص َّل ہ‬Ka Jubba Mubarak
Kaunain Roohi Fidah ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہ َیو َسل َ یم‬
Hai Vahan Hazir Hokar Ziyarat Se Musharraf Hua,
Imamuttarikeen Sultanul Aarifeen Hazrat Sayyad Soofi
Hameeduddin Nagauri Raziyallahu Ta'ala Anhu Ke Mazar
Mubarak Par Haziri Di. Ye Dekhte Huye Sooba Rajasthan
Ki Firojbakhti Par Rashk Hota Hai Ki Usne Kaise Kaise
Aaftab Wa Maahtab Apne Kaleje Se Laga Rakhe Hain Mein
To Unhein Haseen Tasavvurat Se Ji Bahlata Hoon.

'Tasavvur Se Kisi Ke Jagmagati Hai Sahar Meri


Kisi Ki Yaad Se Raushan Charag Shaam Karta Hoon'

Nazireen Se Mazarat Ke Sath Fir Vahi Pahunchane Ki


Darkhwast Karta Hoon Jahan Se Safar Ka Aagaz Hua Tha
Choonki Ek Taaza Safar Tha Isliye Tazkira E Ahbaab Noke
Qalam Par Aa Gaya Warna Ek Kitab Un Tazkiron Ki
Mut'hammil Nahi Hoti.
Yani:
Ab Is Kitab Ko Press Jana Chahiye Tha Lekin Nagpur Se
Maulana Mufti Gulam Muhammad Khan Sahab Ka Taar
Deoband Ka Naya Deen 156

Aaya Ki Munazara Hai Nagpur Pahuncho Magar Taar Mein


Kisi Tareekh Ka Zikr Nahi Tha Isliye Usoolan Mein Unke
Khat Ka Muntazir Ho Gaya. Achanak 12 Zilhijj 1397 Hijri
24 November 1977 Isvi Ko Khateebe Hind Maulana
Mujeeb Ashraf Sahab Wa Bhai Sayyad Shamsuddin Sahab,
Maulana Gulam Khan Sahab Ka Paigam Lekar Gareeb
Khane Par Tashreef Laye. Jis Paigam Ka Khulasa Ye Hai Ki
Maulana Irshad Ahmad Safeer Darul Uloom Deoband,
Ragib Bhopali Aur Maulvi Noor Muhammad Tandvi Ne
Nagpur Ki Mazhabi Faza Ko Mukaddar Kar Diya Hai.
Sayyadna Imaam Ahmad Raza Fazile Bareilvy Raziyallahu
Ta'ala Anhu Par Sabb Wa Shatam, Dushnam Tarazi Aur
Gali Galoz Ki Vo Bauchhar Ki Gai Hai Jisse Sunniyon Ka
Kaleja Chhalni Ho Gaya Hai Neez Maslake Rizviyat Par Aise
Rakeek Wa Narwa Hamle Kiye Gaye Hain Jisse Aadmiyat
Aur Insani Sharafat Sharminda Hai. Aisa Maloom Hota Tha
Ki Deobandiyon Ke Stage Par Saande Ka Tel Farokht Kiya
Ja Raha Hai Aur Footpath Par Baithane Wale Hakeemon Ki
Team Jadi Bootiyon Ka Neelam Kar Rahi Hai Ya Sabzi
Market Ke Sade Gale Maal Ko Farokht Karne Wale Vyapari
'Har Maal Milega Do Aana' 'Har Maal Milega Do Aana' Ka
Shor Macha Rahe Hain. Deoband Ke Galihar Aur Munhfat
Maulviyon Ke Samne Tahzeeb Wa Sharafat Sir Jhukaye
Khadi Thi Naam Nihad Mazhabi Stage Par Insaniyat Aur
Aadmiyat Ka Qatle Aam Hota Raha Sunniyon Ne Intihai
Sabr Wa Tahammul Se Kaam Liya. Albatta Jab Deobandi
Stage Se Challenge E Munazara Diya Gaya To Nagpur Ke
Khush Aqeeda Musalmanon Ne 'Chashme Raushan Dile
Deoband Ka Naya Deen 157

Mashaad' Kah Kar Use Qubool Kiya.


Jab Is Silsila Mein Unka Ta'akkub Kiya Gaya To Maulvi
Irshad Ahmad Ne Bhiwandi Ke Munazara Ka Hawala Dete
Huye Ye Kaha Ki Ham Bagair Kisi Salis Wa Hakam Ke
Munazara Ko Taiyar Nahi. 'Munazara Rasheediya' Fanne
Munazara Ki Ek Usooli Kitab Hai Jise Fareeqain Tasleem
Karte Hain Chunanche Usi Ki Raushani Mein Jab Deobandi
Maulviyon Se Mutalba Kiya Gaya Ki Kya Ye Sharaet
Munazara Mein Hakam Ka Hona Zaruri Hai Agar Hai To
Ham Iska Hawala Chahate Hain Agar Aisa Nahi Hai To
Hakame Qaid Par Munazara Ko Maukoof Kyun Kiya Jata
Hai? To Maulvi Irshad Ne Fir Vahi Rut Lagai Ki Bhiwandi
Ke Munazara Mein Sunniyon Ki Munazara Commity Us
Qaid Ko Tasleem Kar Chuki Hai Lihaza Ham Bagair Kisi
Salis Aur Hakam Ke Munazare Ko Taiyar Nahi. Sunniyon
Ne Kaha: Use Ham Janab Ka Faraar Aur Deobandi Maktaba
E Fikr Ki Hazeemat Tasavvur Karte Hain. Magar Result Wa
Nateeje Mein Ye Baat Nazar Aai Ki 'Jamaloo Bhus Mein Aag
Laga Kar Raaton Raat Gayab' Nagpur Ke Ijlaas Mein Maulvi
Irshad Aur Unke Sathiyon Ne Aksar Vahi Baatein Dohrai
Jiska Jawab Mein Apni Kitab 'Inkishafaat' Mein De Chuka
Hoon. 'Al Malfooz' Wagaira Par Deobandiyon Ke Chand
Bogus Aur Be Jaan Sawalaat The Magar Unka Khyaal Tha
Ki Ye Vo Sawalaat Hai Jiske Jawabat Na Ho Sakenge Magar
Ba Hamdulillah Unke Ek Ek Sawal Ka Dandane Shikan
Muskat Aur Mudallat Jawab 'Inkishafaat' Ke Zariya Unhein
De Diya Gaya. Isi Mauzoo Par Faqeehe E Asr Hazrat
Maulana Mufti Muhammad Shreeful Haq Sahab Qibla Ki
Deoband Ka Naya Deen 158

'Attahaqeeqaat' Naami Kitab Bhi Qabile Mutala Hai Jo


Hawalajat Ki Zanjeeron Mein Jakdi Hui Ek Nadir Wa
Nayab Kitab Hai Jismein Tahqeeq Wa Research Aur
Tanqeed Wa Tabsara Ka Bharpoor Haq Ada Kiya Gaya Hai.
Albatta Nagpur Ke Ijlaas Mein Purani Baaton Ke Alawa
Iftiraaq Wa Inteshar Ki Aag Bhadkane Ke Liye Ek Nai
Technic Istemal Ki Gai. Is Mulk Ki Ilm Parwar, Ilm Dost,
Mazhab Wa Mazhabi Aashna 'Ansari Biradari' Maslake Aala
Hazrat Se Munharif Aur Bargashta Ho Jaye.
Khuda Ka Shukr Hai Ye Vo Biradari Hai Jisne Aaj
Hindustan Mein Madarise Arabiya Wa Farsiya Ka Km Wa
Besh 50% Bojh Apne Kandhe Par Utha Rakha Hai Aur
Uloome Arabiya Se Jo Shagf Wa Lagaav Ansari Biradari Ko
Hai Vo Doosron Mein Alal Umoom Aqalle Qaleel Hai.
Doosri Biradariyan Is Uloom Ki Taed Wa Himayat To
Zarur Kar Deti Hain Magar Amlan Ismein Uska Hissa Zero
Ke Lagbhag Hai. Aaj Jitne Ulma, Huffaz Wa Kurra Ansari
Biradari Mein Milenge Doosri Biradariyon Ka Aagosh Is
Ni'amate Kubra Se Khali Hai. Choonki Nagpur Ka Ijlaas
'Mominpura Mohalla' Mein Tha Isliye Is Biradari Ko
Uksane Aur Bhadkane Ke Maulvi Irshad Ahmad Wagaira
Ne 'Fatawa Rizviya' Se Is Ibaarat Ko Pesh Kiya Jo Mas'ala
Kufv Se Mut'alliq Hai Taaki Is Hawale Ko Dekh Kar Ansari
Biradari Bar Afrokhta Hokar Aala Hazrat Fazile Bareilvy Se
Bargashta Ho Jaye. Ye Hain Vo Hazraat Jo 'Ek Bano Aur
Nek Bano' Ka Jhootha Aur Khokhla Naara Lagate Hain.
Ittihad Wa Ittifaq Ke Naam Nihad Alambardar
Maulviyon Se Poochho Ki Kya Mulk Mein Ittifaq Wa
Deoband Ka Naya Deen 159

