Aid Songs Lyrics

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 8

Le Mashale Chal Pade Hai

Le mashale chal pade hai log mere gaun ke, Ab andhera jeet lenge log mere gaun ke. Puchti hai jhopdi aur puchte hai khet bhi, Kab talak loot- te rahenge log mere gaun ke. Cheekhti hai har rukawat thokado ki mar se, Bediyan khanka rahe hai log mere gaun ke. Lal suraj ab ugega desh ke har gaun me, Ab ikkatha ho chale hai log mere gaun ke. Dekh yaara jo subah lagti hai phiki aajkal, Lal rang usme bharenge log mere gaun ke.

Geet Ga Rahe Hai Aaj Hum


Geet ga rahe hai aaj hum, ragini ko dhoondhte huey, Aa gaye yahan jawan kadam, jindagi ko dhoondhte huey. Do dilo me ye umang hai,hum jahan naya banayenge, Jindagi ka taur aaj se, dosto ko hum sikhayenge, Phool hum naye khilayenge, tajgi ko dhoondhte huey, Aa gaye yahan jawan kadam, jindagi ko dhoondhte huey. Dahej ka bura riwaaz hai, aaj desh mein samaj mein, Hai tabah aaj aadmi, loot paat ke samaaj mein, Hum samaj bhi banayenge, aadmi ko dhoondhte huey, Aa gaye yahan jawan kadam, jindagi ko dhoondhte huey.

Ruke Na Jo
Ruke na jo, jhuke na jo, dabe na jo, mite na jo, Hum who inqalaab hai, zulm ka jawaab hai, Har shaheed, har gareeb ka hum hi to khwaab hai. Lar rahe isliye ki pyaar jag mein jee sake, Aadmi ka khoon koi aadmi na pee sake, Malikon mazdoor ke naukron huzoor ke, Farak ko mitayenge, samaanta ko layenge, Maante nahi hai fark hindumusalmaan ka, Jaante hai rishtaa insaan se insaan ka, Dharam ke, desh ke, bhaashaa aur vesh ke, Fark ko mitayenge aur ektaa ko layenge. Maante nahi hai hukm julmi hukmran ka, Yudh aaj chal raha hai aadmi haiwan ka Satya ki sambhal dhal, kranti ki le maashal, Ekta ke jor se har julm ko mitayenge.

Iswar Allah Tere Jahan Me


Iswar Allah tere jahan me nafrat kyo hai, jung hai kyo, Tera dil to itna bada hai, insaan ka dil tang hai kyo. Kadam kadam par sarhad kyo hai, Sari zameen jo teri hai, Suraj ke phere karti hai, Phir kyo itni andheri hai, Is duniya ke daaman par, Insaan ke lahun ka rang hai kyo Gunj rahi hai kitni cheekhe, Pyar ki baaten kaun sune, Toot rahe hai kitne sapne, Inke tukde kaun chune, Dil ke darwajo par taale, Taalo par yeh jung hai kyo, Iswar Allah..

Isliye Raah Sangharsh Ki


Isliye raah sangharsh ki hum chune, Zindagi aasoono se nahaai na ho, Shaam sahmi na ho, raat ho na dari, Bhor ki aankh phir dabdabaai na ho, Isliye Surya par baadlon ka na pahraa rahe, Roshni roshnaai mein doobi na ho, Yun na imaan footpath par ho khara, Har samay aatmaa sab ki oobi na ho, Aasmaa mein tangi ho na khushhaliyaan, Qaid mehlon mein sabki kamaai na ho. Koi apni khushi ke liye gair ki, Rotiyaan cheen le hum nahi chahaate, Cheetkar thora chaaraa koi umr ki, Har khushi been le hum nahi chahaate, Ho kisi ke liye makhmali bistaraa, Aur kisi ke liye ek chataai na ho. Aab tammanye phir na kare khudkushi, Khwaab par khoph ki choksi na rahe, Shram ke payo me ho na padi bediyaan, Shakti ki peeth aab jyadati na sahe, Dum na tode kahi bhukh se bachpana, Rotiyon ke liye aab larai na ho.

Saathiyon Salam Hai


Saathiyon salam hai salaam hai salaam Is desh ki azadiyan hai tumhe bula rahi Jati vadi bediya jhanjhana ke ga rahi Kabul ho azadiya tod do ye bediya Pran karo yaha abhi pran karo yaha sabhi Tumhare hi haath me desh ki mashal hai Saathiyon salaam hai Bhayyion salaam hai, beheno salaam hai Dhun samaaj hai jami dur tum use karo Bhuj raha jala diya pyar se isse bharo Ye desh lahlaha uthe bharatiya gaon uthe Vishwa me avaaz hai vishwa me pukar hai Tumhare hi haath me desh ki mashaal hai Saathiyon salaam hai, bhai

Chale Chalo Dilo Me


Chale chalo dilo me ghav leke bhi chale chalo, Chalo lahuluhan pao leke bhi chale chalo, Chalo ki aaj sath-sath chalne ki jarurate, Chalo ki khatm ho na jaye jindagi ki hasrate. Jameen, khawab, jindagi, yakeen, sab ko batkar, Woh chahtehe bebasi me aadmi jhukaye sar, Woh chahtehe jindagi ho roshni se bekhabar, Woh ek-ek karke aab jala rahe hai har shahar, Jale hue gharo ke khawab leke bhi chale chalo.

Chale Chalo Dilo Me.


Woh chahtehe hai baatna yeh jindagi ke kafile, Woh chahtehe baatna yeh jindagi ke walwale, Woh chahtehe hai khatm ho ummid ke yeh silsile, Woh chahtehe hai gir sake na loot ke yeh sab kile, Sawal hi hai aab jawab leke bhi chale chalo. Woh chahtehe hai jatiyon ki, boliyon ki phoot ho, Woh chahtehe hai dharm ko tabahiyon ki choot ho, Woh chahtehe hai jindagi me ho fareb, jhoot ho, Woh chahtehe hai jis tarah bhi ho magar yeh loot ho, Siro pe joh bachi hai chav leke bhi chale chalo.

You might also like