Ittihad Paida Karne Ki Yahi Soorat Hai Jo Tumne Ikhtiyaar


Kar Rakhi Hai? Musalmanon Ki Sheeraza Bandi Todne Aur
Unmein Iftraaq Wa Intishar Ki Aag Bhadkane Ki Nai Nai
Raahein Aur Nit Naye Hathiyar Talash Karte Rahe Ho Goya
Tumse Musalmanon Ka Ittihad Wa Ittifaq Ek Aankh Dekha
Nahi Jata. Doosron Ki Aankh Ka Tinka Dekhne Walo! Apni
Aankh Ka Shahteer Kyun Nahi Dekhte? 'Fatawa Rizviya'
Mein Imaam Ahmad Raza Ka Fatwa To Tumhein Mil Gaya
Jo Unki Apni Baat Nahi Balki Aaemma E Ahnaaf Ke Aqwaal
Ke Naql Ki Haisiyat Hai. Yaqeenan Ham Sayyadna Imaam
Ahmad Raza Raziyallahu Ta'ala Anhu Ko Apne Asr Ka
Imaam Wa Mujaddid Jante Hain Magar Ham Unhein
Mujtahid Nahi Tasleem Karte Vo Khud Sayyadna Imaame
Aazam Aboo Hanifa Ke Muqallid The.
Masael Mein Vo Khud Apni Taraf Se Kuch Nahi
Farmate Balki Jin Masael Mein Fuqha E Ahnaaf Ne Jo Kuch
Farmaya Hai Vo Apne Fatwa Mein Unhi Aqwaal Ki Naql
Farma Dete Hain. Agar Naqle Aqwaal Koi Ilzaam Hai To
Ye Ilzaam Sayyadna Imaam Ahmad Raza Ke Sir Nahi Balki
Unke Fuqha E Kiraam Ke Sir Aata Hai Jo Sayyadna Imaam
Ahmad Raza Ka Makhaz Wa Peshwa Hai. Nadanon! Raza
Dushmani Mein Tumhein Itna Bhi Hosh Nahi Rah Gaya
Ki Jo Tumhare Tarkash Ka Teer Kiske Seene Par Paivast Ho
Raha Hai Tumne Ye Bhi Nahi Dekha Ki Jo Aisi Chingari
Tumne Phenki Hai Isse Kiska Daman Sulag Raha Hai.
Tumhein To Sirf Isse Kaam Ki Koi Aisa Matter Istemal Karo
Jisse Musalmanon Ki Yakjhati Paara Paara Ho Jaye. Agar
Aisa Na Hota To Tumhare Peshwa Maulana Ashraf Ali
Deoband Ka Naya Deen 160

Thanvi British Government Se 600₹ (Hawala Ke Liye


Khoon Ke Aansoo, Qahar Aasmani Aur Inkishafaat Mein
Mulahiza Farmaiye) Mahana Ka Wazeefa Kyun Pate?
Bartaniya Government Ki Ye Nawazishaat Wa Inayat Isiliye
Thi Ki Rupya Le Kar Musalmanon Ko Ladate Raho. Mujhe
Achchi Tarah Maloom Hai Ki Tumhare Aslaha Khane Ka
Koi Naya Hathiyar Nahi Hai Musalamanon Ko Aapas Mein
Ladane Unmein Phoot Dalne Ka Hathiyar Tumhein Apne
Purkhon Se Mila Hai. Is Tarah Tabligi Jama'at Ki Bhi
Ibtada'an British Government Rupya Deti Rahi Kya? Namaz
Wa Kalima Ke Prachar Ke Liye Hargiz Nahi Mahaz Isliye Ki
Rupya Lete Raho Aur Musalmanon Ko Ladate Raho. Ye
Tumhara Aaj Ka Pesha Nahi Balki Purana Aur Bahut Purana
Hai.
Tumhare Purkhon Ne Jo Kuch Kiya Hai Vahi Tum Bhi
Kar Rahe Ho. Maulvi Irshad Wagaira Ka Khyaal Tha Ki
Hamara Ye Matter Teer Ba Hadaf Ki Haisiyat Rakhega
Lekin Nagpur Ki Gayyur, Hoshmand, Door Andesh Aur
Padhi Likhi Ansari Biradari Ne Us Par Koi Tavajjoh Nahi
Di Har Chand Ki Ulmaye Deoband Ne Khalafshar Machane
Ki Koshish Ki Magar Nagpur Ke Musalman Unke Kaale
Kartooton Se Bahut Achchi Tarah Waqif Hain Aur Unke
Maazi Ka Record Abhi Tak Vo Bhoole Nahi Hain. Vo Jante
Hain Ki Aaj Se Taqreeban Nisf Sadi Peshtar Akabire
Deoband Ne Ansari Biradari Par Narwa Hamle Kiye The
Aur Unki Izzat Wa Sharafat Ko Apne Hathon Khilauna
Banana Chaha Tha Magar Qasba Maunath Bhanjan (Zila
Azamgarh) Ke Gayyur Musalmanon Ne Akabire Deoband
Deoband Ka Naya Deen 161

Ke Khilaaf Jab Sadaye Ahatjaaj Buland Ki To Ulmaye


Deoband Ne Unke Samne Hathiyar Daal Diye Agar Iski
Tafseel Dekhni Ho To Meri Kitab 'Khoon Ke Aansoo' (Jild
2) Ka Page 126-130 Mulahaza Farmaiye.
Ulmaye Deoband Ki Fuzool Bakwaas Par Maunath
Bhanjan Jamiatul Ansar Ne Jo Kitabcha Shaay Kiya Tha
Uske Title Page Ki Surkhi Ye Thi 'Doob Marne Ki Jagah
Hai Doston'
Mufti Sahab Deoband Aur Gareeb Peshawar Akwaam,
Mufti Sahab Deoband Aur Hakeemul Ummat Maulana
Ashraf Ali Thanvi Ke Ilmi Tahzeeb Ka Namoona Aur Croro
Peshawar Musalman Bhaiyon Ki Tauheen Wa Tazleel.....
Mein Is Hawale Ko Ab Dohrana Nahi Chahata. 'Khoon
Ke Aansoo' Mein Bhi Jo Kuch Meine Likha Hai Tha Vo
Badle Na Khwasta Tha. Mein Aise Mabahis Se Zehani
Uljhan Aur Qalbi Dukh Mahsoos Karta Hoon Magar Us
Waqt Nagpur Ke Haalat Ne Majboor Kiya Ki Iski Is Tarah
Nishandahi Kar Di Jaye Taaki Dilo Ka Mail Dhul Jaye Aur
Zehanon Ka Gubar Chhat Jaye Meri Haisiyat Jaareh Ki
Nahi Balki Mudafe Ki Hai. Choonki Mulk Ki Ek Ilm Dost
Biradari Ki Aad Le Kar Hamare Imaam Aur Hamare Maslak
Ko Majrooh Karne Ki Nakam Koshish Ki Gai Hai Isliye
Hamara Akhlaqi Fareeza Hai Ki Mas'ala Ki Asal Naueyat
Ham Awaam Ke Court Mein Pesh Kar Dein.
Hazraat! Fiqh Ki Kutub Mutadawla Mein 'Babul Kufv'
Ka Sarahatan Tazkira Hai Ahnaaf Ne Ma'azallah! Kisi Ki
Tazleel Wa Tahqeer Ki Niyat Se Isko Qayam Nahi Kiya
Balki Nikah Wa Shadi Mein Muashara Ke Is Nasheb Wa
Deoband Ka Naya Deen 162

Faraaz Ko Malhooz Rakha Jisse Azdwaji Zindagi Ka


Mustaqbil Tareek Na Ho Sake. Nikah Ke Mafhoom Mein
Zindagi Ke Jo Ishare Muzmar Hain Unke Nibaah Mein Koi
Rukawat Na Hayal Ho Balki Zindagi Ka Ye Safar Bagair Kisi
Uljhan Ke Tay Hota Rahe Yah Ek Aisa Zabta E Hayat Hai
Jo Naql Se Hat Kar Khud Aqal Ka Bhi Yahi Muqtaza Hai
Warna Islam Ba Haisiyat Musalman Kisi Bhi Musalman Par
Is Qism Ka Koi Pahra Nahi Bithata. Chunanche Kitabon Ke
Hawalajat Se Hat Kar Khud Insani Rasm Wa Riwaj Mein
Tamaddun Aur Muashara Ka Khyaal Rakha Jata Hai Agar
Gahrai Se Mahsoos Kiya Jaye To Goya Kharji Dabav Nahi
Balki Ye Ek Tabai Wa Fitri Taqaza Maloom Hota Hai Aur
Zindagi Ke Aam Tajarbaat Ne Bhi Insani Zehan Wa Fikr Ko
Isi Raah Par Lagaya Hai.
Baharhaal Mujhe Kahna Ye Hai Ki Sayyadna Imaam
Raza Ne Jo Kuch Tahreer Farmaya Hai Ye Unka Apna
Kahna Nahi Hai Balki Fuqha E Ahnaaf Ne Jo Kuch Farmaya
Usi Ki Tarjamani Hai. Lekin Ab Maulvi Irshad Se Ye
Daryaaft Keejiye Ki Aapke Akabir Ulma Ne Jo Apni Taraf
Se Irshad Farmaya Mahaz Ansari Biradari Ko Dukh
Pahunchane Aur Unki Tahqeer Wa Tazleel Ki Niyat Se
Aapke Paas Iska Kya Jawab Hai? Ab Is Zail Mein Aap Chand
Hawalajat Mulahaza Farmaiye Jis Par Insaniyat Wa Sharafat
Subahe Qiyamat Tak Matam Karti Rahegi-
'Kanton Ke Intaqam Ki Shayad Khabar Na Thi
Phoolon Pe Hath Daalan Wale Uchhal Pade'
'Majalisul Hikmat' Yani Malfoozat Maulana Ashraf Ali
Thanvi Ke Page 72-73 Ka Ek Hawala Mulahaza Farmaiye-
Deoband Ka Naya Deen 163

Mahmood Aur Maqsood Ka Farq Batate Huye Maulana


Thanvi Farmate Hain:
'Agar Umda Haalat Mahsoos Ho Fabiha Warna Kuch
Malaal Na Kare Aur Agar Vo Sharaet Maujood Nahi Hain
To Khwah Us Ke Zom Mein Meraj Hi Kyun Na Hone Lage
Magar Usko Julaahe Wali Meraj Samjhe Alhaek Iza Salli
Yaumaine Intazral Meraj'.
(Majalisul Hikmat Maulana Thanvi Page 72-73)
Maulana Thanvi Ne Jo Kuch Farmaya Hai Ye Fuqha E
Ahnaaf Ka Qaul Nahi Hai Balki Khud Ye Unke Nafse
Ammara Ka Hukm Hai Ki Ansari Biradari Par Aise Hamle
Karo Jisse Unki Tazleel Wa Tazheek Ho Agar Unke Dil
Mein Is Biradari Ki Izzat Wa Azmat Ka Mamooli Bhi Ahsaas
Hota To Hargiz Hargiz Aisa Na Kahte. Thanvi Sahab Ne
Kah Bhi Diya Tha To Unke Ajanab Ko Use Chhapna Nahi
Chahiye Tha Ye Koi 'Wahay' Ilaahi Nahi Hai Ki Agar Use
Chhod Diya Jayega To Qur'an Ki Ek Aayat Chhoot Jayegi
Ma'azallah! Lekin Yahan To Poori Party Tay Kar Chuki Hai
Ki Aisi Chingari Chhodo Jisse Musalmanon Ka Damane
Ittihad Bhasm Ho Jaye. Kahan Hain Maulvi Irshad, Ragib
Bhopali, Maulvi Noor Muhammad Tandvi! Nagpur
Mohalla Mominpura Hi Ke Jalse Mein Vo Is Ibaarat Ki Safai
De Kar Musalman Bhaiyon Ko Mutma'en Karein. Maulana
Thanvi Ki Ek Doosri Ibaarat Mulahaza Farmaiye-
'Haan! Itna Zaruri Hai Ki Ek Do Ke Kahne Se Alag Na
Hoga Kyunki Ye To Lahv Wa Laeb Ho Jayega Jab Alag
Karna Ho Do Aadmi Mujhse Kah Dein Fauran Alag Ho
Jaonga Ismein Is Baat Ki Bhi Qaid Nahi Ki Vo Kahne Wale
Deoband Ka Naya Deen 164

Sarbar Aawarda Log Ho. Ek Julaaha Ko Bhi Ye Khyaal Paida


Hua To Nau Aadmiyon Ko Apna Ham Khyaal Kare Aur
Mujhko Zabani Wa Tahreeri Ittila Kar De Bas Kaafi Hai'.
(Majalisul Hikmat Maulana Thanvi Page 20)
Ye Koi Ibrani Ibaarat Nahi Hai Urdu Ki Ek Bahut Hi
Saada Zabaan Hai, Ahle Zabaan Bahut Achchi Tarah
Samajh Sakte Hain Ki 'Sarbar Aawarda' Ke Muqabil Jis Lab
Wa Lehaze Ya Jis Tevar Mein Lafz 'Julaaha' Istemal Kiya
Gaya Hai Kis Had Tak Is Biradari Ki Tanqees Aur Tauheen
Ka Jazba Hai. Mujhe In Ibaraton Ke Naql Karne Mein
Intihai Dukh Aur Malaal Hai Magar Shatimane Mustafa
Alaihittahiyatu Wassana Ne Ham Logon Se Bargashta Karne
Ke Liye Jo Hathiyar Istemal Kiya Hai Iski Mudafa'at Mein
Ham Unhi Ke Aslaha Khane Ke Hathiyar Qaum Ke Hathon
Mein De Rahe Hain Taaki Vo Isi Se Mazloom Ki Hifazat
Aur Zulm Ka Sir Qalam Kar Sake! Isi Zimn Mein 'Arwahe
Salasa' Ka Ek Hawala Mulahaza Farmaiye-
'Hikayat Number 291 Maulvi Farooq Sahab Ne Farmaya
Ki Maulana Ahmad Hasan Sahab Deobandi Ne Irshad
Farmaya Ki Jab Mein Awwal Awwal Maulana Qasim Sahab
Ki Khidmat Mein Hazir Hua To Maulana Muhammad
Sahab Ki Khidmat Mein Ek Julaaha Aaya Aur Dawat Ke
Liye Arz Kiya Maulana Muhammad Sahab Ne Manzoor
Farmaya Ye Amr Mujhko Bahut Nagawar Hua Itna Ki Jaise
Kisi Ne Goli Maar Di Ki Bhala Julaahe Ki Dawat Bhi
Manzoor Kar Li Alakh'.
(Arwahe Salasa Page 274)
Aawaz Do Irshad Ko Irshad Kahan Hai? Apne
Deoband Ka Naya Deen 165

Mujrimana Kirdaar Par Parda Dalne Ke Liye 'Fatawa


Rizviya' Ka Naam Lete Ho Pahle Apne Ghar Ki Khabar Lo
Fir Sayyadna Imaam Ahmad Raza Ki Chaukhat Par Hazri
Dena.
'Sang Wa Aahan Be Nyaz Gam Nahi
Dekh Har Deewar Wa Dar Se Sir Maar'
Leejiye Bahishti Zevar Ka Ek Hawala Mulahaza Keejiye-
Mas'ala : 'Pesha Mein Barabari Ye Hai Ki Julaahe
Darziyon Ke Mel Aur Jode Ke Nahi Isi Tarah Naae, Dhobi
Wagaira Bhi Darzi Ke Barabar Nahi'.
(Bahishti Zevar Hissa 4 Page 17)
Ab Tandvi Sahab Aur Irshad Sahab Se Daryaaft Keejiye
Ki Maulana Ashraf Ali Thanvi Par Kya Hukm Hai? Wazeh
Rahe Ham Kisi Pahal, Chhedchhad Ya 'Aa Bail Mujhe Maar'
Ke Qayal Nahi Lekin Hamare Akabir Ne Itna Zarur Bataya
Hai Ki 'Chhedo Mat Aur Chhid Jaye To Chhodo Mat' Par
Amal Karna. Chunanche Mundarja Baala Hawalajat Isi
Usool Ke Aainadaar Hain. Hamein Ulmaye Deoband Se Kal
Bhi Shikayat Thi Aur Aaj Bhi Hai Ki Unke Akabir Ne Ansari
Biradari Ki Tazheek Wa Tazleel Mein Koi Kasar Nahi Utha
Rakhi. Us Waqt Tak Shikayat Rahegi Jab Tak Vo Apni Un
Nashaesta Harkaton Par Nadim Wa Sharminda Hokar Mafi
Ke Talabgar Na Ho Aur Iska Ailaan Kar Dein Ki Ab Aainda
Ye Ibaarat Hamari Kitabon Mein Hargiz Hargiz Na
Chhapegi.
'Ahle Sukoon Se Khel Na Aey Mauje Inbisaat
Ek Din Ulajh Ke Dekh Kisi Badnaseeb Se'
Deoband Ka Naya Deen 166

Tabligi Jama'at Se Mut'alliq Ek


Sansanikhez Inkishaaf
'To Khud Ko Firishta Na Samajh Waeze Nadan
Duniya Mein Tere Rang Ke Insan Bahut Hain'

Nagpur Ke Ijlaas Mein Maulana Irshad Ne Tabligi


Jama'at Ka Khoob Khoob Gun Gaya Hai Gaana Bhi
Chahiye Sab Ek Hi Thaile Ke Chatte Batte Hain. Tabligi
Jama'at Ke Omra Ka Kahna Hai Ki Ham Kisi Se Kuch Nahi
Lete Fi Sabeelillah Ham Gali Gali, Koocha Koocha Ka Gasht
Karte Hain Hatta Ki Apna Rashan Paani Sath Le Kar Chalte
Hain Iske Khilaaf Hamne Kuch Kaha To Aapne Hamein
Munh Chidhaya Ham Par Ilzaam Lagaya Lekin Agar Is
Akhbari Report Ko Kya Keejiyega Jo Aapke Gale Ka Fanda
Aur Sir Par Latki Talwar Hai. Mulahaza Farmaiye Roznama
Hindustan 27 Feburary 1977 Mumbai, Tabligi Jama'at Ko
Gair Mulki Maali Imdad Qubool Karne Par Pabandi. Mulk
Bhar Mein 106 Jama'aton Aur Idaron Ki Fehrist Shaay.
New Delhi, 26 Feburary Markazi Hukoomat Ne 106
Tanzeemon Aur Jama'aton Par Pabandi Aayad Kar Di Hai
Ki Vo Bagair Peshgi Ijazat Ke Gair Mulki Maali Imdad
Qubool Nahi Kar Sakti. Sarkari Hukm Mein Jin Idaron Par
Gair Mulki Imdad Qubool Karne Ki Pabandi Aayad Kar Di
Gai Hai Sarkari Gazette Mein 106 Idaron Aur Unmein 37
Trade Union 25 Naujawanon Jama'aton Ka Zikr Hai. Talba
Ki Anjuman, 6 Khwateen Ki Anjuman 38 Mutfarriq Tarz Ki
Deoband Ka Naya Deen 167

Anjumanein Shamil Hai Jinmein Aisi Bhi Anjumanein


Shamil Hain Jo Kisi Siyasi Jama'at Ka Dumchhalla Ho. Is
Sarkari Farman Ke Khilaaf Amal Karne Wale Ko Sazaye
Qaid Ya Jurmana Ki Saza Di Ja Sakti Hai. Gair Mulki Imdad
(Regulation) Ke Qanoon 1976 Isvi Ki Dafa 5(1) Mein Kaha
Gaya Hai Ki Siyasi Naueyat Ka Koi Idara Ya Koi Siyasi
Jama'at Gair Mulki Imdad Qubool Nahi Karegi Bajuz Is
Haalat Mein Ki Iski Peshgi Ijazat Markazi Sarkar Se Le Li
Gai Ho. Pabandi Aayad Jama'aton Aur Idaron Ki Fehrist
Central Government Ek Sarkari Gazette Mein Shaay Karegi.
Sarkari Press Note Ke Mutabiq Markazi Hukoomate Hind
Ne Ek Gair Mamooli Gazette Mein 106 Pabandi Aayad
Idaron Ka Naam Shaay Kiya Hai Chand Makhsoos
Jama'aton Ka Yahan Zikr Kiya Ja Raha Hai:
(1) Muslim Conference, Jammu Wa Kashmir, Shri Nagar
(2) Islami Study Circle, Jammu Wa Kashmir, Shri Nagar
(3) Awaami Action Commity, Jammu Wa Kashmir Mein
Waez Manzil Rajauri Kadai, Shri Nagar
(4) Jammu Kashmir Inqilabi Front, Shri Nagar Aur Kai
Deegar
Kya Is Akhbari Report Ke Baad Kisi Ke Munh Mein
Zabaan Hai Jo Ye Kah Sake Ki Tabligi Jama'at Kahi Se Kuch
Nahi Leti Agar Aap Gair Mulki Maali Imdad Qubool Nahi
Karte To Hukoomate Hind Ne Aap Par Pabandi Kyun
Lagai?
Aakhirash! Sach Bolne Mein Aapka Kya Bigadta Hai Aap
Bhi Insanon Hi Ki Basti Mein Rahte Hain, Har Shakhs
Zaruriyate Zindagi Se Waqif Hai. Aap Apne Ko Lakh
Deoband Ka Naya Deen 168

Chhupao Magar Na To Insani Zehan Wa Fikr Par Pahra


Bitha Sakte Ho Aur Na Hi Honthon Par Taale Laga Sakte
Ho. Apne Munh Miyan Miththoo Na Bano Balki Ye Socho,
'Kahti Hai Tujhko Khalqe Khuda Gaaebana Kiya'
Hindustan Hi Ka Nahi Balki Duniya Ka Musalman
Samajh Chuka Ki Aap Kis Ke Agent Wa Dalaal Hain Tabligi
Jama'at Ki Misaal 'Hathi Ke Daant Dikhane Ke Aur Khane
Ke Aur' Jaisi Hai, Ab Duniya Ne Aapke Donon Daant Dekh
Liye. Tabligi Jama'at Ka Kahna Hai Ham To Sirf Kalima
Aur Namaz Ke Liye Nikle Hain Ham Aqaed Se Koi Bahas
Nahi Karte Ye Khula Hua Dajl Aur Fareb Hai. Poore Mulk
Ka Mushahada Aur Tajarba Hai Ki Tabligi Jama'at Ke
Qadam Jahan Bhi Jam Gaye Vahan Se Meelad Rukhsat,
Qyam Gayab, Niyaz Wa Fatiha Par Pahra, Urs Wa Chadar
Par Shirk Wa Bid'at Ka Ilzaam, Ilme Gaibe Rasool Ka Inkar
Garz Ki Sunni Motakeedaat Aur Mamoolat Wa Marasim
Par Teeshazani Unka Sheva Hai. Isliye Aabadiyon Ko Agar
Unke Fitne Se Mahfooz Rakhna Hai To Apni Masajid Mein
Sunni Tabligi Jama'at Ke Zere Ahatmam Darse Qur'an Ka
Silsila Shuru Kar Di Jaye Agar Ye Bhoole Bhatke Aa Jaye To
Unse Kah Deejiye Ki Jis Kaam Ke Liye Aap Nikle Hain Vo
Kaam Jahan Na Hota Ho Vahan Jakar Apna Nisab Sunaiye.
Yahan Sunni Tabligi Jama'at Ka Nisab Padha Jata Hai
Hamein Aapke Nisab Ki Zarurat Nahi Agar Vo Aane Par
Israar Karein To Unse Saaf Saaf Kah Deejiye Ki Agar Aap
Aana Hi Chahate Hain To Aaiye Lekin Kal Tak Aapne
Padha To Hamne Sun Liya Tha Ab Ham Padhenge Aur
Aapko Sunna Hoga Is Jawab Par Chehre Ka Rang Mulahaza
Deoband Ka Naya Deen 169

Farmaiye Ek Rang Aayega Aur Ek Rang Jayega.


Khuda Ka Shukr Hai Rajasthan Ke Aam Halaqon Mein
Sunni Tabligi Jama'at Ke Darse Qur'an Ka Program Amlan
Qubool Kar Liya Gaya. Makrana, Kachaman City, Bikaner,
Baasni, Kamhaari, Bhilwada, Paali Jodhpur Wagaira Mein
Darse Qur'an Ka Silsila Shuru Ho Gaya Hai. Aabroo E
Sunniyat Hazrat Maulana Ashfaq Husain Sahab Naemi
Mufti E Rajasthan Ne Sunni Tabligi Jama'at Ko Ba Tayyabe
Khatir Qubool Kar Liya Hai Neez Qaide Millat Hazrat
Maulana Sayyad Asrarul Haq Sahab Sadar All India Muslim
Muttahida Mahaaz, Hazrat Maulana Mufti Akhtar Husain
Sahab Darul Uloom Rizviya Kaithwan Wa Hazrat Maulana
Daod Khan Sahab Principal Madarsa Rizviya Udaipur Aur
Deegar Ulma Ne Is Deeni Tahreek Ko Na Sirf Qubool Kar
Liya Balki Amlan Unki Hamdardiyan Shareeke Haal Ho
Gai. Poore Rajasthan Mein Jama'ati Kaam Tezi Se Badh
Raha Hai Is Waqt Bhi Rajasthan Mein Muqarrir Girami
Janab Maulana Abdurrazzaq Jabalpuri Organizer Sunni
Tabligi Jama'at Fazile Girami Janab Maulana Ahmad
Misbahi Muballig Sunni Tabligi Jama'at Sargarme Amal
Hain. Tanha Kisi Ek Ka Kaam Nahi Hai Poori Sunni
Biradari Ka Mushtarka Mas'ala Hai Isliye Is Deeni Tahreek
Ko Aam Se Aam Tar Karne Ke Liye Har Ek Ko Hissagir Wa
Shareek Kaar Hona Chahiye.
Mein Shukraguzar Hoon Janab Alhaj Sahab Qadri Razvi
Sadar Madarsa Dastgiryan Mandgod Wa Janab Alhaj
Muhammad Saed Sahab Qadri Razvi Wa Janab Haji
Muhammad Ali Sahab Wa Haji Muhammad Ali Jinna
Deoband Ka Naya Deen 170

Sahab Ki Ye Hazraat Amlan Mere Quvvate Bazoo Ban


Chuke Hain Unki Haisiyat Tamashaeyon Jaisi Nahi Hai.
Bahut Se Hazraat Khade Tamasha Dekh Rahe Hain Ki Is
Tahreek Ka Anjaam Kaar Kya Hoga? Khuda E Qadir Ikhlase
Neeyat Se Is Deeni Tahreek Ko Aage Badhne Ke Asbaab Wa
Zaraye Faraham Farmaye Aameen.
'Kanton Se Guzar Jata Hoon Daman Ko Bacha Kar
Phoolon Ki Siyasat Se Mein Begana Nahi Hoon'

Ek Galat Fahami Ka Izaala

Til Ke Oat Pahad

'De Mujhko Shikayat Ki Ijazat Ki Sitamgar


Kuch Tujhko Maza Bhi Mere Aazar Mein Aaye'

Nagpur Ke Haliya Ijlaas Mein Ulmaye Deoband Ne Jo


Dhamachaukadi Ki Hai Iska Ek Gosha Ye Bhi Hai Ki
Maulvi Irshad Ahmad Ne 'Tajanib Ahle Sunnat' Se Awaam
Ko Galat Zehan Dene Ki Sae E Nakam Ki Hai Jiska Khulasa
Ye Hai Ki Ulmaye Ahle Sunnat Apne Siwa Kisi Ko
Musalman Samajhte Hi Nahi Is Silsile Mein Zaruri Hai Ki
Chand Aise Haqaeq Wa Shawahid Aapke Samne Pesh Kiye
Jayein Jisse Aaine Mein Aap Ulmaye Deoband Ko Achchi
Tarah Dekh Sakein!
Ab Tafseel Ka Mauqa Nahi Kitab Press Ja Rahi Hai Isliye
Sirf Chand Shawahid Par Iqtifa Kiya Jayega. Insha ALLAH
Ta'ala Aainda Hasbe Zarurat Is Mauzoo Par Mustaqil Kitab
Deoband Ka Naya Deen 171

Likhi Jayegi Taaki Deobandiyat Ka Asal Roop Aapke Samne


Aa Sake.

Jama'ate Islami Deoband Ki Nazar Mein:


'Farmaya (Maulana Husain Ahmad Sabiq Sadar
Deoband) Islam Ke Naam Par Bahut Si Jama'atein Wujood
Mein Aai Lekin Ye Jama'at Jo Jama'ate Islami Ke Naam Se
Hai Un Tamam Jama'aton Se Bahut Zyada Khatarnak Hai.
Aaj Maulana Sibgatullah, Maulana Ameen Ahsan Sahab
Islahi Jo Is Jama'at Ke Sargaram Rukn The, Is Jama'at Se
Alag Ho Kar Hazrat Ke Is Irshad Ki Amlan Tasdeeq Kar
Rahe Hain'.
(Shaikhul Islam Page 159)
Note : Maloom Hua Ki Ulmaye Deoband Ki Nazar Mein
Tamam Firqa E Batila Mein Sabse Zyada Khatarnak
Jama'ate Islami Hai.

Doosra Hawala-
Rawafiz Ulmaye Deoband Ki Nazar Mein:
'Rawafiz Ne To Sirf Chand Sahabiyon Ki Tauheen Ki
Aur Is Jama'ate Islami Ne To Tamam As'habe Kiraam
Rizwanullah Alaihim Ajmaen Ki Tanqees Wa Tauheen Kar
Di Ye Kahte Hain Sahab Meyaar Haq Nahi Hain. Alakh'.
(Shaikhul Islam Page 159)
Note : Goya Rawafiz Aur Jama'ate Islami Tauheene
Sahaba Mein Yaksa Wa Barabar Hain Lihaza Ulmaye
Deoband Ki Taraf Se Donon Par Ek Hi Hukm Jaari Kiya
Jayega. Choonki Donon Tauheene Sahaba Ke Mujrim Hain!
Deoband Ka Naya Deen 172

Teesra Hawala-
Ulmaye Deoband Ki Nazar Mein Jama'ate
Islami Gair Naaji Jahannami Hai:
'Farmaya Maulana Husain Ahmad Jo Hadees Mein Jo
Ummat Ke 72 Firqon Ki Khabar Aai Aur Sirf Ek Firqa Ko
Naaji Aur Doosre Tamam Firqon Ko Gair Naaji Farmaya
Hai. Mein Dalael Wa Baraheen Ki Raushani Mein Poore
Sharhe Sadar Se Kahta Hoon Ki Ye Jama'ate Islami Bhi Un
Hi Gair Naaji Firqon Mein Se Hai'.
(Shaikhul Islam Page 159)
Note : Ulmaye Deoband Ki Nazar Mein Ahle Tish'aa
Tauheene Sahaba Ke Mujrim Hain Aur Jama'ate Islami
Jahannami Firqon Mein Se Ek Firqa Hai.

Gair Muqallideen Ulmaye Deoband Ki Nazar


Mein:
'Ek Martaba Maulana Rasheed Ahmad Gangohi Ne
Irshad Farmaya Ki Jo Log Ulmaye Deen Ki Tauheen Aur Un
Par Ta'an Wa Tashni Karte Hain Qabr Ke Andar Unka
Munh Qibla Se Phir Jata Hai Balki Ye Farmaya Ki Jiska Ji
Chahe Dekh Le. Gair Muqallideen Choonki Aaemma E
Deen Ko Bura Kahte Hain Isliye Unke Peechhe Bhi Namaz
Padhni Makrooh Farmayi'.
(Tazkirturrasheed Jild 2 Page 282)
Note : Ye Ibaarat Is Qadr Wazeh Aur Gair Mub'ham Hai
Ki Kisi Tabsara Ki Muhtaaj Nahi. Bas Itni Zahmat Keejiye
Ki Agar Gair Muqallideen Ne Is Hawale Ko Na Dekha Ho
To Unhein Uski Ziyarat Kara Deejiye.
Deoband Ka Naya Deen 173

Ek Aur Hawala Mulahaza Farmaiye-


Un Gair Muqallideen Ki Neki Mein Shak Nahi Lekin
Neki Badarja Mahboobiyat Nahi Kyunki Gair Muqallideen
Hazraat Mein Umooman Adab Ki Kami Hoti Hai, Bebak
Hote Hain Aur Taqwa Ka Ahatmam Bhi Bahut Km Karte
Hain Jisse Ek Goona Inqbaaz Hota Hai.
(Asharfussawaneh Jild 1 Page 124)
Note : Maulana Thanvi Ki Nazar Mein Gair
Muqallideen Ki Jo Haisiyat Hai Use Nazireen Ne Mulahaza
Farmaya.
Ab Ek Hawala Aur Mulahaza Farmaiye-
'Maulvi Abdul Majeed Sahab Hazarvi Farmate The Ki
Jab Meine Maulvi Nazeer Husain Dehalvi Gair Muqallid Ke
Paas Hadees Shareef Padhni Shuru Ki To Dil Andar Se
Ghabrata Tha Aur Khwab Mein Aksar Khinzeer Ke Bachche
Nazar Aaya Karte Ki Mere Charo Taraf Phirte Hain'.
(Tazkirturrasheed Hissa 2 Page 320)

Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi Maulana


Husain Ahmad Ki Nazar Mein:
'Alhaasil Vo Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi Ek
Zalim Wa Baagi, Khoonkhar, Fasiq Shakhs Tha'.
(Ashshahabussaqib, Maulana Husain Ahmad Safa 50)
Note : Ek Hi Saans Mein Maulana Tandvi Ne Najdi
Peshwa Ko Zalim, Baagi, Khoonkhar, Fasiq Sab Kuch Kah
Dala.

Sayyadna Imaam Ahmad Raza Ulmaye


Deoband Ki Nazar Mein:
Deoband Ka Naya Deen 174

Iske Liye Sirf Maulana Husain Ahmad Ki


'Ashshahabussaqib' Ka Mutala Kafi Hoga Jismein Aashiqe
Rasool Mujaddide Hazira Sayyadna Imaam Raza Fazile
Bareilvy Raziyallahu Ta'ala Anhu Ko 640 Galiyan Di Gai
Hain Jisko Faqeehe Asr Hazrat Maulana Mufti Ajmal Shah
Sahab Alaihirrahma Ne 'Radd Shahaabe Saqib' Mein
Shumar Farmaya Hai.
Ek Aur Dil Kharash Hawala Mulahaza Farmaiye-

Allama Shaami Ulmaye Deoband Ki Nazar


Mein:
'Shaami Ki Is Ibaarat Ko Raza Khani Bade Fakhr Se Apne
Risalon Mein Naql Karte Hain. (Chand Satar Baad) Magar
Unko Kya Maloom Ki Ibne Aabideen Shaami Ne
Hukoomat Ke Asar Se Un Gareebon Ko Badnam Kiya Aur
Un (Najdiyon) Ke Khilaaf Ek Muttaheda Mahaaz Qayam
Kar Ke Apni Duniya Sanbhali. Bura Hai Is Duniya Parasti
Aur Sunhari Sikkon Ka Jiske Aevaz Shaami Ne Najdiyon Ko
Dil Khol Kar Badnam Kiya Hai'.
(Aaina E Sadaqat Page 44)
Note : Allama Shaami Jaisi Azeemul Martabat Shakhsiyat
Par Aisa Narwa Aur Rakeek Hamla Ye Sirf Deobandi
Mulla'o Se Ho Sakta Hai Jinke Zameer Wa Khameer Aur
Fitrat Wa Sarisht Mein Tabarra Aur Gali Galauj Ka An'sar
Shamil Hain. Mirza Gulam Ahmad Qadyani Se Mut'alliq
Ek Hawala Mulahaza Farmaiye-
Mirza Gulam Ahmad Qadyani Ulmaye
Deoband Ki Nazar Mein:
Deoband Ka Naya Deen 175

'Agar Khan Sahab Ke Nazdeek Baaz Ulmaye Deoband


Waqai Aise The Jaisa Ki Unhone Samjha To Khan Sahab
Sayyadna Imaam Ahmad Raza Par Un Ulmaye Deoband Ki
Takfeer Farz Thi Agar Vo Unko Kafir Na Kahte To Vo
Khud Kafir Ho Jate Jaise Ulmaye Deoband Ne Jab Mirza
Sahab (Gulam Ahmad Qadyani) Ke Aqaed Kufriya Maloom
Kar Liye Aur Vo Qat'an Sabit Ho Gaye To Ab Ulmaye Islam
Par Mirza Sahab Aur Mirzaeyon Ko Kafir Wa Murtad Kahna
Farz Ho Gaya Agar Vo Mirza Sahab Aur Mirzaeyon Ko Kafir
Na Kahein To Vo Khud Kafir Ho Jayenge. Jo Kafir Ko Kafir
Na Kahe Vo Khud Kafir Hai'.
(Ashaddul Azaab Page 13)
Note : Bavajood Ye Ki Qadyani Kalima Go Aur Ahle
Qibla Hain Lekin Jab Ulmaye Deoband Mirza Gulam
Ahmad Qadyani Ki Kufriyat Par Muttala Ho Gaye To Un
Par Kufr Wa Irtidad Ka Fatwa Diya. Qurban Jaiye! Aap Kisi
Kalima Go Aur Ahle Qibla Ki Kufriyat Par Muttala Ho
Jayein To Aap Par Farz Hai Ki Aap Use Kafir Kahein, Lekin
Agar Aap Par Tauheene Nubuvvat Ka Jurm Sabit Ho Jaye
Aur Aapki Takfeer Ki Jaye To Qiyamate Sugra Barpa Ki
Jaye. Wazeh Rahe Aapki Takfeer Mein Aap Hi Ka Usool Wa
Zabta Istemal Kiya Ja Raha Hai. Aapka Haal To Ye Hai Ki,
'Naavak Ne Tere Said Na Chhoda Zamane Mein'

Jama'ate Islami Maulana Thanvi Ki Nazar


Mein:
'Mera Dil Is Tahreek Ko Qubool Nahi Karta'.
(Asharfussawaneh Page 14 Jild Aakhir)
Deoband Ka Naya Deen 176

Jama'ate Islami Qari Tayyab Ki Nazar Mein:


'Jama'ate Islami Ke Jadeed Fiqhiyaat Aur Tafakk Ki
Far'eyaat Jo Janab Ne Qalam Band Farma Kar Irsaal Farmai
Unhein Padh Kar Afsos Hua. Maloom Hota Hai Ki Koi
Naya Fiqh Taiyar Ho Raha Hai Aur Purane Fiqh Ka Libas
Utaar Kar Phenka Ja Raha Hai. Inna Lillah Alakh'.

Maulana Shabbir Ahmad Usmani Maulana


Usman Ahmad Ki Nazar Mein:
'Darul Uloom Deoband Ke Talba Ne Jo Gandi Galiyan
Aur Fahash Ishtiharaat Aur Cartoon Hamare Mut'alliq
Chaspa Kiye Hain Jinmein Hamein Aboo Jahal Tak Kaha
Gaya Aur Hamara Janaza Nikala Gaya Aap Deobandi
Maulvi Sahiban Hazraat Ne Uska Bhi Koi Tadaruk Kiya
Tha. Aapko Maloom Hai Ki Us Waqt Darul Uloom Ke
Tamam Mudarriseen, Mohtamim Aur Mufti Samet Ba
Istisana Ek Do Ke Bila Wasta Mujh (Maulvi Shabbir Ahmad
Usmani) Se Nisbate Talammuz Rakhte The'.
(Muqalamtussardain Page 21)
Note : Goya Maulana Husain Ahmad Aur Unke Rufqa
Kaar Ki Nazar Mein Maulana Shabbir Ahmad Usmani Ki
Haisiyat Aboo Jahal Jaisi Hai!
Jis Tarah Bichchhoo Dank Marne Mein Apna Paraya Aur
Dost Dushman Nahi Dekhta Use To Dank Marne Se Kaam,
Jab Zahar Kulbulata Hain To Dank Marne Par Majboor
Hota Hai. Pas Aise Hi Ulmaye Deoband Fuzool Bakwas Aur
Gali Bakne Par Majboor Hain. Ab Maulana Husain Ahmad
Ko Maulana Shabbir Ahmad Ke Katghare Mein Dekhiye.
Deoband Ka Naya Deen 177

Maulana Husain Ahmad Maulana Shabbir


Ahmad Ki Nazar Mein:
'Maulana Husain Ahmad Sahab Ne Muslim League
Mein Musalmanon Ki Shirkat Ko Haraam Qaraar Diya Aur
Qaide Aazam Ko Kafire Aazam Ka Laqab Diya'.
(Khutba E Sadarat Shabbir Ahmad Usmani Page 48)
To Maulvi Shabbir Ahmad Usmani Ne Maulvi Husain
Ahmad Ke Mut'alliq Kaha-
'Ye Parle Darje Ki Shaqawat Wa Himaqat Hai Qaide
Aazam Ko Kafire Aazam Kaha Jaye'.
(Muqalamtussardain Page 32)
Note : Goya Maulana Shabbir Ahmad Usmani Ki Nazar
Mein Maulana Husain Ahmad Shaqi Aur Bewakoof Hain.

Maulana Abul Kalaam Ulmaye Deoband Ki


Nazar Mein:
'Vo Abul Kalaam Aazad Apni Nafsiyani Khwahishaat Ka
Muttaba Hai Aur Islam Ke Seedhe Sadhe Raste Se Bhatka
Hua Hai Aur Akabireene Millat Ka Sakht Be Adab Hai'.
(Al Bayaan Mukaddama Mushkilatul Qur'an Maulana Anwar
Shah Kashmiri Deobandi Page 34)
Note : Maulana Abul Kalaam Aazad Se Mut'alliq
Maulana Muhammad Anwar Shah Kashmiri Deobandi Ki
Jo Raay Thi Use Unhone Khule Band Zaahir Kar Diya Ki
Abul Kalaam Aazad Nafsaani Khwahishaat Ka Muttaba Hai
Aur Seedhe Raste Se Bhatka Hua Hai.

Sar Sayyad Ahmad Khan Ulmaye Deoband Ki


Nazar Mein:
Deoband Ka Naya Deen 178

'Vo Sar Sayyad Be Deen Mulhid Ya Jahil Gumrah Hai,


Vo Khud Gumrah Hua Aur Usne Logon Ko Bhi Gumrah
Kiya Hai Aur Agar Uska Kufr Wa Alhaad Zyada Na Hota
To Mumkin Tha Ki Log Us Par Mukammal Imaan Le Aate.
Pas Dekh Ki Us Mulhid Bewakoof Ki Bewakoofi Kahan Tak
Pahunch Gai Hai'.
(Al Bayaan Mukaddama Mushkilatul Qur'an Page 32)
Note : Sar Sayyad Ahmad Khan Se Mut'alliq Maulana
Anwar Shah Kashmiri Deobandi Ko Jo Kahna Tha Unhone
Gair Mub'ham Aur Wazeh Taur Par Kah Diya Ab Zarurat
Iski Hai Ki Ye Ibaarat Muslim University Aligarh Tak
Pahuncha Di Jaye Taaki University Mein Jab Kabhi Qari
Tayyab Sahab Ka Program Ho To Is Ibaarat Par Unse
Istifsaar Kiya Ja Sake!

Maulana Shibli Nomani Ulmaye Deoband Ki


Nazar Mein:
'Beshak Vo Shibli Sar Sayyad Ke Baare Mein Azhad
Khush Aitqaadi Rakhta Hai. Pas Ya To Ye Mudahanat
Fiddeen Hai. Aur Un Donon Sar Sayyad Wa Shibli Ki
Roohein Ilm Wa Maqasid Mein Yakja Hain. Aur Hamne
Logon Ke Samne Shibli Ka Ye Pol Isliye Zahir Kiya Hai Ki
Deene Islam Mein Kisi Kafir Ke Kufr Se Chashmposhi
Karna Hargiz Jayaz Nahi'.
(Al Bayaan Mushkilatul Qur'an Muhammad Anwar Shah Kashmiri
Deobandi Page 32)
Note : Maulana Anwar Shah Kashmiri Deobandi Ne
Maulana Shibli Nomani Ke Baare Mein Jo Kuch Kaha Use
Nazireen Ne Padh Liya Lekin Hawale Ki Aakhri Satar Bahut
Deoband Ka Naya Deen 179

Hi Qabile Tavajjoh Hai.


Yani 'Deene Islam Mein Kisi Kafir Ke Kufr Se
Chashmaposhi Karna Hazrgiz Jayaz Nahi'.
Bagair Soche Samjhe Kabhi Ye Log Bhi Sach Bol Jate
Hain, Baad Mein Pachhtava Hi Kyun Na Ho. Ab Kah Lene
Deejiye Agar Maulana Shibli Nomani Ka Kufr Chhupaya
Nahi Ja Sakta To Tauheene Nubuvvat Ke Mujrimeen Ka
Jurm Kyun Kar Chhipaya Ja Sakta Hai? Hifzul Imaan Wa
Baraheene Qatia Wagaira Ki Kufri Ibaarat Par Jab Ulmaye
Deoband Ki Takfeer Ki Jati Hai To Mulk Mein Shor Wa
Hungama Kyun Barpa Kiya Jata Hai? Ham Aap Hi Ka
Usool Aap Par Istemal Karte Hain. Islam Mein Kisi Kafir Ke
Kufr Se Chashmposhi Karna Jayaz Nahi! Aapko To Hamein
Daad Deni Chahiye Ki Usool Ke Istemal Mein Hamne
Insaaf Wa Diyanat Ka Khoon Nahi Hone Diya Magar Isko
Kya Kahiye Aap Maulana Abul Kalaam Aazad, Sar Sayyad
Ahmad Khan, Maulana Shibli Nomani, Maulana
Maudoodi, Madarsatul Islah Saraymeer, Allama Ibne Aabid
Shaami, Rawafiz Wa Khwariz, Gulam Ahmad Qadyani,
Sayyadna Imaam Ahmad Raza Fazile Bareilvy, Muhammad
Bin Abdul Wahab Najdi Wagaira Wagaira Ko Jo Bhi
Man(Dil) Mein Aaye Kah Jaye Kafir, Bedeen, Zalim,
Khoonkhar, Fasiq, Raah Se Bhatka Hua, Jahannami, Aboo
Jahal, Madahin, Jahil Garz Ki Ulmaye Deoband Ke Siwa
Khuda Ki Zameen Par Jo Log Bhi Base Tike Hain Vo Sab
Ke Sab Bedeen, Kafir, Gumrah, Jahannami Wagaira Hain.
Ye Hain Ulmaye Deoband Ke Vo Kaale Kartoot Jisko
Unhone Numaishi Ittihad Wa Ittifaq Aur 'Ek Bano Nek
Deoband Ka Naya Deen 180

Bano' Ke Khokhlon Naaro Mein Chhupa Rakha Hai. Ab


Qaum Bahut Hoshiyar Ho Chuki Hai Usne Aapke
Numaishi Sajdon Aur Be Wazan Naaro Ki Haisiyat Samajh
Li Hai Vo Is Baat Ka Aasani Se Faisla Kar Sakti Hai Ki Agar
Aap Kisi Kalima Go Ko Aur Ahle Qibla Ko Kalimate Kufriya
Ki Bina Par Kafir, Murtad, Bedeen Kah Sakte Hain To Aap
Jaise Tauheene Nubuvvat Ke Mujrimeen Ko Kyun Kar Maaf
Kiya Ja Sakta Hai? Jo Usool Wa Zabta Aapne Qadyaniyon
Wagaira Par Istemal Kiya Hai Bas Zabte Ki Vahi Talwar
Aapka Bhi Sir Qalam Kar Rahi Hai. Agar Aisa Hi Hai To
Wabila Kyun?
Lamha E Fikriya!
'Chhode Jata Hoon Mein Sarma E Gam Aey Manzar
Jane Ab Kiske Mukaddar Mein Ye Daulat Hogi'
Hazraat! Ye Koi Maqaame Hairat Wa Istejaab Nahi Jis
Qaum Ki Sarkashi Wa Bagawat Is Had Tak Pahunch Gai
Ho Ki Vo Khuda E Wahdahoo La Shareek Ko Mas'ala
Imkane Kizb Ke Parde Mein Jhootha Kahe Aur Uske Pyare
َ
Mahboob Sarware Kaunain Sayyade Aalam Roohi Fidah ‫َ یص ّلی‬
َّ ٰ َ ٰ ََ ‫ہ‬
‫الی َعلیہی َوالہی َو َسل َمی‬‫ للای تع‬Ko Bada Bhai, Gaanv Ka Zameendar,
Chaudhary, Mar Kar Mitti Mein Milne Wala Kahein.
Agar Usne Maulana Abul Kalaam Aazad, Maulana
Maudoodi, Maulana Shibli Nomani, Sar Sayyad Ahmad
Khan, Allama Shaami, Mirza Gulam Ahmad Qadyani Hatta
Ki Sirf Ek Kitab Mein Sayyadna Imaam Ahmad Raza Fazile
Bareilvy Raziyallahu Ta'ala Anhu Ko 640 Galiyan Di Ho To
Ye Koi Hairat Ka Maqaam Nahi. Is Tahreer Ka Maqsad Kisi
Ki Takdees Wa Safai Nahi Hai Balki Kahna Ye Hai Ki Aapne
Deoband Ka Naya Deen 181

Jise Jaisa Samjha Vaisa Kah Diya Bas Aise Hi Agar Ulmaye
Ahle Sunnat Ki Nazar Mein Aap Tauheene Nubuvvat Ke
Mujrim Hain. Aise Mujrim Ka Jo Hukm Hai Agar Uska
Ailaan Kar Diya Gaya To 'Kafir Ko Bhi Kafir Na Kaho' Ka
Naara Kyun Buland Kiya Raha Hai Ye Islam Ki Gasibana
Thekedari Aapko Kahan Se Mil Gai. Jo Haq Aapne Doosron
Par Istemal Kiya Hai Vahi Hamare Imaam Sayyadna Imaam
Ahmad Raza Fazile Bareilvy Raziyallahu Ta'ala Anhu Ne
Aap Par Istemal Kiya Hai. Jahan Tak Allama Shaami Aur
Sayyadna Imaam Ahmad Raza Aur Unke Amsaal Ka
Ta'alluq Hai Unka Daman Un Tamam Aalaeshon Se Paak
Wa Saaf Hai Jiski Nisbat Unki Taraf Ki Gai Hai Aasman Ka
Thooka Khud Munh Par Aata Hai. Rah Gaye Doosre Afrad
Unke Aznab Wa Akhlaaf Aapse Nipat'te Rahenge.
Kitab Press Ja Rahi Hai Ye Chand Satarein Qalam
Bardashta Tahreer Ki Gai Hain. Ham Pur Ummeed Hain
Ki Ye Shawahid Wa Nazaer Zehan Wa Fikr Ki Tathreer Aur
Husool Wa Aitmaad Ke Liye Kafi Hongi. Aainda Jab Kahi
Ya Jahan Kahi Bhi Aqaneeme Salasa (Maulavi Irshad
Ahmad, Maulavi Noor Muhammad Tandvi, Ragib Bhopali)
Pahunche Aur Is Naueyat Ka Fitna Uthana Chahein To
Unhi Shawahid Ki Raushani Mein Unse Istifsaar Kiya Jaye.
Meine In Safhaat Ka Izaafa Isliye Kar Diya Ki Nagpur Hi Ka
Fitna Nahi Hai Balki Ye Hazraat Jahan Kahi Pahunchte
Hain Deobandiyon Mein Apna Rob Jamane, Sasti Shohrat
Kamane Aur Taqreer Ka Market Banane Ke Liye Yahi
Hathiyar Istemal Karte Hain-
'Badnam Huye Hain To Kya, Naam Na Hoga'
Deoband Ka Naya Deen 182

Isi Par Un Hazraat Ka Amal Hai.


Aap Khud Faisla Kar Sakte Hain Ki Jo Qaum Khuda E
َ ‫َص َّل ہ‬
Wahdahoo La Shareek Aur Aaqa E Do Jahan ‫یللا َیت َع ٰال َیعلیہ َیو ٰالہی‬
َّ
‫ َو َسل َ ی‬Ko Galiyan De Agar Usne Is Mulk Ki Ek Deendar
‫م‬
Ansari Biradari Ko Munh Bhar Kar Galiyan Di Ho Aur
Unki Tazleel Wa Tazheek Ke Koi Daqeeqa Na Utha Rakha
Ho Usse Ham Ummeede Wafa Kyun Kar Sakte Hain? Jab
Deobandi Mulla'o Ne Isko Phir Jagaya Hai To Ab Iska
Jawab Yahi Hai Ki Unse Mafi Aur Un Dil Aazar Kitabon Ke
Nazare Aatish Ka Motalba Kiya Jaye.
Sayyadna Imaam Ahmad Raza Ki Haisiyat Aqwaale
Fuqha Ke Naqil Ki Hai Goya Hikayat Hai, Insha Nahi Hai.
Unhone Apni Taraf Se Kuch Nahi Farmaya Lekin Ulmaye
Deoband Ne Apne Dilkharash Wa Dil Azaar Jumlon Se
Amdan Intihai Rakeek Wa Narwa Hamle Kiye Hain Jo
Yaqeenan Ulmaye Deoband Ki Peshani Par Kalank Ke
Teeka Hain.
Khuda E Qadir Ham Mein Ittihad Wa Ittifaq Ki Aisi
Spirit Aur Mardum Shanasi Ka Vo Jauhar Ata Farmaye Ki
Aainda Gandum Numa, Jau Farosh Vyapari Barsare Bazar
Hamare Izz Wa Waqar Ke Neelam Ki Himmat Na Kar Sake!
'Apni To Ab Tamam Hui Kaenate Gam
Do Ashk The So Deeda E Tar Se Guzar Gaye'

Mushtaq Ahmad Nizami


Khadim Sunni Tabligi Jama'at Wa Mohtamim,
Darul Uloom Gareeb Nawaz Allahabad,
15 Zilhijja 1397 Hijri Mutabiq 7 November 1977 Isvi
OUR OTHER PUBLICATIONS

Abde Mustafa Publications


abdemustafa.org @abdemustafaorg

Powered By Abde Mustafa Organisation

You might also like